Soorah-Al-Fath
Aayaat-29
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Muhammad S.A.W. Ham
Ne Tum Ko Fatah Di.Fatah Bhi Sareeh-O-Saaf.
2
Taa-Ake Khuda Tumhare
Agle Aur Pichle Gunnah Bakhsh De Aur Tum Par Apni Naimat Poori Kar De Aur Tum
Ko Seedhe Raste Chalaye.
3
Aur Khuda Tumhari
Zabardast Madad Kare.
4
Wo Toh Hai Jis Ne
Mominoun Ke Diloun Par Tasaali Nazil Farmayee Taa-Ake, Un Ke Eemaan Ke Sath Aur
Eemaan Barhe. Aur Aasmanaoun Aur Zameen Ke Lashkar Sab Khuda Hi Ke Hain Aur
Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
5
Ye Isliye Ke Wo Momin
Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Behshatoun Main, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi
Hain, Dakhil Kare, Wo Us Main Hamesha Rahainge Aur Un Se Un Ke Gunahoun Ko Door
Kar De. Aur Ye Khuda Ke Nazdeek Bari Kaambyabi Hai.
6
Aur Is Liye Ke Munafiq
Mardoun Aur Munafiq Aurton Aur Mushrik Mardoun Aur Mushrik Aurtoun Ko, Joh
Khuda Ke Haq Main Bure Bure Khayal Rakhte Hain Azaab De. Un Hi Par Bure Haadse
Waaqe Houn. Aur Khuda Un Par Ghusse Hua Aur Un Par Laanat Ki Aur Un Ke Liye
Dozakh Taiyaar Ki. Aur Wo Buri Jaga Hai.
7
Aur Aasmanaoun Aur
Zameen Ke Lashkar Khuda Hi Ke Hain. Aur Khuda Ghaalib Aur Hikmat Wala Hai.
8
Aur Ham Ne Ae Muhammam
S.A.W. Tumko Haq Zahir Karne Wala Aur Khushkhabri Sunane Wala Aur Khof Dilane
Wala Bana Kar Bhaija Hai.
9
Taa-Ake Musalmano Tum
Loug Khuda Par Aur Us Ke Paighamar Par Eemaan Laao Aur Us Ki Madad Karo Aur Us
Ko Buzurg Samjho. Aur Subh-O-Sham Us Ki Tasbeeh Karte Raho.
10
Joh Loug Tum Se Bait
Karte Hain, Wo Khuda Se Bait Karte Hain. Khuda Ka Hath Un Ke Hathoun Par Hai. Phir
Joh Ehed Ko Tore Toh Ehed Torne Ka Nuqsaan Ussi Ko Hai. Aur Joh Us Baat Ko Jis
Ka Us Ne Khuda Se Ehed Kia Hai, Poora Kare Toh Wo Usse Anqareeb Ajar-E-Azeem De
Ga.
11
Joh Ganwaar Peeche Rah
Gaye, Wo Tum Se Kahainge Ke Ham Ko Hamare Maal Aur Ehl-O-Ayaal Ne Rok Rakha,
Aap Hamare Liye Khuda Se Bakhshish Maangain. Ye Loug Apni Zaban Se Wo Baat
Kehte Hain, Joh Un Ke Dil Main Nahi Hai. Keh Do Ke Agar Khuda Tum Lougn Ko
Nuqsan Pohonchana Chahe, Ya Tumhain Faaida Pohonchane Ka Iraada Farmaye, Toh
Koun Hai Joh Uske Samne Tumhare Liye Kisi Baat Ka Kuch Ikhtiyaar Rakhe, Koi
Nahi Balke Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Us Se Waqif Hai.
12
Bat Ye Hai, Ke Tum
Loug Ye Samajh Baithe The Ke Paigamabar Aur Momin Apne Ehl-O-Ayaal Main Kabhi
Lout Kar Aane Hi Ke Nahi. Aur Ye Hi Baat Tumhare Diloun Ko Achi Maloom Hui. Aur
Issi Waja Se Tum Ne Bure Bure Khayal Kiye Aur Aakhir Kaar Tum Halakat Main Par
Gaye.
13
Aur Joh Shaks Khuda
Par Aur Us Ke Paigambar Par Eemaan Na Laye Toh Ham Ne Aise Kafiroun Ke Liye Aag
Taiyaar Kar Rakhi Hai.
14
Aur Aasmaanoun Aur
Zmaeen Ki Baadshahi Khuda Ki Hi Hai. Wo Jisse Chahe Bakhshe Aur Jisse Chahe
Saza De. Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
15
Jab Tum Loug
Ganeematain Lene Chalo Ge, Toh Joh Loug Peeche Reh Gaye The, Wo Kahainge Hamain
Bhi Ijazat Dijiye Ke Aap Ke Sath Chalain. Ye Chahte Hain Ke Khuda Ke Qoul Ko
Badal Dain. Keh Do Ke Tum Har Gizz Hamare Sath Nahi Chal Sakte. Issi Tarha
Khuda Ne Pehle Se Farma Dia Hai. Phir Kahain Ge Nahi Tum Toh Ham Se Hasad Karte
Ho. Baat Ye Hai Ke Ye Loug Smajhte Hi Nahi Magar Bohot Kam.
16
Joh Ganwar Peeche Reh
Gaye The Un Se Keh Do Ke Tum Jald Aik Sakht Jang Joo Qoum Ke Sath Laraaye Ke
Liye Bulaye Jao Ge, Un Se Tum Ya Toh
Jang Karte Raho Ge Ya Wo Islam Le Aaye Ge. Agar Tum Hukum Mano Ge
Toh Khuda Tumko, Acha
Badla De Ga. Aur Agar Moonh Phair Loge
Jaise Pehli Dafa Phaira Tha, Toh Wo Tum Ko Buri Takleef Ki Saza De Ga.
17
Na Toh Andhe Par
Gunnah Hai, Ke Safar-E-Jang Se Peeche Reh Jaye Aur Na Langre Par Gunnah Hai Aur
Na Bimaar Par Gunnah Hai. Aur Joh Shaksh Khuda Aur Us Ke Paigambar Ke Farman
Par Chale Ga Khuda Us Ko Behshatoun Main Dakhil Kare Ga, Jin Ke Tale Nehrain Beh Rahi Hain. Aur Joh Roo
Gardaani Kare Ga Usse Bure Dukh Ki Saza De Ga.
18
Ae Paigamabar S.A.W.
Jab Momin Tum Se Darakht Ke Neeche Bait Kar Rahe The Toh Khuda Un Se Khush
Hua.Aur Joh Sidq-O-Khaloos Un Ke Diloun Main Tha, Wo Us Ne Maalom Kar Liya. Toh
Un Par Tassalli Nazil Farmayee Aur Unhain Jald Fatah Inayat Ki.
19
Aur Bohot Si Ganaeematain
Joh Unhoun Ne Hasil Keen. Aur Khuda Galib Hikmat Wala Hai.
20
Khuda Ne Tum Se Bohot
Si Ganeematoun Ka Waada Farmaya Hai Ke Tum Un Ko Hasil Karo Ge, So Us Ne
Ganeemat Ki Tumhare Liye Jaldi Farmayee Aur Lougon Ke Hath Tum Se Rok Diye. Gharz
Ye Thi Ke Ye Mominoun Ke Liye Khuda Ki Qudrat Ka Namoona Ho Aur Wo Tum Ko
Seedhe Raste Par Chalaye.
21
Aur Ghaneematain Dee ,
Jin Par Tum Qudrat Nahi Rakhte The Aur Wo Khuda Hi Ki Qudrat Main Theen. Aur
Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
22
Aur Agar Tum Se Kafir
Larte Toh Peeth Phair Kar Bhaag Jate Phir Kisi Ko Dost Na Paate Aur Na
Madadgaar.
23
Ye Hi Khuda Ki Aadat
Hai Joh Pehle Se Chali Aati Hai. Aur Tum Khuda Ki Aadat Kabhi Badalti Na Daikho
Ge.
24
Aur Wo Hi Toh Hai Jis
Ne Tum Ko Un Kaafiroun Par Fateh Yaab Karne Ke Baad, Sarhad-E-Makkah Main, Un Ke
Hath Tum Se Aur Tumahre Hath Un Se Rok Diye. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Un
Ko Daikh Raha Hai.
25
Ye Wo Hi Loug Hain.
Jinhoun Ne Kufur Kia Aur Tum Ko Masjid-E-Haram Se Rok Dia Aur Qurbaaniyoun Ko
Bhi, Ke Apni Jaga Pohonchne Se Ruki Rahain. Aur Agar Aise Musalmaan Mard Aur
Musalmaan Aurtain Na Hoteen, Jin Ko Tum Jaante Na The, Ke Agar Tum Un Ko
Paamaal Kar Dete, Toh Tum Ko Un Ki Taraf Se Be Khabri Main Nuqsan Pohonch Jata.
Toh Bhi Tumhare Hath Se Fatha Ho Jati, Magar Takheer Isliye Hui, Ke Khuda Apni
Rehmat Main Jis Ko Chahe Dakhil Kar Le. Aur Agar Dono Fareeq Alag Alag Ho Jate
Toh Joh Un Main Kafir The Un Ko Ham Dukh Dene Wala Azaab Dete.
26
Jab Kafiroun Ne Apne
Diloun Main Zidd Ki Aur Zidd Bhi Jahaliyat Ki. Toh Khuda Ne Apne Paigambar Aur
Mominoun Par Apni Taraf Se Taskeen Nazil Farmaye Aur Un Ko Parhaizgaari Ki Bat
Par Qaaim Rakha Aur Wo Ussi Ke Mustahiq Aur Ehel The. Aur Khuda Har Cheez Se
Khabardar Hai.
27
Be Shak Khuda Ne Apne
Paigamar Ko Sacha Aur Saheeh Khuab Dikhaya. Ke Tum, Khuda Ne Chaha Toh
Masjid-E-Haram Main Apne Sar Mundwa Kar Aur Apne Baal Katarwa Kar Aman-O-Aman
Se Dakhil Hoge. Aur Kisi Tarha Ka Khof Na Karo Ge. Joh Baat Tum Nahi Jante The
Us Ko Maloom Thi, So Us Ne Us Se Pehle Hi Jald Fatah Kara Di.
28
Wo Hi Toh Hai Jis Ne
Apne Paigambar Ko Hidayat Ki Kitaab Aur Deen-E-Haq De Kar Bhaija, Taa-Ake Us Ko
Tamaam Deenoun Par Ghalib Kare. Aur Haqq Zahir Karne Ke Liye Khuda Hi Kafi Hai.
29
Muhammad S.A.W. Khuda
Ke Paigamabar Hain, Aur Joh Loug Un Ke Sath Hain Wo Kafiroun Ke Haq Main Sakht
Hain Aur Apas Main Rehem Dil , Ae Daikhne Wale Tu Un Ko Daikhta Hai, Ke Khuda
Ke Aage Jhuke Hue Sar Ba Sajood Hain Aur Khuda Ke Fazal Aur Us Ki Khushnoodi
Talab Kar Rahe Hain. Kasrat-E-Sajood Ke Asar Se Un Ki Paishaniyoun Par Nishaan
Pare Hue Hain. Un Ke Ye Hi Ausaaf Tourat Main Marqoom Hain. Aur Ye Hi Ousaaf
Injeel Main Hain. Wo Goya Aik Khaiti Hain, Jis Ne Pehle Zameen Se Apni Sooi
Nikali Phir Us Ko Mazboot Kia, Phir Moti Hui Aur Phir Apni Naal Par Seedhi
Khari Ho Gai Aur Lagi Khaiti Waloun Ko Khush Karne, Taa-Ake Kafiroun Ka Jee
Jalaye. Joh Log Un Main Se Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe, Un Se Khuda Ne
Gunahoun Ki Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Ka Waada Kia Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!