Tuesday, 19 April 2016

62-Soorah-al-Jumma-Aayaat-11




Soorah-Al-Jumma

Aayaat-11

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Joh Cheez Aasmanaoun Main Hai Aur Joh Cheez Zameen Main Hai Sab Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai,  Joh Baadshah-E-Haqeeqi Paak Zaat, Zabardast Hikmat Wala Hai.

2
Wo Hi Toh Hai,  Jis Ne An Parhoun Main, Un Hi Main Se Muhammad S.A.W. Ko Paigambar Bana Kar Bhaija, Joh Un Ke Saamne Us Ki Aayatain Parhte Aur Un Ko Paak Karte Aur Khuda Ki Kitaab Aur Daanayee Sikhate Hain. Aur Is Se Pehle Toh Ye Loug Sareeh Gumrahi Main The.

3
Aur Un Main Se Aur  Lougon Ki Taraf Bhi Un Ko Bhaija Hai Joh Abhi, Un Musalmaanoun Se Nahi Mile. Aur Wo Galib Hikmat Wala Hai.

4
Ye Khuda Ka Fazal Hai Jisse Chahta Hai Ata Karta Hai. Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.

5
Jin Lougon Ke Sar Par Touraat Ladwayee Gai,  Phir Unhoun Ne Us Ke (Baar-E-Taameel) Ko Na Uthaya, Un Ki Misaal Gadhe Ki Si Hai Jis Par Bari Bari Kitabain Ladi Houn. Joh Loug Khuda Ki Aayatoun Ki Takzeeb Karte Hain, Un Ki Misaal Buri Hai. Aur Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.

6
Keh Do Ke Ae Yahood Agar Tum Ko Daawa Ho, Ke Tum Hi Khuda Ke Dost Ho Aur Aur Loug Nahi, Toh Agar Tum Sachhe Ho Toh Zara Mout Ki Aarzoo Toh Karo.

7
Aur Ye Un Aamaal Ke Sabab Joh Kar Chuke Hain, Har Gizz Is Ki Aarzoo Nahi Karainge. Aur Khuda Zaalimoun Se Khoob Waqif Hai.

8
Keh Do Ke Mout, Jis Se Tum Guraiz Karte Ho, Wo Toh Tumhare Saamne Aa Kar Rahe Gi,  Phir Tum Posheeda Aur Zhair Ke Jaan-Ne Wale, Khuda Ki Taraf Loutaye Jao Ge, Phir Joh Joh Kuch Tum Karte Rahe Ho, Wo Tumhain Sab Bataye Ga.

9
Momino! Jab Jumme Ke Din Namaaz Ke Liye Azaan Di Jaye Toh Khuda Ki Yaad,  Yani Namaz Ke Liye Jaldi Karo Aur Khareed-O-Farokht Tark Kar Do. Agar Samajho Toh Ye Tumhare Haq Main Behtar Hai.

10
Phir Jab Namaaz Ho Chuke Toh Apni Apni Raah Lo Aur Khuda Ka Fazal Talash Karo Aur Khuda Ko Bohot Bohot Yaad Karte Rahoo Taa-Ake Nijaat Pao.

11
Aur Jab Ye Loug Soda Bikta Ya Tamasha Hota Daikhte Hain, Toh Udhar Bhaag Jate Hain Aur Tumhain Khare Ka Khara Chor Jate Hian. Keh Do Ke Joh Cheez Khuda Ke Haan Hai, Wo Tamashe Aur Sode Se Kahin Behtar Hai Aur Khuda Sab Se Behtar Rizqq Dene Wala Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!