Soorah-Ghafir
Aayaat-85
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Haa Meem.
2
Is Kitaab Ka Utaara
Jana, Khuda-E-Galib-O-Dana Ki Taraf Se Hai.
3
Joh Gunnah Bakhashne
Wala Aur Touba Qabool Karne Wala Aur Sakht Azaab Dene Wala Aur Sahib-E-Karam
Hai.Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi.Ussi Ki Taraf Phir Kar Jaana Hai.
4
Khuda Ki Aayatoun Main
Wo Hi Loug Jhagarte Hain Joh Kafir Hain.Toh Un Lougon Ka Sheheroun Main Chalna
Pairna Tumhain Dhoke Main Na Daal De.
5
Un Se Pehle Nooh Ki
Qoum Aur Un Ke Baad Aur Ummatoun Ne Bhi Paigambaroun Ki Takzeeb Ki. Aur Har
Ummat Ne Apne Paigambar Ke Bare Main Ye Hi Qasad Ki Ke Us Ko Pakar Lain Aur
Behoooda Shubhaat Se Jhagarte Rahe, Ke Us Se Haq Ko Zaail Kar Dain, Toh Main Ne
Un Ko Pakar Liya So Daikh Lo Mera Azaab Kaisa Hua.
6
Aur Issi Tarha
Kaafiroun Ke Bare Main Bhi Tumhare Parwardigar Ki Baat Poori Ho Chuki Hai, Ke
Wo Ehl-E-Dozakh Hain.
7
Joh Loug Arsh Ke
Uthaaye Hue Aur Joh Us Ke Gird-A-Girrd Halqa Baandhe Hue Hain Yaani Farishte,
Wo Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Rehte Hain Aus Us Ke Sath
Eemaan Rakhte Hain Aur Mominoun Ke Liye Bakhshish Maangte Rehte Hain. Ke Ae
Hamare Parwardigar Teri Rehmat Aur Tera
Ilm Har Cheez Ko Ahaata Kiye Hue Hai, Toh Jin Lougon Ne Touba Ki Aur Tere Raste
Par Chale, Un Ko Bakhshish De Aur Doakh Ke Azaab Se Bacha Le.
8
Ae Hamare Parwardigar
Un Ko Hamesha Rehne Ki Behshatoun Main Dakhil Kar, Jin Ka Tu Ne Un Se Waada Kia
Hai Aur Jon Un Ke Baap Dada Aur Un Ki Biwiyoun Aur In Ki Aulaad Main Se Naik
Houn Un Ko Bhi. Be Shak Tu Gaalib-E-Hikmat Wala Hai.
9
Aur Un Ko Azaaboun Se
Bachye Rakh. Aur Jis Ko Tu Us Roz Azaaboun Se Bacha Le Ga Toh Be Shak Us Par
Meherbaani Farmayee Aur Ye Hi Bari Kaamyabi Hai.
10
Jin Lougon Ne Kufur
Kia Un Se Pukar Kar Keh Dia Jaye Ga, Ke Jab Tum Dunia Mian Eemaan Ki Taraf
Bulaye Jate The Aur Maante Nahi The Toh Khuda Is Se Kahin Ziada Baizaar Hota
Tha Jis Qadar Tum Apne Aap Se Baizaar Ho Rahe Ho.
11
Wo Kahain Ge Ke Ae
Hamare Parwardigar, Tu Ne Ham Ko Do Dafa Be Jaan Kia Aur Do Dafa Jaan Bakhshi. Ham
Ko Apne Gunaahoun Ka Iqraar Hai Toh Kia Nikalne Ki Koi Sabeel Hai?
12
Ye Is Liye Ke Jab
Tanha Khuda Ko Pukara Jata Tha, Toh Tum Inkaar Kar Dete The. Aur Agar Us Ke
Sath Shareek Muqarrar Kia Jata Tha Toh Tasleem Kar Lete The, Toh Hukum Toh
Khuda Hi Ka Hai Joh Sab Se Oopar Aur Sab Se Bara Hai.
13
Wo Hi Toh Hai Jon Tum
Ko Apni Nishaniyan Dikhata Hai Aur Tum Par Aasmaan Se Rizq Utaarta Hai. Aur
Naseehat Toh Wo Hi Pakarta Hai, Joh Us Ki Taraf Rujoo Karta Hai.
14
Toh Khuda Ki Ibadat Ko
Khalis Kar, Kar Ussi Ko Pukaro Agarcha Kaafir Bura Hi Maanain.
15
Wo Malik Darjaat Aali
Aur Sahib-E-Arsh Hai. Apne Bandoun Main Jis Par Chahta Hai Apne Hukum Se Wahi
Bahijta Hai, Taa-Ake Mulaqaat Ke Din Se Darawe.
16
Jis Roz Wo Nikal
Parain Ge, Un Ki Koi Cheez Khuda Se Makhfi Na Rahe Gi. Aaj Kis Ki Baadshahat
Hai? Khuda Ki Joh Akaila Aur Galib Hai.
17
Aaj Ke Din Har Shakhs
Ko Us Ke Aamaal Ka Badla Dia Jaye Ga.Aaj Kisi Ke Haq Main
Be Insafi Nahi Hogi. Be Shak Khuda Jald Hisaab Lene Wala Hai.
18
Aur Un Ko Qareeb Aane
Wale Din Se Daraow, Jab Ke Dil Gham Se
Bhar Kar Galoun Tak Aa Rahe Hougne. Aur Zaalimoun Ka Koi Dost Nahi Hoga Aur Na
Sifarshi Jis Ki Baat Qabool Ki Jaye.
19
Wo Aankhoun Ki
Khayanat Ko Jaanta Hai Aur Joh Baatian Seenoun Main Posheeda Hain Un Ko Bhi.
20
Aur Khuda Sachayee Ke
Sath Hukum Fermata Hai Aur Jin Ko Ye Loug Pukarte Hain Wo Kuch Bhi Hukum Nahi
De Sakte. Be Shak Khuda Sunn-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.
21
Kia Unhoun Ne Zameen
Main Sair Nahi Ki, Taa-Ake Daikh Lete Ke Joh Loug Un Se Pehle The, Un Ka Anjaam
Kaisa Hua. Wo Un Se Zour Aur Zameen Main Nishanaat Banane Ke Lehaz Se Kahin
Barh Kar The, Toh Khuda Ne Un Ko Un Ke Gunahoun Ke Sabab Pakar Liya. Aur Un Ko
Khuda Ke Azab Se Koi Bhi Bachane Wala Na Tha.
22
Ye Is Liye Ke Un Ke
Paas Paigamabar Khuli Daleelain Laate The Toh Ye Kufur Karte The, So Khuda Ne Un
Ko Pakar Liya. Be Shak Wo Sahib-E-Quwwat Aur Sakht Azaab Dene Wala Hai.
23
Aur Ham Ne Moosa Ko
Apni Nishaaniyan Aur Daleel-E-Roshan De Kar Bhaija.
24
Yaani Firown, Aur
Hamaan Aur Qaroon Ki Taraf, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ye Toh Jadugar Hai Jhoota.
25
Gharz Jab Wo Un Ke
Paas, Hamari Taraf Se Haq Le Kar Pohonche Toh Kehne Lage Ke Joh Loug Is Ke Sath
Khuda Par Eemaan Laaye Hain Un Ke Baitoun Ko Qatal Kar Do Aur Baitiyoun Ko
Rehne Do. Aur Kaafiroun Ki Tadbeerain Be Thikane Hoti Hain.
26
Aur Firown Bola Ke
Mujhe Choro Ke Moosa Ko Qatal Kar Doon Aur Wo Apne Parwardigar Ko Bula Le. Mujhe
Dar Hai Ke Wo Kahin Tumhare Deen Ko Na Badal De Ya Mulk Main Fisaad Na Paida
Kar De.
27
Moosa Ne Kaha Ke Main
Har Mutakkabir Se, Joh Hisaab Ke Din
Yaani Qiamat Par Eemaan Nahi Laata. Apne Aur Tumhare Parwardigar Ki, Panah Le Chukka Hoon.
28
Aur Firown Ke Lougon
Main Se Aik Momin Shakhs Joh Apne Eemaan Ko Posheeda Rakhta Tha, Kehne Laga Kia Tum Asie Shaksh Ko Qatal Karna
Chahte Ho Joh Kehta Hai Ke Mera Parwardigar Khuda Hai Aur Wo Tumhare Paas
Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Nishaniyan Bhi Le Kar Ayaa Hai. Aur Agar Wo
Jhoota Hoga Toh Us Ke Jhoot Ka Zarrar Ussi Ko Hoga. Aur Agar Sachha Hoga Toh
Koi Sa Azaab Jis Ka Wo Tum Se Waada Karta Hai Tum Par Waaqe Ho Kar Rahe Ga. Be
Shak Khuda Us Shaks Ko Hidayat Nahi Deta Joh Be Lehaaz Jhoota Hai.
29
Ae Qoum Aaj Tumhari Hi
Baadshahat Hai Aur Tum Hi Mulk Main Ghalib Ho. Lekin Agar Ham Par Khuda Ka
Azaab Aa Gaya, Toh Us Ke Door Karne Ke Liye
Hamari Madad Koun Kare Ga. Firwon Ne Kaha Main Tumhain Wo Hi Baat
Samjhaata Hoon Joh Mujhe Soojhi Hai Aur Wo Hi Raah Batata Hoon Jis Main
Bhalayee Hai.
30
Toh Jon Momin Tha Wo
Kehne Laga Ke Ae Qoum Mujhe Tumhari Nisbat Khof Hai Ke Mubaada Tum Par Aur
Ummatoun Ki Tarha Ke Din Ka Azaab Aa Jaye.
31
Yaani Nooh Ki Qoum Aur
Aad Aur Samood Aur Joh Loug Un Ke Peeche Hue Hain Un Ke Haal Ki Tarha, Tumhara
Haal Na Ho Jaye Aur Khuda Toh Bandoun
Par Zulm Karna Nahi Chahta.
32
Aur Ae Qoum! Mujhe Tumhari Nisbat Pukaar Ke Din, Yaani
Qiamat Ka Khof Hai.
33
Jis Din Tum Peeth
Phair Kar Qiamat Ke Maidan Se Bhago Ge, Us Din Tum Ko Koi Azab Khuda Se Bachane Wala Na Hoga. Aur
Jis Shaks Ko Khuda Gumrah Kare, Us Ko Koi Hidayat Dene Wala Nahi.
34
Aur Pehle Yousuf Bhi
Tumhare Paas Nishaniyan Le Kar Aaye The Toh Joh Wo Laaye The Us Se Tum Hamesha
Shak Hi Main Rahe. Yahan Tak Ke Jab Wo Fout Ho Gaye Toh Tum Kehne Lage Ke Khuda
Is Ke Baad Kabhi Koi Paigambar Nahi Bhaije Ga. Issi Tarha Khuda Us Shakh Ko Gumrah
Kar Deta Hai Joh Had Se Nikal Jaane Wala Aur Shak Karne Wala Ho.
35
Joh Loug Baghair Is Ke
Keh Un Ke Paas Koi Daleel Aaye Ho, Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte Hain. Khuda
Ke Nazdeek Aur Mominoun Ke Nazdeek Jhagra Sakht Na Pasand Hai. Issi Tarha Khuda
Har Muttakabir Sarkash Ke Dil Par Mohor Laga Deta Hai.
36
Aur Firown Ne Kaha Ke
Hamaan, Mere Liye Aik Mehel Banaow, Taa-Ake Main Us Par Charh Kar Rastoun Par
Pohonch Jaaon.
37
Yaani Aasmaanoun Ke
Rastoun Par ,Phir Moosa Ke Khuda Ko Daikh Loon Aur Main Toh Usse Jhoota
Samajhta Hoon. Aur Issi Tarha Firown Ko Us Ke Amaal-E-Badd Ache Maloom Hote The
Aur Wo Raste Se Rok Dia Gaya Tha. Aur Firown Ki Tadbeer Toh Be Kaar The.
38
Aur Wo Shakhs Joh
Momin Tha Us Ne Kaha Ke Bhaiyo Mere Peeche Chalo Main Tumhain Bhalayee Ka Rasta
Dikhaoonga.
39
Bhaiyo Ye Dunia Ki
Zindagi, Chand Roz Faaida Uthane Ki Cheez Hai. Aur Joh Aakhrat Hai Wo Hi
Hamesha Rehne Ka Ghar Hai.
40
Joh Bure Kaam Kare Ga
Us Ko Badla Bhi Waisa Hi Mile Ga. Aur Joh Naik Kaam Kare Ga, Mard Ho Ya Aurat Aur
Wo Sahib-E-Eemaan Bhi Hoga, Toh Aise Loug Behshat Main Dakhil Hounge Wahan Un
Ko Be Shumaar Rizq Mile Ga.
41
Aur Ae Qoum Mera Kia Haal Hai Ke Main Toh Tum Ko Nijaat Ki
Taraf Bulata Hoon Aur Tum Mujhe Dozakh
Ki Aag Ki Taraf Bulate Ho.
42
Tum Mujhe Is Liye
Bulate Ho Ke Khuda Ke Sath Kufar Karoon Aur Us Cheez Ko Us Ka Shareek Muqarrar
Karoon Jis Ka Mujhe Khch Bhi Ilm Nahi. Aur Main Tumko Khudaa-E-Galib Aur
Bakhshne Wale Ki Taraf Bulata Hoon.
43
Sach Toh Ye Hai, Ke
Jis Cheez Ki Taraf Tum Mujhe Bulate Ho, Us Ko Dunia Aur Aakhrat Main Bulane,
Yaani Dua Qabool Karne Ka Maqdoor Nahi Aur Hamko Khuda Ki Taraf Loutna Hai Aur
Had Se Nikal Jane Wale Dozakhi Hain.
44
Joh Baat Main Tum Se
Kehta Hoon Tum Usse Aage Chal Kar Yaad Karo Ge. Aur Main Apna Kaam Khuda Ke Supurd
Karta Hoon. Be Shak Khdua Bandoun Ko Daikhne Wala Hai.
45
Gharz Khuda Ne Moosa
Ko Un Lougon Ki Tadbeeroun Ki Buraiyoun Se Mehfooz Rakha Aur Firown Waaloun Ko
Bure Azaab Ne Aa Ghaira.
46
Yaani Aatish-E-Jahannum,
Ke Subh-O-Sham Us Ke Saamne Paish Kiye Jate Hain. Aur Jis Roz Qiamat Barpa Ho
Gi, Hukum Hoga Ke Firown Waloun Ko Sakht Azaab Main Dakhil Karo.
47
Aur Jab Wo Dozakh Main
Jhagarian Ge, Toh Adna Darje Ke Loug Bare Aadmiyuoun Se Kahain Ge, Ke Ham Toh
Tumhare Taabe The Toh Kia Tum Dozakh Ke Azaab Ka Kuch Hissa Ham Se Door Kar
Sakte Ho?
48
Bare Admi Kahainge Ke,
Tum Bhi Aur Ham Bhi Sab Dozakh Main Hain Khuda Bandoun Main Faisla Kar Chukka
Hai.
49
Aur Joh Loug Aag Main
Jall Rahe Houge, Wo Dozakh Ke Darogha Se Kahain Ge, Ke Apne Parwardigar Se Dua Karo,
Ke Aik Roz Toh Ham Se Azaab Halka Kar De.
50
Wo Kahain Ge Ke Kia
Tumhare Pas Tumhare Paigabamar Nishaniyan Le Kar Nahi Aye The. Wo Kahainge Kion
Nahi, Toh Wo Kahainge Ke Tum Hi Dua Karo. Aur Kafiroun Ki Dua Us Roz Be Kaar
Hogi.
51
Ham Apne Paighambaroun
Ki Aur Joh Loug Eemaan Laaye Hain Un Ki Dunia Ki Zindaig Main Bhi Madad Karte
Hain Aur Jis Din Gawah Khare Hounge Yaani Qiamat Ko Bhi.
52
Jis Din Zaalimoun Ko
Un Ki Maazrat Kuch Faaida Na De Gi Aur Un Ke Liye Laanat Aur Bura Ghar Hai.
53
Aur Ham Ne Moosa Ko
Hidayat Ki Kitaab Di Aur Bani Israail Ko Us Kitab Ka Wairs Banaya.
54
Aqal Waaloun Ke Liye
Hidayat Aur Naseehat Hai.
55
Toh Sabar Karo Be Shak
Khuda Ka Wada Sacha Hai Aur Apne Gunahoun Ki Moafi Mango Aur Subh-O-Sham Apne
Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Raho.
56
Joh Loug Baghair Kisi
Daleel Ke, Joh Un Ke Pas Aayee Ho, Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte Hain, Un Ke
Diloun Main Aur Kuch Nahi Iraada-E-Azmat Hai Aur Wo Us Ko Pohounchne Wale Nahi
Toh Khuda Ki Panah Mango. Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.
57
Aasmanoun Aur Zameen
Ka Paida Karna Lougon Ke Paida Karne Ki Nisbat Bara Kaam Hai, Lekin Aksar Loug
Nahi Janate.
58
Aur Andha Aur Aankh
Wala Barabar Nahi. Aur Na Eemaan Lane Wale Naiko Kaar Aur Na Bad Kaar Barabar
Hain, Haqeeqat Ye Hai Ke Tum Bohot Kam Ghour Karte Ho.
59
Qiamat Toh Aane Wali
Hai, Is Main Kuch Shak Nahi. Lekin Aksar Loug Eemaan Nahi Rakhte.
60
Aur Tumhare
Parwardigar Ne Kaha Hai Ke Tum Mujh Se Dua Karo Main Tumhari Dua Qabool
Karoonga. Joh Loug Meri Ibadat Se Azraah-E Takkaburr Kanyaate Hain. Anqareeb
Jahannum Main Zaleel Ho Kar Daakhil Hounge.
61
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Tumhare Liye Raat Banaye, Ke Us Main Araam Karo Aur Din Ko Roshan Banaya, Ke
Us Main Kaam Karo, Be Shak Khuda Lougon Par Fazal Karne Wala Hai. Lekin Aksar
Loug Shukar Nahi Karte.
62
Ye Hi Khuda Tumhara
Parwardigar Hai, Joh Har Cheez Ka Paida Karne Wala Hai. Us Ke Siwa Koi Maabood
Nahi Phir Tum Kahan Bhatak Rahe Ho?
63
Issi Tarha Wo Loug
Bhatak Rahe The Joh Khuda Ki Aayatoun Se Inkaaar Karte The.
64
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Zameen Ko Tumhare Liye Theherne Ki Jaga Aur Aasmaan Ko Chhat Banaya Aur
Tumhari Soortain Banayee Aur Sooratain Bhi Achi Banaai Aur Tumhain Paakeeza
Cheezain Khane Ko Deen. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar-E-Aalam Bohot Hi Ba
Barkat Hai.
65
Wo Zinda Hai Jisse
Mout Nahi, Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi, Toh Us Ki Ibadat Ko Khalis Kar
Kar Ussi Ko Pukaro. Har Tarha Ki Taareef Khuda Hi Ko Sazawaar Hai Joh Tamaam
Jahan Ka Parwardigar Hai.
66
Ae Muhammad S.A.W. Un
Se Keh Do Ke Mujhe Is Baat Ki Mumaniyat Ki Gai Hai Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa
Pukaarte Ho Un Ki Parastish Karoon Aur Main Us Ki Kion Kar Parastish Karoon Jab
Ke Mere Pas Mere Parwardigar Ki Taraf Se Khuli Daleelain Aa Chuki Hain Aur Mujh
Ko Hukum Ye Hua Hai Ke Parwardigar-E-Aalam Hi Ka Taabe Farmaan Hoon.
67
Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Pehle Matti Se Paida Kia. Phir Nutfa Bana
Kar, Phir Lothra Bana Kar, Phir Tum Ko Nikaalta Hai Ke Tum Bache Hote Ho, Phir
Tum Apni Jawani Ko Pohonchte Ho . Phir Boorhe Ho Jate Ho. Aur Koi Tum Main Se
Pehle Hi Mar Jata Hai Aur Tum Mout Ke Waqt-E-Muqarrar Tak Pohonch Jate Ho
Aur Taa-Ake Tum Samajho.
68
Wo Hi Toh Hai Joh Jilata Hai Aur Maarta Hai. Phir Jab Wo Koi Kaam Karna
Aur Kisi Ko Paida Karna Chahata Hai, Toh Us Se Keh Deta Hei Ke Ho Ja, Toh Wo Ho Ho Jata Hai.
69
Kia Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha, Joh Khuda Ki Aayatoun Main Jhagarte
Hain. Ye Kahan Bhatak Rahe Hain?
70
Jin Lougon Ne Kitaab-E-Khuda Ko Aur Joh Kuch Ham Ne Apne Paigambaroun Ko
De Kar Bhaija, Us Ko Jhutlaya .Wo Anqareeb Maloom Kar Lainge.
71
Jab Ke Un Ki Gardanoun Main Touq Aur Zanjeerain Houngi Aur Ghaseete
Jaaye Ge.
72
Yaani Kholte Hue Paani Main. Phir Aag Main Jhonk Diye Jayen Ge.
73
Phir Un Se Kaha Jaye Ga Ke Wo Kahan Hain Jin Ko Tum Khuda Ka Shareek
Banate The.
74
Yaani Ghair Khuda Kahainge. Ke Wo
Toh Ham Se Jate Rahe Balke Ham Toh Pehle Kisi Cheez Ko Pukarte Hi Nahi The. Issi
Tarha Khuda Kaafiroun Ko Gumrarh Karta Hai.
75
Ye Us Ka Badla Hai Ke Tum Zameen Main Haq Ke Baghair Yaani
Us Ke Khilaf Khush Hua
Karte The Aur Us Ki Saza Hai Ke Itraaya Karte The.
76
Ab Jahannum Ke Darwazoun Main Dakhil Ho Jao. HameshaUssi Main Raho Ge. Mutakabiroun
Ka Kia Bura Thikana Hai.
77
Toh Ae Paigambar S.A.W. Sabar Karo Khuda Ka Waada Sacha Hai. Agar Ham
Toumko Kcuh Us Main Se Dikha Dain Jis Ka Ham Tum Se Waada Karte Hain. Yaani
Kafiroun Par Azaab Nazil Karian Ya Tumhari Muddat-E-Hayat Poori Kar Dain Toh Un
Ko Hamari Hi Taraf Lout Kar Ana Hai.
78
Aur Ham Ne Tum Se Pehle Bohot Se Paigambar Bhaije. Un Main Kuch Toh Aise
Hain Jin Ke Halaat Tum Se Bayan Kar Diye Hain Aur Kuch Aise Hain Jin Ke Halat
Bayan Nahi Kiye. Aur Kisi Paigamabar Ka Maqdoor Na Tha Ke Khuda Ke Hukum Ke Baghair
Koi Nishani Laaye. Phir Jab Khuda Ka Hukum Aa Pohoncha Toh Insaaf Ke Sath
Faisla Kar Dia Gaya Aur Ehl-E-Batil Nuqsaan Main Par Gaye.
79
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tumhare Liye Chaar Paaye Banay Taa-Ake Un Main
Se Baaz Par Sawwar Ho Aur Baaz Ko Tum Khaate Ho.
80
Aur Tumhare Liye Un Main Aur Bhi Faaide Hain Aur Is Liye Bhi Ke Kahin
Jaane Ki Tumhre Diloun Main Joh Hajat Ho, Un Par Charh Kar Wahan Pohounch Jao.
Aur Un Par Aur Kashtiyoun Par Tum Sawar Hote Ho.
81
Aur Wo Tumhain Apni Nishaniyan Dikhata Hai, Toh Tum Khuda Ki Kin Kin
Nishaniyoun Ko Mano Ge.
82
Kia Un Lougon Ne Zameen Main Sair Nai Ki Taa-Ke Daikhte Ke Joh Loug Un
Se Pehle The Un Ka Anajam Kaisa Hua. Halanke Wo Un Se Kaheen Ziada Taqatwar Aur
Zameen Main Nishanaat Banane Ke Aitbaar Se Bohot Barh Kar The. Toh Joh Kuch Wo
Karte The Wo Un Ke Kuch Kaam Na Aaya.
83
Aur Jab Un Ke Paigambar Un Ke Paas Khuli Nishaniyan Le Kar Aaye, Toh Joh
Ilm Apne Khayal Main Un Ke Pas Tha, Us Par Itraane Lage Aur Jis Cheez Se
Tamaskhurr Kia Karte The Us Ne Un Ko Aa Ghaira.
84
Phir Jab Unhoun Ne Hamara Azaab Daikh Liya Toh Kehne Lage Ke Ham
Khudaa-E-Wahid Par Eemaan Laaye Aur Jis Cheez Ko Us Ke Sath Shareek Banate The
Us Se Na Motaqadd Hue.
85
Lekin Jab Wo Hamara Azaab Daikh Chuke Us Waqt
Un Ke Eemaan Ne Un Ko Kuch Bhi Faida Na Dia.Ye Khuda Ki Aadat Hai Joh Us Ke
Bandoun Ke Baare Mian Chali Aati Hai. Aur Wahan Kafir Ghaate Main Par Kar Reh
Gaye.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!