Friday, 22 April 2016

40-Soorah-Ghafir-Aayaat-85



Soorah-Ghafir

Aayaat-85

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Haa Meem.

2
Is Kitaab Ka Utaara Jana, Khuda-E-Galib-O-Dana Ki Taraf Se Hai.

3
Joh Gunnah Bakhashne Wala Aur Touba Qabool Karne Wala Aur Sakht Azaab Dene Wala Aur Sahib-E-Karam Hai.Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi.Ussi Ki Taraf Phir Kar Jaana Hai.

4
Khuda Ki Aayatoun Main Wo Hi Loug Jhagarte Hain Joh Kafir Hain.Toh Un Lougon Ka Sheheroun Main Chalna Pairna Tumhain Dhoke Main Na Daal De.

5
Un Se Pehle Nooh Ki Qoum Aur Un Ke Baad Aur Ummatoun Ne Bhi Paigambaroun Ki Takzeeb Ki. Aur Har Ummat Ne Apne Paigambar Ke Bare Main Ye Hi Qasad Ki Ke Us Ko Pakar Lain Aur Behoooda Shubhaat Se Jhagarte Rahe, Ke Us Se Haq Ko Zaail Kar Dain, Toh Main Ne Un Ko Pakar Liya So Daikh Lo Mera Azaab Kaisa Hua.

6
Aur Issi Tarha Kaafiroun Ke Bare Main Bhi Tumhare Parwardigar Ki Baat Poori Ho Chuki Hai, Ke Wo Ehl-E-Dozakh Hain.



7
Joh Loug Arsh Ke Uthaaye Hue Aur Joh Us Ke Gird-A-Girrd Halqa Baandhe Hue Hain Yaani Farishte, Wo Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Rehte Hain Aus Us Ke Sath Eemaan Rakhte Hain Aur Mominoun Ke Liye Bakhshish Maangte Rehte Hain. Ke Ae Hamare Parwardigar Teri  Rehmat Aur Tera Ilm Har Cheez Ko Ahaata Kiye Hue Hai, Toh Jin Lougon Ne Touba Ki Aur Tere Raste Par Chale, Un Ko Bakhshish De Aur Doakh Ke Azaab Se Bacha Le.

8
Ae Hamare Parwardigar Un Ko Hamesha Rehne Ki Behshatoun Main Dakhil Kar, Jin Ka Tu Ne Un Se Waada Kia Hai Aur Jon Un Ke Baap Dada Aur Un Ki Biwiyoun Aur In Ki Aulaad Main Se Naik Houn Un Ko Bhi. Be Shak Tu Gaalib-E-Hikmat Wala Hai.

9
Aur Un Ko Azaaboun Se Bachye Rakh. Aur Jis Ko Tu Us Roz Azaaboun Se Bacha Le Ga Toh Be Shak Us Par Meherbaani Farmayee Aur Ye Hi Bari Kaamyabi Hai.

10
Jin Lougon Ne Kufur Kia Un Se Pukar Kar Keh Dia Jaye Ga, Ke Jab Tum Dunia Mian Eemaan Ki Taraf Bulaye Jate The Aur Maante Nahi The Toh Khuda Is Se Kahin Ziada Baizaar Hota Tha Jis Qadar Tum Apne Aap Se Baizaar Ho Rahe Ho.

11
Wo Kahain Ge Ke Ae Hamare Parwardigar, Tu Ne Ham Ko Do Dafa Be Jaan Kia Aur Do Dafa Jaan Bakhshi. Ham Ko Apne Gunaahoun Ka Iqraar Hai Toh Kia Nikalne Ki Koi Sabeel Hai?

12
Ye Is Liye Ke Jab Tanha Khuda Ko Pukara Jata Tha, Toh Tum Inkaar Kar Dete The. Aur Agar Us Ke Sath Shareek Muqarrar Kia Jata Tha Toh Tasleem Kar Lete The, Toh Hukum Toh Khuda Hi Ka Hai Joh Sab Se Oopar Aur Sab Se Bara Hai.

13
Wo Hi Toh Hai Jon Tum Ko Apni Nishaniyan Dikhata Hai Aur Tum Par Aasmaan Se Rizq Utaarta Hai. Aur Naseehat Toh Wo Hi Pakarta Hai, Joh Us Ki Taraf Rujoo Karta Hai.

14
Toh Khuda Ki Ibadat Ko Khalis Kar, Kar Ussi Ko Pukaro Agarcha Kaafir Bura Hi Maanain.

15
Wo Malik Darjaat Aali Aur Sahib-E-Arsh Hai. Apne Bandoun Main Jis Par Chahta Hai Apne Hukum Se Wahi Bahijta Hai, Taa-Ake Mulaqaat Ke Din Se Darawe.

16
Jis Roz Wo Nikal Parain Ge, Un Ki Koi Cheez Khuda Se Makhfi Na Rahe Gi. Aaj Kis Ki Baadshahat Hai? Khuda Ki Joh Akaila Aur Galib Hai.

17
Aaj Ke Din Har Shakhs Ko Us Ke Aamaal Ka Badla Dia Jaye Ga.Aaj Kisi Ke Haq Main Be Insafi Nahi Hogi. Be Shak Khuda Jald Hisaab Lene Wala Hai.

18
Aur Un Ko Qareeb Aane Wale Din Se Daraow,  Jab Ke Dil Gham Se Bhar Kar Galoun Tak Aa Rahe Hougne. Aur Zaalimoun Ka Koi Dost Nahi Hoga Aur Na Sifarshi Jis Ki Baat Qabool Ki Jaye.

19
Wo Aankhoun Ki Khayanat Ko Jaanta Hai Aur Joh Baatian Seenoun Main Posheeda Hain Un Ko Bhi.

20
Aur Khuda Sachayee Ke Sath Hukum Fermata Hai Aur Jin Ko Ye Loug Pukarte Hain Wo Kuch Bhi Hukum Nahi De Sakte. Be Shak Khuda Sunn-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.
21
Kia Unhoun Ne Zameen Main Sair Nahi Ki, Taa-Ake Daikh Lete Ke Joh Loug Un Se Pehle The, Un Ka Anjaam Kaisa Hua. Wo Un Se Zour Aur Zameen Main Nishanaat Banane Ke Lehaz Se Kahin Barh Kar The, Toh Khuda Ne Un Ko Un Ke Gunahoun Ke Sabab Pakar Liya. Aur Un Ko Khuda Ke Azab Se Koi Bhi Bachane Wala Na Tha.

22
Ye Is Liye Ke Un Ke Paas Paigamabar Khuli Daleelain Laate The Toh Ye Kufur Karte The, So Khuda Ne Un Ko Pakar Liya. Be Shak Wo Sahib-E-Quwwat Aur Sakht Azaab Dene Wala Hai.

23
Aur Ham Ne Moosa Ko Apni Nishaaniyan Aur Daleel-E-Roshan De Kar Bhaija.

24
Yaani Firown, Aur Hamaan Aur Qaroon Ki Taraf, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ye Toh Jadugar Hai Jhoota.

25
Gharz Jab Wo Un Ke Paas, Hamari Taraf Se Haq Le Kar Pohonche Toh Kehne Lage Ke Joh Loug Is Ke Sath Khuda Par Eemaan Laaye Hain Un Ke Baitoun Ko Qatal Kar Do Aur Baitiyoun Ko Rehne Do. Aur Kaafiroun Ki Tadbeerain Be Thikane Hoti Hain.

26
Aur Firown Bola Ke Mujhe Choro Ke Moosa Ko Qatal Kar Doon Aur Wo Apne Parwardigar Ko Bula Le. Mujhe Dar Hai Ke Wo Kahin Tumhare Deen Ko Na Badal De Ya Mulk Main Fisaad Na Paida Kar De.

27
Moosa Ne Kaha Ke Main Har Mutakkabir Se,  Joh Hisaab Ke Din Yaani Qiamat Par Eemaan Nahi Laata. Apne Aur Tumhare Parwardigar Ki,  Panah Le Chukka Hoon.

28
Aur Firown Ke Lougon Main Se Aik Momin Shakhs Joh Apne Eemaan Ko Posheeda Rakhta Tha,  Kehne Laga Kia Tum Asie Shaksh Ko Qatal Karna Chahte Ho Joh Kehta Hai Ke Mera Parwardigar Khuda Hai Aur Wo Tumhare Paas Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Nishaniyan Bhi Le Kar Ayaa Hai. Aur Agar Wo Jhoota Hoga Toh Us Ke Jhoot Ka Zarrar Ussi Ko Hoga. Aur Agar Sachha Hoga Toh Koi Sa Azaab Jis Ka Wo Tum Se Waada Karta Hai Tum Par Waaqe Ho Kar Rahe Ga. Be Shak Khuda Us Shaks Ko Hidayat Nahi Deta Joh Be Lehaaz Jhoota Hai.

29
Ae Qoum Aaj Tumhari Hi Baadshahat Hai Aur Tum Hi Mulk Main Ghalib Ho. Lekin Agar Ham Par Khuda Ka Azaab Aa Gaya, Toh Us Ke Door Karne Ke Liye  Hamari Madad Koun Kare Ga. Firwon Ne Kaha Main Tumhain Wo Hi Baat Samjhaata Hoon Joh Mujhe Soojhi Hai Aur Wo Hi Raah Batata Hoon Jis Main Bhalayee Hai.

30
Toh Jon Momin Tha Wo Kehne Laga Ke Ae Qoum Mujhe Tumhari Nisbat Khof Hai Ke Mubaada Tum Par Aur Ummatoun Ki Tarha Ke Din Ka Azaab Aa Jaye.

31
Yaani Nooh Ki Qoum Aur Aad Aur Samood Aur Joh Loug Un Ke Peeche Hue Hain Un Ke Haal Ki Tarha, Tumhara Haal Na Ho  Jaye Aur Khuda Toh Bandoun Par Zulm Karna Nahi Chahta.

32
Aur Ae Qoum!  Mujhe Tumhari Nisbat Pukaar Ke Din, Yaani Qiamat Ka Khof Hai.

33
Jis Din Tum Peeth Phair Kar Qiamat Ke Maidan Se Bhago Ge, Us Din Tum  Ko Koi Azab Khuda Se Bachane Wala Na Hoga. Aur Jis Shaks Ko Khuda Gumrah Kare, Us Ko Koi Hidayat Dene Wala Nahi.

34
Aur Pehle Yousuf Bhi Tumhare Paas Nishaniyan Le Kar Aaye The Toh Joh Wo Laaye The Us Se Tum Hamesha Shak Hi Main Rahe. Yahan Tak Ke Jab Wo Fout Ho Gaye Toh Tum Kehne Lage Ke Khuda Is Ke Baad Kabhi Koi Paigambar Nahi Bhaije Ga. Issi Tarha Khuda Us Shakh Ko Gumrah Kar Deta Hai Joh Had Se Nikal Jaane Wala Aur Shak Karne Wala Ho.

35
Joh Loug Baghair Is Ke Keh Un Ke Paas Koi Daleel Aaye Ho, Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte Hain. Khuda Ke Nazdeek Aur Mominoun Ke Nazdeek Jhagra Sakht Na Pasand Hai. Issi Tarha Khuda Har Muttakabir Sarkash Ke Dil Par Mohor Laga Deta Hai.

36
Aur Firown Ne Kaha Ke Hamaan, Mere Liye Aik Mehel Banaow, Taa-Ake Main Us Par Charh Kar Rastoun Par Pohonch Jaaon.

37
Yaani Aasmaanoun Ke Rastoun Par ,Phir Moosa Ke Khuda Ko Daikh Loon Aur Main Toh Usse Jhoota Samajhta Hoon. Aur Issi Tarha Firown Ko Us Ke Amaal-E-Badd Ache Maloom Hote The Aur Wo Raste Se Rok Dia Gaya Tha. Aur Firown Ki Tadbeer Toh Be Kaar The.

38
Aur Wo Shakhs Joh Momin Tha Us Ne Kaha Ke Bhaiyo Mere Peeche Chalo Main Tumhain Bhalayee Ka Rasta Dikhaoonga.

39
Bhaiyo Ye Dunia Ki Zindagi, Chand Roz Faaida Uthane Ki Cheez Hai. Aur Joh Aakhrat Hai Wo Hi Hamesha Rehne Ka Ghar Hai.





40
Joh Bure Kaam Kare Ga Us Ko Badla Bhi Waisa Hi Mile Ga. Aur Joh Naik Kaam Kare Ga, Mard Ho Ya Aurat Aur Wo Sahib-E-Eemaan Bhi Hoga, Toh Aise Loug Behshat Main Dakhil Hounge Wahan Un Ko Be Shumaar Rizq Mile Ga.

41
Aur Ae Qoum Mera  Kia Haal Hai Ke Main Toh Tum Ko Nijaat Ki Taraf  Bulata Hoon Aur Tum Mujhe Dozakh Ki Aag Ki Taraf Bulate Ho.

42
Tum Mujhe Is Liye Bulate Ho Ke Khuda Ke Sath Kufar Karoon Aur Us Cheez Ko Us Ka Shareek Muqarrar Karoon Jis Ka Mujhe Khch Bhi Ilm Nahi. Aur Main Tumko Khudaa-E-Galib Aur Bakhshne Wale Ki Taraf Bulata Hoon.

43
Sach Toh Ye Hai, Ke Jis Cheez Ki Taraf Tum Mujhe Bulate Ho, Us Ko Dunia Aur Aakhrat Main Bulane, Yaani Dua Qabool Karne Ka Maqdoor Nahi Aur Hamko Khuda Ki Taraf Loutna Hai Aur Had Se Nikal Jane Wale Dozakhi Hain.

44
Joh Baat Main Tum Se Kehta Hoon Tum Usse Aage Chal Kar Yaad Karo Ge. Aur Main Apna Kaam Khuda Ke Supurd Karta Hoon. Be Shak Khdua Bandoun Ko Daikhne Wala Hai.

45
Gharz Khuda Ne Moosa Ko Un Lougon Ki Tadbeeroun Ki Buraiyoun Se Mehfooz Rakha Aur Firown Waaloun Ko Bure Azaab Ne Aa Ghaira.

46
Yaani Aatish-E-Jahannum, Ke Subh-O-Sham Us Ke Saamne Paish Kiye Jate Hain. Aur Jis Roz Qiamat Barpa Ho Gi, Hukum Hoga Ke Firown Waloun Ko Sakht Azaab Main Dakhil Karo.
47
Aur Jab Wo Dozakh Main Jhagarian Ge, Toh Adna Darje Ke Loug Bare Aadmiyuoun Se Kahain Ge, Ke Ham Toh Tumhare Taabe The Toh Kia Tum Dozakh Ke Azaab Ka Kuch Hissa Ham Se Door Kar Sakte Ho?

48
Bare Admi Kahainge Ke, Tum Bhi Aur Ham Bhi Sab Dozakh Main Hain Khuda Bandoun Main Faisla Kar Chukka Hai.

49
Aur Joh Loug Aag Main Jall Rahe Houge, Wo Dozakh Ke Darogha Se Kahain Ge, Ke Apne Parwardigar Se Dua Karo, Ke Aik Roz Toh Ham Se Azaab Halka Kar De.

50
Wo Kahain Ge Ke Kia Tumhare Pas Tumhare Paigabamar Nishaniyan Le Kar Nahi Aye The. Wo Kahainge Kion Nahi, Toh Wo Kahainge Ke Tum Hi Dua Karo. Aur Kafiroun Ki Dua Us Roz Be Kaar Hogi.

51
Ham Apne Paighambaroun Ki Aur Joh Loug Eemaan Laaye Hain Un Ki Dunia Ki Zindaig Main Bhi Madad Karte Hain Aur Jis Din Gawah Khare Hounge Yaani Qiamat Ko Bhi.

52
Jis Din Zaalimoun Ko Un Ki Maazrat Kuch Faaida Na De Gi Aur Un Ke Liye Laanat Aur Bura Ghar Hai.

53
Aur Ham Ne Moosa Ko Hidayat Ki Kitaab Di Aur Bani Israail Ko Us Kitab Ka Wairs Banaya.

54
Aqal Waaloun Ke Liye Hidayat Aur Naseehat Hai.

55
Toh Sabar Karo Be Shak Khuda Ka Wada Sacha Hai Aur Apne Gunahoun Ki Moafi Mango Aur Subh-O-Sham Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Raho.

56
Joh Loug Baghair Kisi Daleel Ke, Joh Un Ke Pas Aayee Ho, Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte Hain, Un Ke Diloun Main Aur Kuch Nahi Iraada-E-Azmat Hai Aur Wo Us Ko Pohounchne Wale Nahi Toh Khuda Ki Panah Mango. Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.

57
Aasmanoun Aur Zameen Ka Paida Karna Lougon Ke Paida Karne Ki Nisbat Bara Kaam Hai, Lekin Aksar Loug Nahi Janate.

58
Aur Andha Aur Aankh Wala Barabar Nahi. Aur Na Eemaan Lane Wale Naiko Kaar Aur Na Bad Kaar Barabar Hain, Haqeeqat Ye Hai Ke Tum Bohot Kam Ghour Karte Ho.

59
Qiamat Toh Aane Wali Hai, Is Main Kuch Shak Nahi. Lekin Aksar Loug Eemaan Nahi Rakhte.

60
Aur Tumhare Parwardigar Ne Kaha Hai Ke Tum Mujh Se Dua Karo Main Tumhari Dua Qabool Karoonga. Joh Loug Meri Ibadat Se Azraah-E Takkaburr Kanyaate Hain. Anqareeb Jahannum Main Zaleel Ho Kar Daakhil Hounge.

61
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tumhare Liye Raat Banaye, Ke Us Main Araam Karo Aur Din Ko Roshan Banaya, Ke Us Main Kaam Karo, Be Shak Khuda Lougon Par Fazal Karne Wala Hai. Lekin Aksar Loug Shukar Nahi Karte.

62
Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar Hai, Joh Har Cheez Ka Paida Karne Wala Hai. Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Phir Tum Kahan Bhatak Rahe Ho?

63
Issi Tarha Wo Loug Bhatak Rahe The Joh Khuda Ki Aayatoun Se Inkaaar Karte The.

64
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Zameen Ko Tumhare Liye Theherne Ki Jaga Aur Aasmaan Ko Chhat Banaya Aur Tumhari Soortain Banayee Aur Sooratain Bhi Achi Banaai Aur Tumhain Paakeeza Cheezain Khane Ko Deen. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar-E-Aalam Bohot Hi Ba Barkat Hai.

65
Wo Zinda Hai Jisse Mout Nahi, Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi, Toh Us Ki Ibadat Ko Khalis Kar Kar Ussi Ko Pukaro. Har Tarha Ki Taareef Khuda Hi Ko Sazawaar Hai Joh Tamaam Jahan Ka Parwardigar Hai.

66
Ae Muhammad S.A.W. Un Se Keh Do Ke Mujhe Is Baat Ki Mumaniyat Ki Gai Hai Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho Un Ki Parastish Karoon Aur Main Us Ki Kion Kar Parastish Karoon Jab Ke Mere Pas Mere Parwardigar Ki Taraf Se Khuli Daleelain Aa Chuki Hain Aur Mujh Ko Hukum Ye Hua Hai Ke Parwardigar-E-Aalam Hi Ka Taabe Farmaan Hoon.

67
Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Pehle Matti Se Paida Kia. Phir Nutfa Bana Kar, Phir Lothra Bana Kar, Phir Tum Ko Nikaalta Hai Ke Tum Bache Hote Ho, Phir Tum Apni Jawani Ko Pohonchte Ho . Phir Boorhe Ho Jate Ho. Aur Koi Tum Main Se Pehle Hi Mar Jata Hai Aur Tum Mout Ke Waqt-E-Muqarrar Tak Pohonch Jate Ho Aur  Taa-Ake Tum Samajho.
68
Wo Hi Toh Hai Joh Jilata Hai Aur Maarta Hai. Phir Jab Wo Koi Kaam Karna Aur Kisi Ko Paida Karna Chahata Hai, Toh Us Se Keh Deta Hei Ke Ho Ja,  Toh Wo Ho Ho Jata Hai.

69
Kia Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha, Joh Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte Hain. Ye Kahan Bhatak Rahe Hain?

70
Jin Lougon Ne Kitaab-E-Khuda Ko Aur Joh Kuch Ham Ne Apne Paigambaroun Ko De Kar Bhaija, Us Ko Jhutlaya .Wo Anqareeb Maloom Kar Lainge.

71
Jab Ke Un Ki Gardanoun Main Touq Aur Zanjeerain Houngi Aur Ghaseete Jaaye Ge.

72
Yaani Kholte Hue Paani Main. Phir Aag Main Jhonk Diye Jayen Ge.

73
Phir Un Se Kaha Jaye Ga Ke Wo Kahan Hain Jin Ko Tum Khuda Ka Shareek Banate The.

74
Yaani Ghair Khuda Kahainge.  Ke Wo Toh Ham Se Jate Rahe Balke Ham Toh Pehle Kisi Cheez Ko Pukarte Hi Nahi The. Issi Tarha Khuda Kaafiroun Ko Gumrarh Karta Hai.

75
Ye Us Ka Badla Hai Ke Tum Zameen Main Haq Ke Baghair Yaani
Us Ke Khilaf Khush Hua Karte The Aur Us Ki Saza Hai Ke Itraaya Karte The.



76
Ab Jahannum Ke Darwazoun Main Dakhil Ho Jao. HameshaUssi Main Raho Ge. Mutakabiroun Ka Kia Bura Thikana Hai.

77
Toh Ae Paigambar S.A.W. Sabar Karo Khuda Ka Waada Sacha Hai. Agar Ham Toumko Kcuh Us Main Se Dikha Dain Jis Ka Ham Tum Se Waada Karte Hain. Yaani Kafiroun Par Azaab Nazil Karian Ya Tumhari Muddat-E-Hayat Poori Kar Dain Toh Un Ko Hamari Hi Taraf Lout Kar Ana Hai.

78
Aur Ham Ne Tum Se Pehle Bohot Se Paigambar Bhaije. Un Main Kuch Toh Aise Hain Jin Ke Halaat Tum Se Bayan Kar Diye Hain Aur Kuch Aise Hain Jin Ke Halat Bayan Nahi Kiye. Aur Kisi Paigamabar Ka Maqdoor Na Tha Ke Khuda Ke Hukum Ke Baghair Koi Nishani Laaye. Phir Jab Khuda Ka Hukum Aa Pohoncha Toh Insaaf Ke Sath Faisla Kar Dia Gaya Aur Ehl-E-Batil Nuqsaan Main Par Gaye.

79
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tumhare Liye Chaar Paaye Banay Taa-Ake Un Main Se Baaz Par Sawwar Ho Aur Baaz Ko Tum Khaate Ho.

80
Aur Tumhare Liye Un Main Aur Bhi Faaide Hain Aur Is Liye Bhi Ke Kahin Jaane Ki Tumhre Diloun Main Joh Hajat Ho, Un Par Charh Kar Wahan Pohounch Jao. Aur Un Par Aur Kashtiyoun Par Tum Sawar Hote Ho.

81
Aur Wo Tumhain Apni Nishaniyan Dikhata Hai, Toh Tum Khuda Ki Kin Kin Nishaniyoun Ko Mano Ge.



82
Kia Un Lougon Ne Zameen Main Sair Nai Ki Taa-Ke Daikhte Ke Joh Loug Un Se Pehle The Un Ka Anajam Kaisa Hua. Halanke Wo Un Se Kaheen Ziada Taqatwar Aur Zameen Main Nishanaat Banane Ke Aitbaar Se Bohot Barh Kar The. Toh Joh Kuch Wo Karte The Wo Un Ke Kuch Kaam Na Aaya.

83
Aur Jab Un Ke Paigambar Un Ke Paas Khuli Nishaniyan Le Kar Aaye, Toh Joh Ilm Apne Khayal Main Un Ke Pas Tha, Us Par Itraane Lage Aur Jis Cheez Se Tamaskhurr Kia Karte The Us Ne Un Ko Aa Ghaira.

84
Phir Jab Unhoun Ne Hamara Azaab Daikh Liya Toh Kehne Lage Ke Ham Khudaa-E-Wahid Par Eemaan Laaye Aur Jis Cheez Ko Us Ke Sath Shareek Banate The Us Se Na Motaqadd Hue.

85
Lekin Jab Wo Hamara Azaab Daikh Chuke Us Waqt Un Ke Eemaan Ne Un Ko Kuch Bhi Faida Na Dia.Ye Khuda Ki Aadat Hai Joh Us Ke Bandoun Ke Baare Mian Chali Aati Hai. Aur Wahan Kafir Ghaate Main Par Kar Reh Gaye.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!