Friday, 22 April 2016

49-Sooarh-Hujraat-Aayat-18




Soorah-Al-Hujuraat

Aayaat-18

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Momino! Kisi Baat Ke Jawab Main Khuda Aur Us Ke Rasool Se Pehle Na Bol Utha Karo Aur Khuda Se Darte Raho. Be Shak Khuda Sunta Jaanta Hai.

2
Ae Ehl-E-Eemaan! Apni Awaazain Paigambar Ki Awaz Se Oonchi Na Karo Aur Jis Tarha Apas Main, Aik Doosre Se Zor Se Bolte Ho, Us Tarha Un Ke Ru Baru Zor Se Na Bola Karo,  Aisa Na Ho Ke Tumhare Aamal Zaaya Ho Jaye Aur Tumko Khabar Bhi Na Ho.

3
Joh Loug Paigambar-E-Khuda Ke Saamne Dabi Awaaz Se Bolte Hain Khuda Ne Un Ke Dil Taqwa Ke Liye Aazmaa Liye Hain. Un Ke Liye Bakhshih Aur Ajar-E-Azeem Hai.

4
Joh Loug Tumko Hujroun Ke Bahir Se Awaaz Dete Hain, Un Main Aksar Be Aqal Hain.

5
Aur Agar Wo Sabar Kiye Rehte,  Yahan Tak  Ke Tum Khud Nikal Kar Un Ke Paas Aate, Toh Ye Un Ke Liye Behtar Tha. Aur Khuda Toh Bakhshne Wala Meherbaan Hai.




6
Momino! Agar Koi Badkirdar Tumhare Paas Koi Khabar Le Kar Aaye Toh Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Mubada Ke Kisi Qoum Ko Nadaani Se Nuqsaan Pohoncha Do. Phir Tum Ko Apne Kiye Par Nadim Hona Pare.

7
Aur Jaan Rakho, Ke Tum Main Khuda Ke Paigambar S.A.W. Hain. Agar Bohot Si Baatoun Main, Wo Tumhara Kaha Maan Liya Karain Toh Tum Maushkil Main Par Jao,  Lekin Khuda Ne Tum Ko Eemaan Azeez Bana Dia, Aur Us Ko Tumhare Dilouin Main Saja Dia Aur Kufur Aur Gunnah Aur Na Farmaani Se Tum Ko Baizaar Kar Dia. Ye Hi Loug Raah-E-Hidayat Par Hain.

8
Yaani Khuda Ke Fazal Aur Ehsaan Se. Aur Khuda Jaan-Ne Wala Hikmat Wala Hai.

9
Aur Agar Mominoun Main Se Koi Do Fareeq Apas Main Lar Parain, Toh Un Main Sulah Kara Do. Aur Agar Aik Fareeq Doosre Par Ziaadti Kare Toh Ziadti Karne Wale Se Laro, Yahan Tak Ke Wo Khuda Ke Hukum Ki Taraf Rujoo Laye. Pass Jab Wo Rujoo Laye Toh Dono Fareeq Main Mushawrat Ke Sath Sulah Kara Do Aur Insaaf Se Kaam Lo. Ke Khdua Insaaf Karne Walon Ko Pasand Karta Hai.

10
Momin Toh Apas Main Bhai Bhai Hain.Toh Apne Do Bhaiyoun Main Sulah Kara Dia Karo. Aur Khuda Se Darte Raho Taa-Ake Tum Par Rehmat Ki Jaye.






11
Momino! Koi Qoum Kisi Qoum Se Tammskhurr Na Kare Mumkin Hai Ke Wo Loug Unse Behtar Houn Aur Na Aurtain Arutoun Se Tamaskhur Karain, Mumkin Hai Ke Wo Un Se Achi Houn. Aur Apne Momin Bhai Ko Aib Na Lagao Aur Na Aik Doosre Ka Bura Naam Rakho. Eemaan Laane Ke Baad Bura Naam Rakhna Gunnah Hai. Aur Joh Touba Na Karain Wo Zalim Hain.

12
Ae Ehl-E-Eemaan! Bohot Gumaan Karne Se Aitarraaz Karo Ke Baaz Gumaan Gunnah Hain. Aur Aik Doosre Ke Haal Ka Tajjassus Na Kia Karo Aur Na Koi Kisi Ki Gheebat Kare. Kia Tum Main Se Koi Is Baat Ko Pasand Kare Ga Ke Apne Mare Hue Bhai Ka Gosht Khaye? Is Se Toh Tum Zaroor Nafart Karo Ge. Toh Gheebat Na Karo Aur Khuda Ka Dar Rakho, Be Shak Khuda Touba Qabool Karne Wala Meherbaan Hai.

13
Lougo! Ham Ne Tumko Aik Mard Aur Aik Aurat Se Paida Kia Aur Tumhari Qoumain Aur Qabeele Banaye. Taa-Ake Aik Doosre Ko Shanakht Karo. Aur Khuda Ke Nazdeek Tum Main Ziada Izat Wala Wo Hai, Joh Ziada Parhaizgaar Hai. Be Shak Khuda Sab Kuch Jaan-Ne Wala Aur Sab Se Khabardar Hai.

14
Dehaati Kehte Hain Ke Ham Eemaan Le Aaye. Keh Do Ke Tum Eemaan Nahi Laye, Balke Youn Kaho Ke Ham Islam Laaye Hain Aur Eemaan Toh Hanooz Tumhare Diloun Main Dakhil Hi Nahi Hua. Aur Tum Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardari Karo Ge, Toh Khuda Tumhare Aamal Se Kuch Kam Nahi Kare Ga. Be Shak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

15
Momin Toh Wo Hain, Joh Khuda Aur Us Ke Rasool Par Eemaan Laaye Phir Shak Main Na Pare Aur Khuda Ki Raah Main Mal Aur Jaan Se Lare. Ye Hi Loug Eemaan Ke Sache Hain.

16
Un Se  Kaho Kia Tum Khuda Ko Apni Deendaari Jatlaate Ho, Aur Khuda Toh Aasmaanoun Aur Zameen Ki Sab Cheezoun Se Waqif Hai, Aur Khuda Har Shea Ko Jaanta Hai.

17
Ye Loug Tum Par Ehsaan Rakhte Hain Ke Musalmaan Ho Gaye Hain. Keh Do Ke Apne Musalmaan Hone Ka Mujh Par Ehsaan Na Rakho. Balke Khuda Tum Par Ehsaan Rakhta Hai Ke Is Ne Tumhain Eemaan Ka Rasta Dikhaya Bashart Ye Ke Tum Sache Musalmaan Ho.

18
Be Shak Khuda Asmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Baatuon Ko Janta Hai Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Usse Daikhta Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!