Soorah-Al-Hujuraat
Aayaat-18
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Momino! Kisi Baat Ke Jawab Main Khuda Aur Us Ke Rasool Se Pehle
Na Bol Utha Karo Aur Khuda Se Darte Raho. Be Shak Khuda Sunta Jaanta Hai.
2
Ae Ehl-E-Eemaan! Apni
Awaazain Paigambar Ki Awaz Se Oonchi Na Karo Aur Jis Tarha Apas Main, Aik
Doosre Se Zor Se Bolte Ho, Us Tarha Un Ke Ru Baru Zor Se Na Bola Karo, Aisa Na Ho Ke Tumhare Aamal Zaaya Ho Jaye Aur
Tumko Khabar Bhi Na Ho.
3
Joh Loug Paigambar-E-Khuda
Ke Saamne Dabi Awaaz Se Bolte Hain Khuda Ne Un Ke Dil Taqwa Ke Liye Aazmaa Liye
Hain. Un Ke Liye Bakhshih Aur Ajar-E-Azeem Hai.
4
Joh Loug Tumko Hujroun
Ke Bahir Se Awaaz Dete Hain, Un Main Aksar Be Aqal Hain.
5
Aur Agar Wo Sabar Kiye
Rehte, Yahan Tak Ke Tum Khud Nikal Kar Un Ke Paas Aate, Toh Ye
Un Ke Liye Behtar Tha. Aur Khuda Toh Bakhshne Wala Meherbaan Hai.
6
Momino! Agar Koi
Badkirdar Tumhare Paas Koi Khabar Le Kar Aaye Toh Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo
Mubada Ke Kisi Qoum Ko Nadaani Se Nuqsaan Pohoncha Do. Phir Tum Ko Apne Kiye
Par Nadim Hona Pare.
7
Aur Jaan Rakho, Ke Tum
Main Khuda Ke Paigambar S.A.W. Hain. Agar Bohot Si Baatoun Main, Wo Tumhara
Kaha Maan Liya Karain Toh Tum Maushkil Main Par Jao, Lekin Khuda Ne Tum Ko Eemaan Azeez Bana Dia,
Aur Us Ko Tumhare Dilouin Main Saja Dia Aur Kufur Aur Gunnah Aur Na Farmaani Se
Tum Ko Baizaar Kar Dia. Ye Hi Loug Raah-E-Hidayat Par Hain.
8
Yaani Khuda Ke Fazal
Aur Ehsaan Se. Aur Khuda Jaan-Ne Wala Hikmat Wala Hai.
9
Aur Agar Mominoun Main
Se Koi Do Fareeq Apas Main Lar Parain, Toh Un Main Sulah Kara Do. Aur Agar Aik
Fareeq Doosre Par Ziaadti Kare Toh Ziadti Karne Wale Se Laro, Yahan Tak Ke Wo
Khuda Ke Hukum Ki Taraf Rujoo Laye. Pass Jab Wo Rujoo Laye Toh Dono Fareeq Main
Mushawrat Ke Sath Sulah Kara Do Aur Insaaf Se Kaam Lo. Ke Khdua Insaaf Karne
Walon Ko Pasand Karta Hai.
10
Momin Toh Apas Main
Bhai Bhai Hain.Toh Apne Do Bhaiyoun Main Sulah Kara Dia Karo. Aur Khuda Se
Darte Raho Taa-Ake Tum Par Rehmat Ki Jaye.
11
Momino! Koi Qoum Kisi
Qoum Se Tammskhurr Na Kare Mumkin Hai Ke Wo Loug Unse Behtar Houn Aur Na
Aurtain Arutoun Se Tamaskhur Karain, Mumkin Hai Ke Wo Un Se Achi Houn. Aur Apne
Momin Bhai Ko Aib Na Lagao Aur Na Aik Doosre Ka Bura Naam Rakho. Eemaan Laane
Ke Baad Bura Naam Rakhna Gunnah Hai. Aur Joh Touba Na Karain Wo Zalim Hain.
12
Ae Ehl-E-Eemaan! Bohot
Gumaan Karne Se Aitarraaz Karo Ke Baaz Gumaan Gunnah Hain. Aur Aik Doosre Ke
Haal Ka Tajjassus Na Kia Karo Aur Na Koi Kisi Ki Gheebat Kare. Kia Tum Main Se
Koi Is Baat Ko Pasand Kare Ga Ke Apne Mare Hue Bhai Ka Gosht Khaye? Is Se Toh
Tum Zaroor Nafart Karo Ge. Toh Gheebat Na Karo Aur Khuda Ka Dar Rakho, Be Shak
Khuda Touba Qabool Karne Wala Meherbaan Hai.
13
Lougo! Ham Ne Tumko
Aik Mard Aur Aik Aurat Se Paida Kia Aur Tumhari Qoumain Aur Qabeele Banaye. Taa-Ake
Aik Doosre Ko Shanakht Karo. Aur Khuda Ke Nazdeek Tum Main Ziada Izat Wala Wo
Hai, Joh Ziada Parhaizgaar Hai. Be Shak Khuda Sab Kuch Jaan-Ne Wala Aur Sab Se
Khabardar Hai.
14
Dehaati Kehte Hain Ke
Ham Eemaan Le Aaye. Keh Do Ke Tum Eemaan Nahi Laye, Balke Youn Kaho Ke Ham Islam
Laaye Hain Aur Eemaan Toh Hanooz Tumhare Diloun Main Dakhil Hi Nahi Hua. Aur
Tum Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardari Karo Ge, Toh Khuda Tumhare Aamal Se
Kuch Kam Nahi Kare Ga. Be Shak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.
15
Momin Toh Wo Hain, Joh
Khuda Aur Us Ke Rasool Par Eemaan Laaye Phir Shak Main Na Pare Aur Khuda Ki
Raah Main Mal Aur Jaan Se Lare. Ye Hi Loug Eemaan Ke Sache Hain.
16
Un Se Kaho Kia Tum Khuda Ko Apni Deendaari Jatlaate
Ho, Aur Khuda Toh Aasmaanoun Aur Zameen Ki Sab Cheezoun Se Waqif Hai, Aur Khuda
Har Shea Ko Jaanta Hai.
17
Ye Loug Tum Par Ehsaan
Rakhte Hain Ke Musalmaan Ho Gaye Hain. Keh Do Ke Apne Musalmaan Hone Ka Mujh
Par Ehsaan Na Rakho. Balke Khuda Tum Par Ehsaan Rakhta Hai Ke Is Ne Tumhain
Eemaan Ka Rasta Dikhaya Bashart Ye Ke Tum Sache Musalmaan Ho.
18
Be Shak Khuda
Asmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Baatuon Ko Janta Hai Aur Joh Kuch Tum Karte Ho
Usse Daikhta Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!