Soorah-Adh-Dhariyat
Aayaat-60
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Bikhairne Waaliyoun Ki
Qasam Joh Uraa Kar Bakhair Deti Hain.
2
Phir Paani Ka Bojh
Uthaati Hain.
3
Phir Aahista Aahista
Chalti Hain.
4
Phir Cheezain Taqseem
Karti Hain.
5
Ke Jis Cheez Ka Tum Se
Wada Kia Jata Hai Wo Sacha Hai.
6
Aur Insaaf Ka Din
Zaroor Waaqe Hoga.
7
Aur Asmaan Ki Qasam
Jis Main Raaste Hain.
8
Ke Ae Ehl-E-Makkah Tum
Aik Mutnaqiz Baat Main Pare Hue Ho.
9
Is Se Wo Hi Phirta Hai
Joh Khuda Ki Taraf Se Phaira Jaaye.
10
Atkal Doraane Wale
Halaak Houn.
11
Joh Be Khabari Main
Bhoole Hue Hain.
12
Poochte Hain Ke Jaza
Ka Din Kab Hoga?
13
Us Din Hoga Jab Un Ko
Aag Main Azaab Dia Jaye Ga.
14
Ab Apni Shararat Ka
Mazah Chakho. Ye Wo Hi Hai Jis Ke Liye Tum Jaldi Machaya Karte The.
15
Be Shak Parhaizgaar
Behshatoun Aur Chashmoun Main Aish Kar Rahe Hougne.
16
Aur Joh Joh Naimatain
Un Ka Parwardigar Unhain Deta Hoga Un Ko Le Rahe Hounge.Be Shak Wo Us Se Pehle
Naikiyaan Karte The.
17
Raat Ke Thore Se Hisse
Main Sote The.
18
Aur Ouqaat-E-Seher
Main Bakhshish Maanga Karte The.
19
Aur Un Ke Maal Main
Maangne Wale Aur Na Maangne Wale Dono Ka Haq Hota Hai.
20
Aur Yaqeen Karne
Waloun Ke Liye Zameen Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.
21
Aur Khud Tumahre
Nafoos Main Toh Kia Tum Daikhte Nahi?
22
Aur Tumhara Rizq Aur
Jis Cheez Ka Tum Se Waada Kia Jaata Hai Asmaan Main Hai.
23
Toh Asmaanoun Aur
Zameen Ke Malik Ki Qasam! Ye Ussi Tarha Qabil-E-Yaqeen Hai Jis Tarha Tum Baat
Karte Ho.
24
Bhala Tumhare Paas
Ibrahim A.S. Ke Moazzaz Mehmanoun Ki Khabar Pohonchi Hai?
25
Jab Wo Un Ke Paas Aye
Toh Salam Kaha. Unhoun Ne Bhi Jawab Main Salam Kaha, Daikha Toh Aise Loug Ke Na Jaan Na Pehchaan.
26
Toh Apne Ghar Jaa Kar
Aik Bhuna Hua Mota Bachra Laaye.
27
Aur Khaane Ke Liye Un
Ke Aage Rakh Dia. Kehne Lage Ke Aap Tanawal Kion Nahi Karte?
28
Aur Dil Main Un Se Khof Maloom Kia. Unhoun Ne
Kaha Ke Khof Na Kijiye Aur Un Ko Aik Danishmand Larke Ki Bassharat Bhi Sunayee.
29
Toh Ibrahim A.S. Ki
Biwi Chillati Aayeen. Aur Apna Moonh Peeth Ke Kehne Lagi Ke Ae Hai Aik Toh
Burhiya Aur Doosre Baanjh.
30
Unhoun Ne Kaha
Haan! Tumhare Parwardigar Ne Youn Hi
Farmaya Hai. Wo Be Shak Sahib-E-Hikmat Aur Khabardaar Hai.
31
Ibrahim A.S. Ne Kaha
Ke Farishto! Tumhara Mudda Kia Hia?
32
Unhoun Ne Kaha Ke Ham
Gunnehgaaroun Ki Taraf Bhaije Gaye Hain.
33
Taa-Ake Un Par
Khanngar Barsayen.
34
Jin Par Had Se Barh
Jane Waloun Ke Liye Tumahre Parewardigar Ke Haan Se Nishaan Kar Diye Gaye Hain.
35
Toh Wahan Jitney Momin
The Un Ko Ham Ne Nikaal Liya.
36
Aur Us Main Aik Ghar
Ke Siwa Muslamnaoun Ka Koi Ghar Na Paaya.
37
Aur Joh Loug
Azaab-E-Aleem Se Darte Hain, Un Ke Liye Wahan Nishani Chor Di.
38
Aur Moosa A.S. Ke Haal
Main Bhi Nishani Hai, Jab Ham Ne Un Ko
Firown Ki Taraf Khula Hua Moajza De Kar Bhaija.
39
Toh Us
Ne Apni Quwwat Ke Ghmand Par Moonh Mor Liya Aur Kehne Laga Ye Toh Jadugar Hai
Ya Deewana.
40
Toh Ham
Ne Us Ko Aur Us Ke Lashkaroun Ko Pakar Liya Aur Un Ko Darya Main Pahaink Dia
Aur Wo Kaam Hi Qabil-E-Malamat Karta Tha.
41
Aur Aad
Ki Qoum Ke Haal Main Bhi Nishani Hai Jab Ham Ne In Par Na Mubarak Hawa Chalyee.
42
Wo Jis
Cheez Par Chalti Us Ko Raiza Raiza Kiye Baghair Na Chorti.
43
Aur Qoum-E-Samood
Ke Haal Main Bhi Naishaani Hai, Jab Un Se
Kaha Gaya Ke Aik Waqt Tak Faaida Utha Lo.
44
Toh Unhoun
Ne Apne Parwardigar Ke Hukum Se Sarkashi Ki .So Un Ko Karak Ne Aa Pakra Aur Wo
Daikhh Rahe The.
45
Phir Wo
Na Uthne Ki Taaqat Rakhte The Aur Na Muqaabla Kar Sakte The.
46
Aur Is
Se Pehle Ham Nooh Ki Qoum Ko Halaak Kar Chuke The Be Shak Wo Na Farmaan Loug
The.
47
Aur Aasmaanoun
Ko Ham Hi Ne Hathon Se Banaya Aur Ham Ko Sab Maqdoor Hai.
48
Aur Zameen
Ko Ham Hi Ne Bichaya, Toh Daikho Ham Kia Khoob Bichane Wale Hain.
49
Aur Har
Cheez Ki Ham Ne Do Qismain Banayee, Taa-Ake
Tum Naseehat Pakro.
50
Toh Tum
Loug Khuda Ki Taraf Bhaag Chalo, Main Us
Ki Tarf Se Tum Ko Sareeh Raasta Batane Wala Hoon.
51
Aur Khuda
Ke Sath Kisi Aur Ko Mabood Na Banao. Main Us Ki Taraf Se Tum Ko Sareeh Rasta
Batane Wala Hoon.
52
Issi Tarha
Un Se Pehle Lougon Ke Paas Joh Paigamabar Aata Wo Us Ko Jadugar Ya Deewana
Kehte.
53
Kia Ye
Loug Aik Doosre Ko Issi Baat Ki Wasiyat Karte Aaye Hain, Balke Ye Shareer Loug Hain.
54
Toh In
Se Airaaz Karo. Tum Ko Hamari Taraf Se Malamat Na Hogi.
55
Aur Naseehat
Karte Raho Ke Naseehat Mominoun Ko Nafa Deti Hai.
56
Aur Main
Ne Jinnoun Aur Insaanoun Ko Isliye Paida Kia Hai Ke Meri Ibadat Karain.
57
Main Un Se
Taalib-E-Rizq Nahi Aur Na Ye Chahta Hoon Ke Mujhe Khana Khilaayen.
58
Khuda Hi
Toh Rizq Dene Wala Aur Zor Aawar Aur Mazboot Hai.
59
Kuch Shak
Nahi Ke Un Zaalimoun Ke Liye Bhi Azaab Ki Nobat Muqarrar Hai Jis Tarha Un Ke
Sathiyoun Ki Nobat Thi, Toh Un Ko Mujh Se Azab Jaldi Nahi Taalab Karna Chahiye.
60
Jis Din
Ka In Kaafiroun Se Waada Kia Jata Hai Us Se Un Ke Liye Kharabi Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!