Soorah-Munafiqoon
Aayaat-11
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Muhammad S.A.W. Jab
Munafiq Loug Tumhare Paas Aate Hain Toh Az Raah-E-Nifaaq, Kehte Hain, Ke Ham
Iqraar Karte Hain, Ke Aap Be Shak Khuda Ke Paigambar Hain Aur Khuda Jaanta Hai
Ke Dar Haqeeqat Tum Us Ke Paigambar Ho, Lekin Khuda Zahir Kiye Deta Hai, Ke Munafiq Dil Se Aitqaad Na Rakhain Ke Is Lehaaz
Se Jhoote Hain.
2
Unhoun Ne Apni Qasmoun
Ko Dhaal Bana Rakha Hai Aur Un Ke Zariye Se Lougon Ko Raah-E-Khuda Se Rok Rahe
Hain. Kuch Shak Nahi Ke Joh Kaam Ye Kartre Hain Bure Hain.
3
Ye Isliye Ke Ye Pehle
Toh Eemaan Laaye Phir Kafir Ho Gaye, Toh
Un Ke Diloun Par Mohor Laga Di Gai, Sou
Ab Ye Samajhte Hi Nahi.
4
Aur Jab Tum Un Ke
Tanasub-E-Aazaa Ko Daikhte Ho, Toh Un Ke Jism Tumhain Kia Hi Ache Maloom Hote
Hain. Aur Jab Wo Guftugoo Karte Hain Toh Tum Un Ki Taqreeer Ko Tawajoh Se Sunte
Ho Goya Larkriyaan Hain, Joh Deewar Se
Lagayee Gai Hain. Buzdil Asie Ke Har Zor Ki Awaz Ko Samajhain Ke Un Par Bala
Ayee. Ye Tumhare Dushaman Hain Un Se Be Khof Na Rehna. Khuda Unko Halaak Kare. Ye
Kahan Behke Phirte Hain.
4
Aur Jab In Se Kaha
Jaye Ke Aao Rasool-E-Khuda Tumahre Liye Maghfirat Maangain, Toh Sar Hila Dete Hain Aur Tum Un Ko Daikho Ke
Takkbur Karte Hue Moonh Phair Lete Hain.
6
Tum Un Ke Liye
Maghfirat Mango Ya Na Maango, Un Ke Haq Main Barabar Hai. Khuda Un Ko Har Gizz
Na Bakhshe Ga. Be Shak Khuda Nafarmaan Lougon Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
7
Ye Hi Hain Joh Kehte
Hain Ke Joh Loug Rasool-E-Khuda Ke Paas Rehte Hain, Un Par Kuch Kharch Na Karo.
Yayhan Tak Ke Ye Khud Bakhud Bhaag Jayen. Halanke Aasmaanoun Aur Zameen Ke Khazaane Khuda Hi Ke Hain, Lekin
Munanfiq Nahi Samjhte.
8
Kehte Hain Ke Agar Ham
Lout Kar Madeena Pohonche, Toh Izzat Wale, Zaleel Lougon Ko Wahan Se Nikaal
Bahar Karainge. Halanke Izzat Khuda Ki Hai Aur Us Ke Rasool Ki Aur Mominoun Ki
Lekin Munaafiq Nahi Jaante.
9
Momino! Tumahra Maal
Aur Aulad Tum Ko Khuda Ki Yaad Se Ghafil Na Kar De. Aur Joh Aisa Kare Ga Toh Wo
Loug Khasare Uthane Wale Hain.
10
Aur Joh Maal Ham Ne
Tum Ko Dia Hai, Us Main Se Us Waqt Se Paishtar Kharch Kar Lo, Ke Tum Main Se
Kisi Ki Mout Aa Jaye, Toh Us Waqt Kehne Lage Ke Ae Mere Parwardigar Tu Ne Mujhe
Thori Si Aur Mohlat Kion Na Di, Taa-Ake Main Khairaat Kar Leta Aur Naik Lougon
Main Dakhil Ho Jata.
11
Aur Jab Kisi Ki Mout
Aa Jati Hai Toh Khuda Us Ko Har Gizz Mohlat Nahi Deta Aur Joh Kuch Tum Karte Ho
Khuda Us Se Khabardar Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!