Soorah-Al-Hashr
Aayaat-24
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmaane Wala Hai.
1
Joh Cheezain Aasmanoun
Main Hain Aur Jo Cheezain Zameen Main Hain Sab Khuda Ki Tasbeeh Karti Hain. Aur
Wo Ghalib Hikmat Wala Hai.
2
Wo Hi Toh Hai Jis Ne
Kuffar-E-Ehl-E-Kitab Ko Hasher-E-Awwal Ke Waqt, Un Ke Gharoun Se Nikaal Dia. Tumhare
Khayal Main Bhi Na Tha Ke Wo Nikal Jaye Ge Aur Wo Loug Ye Samajhe Hue The, Ke
Un Ke Qille Un Ko Khuda Ke Azaab Se Bacha Lainge. Magar Khuda Ne Un Ko Wahan Se
Aa Liya Jahan Se Un Ko Gumaan Bhi Na Tha. Aur Un Ke Diloun Main Dehshat Daal Di,
Ke Apne Gharoun Ko Khud Apne Hathoun Aur Mominoun Ke Haathoun Se Ujaarne Lage
Toh Ae Baseerat Ki Aankhain Rakhne Walo Ibrat Pakro.
3
Aur Agar Khuda Ne Un
Ke Baare Main Jala Watan Karna Na Likh Rakha Hota, Toh Un Ko Dunia Main Bhi
Azaab De Deta. Aur Aakhrat Main Toh Un Ke Liye Aagg Ka Azaab Taiyaar Hai.
4
Ye Is Liye Ke Unhoun
Ne Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Mukhalfat Ki .Aur Joh Shakhs Khuda Ki Mukhlfat
Kare, Toh Khuda Sakht Azaab Dene Wala Hai.
5
Momino Khajoor Ke Joh
Darakht Tum Ne Kaat Dale Ya Un Ko Apni Jaroun Par Khara Rehne Dia, So Khuda Ke
Hukum Se Tha Aur Maqsood Ye Tha Ke Wo Nafarmaanoun Ko Ruswa Kare.
6
Aur Joh Maal Khuda Ne
Apne Paigmabar Ko Un Lougon Se Larayee Bhirayee Ke Bagair Dilwaya Hai, Us Mian
Tumhara Kuch Haq Nahi Kion Ke Is Ke Liye Na Tum Ne Ghore(Hourses) Doraye Na
Oont Lekin Khuda Apne Paigambaroun Ko Jin Par Chahta Hai Musallat Kar Deta Hai.
Aur Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.
7
Joh Maal Khuda Ne Apne
Paigambar Ko Dehaat Walon Se Dilwaya Hai, Wo Khuda Ke Aur Paighamar Ke Aur Paighambar
Ke Qaraabat Walon Ke Aur Yateemoun Ke Aur Haajat Mandoun Ke Aur Musafiroun Ke
Liye Hain. Taa-Ake Joh Lug Tum Main Dolat Mand Hain Un Hi Ke Hathoun Main Na
Phirta Rahe. So Joh Cheez Tum Ko Paighambar Dain Wo Le Lo. Aur Jis Se Mana
Karian Us Se Baaz Raho. Aur Khuda Se Darte Raho. Be Shak Khuda Sakht Azaab Dene
Wala Hai.
8
Aur Un
Muflisaan-E-Taarruk-Ul-Watan Ke Liye Bhi Joh Apne Gharoun Aur Maaloun Se Kharij
Aur Juda Kar Diye Gaye Hain Aur Khuda Ke Fazal Aur Us Ki Khusnoodi Ke Talabgar
Aur Khuda Aur Us Ke Paigambar Ke Madad Gaar Hain. Ye Hi Loug Sachhe Eemaadaar
Hain.
9
Aur Un Lougon Ke Liye
Bhi, Joh Mohaajreen Se Pehle Hijrat Ke Ghar, Yaani Madeene Main Muqeem Aur Eemaan
Main Mustaqil Rahe Aur Joh Loug Hijrat Kar Ke Un Ke Paas Aate Hain, Un Se Mohabbat
Karte Hain Aur Joh Kuch Un Ko Mila Us Se Apne Dil Main Kuch Khuahish Aur
Khalish Nahi Paate Aur Un Ko Apni Jaanoun Se Muqqaddam Rakhte Hain, Khuah Un Ko
Khud Ehtiyaaj Hi Ho. Aur Joh Shakhs Hirss-E-Nafs Se Bacha Liya Gaya Toh Aise Hi
Loug Muraad Paane Wale Hain.
10
Aur Un Ke Liye Bhi Joh
Un Mohaajreen Ke Baad Aaye Aur Dua Karte Hain, Ke Ae Parwardigar Hamare Aur
Hamare Bhaiyoun Ke Joh Ham Se Pehle Eemaan Laaye HainM Gunnah Moaaf Farma Aur
Mominoun Ki Taraf Se Hamare Dil Main Keena-O-Hasad Na Paida Hone De. Ae Hamare
Parwardigar Tu Bara Shafqat Karne Wala Meherbaan Hai.
11
Kia Tum Ne Un
Munafiqoun Ko Nahi Daikha Joh Apne Kafir Bhaiyoun Se Joh Ehle-E-Kitaab Hain
Kaha Karte Hain, Ke Agar Tum Jala Watan Kiye Gaye, Toh Ham Bhi Tumhare Sath
Nikal Chalain Ge Aur Tumhare Bare Main Kabhi Kisi Ka Kaha Na Manain Ge. Aur
Agar Tum Se Jang Hui Toh Tumhari Madad Karainge. Magar Khuda Zahir Kiye Deta
Hai Ke Ye Jhoote Hain.
12
Agar Wo Nikaale Gaye,
Toh Un Ke Sath Nahi Nikaalain Ge. Aur Agar Un Se Jung Hui Toh Un Ki Madad Nahi
Karainge. Aur Agar Madad Karainge Toh Peeth Phair Kar Bhaag Jayen Ge. Phir Un
Ko Kahin Se Bhi Madad Na Mile Gi.
13
Musalmano! Tumhari Haibat
Un Lougon Ke Dilouh Main Khuda Se Bhi Barh Kar Hai. Ye Isliye Ke Ye Samajh Nahi
Rakhte.
14
Ye Sab Jama Ho Kar Bhi
Tum Se Bill Mawajah Nahi Lar Sakain Ge Mager Bastiyoun Ke Qiloun Main, Panah Le
Kar, Ya Deewaroun Ki Aout Main Mastoor
Ho Kar, Un Ka Apas Main Bara Roab Hai. Tum Shayad Khayal Karte Ho Ke Ye Ikkhatte
Aur Aik Jaan Hain Magar Un Ke Dil Phate Hue Hain Ye Isliye Ke Ye Be Aqal Loug
Hain.
15
Un Ka Haal Un Lougon
Ka Sa Hai, Joh Un Se Kuch Hi Paishtar Apne Kaamoun Ki Saza Ka Mazah Chakh Chuke
Hain. Aur Abhi Un Ke Liye Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Hai.
16
Munafiqoun Ki Misaal
Shaitaan Ki Si Hai, Ke Insaan Se Kehta Raha Ke Kafir Ho Ja. Jab Wo Kafir Ho
Gaya Toh Kehne Laga Ke Mujhe Tujh Se Kuch Sarokaar Nahi. Mujhe Ko Toh Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen
Se Dar Lagta Hai.
17
Toh Dono Ka Anjaam Ye
Hua, Ke Dono Dozakh Main Daakhil Hue Hamesha Us Main Rahain Ge. Aur Be
Insaafoun Ki Ye Hi Saza Hai.
18
Ae Eemaan Walo! Khuda Se
Darte Raho Aur Har Shakhs Ko Daikhna Chahiye, Ke Un Se Kal, Yaani Fardaye
Qiamat Ke Liye, Kia Samaan Bhaija Hai Aur Ham Phir Kehte Hain Ke Khuda Se Darte
Raho, Be Shak Khuda Tumhare Sab Aamal Se Khabardaar Hai.
19
Aur un Lougn Jaise Na
Hona, Jinhoun Ne Khuda Ko Bhula Dia Toh Khuda Ne Unhain Aisa Kar Dia, Ke Khud
Apne Taiyeen(Themselves) Bhool Gaye. Ye Bad Kirdaar Loug Hain.
20
Ehl-E-Dozakh Aur
Ehl-E-Behshat Barabar Nah. Ehl-E-Behshat Toh Kaamyabi Hasil Karne Wale Hain.
21
Agar Ham, Ye Quraan
Kisi Pahaar Par Nazil Karte, Toh Tum Us Ko Daikhte Ke Khuda Ke Khof Se Daba Aur
Phata Jata Hai. Aur Ye Baatain Ham Lougon Ke Liye Bayan Karte Hain, Taa-Ake Wo
Ghour Karain.
22
Wo Hi Khuda Hai, Jis
Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Posheeda Aur Zahir Ka Jaan-Ne Wala Wo Bara Meherbaan
Nihayat Rehem Wala Hai.
23
Wo Hi Khuda Hai Jis Ke
Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi. Baadshahe Haqeeqi, Paak Zaat, Har Aib Se,
Salamti Aman Dene Wala, Nigehbaan Gaalib Zabardast Barai Wala. Khuda Un Lougn
Ke Shareek Muqarrar Karne Se Paak Hai.
24
Wo Hi Khuda Tamaam
Makhlooqaat Ka Khaliq. Eejaad-O-Iktiraa Karne Wala, Sooratain Banaane Wala, Us
Ke Sab Ache Se Ache Naam Hain. Jitni Cheezian Aasmaanoun Aur Zameen Main Hain
Sab Us Ki Tasbeeh Karti Hain Aur Wo Galib Hikmat Wala Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!