Tuesday, 19 April 2016

50-Soorah-Qaaf-aayaat-45



Soorah-Qaaf

Aayaat-45

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Qaaf. Quraan Majeed Ki Qasam Ke Muhammad S.A.W. Paigambar-E-Khuda Hain.

2
Lekin Un Lougon Ne Taajub Kia Ke Un Hi Main Se Aik Hidayat Karne Wala Un Ke Paas Aaya,  Toh Kafir Kehne Lage Ke Ye Baat Toh Bari Ajeeb Hai.

3
Bhala Jab Ham Mar Gaye Aur Matti Ho Gaye, Toh Phir Zinda Hounge? Ye Zinda Hona Aqal Se Baeed Hai.

4
Un Ke Jismoun Ko Zameen, Jitna Kha Kha Kar Kam Karti Jati Hai Hamain Maloom Hai. Aur Hamare Pas Tehriri(Written) Yaad Daasht Bhi Hai.

5
Balke Ajeeb Baat Ye Hai Ke Jab Un Ke Paas Deen-E-Haq Aa Pohoncha Toh Unhoun Ne Us Ko Jhoot Samajha, So Ye Aik Uljhi Hui Baat Main Par Rahe Hain.

6
Kia Un Houn Ne Apne Oopar Aasmaan Ki Taraf Nigaah Nahi Ki, Ke Ham Ne Us Ko Kion Kar Banaya Aur Kion Kar Sajaya Aur Us Main Kahin Shagaaf Tak Nahi.

7
Aur Zameen Ko Daikho Isse Ham Ne Phailaya Aur Is Main Pahaar Rakh Diye Aur Is Main Har Tarha Ki Khushnuma Cheezain Ugaayen.

8
Taa-Ake Rujoo Laane Wale Bande Hidayat Aur Naseehat Hasil Karain.

9
Aur Aasmaan Se Barkat Wala Paani Utaara Aur Us Se Baagh-O-Bustaan Ugaaye Aur Khaiti Ka Anaaj.

10
Aur Lambi Lambi Khajoorain, Jin Ke Gaabha Tae Ba Tae Hota Hai.

11
Ye Sab Kuch Bandoun Ko Rozi Dene Ke Liye Kia Hai Aur Us Paani Se Ham Ne Sheher-E-Murda, Yaani Zameeen-e-Uftaada Ko Zinda Kia.Bas Issi Tarha Qiamat Ke Roz Nikal Parna Hai.

12
Un Se Pehle Nooh Ki Qoum Aur Koonwain Wale Aur Samood Jhutla Chuke Hain.

13
Aur Aad Aur Firown Aur Loot Ke Bhai.

14
Aur Ban Ke Rehne Wale Aur Tubbaa Ki Qoum. Gharz Un Sab Ne Paigambaroun Ko Jhutlaya, Toh Hamari Waeed Bhi Poori Ho Kar Rahi.

15
Kia Ham Pehli Baar Paida Kar Ke Thak Gaye The ? Nahi.  Balke Ye Az Sar-E-Nou Paida Karne Main Shak Main Pare Hue Hain.


16
Aur Ham Hi Ne Insaan Ko Paida Kia Hai Aur Joh Khaylaat Us Ke Dil Main Guzarte Hain Ham Un Ko Jaante Hain. Aur Ham Us Ki Rag Jaan Se Bhi Usse Ziada Qareeb Hain.

17
Jab Wo Koi Kaam Karta Hai, Toh Do Likhne Wale Joh Daayen Baayen Baithte Hain, Likh Lete Hain.

18
Koi Baat Us Ki Zabaan Par Nahi Aati, Magar Aik Nigeehbaan Us Ke Paas Taiyaar Rehta Hai.

19
Aur Mout Ki Be Hoshi Haqeeqat Kholne Ko Taari Ho Gai. Ae Insaan Ye Hi Wo Halat Hai Jis Se Tu Bhaagta Tha.

20
Aur Soor Phooonkha Jaye Ga. Ye Hi Azab Ki Waeed Ka Din Hai.

21
Aur Har Shakhs Hamare Saamne Aaye Ga. Aik Farishta Us Ke Sath Chalaane Wala Hoga Aur Aik Us Ke Amaloun Ki Gawahi Dene Wala.

22
Ye Wo Din Hai Ke Is Se Tu  Ghafil Ho Raha Tha .
Ab Ham Ne Tujh Par
Se Parda Utha Dia.Toh Aaj Teri Nigaah Taiz Hai.

23
Aur Us Ka Ham Nasheen Farishta Kahe Ga Ke Ye Aamaal Naama Mere Paas Hazir Hai.

24
Hukum Hoga Ke Har Sarkash Na Shukre Ko Dozakh Main Dal Do.

25
Joh Maal Main Bukhal Karne Wala,  Had Se Barhne Wala Shube Nikaalne Wala Tha.

26
Jis Ne Khuda Ke Sath Aur Maabood Muqarrar Kar Rakhe The. Toh Us Ko Sakht Azaab Main Daal Do.

27
Us Ka Sathi Shaitaan Kahe Ga, Ke Ae Hamare Pawardigar Main Ne Is Ko Gumraah Nahi Kia Tha, Balke Ye Aap Hi Raste Se Door Bhatka Hua Tha.

28
Khuda Kahe Ga Ke Hamare Huzoor Main Radd-o-Kadd Na Karo. Ham Tumhare Paas Pehle Hi Azaab Ki Waeed Bhaij Chuke The.

29
Hamare Haan Baat Badla Nahi Karti Aur Ham, Bandoun Par Zulm Nahi Kia Karte.

30
Us Din Ham Dozakh Se Poochain Ge, Ke Kia Tu Bhar Gai?  Wo Kahe Gi Ke Kuch Aur Bhi Hai?

31
Aur Behshat Parhaizgaaroun Ke Qareeb Kar Di Jaye Gi Ke Mutlaq Door Na Hogi.

32
Ye Hi Wo Cheez Hai Jis Ka Tum Se Waada Kia Jata Tha, Yaani Har Rujoo Laane Wale, Hifazat Karne Wale Se.

33
Joh Khuda Se Bin Daikhe Darta Raha Aur Rujoo Laane Wala Dil Le Kar Aaya.

34
Is Main Salamti Ke Sath Dakhil Ho Jaao. Ye Hamesha Rehne Ka Din Hai.

35
Wahan Wo Joh Chahain Ge Un Ke Liye Hazir Hai Aur Hamare Haan Aur Bhi Bohot Kuch Hai.

36
Aur Ham Ne Un Se Pehle Kaiee Ummatain Halaak Kar Daaleen.Wo Un Se Quwwat Main Kahin Barh Kar Theen, Wo Shehroun Main Gasht Karne Lage. Kia Kahin Bhaagne Ki Jaga Hai?

37
Joh Shakhs Dil Aagah Rakhta Hai, Ya Dil Se Mutawajoh Ho Kar Sunta Hai, Us Ke Liye Is Main Naseehat Hai.

38
Aur Ham Ne Aasmanaoun Aur Zameen Ko Aur Joh Makhlooqaat In Main Se Hain Sab Ko Che (6) Dinn Man Bana Dia. Aur Ham Ko Zara Bhi Takaan Na Hui.

39
Toh Joh Kuch Ye Kuffar Bakte Hain, Us Par Sabar Karo Aur Aaftaab Ke Tuloo Hone Se Pehle Aur Us Ke Gharoob Hone Se Pehle Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Raho.

40
Aur Raat Ke Baaz Ouqaat Main Bhi Aur Namaaz Ke Baad Bhi Us Ke Naam Ki Tanzee Kia Karo.

41
Aur Suno, Jis Din Pukaarne Wale Nazdeek Ki Jaga Se Pukare Ga.

42
Jis Din Loug , Cheekh Yaqeenan Sunn Lainge. Wo Hi Nikal Parne Ka Din Hai.
43
Ham Hi Toh Zinda Karte Hain Aur Ham Hi Maarte Hain Aur Hamare Hi Paas Lout Kar Aana Hai.

44
Us Din Zameen Un Par Se Path Jaye Gi Aur Wo Jhat Pat Nikal Khare Hougne.Ye Jama Karna Hamain Asaan Hai.

45
Ye Loug Joh Kuch Kehte Hain, Hamain Khoob Maloom Hai Aur Tum Un Par Zabardasti Karne Wale Nahi Ho. Pas Joh Hamare Azaab Ki Waeed Se Dare Us Ko Quraan Se Naseehat Karte Raho.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!