Soorah-Al-Jumma
Aayaat-11
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Joh Cheez Aasmanaoun
Main Hai Aur Joh Cheez Zameen Main Hai Sab Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai, Joh Baadshah-E-Haqeeqi Paak Zaat, Zabardast
Hikmat Wala Hai.
2
Wo Hi Toh Hai, Jis Ne An Parhoun Main, Un Hi Main Se Muhammad
S.A.W. Ko Paigambar Bana Kar Bhaija, Joh Un Ke Saamne Us Ki Aayatain Parhte Aur
Un Ko Paak Karte Aur Khuda Ki Kitaab Aur Daanayee Sikhate Hain. Aur Is Se Pehle
Toh Ye Loug Sareeh Gumrahi Main The.
3
Aur Un Main Se
Aur Lougon Ki Taraf Bhi Un Ko Bhaija Hai
Joh Abhi, Un Musalmaanoun Se Nahi Mile. Aur Wo Galib Hikmat Wala Hai.
4
Ye Khuda Ka Fazal Hai
Jisse Chahta Hai Ata Karta Hai. Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.
5
Jin Lougon Ke Sar Par
Touraat Ladwayee Gai, Phir Unhoun Ne Us
Ke (Baar-E-Taameel) Ko Na Uthaya, Un Ki Misaal Gadhe Ki Si Hai Jis Par Bari
Bari Kitabain Ladi Houn. Joh Loug Khuda Ki Aayatoun Ki Takzeeb Karte Hain, Un
Ki Misaal Buri Hai. Aur Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
6
Keh Do Ke Ae Yahood
Agar Tum Ko Daawa Ho, Ke Tum Hi Khuda Ke Dost Ho Aur Aur Loug Nahi, Toh Agar
Tum Sachhe Ho Toh Zara Mout Ki Aarzoo Toh Karo.
7
Aur Ye Un Aamaal Ke
Sabab Joh Kar Chuke Hain, Har Gizz Is Ki Aarzoo Nahi Karainge. Aur Khuda
Zaalimoun Se Khoob Waqif Hai.
8
Keh Do Ke Mout, Jis Se
Tum Guraiz Karte Ho, Wo Toh Tumhare Saamne Aa Kar Rahe Gi, Phir Tum Posheeda Aur Zhair Ke Jaan-Ne Wale,
Khuda Ki Taraf Loutaye Jao Ge, Phir Joh Joh Kuch Tum Karte Rahe Ho, Wo Tumhain
Sab Bataye Ga.
9
Momino! Jab Jumme Ke
Din Namaaz Ke Liye Azaan Di Jaye Toh Khuda Ki Yaad, Yani Namaz Ke Liye Jaldi Karo Aur
Khareed-O-Farokht Tark Kar Do. Agar Samajho Toh Ye Tumhare Haq Main Behtar Hai.
10
Phir Jab Namaaz Ho
Chuke Toh Apni Apni Raah Lo Aur Khuda Ka Fazal Talash Karo Aur Khuda Ko Bohot
Bohot Yaad Karte Rahoo Taa-Ake Nijaat Pao.
11
Aur Jab Ye Loug Soda
Bikta Ya Tamasha Hota Daikhte Hain, Toh Udhar Bhaag Jate Hain Aur Tumhain Khare
Ka Khara Chor Jate Hian. Keh Do Ke Joh Cheez Khuda Ke Haan Hai, Wo Tamashe Aur
Sode Se Kahin Behtar Hai Aur Khuda Sab Se Behtar Rizqq Dene Wala Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!