Soorah-At-Tur
Aayaat-49
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Koh-E-Toor Ki Qasam.
2
Aur Kitaab Ki Joh
Likhi Hui Hai.
3
Kushaada Quraaq Main.
4
Aur Aabaad Ghar Ki.
5
Aur Oonchi Chatt Ki.
6
Aur Ubalte Hue Darya Ki.
7
Ke Tumhare Parwardigar
Ka Azaab Waaqe Ho Kar Rahe Ga.
8
Aur Us Ko Koi Rok Nahi
Sake Ga.
9
Jis Din Aasmaan
Larazne Lage, Kapkapa Kar.
10
Aur Pahaar Urne Lagian
Oon Ho Kar.
11
Us Din Jhutlaane
Waloun Ke Liye Kharabi Hai.
12
Joh Khoz-E-Baatil Main
Pare Khail Rahe Hain.
13
Jis Din un Ko
Aatish-E-Jahjannum Ki Taraf Dhakail Dhakail Kar Le Jaayenge.
14
Ye Hi Wo Jahannum Hai
Jis Ko Tum Jhoot Smajhte The.
15
Toh Kia Ye Jaadu Hai,
Ya Tum Ko Nazar Hi Nahi Aata.
16
Is Main Daakhil Ho Jao
Aur Sabar Karo Ya Na Karo, Tumhare Liye Yaksaan Hai. Joh Kaam Tum Kia Karte The,
Ye Un Hi Ka Tum Ko Badla Mill Raha Hai.
17
Joh Parhaizgaar Hai Wo
Baaghoun Aur Naimatoun Main Hounge.
18
Joh Kuch Un Ke
Parawardigar Ne Un Ko Bakhsha, Us Ki Waja Se Khushaal . Aur Un Ke Parwardigar
Ne Un Ko Dozakh Ke Azaab Se Bacha Liya.
19
Apne Amaaal Ke Sile
Main Maze Se Khao Aur Piyo.
20
Takhtoun Par Joh
Barabar Barabar Biche Hue Hain Takya Lagaye Hue Aur Bari Bari Aankhoun Wali
Hooroun Ko, Ham Un Ka Rafeeq Bana Dainge.
21
Aur Joh Loug Eemaan
Laye Aur Un Ki Aulaad Bhi Raah-E-Eemaan Main Un Ke Peeche Chali. Ham Un Ki
Aulad Ko Bhi Un Ke Darje Tak Pohouncha Dainge Aur Un Ke Aamal Main Se Kuch Kam
Na Kariange. Har Shakhs Apne Aamaal Main Phansa Hua Hai.
22
Aur Jis Tarha Ke Mewe
Aur Gosht, Un Ka Jee Chahe Ga Ham Un Ko Ata Karain Ge.
23
Wahan Wo Aik Doosre Se
Jam-E-Sharaab Jhapat Liya Karinge, Jis Ke Peene Se Na Hizyaan Sarayee Hogi, Na
Koi Gunnah Ki Baat.
24
Aur Noujawan Khidmat
Gaar Toh Aise Hounge, Jaise Chupaaye Hue
Moti, Un Ke Aas Paas Phirainge.
25
Aur Aik Dsoosre Ki
Taraf Rukh Kar Ke Apas Main Guftugo Karainge.
26
Kahainge Ke Is Se
Pehle Ham Apne Ghar Main Khuda Se Darte Rehte The.
27
Toh Khuda Ne Ham Par
Ehsaan Farmaya Aur Hamain Loo(Garam Hawa) Ke Azaab Se Bacha Liya.
28
Is Se Pehle Ham Us Se
Duayaaen Kia Karte The. Be Shak Wo Ehsaan Karne Wala Meherbaan Hai.
29
Toh Ae Paighambar
S.A.W. Tum Naseehat Karte Raho Tum Apne Parwardigar Ke Fazal Se Na Toh Kahil Ho
Aur Na Dewaane.
30
Kia Kafir Kehte Hain
Ke Ye Shaair Hai Aur Ham Is Ke Haq Main Zamane Ke Hawaris Ka Intizar Kar Rahe
Hain.
31
Keh Do Ke Intizar Kiye
Jao, Main Bhi Tumhare Sath Intizar Karta Hoon.
32
Kia Un Ki Aqlain Un Ko
Ye Hi Sikhati Hain. Balke Ye Loug Hain Hi Shareer.
33
Kia Kuffaar Kehte Hain,
Ke In Paigambar Ne Quraan Az Khud Bana
Liya Hai, Baat Ye Hai Ke Ye Khuda Par Eemaan Nahi Rakhte.
34
Agar Ye Sache Hain Toh
Aisa Kalaam Bana Toh Laayen.
35
Kia Ye Kisi Ke Paida
Kiye Bagair Hi Paida Ho Gaye Hain. Ya Ye Khud Apne Taiyee Paida Karne Wale
Hain.
36
Ya Unhoun Ne
Aasmanaouan Aur Zameen Ko Paida Kia Hai? Nahi Balke Ye Yaqeen Hi Nahi Rakhte.
37
Kia Un Ke Paas Tumhare
Parwardigar Ke Khazane Hain .Ya Ye Kahin Ke Darogha Hain?
38
Ya Un Ke Pas Koi
Seerhi Hai, Jis Par Charh Kar Aasman Se Baatain Sunnate Hain. Toh Joh Sunnata
Hai Wo Sareeh Sanad Dikhaye.
39
Kia Khuda Ki Toh
Baitiyaan Aur Tumhare Bete Hain.
40
Ae Paigambar S.A.W.
Kia Tum Un Se Sila Maangte Ho, Ke Un Par Tawaan Ka Bojh Par Raha Hai.
41
Ya Un Ke Paas Ghaib Ka
Ilm Hai Ke Wo Usse Likh Lete Hain.
42
Kia Ye Koi Daaow Karna
Chahte Hain Toh Kafir Toh Khud Daaow Main Aane Wale Hain.
43
Kia Khuda Ke Siwa Un
Ka Koi Aur Maabood Hai? Khuda Un Ke Shareek Banane Se Paak Hai.
44
Aur Agar Ye Aasmaan Se
Azaab Ka Koi Tukra Girta Hua Daikhain Toh Kahain Ke Ye Gaarha Baadal Hai.
45
Pas Un Ko Chor Do,
Yahan Tak Ke Wo Roz, Jis Main, Wo Be Hosh Kar Diye Jaye Ge,Samane Aa Jaye.
46
Jis Din Un Ka Koi Daaow
Khuch Bhi Kaam Na Aye Aur Na Un Ko Kahin Se Madad Hi Mile.
47
Aur Zaalimoun Ke Liye
Is Ke Siwa Aur Azaab Bhi Hain, Lekin Un Main Ke Aksar Nahi Jaante.
48
Aur Tum Apne
Parwardigar Ke Hukum Ke Intizar Main Sabar Kiye Raho. Tum Toh Hamri Aankhoun Ke
Saamne Ho Aur Jab Utha Karo, Toh Apne Parwardigar Ki Tareef Ke Sath Tasbeeh Kia
Karo.
49
Aur Raat Ke Baaz Ouqaat
Main Bhi Aur Sitaaroun Ke Gharoob Hone Ke Baad Main Bhi Us Ki Tanziya Kia Karo.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!