Soorah-E-Fussilat
Aayaat-54
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Haa Meem.
2
Ye Kitaab
Khudaa-E-Rehman-O-Rahim Ki Taraf Se Utri Hai.
3
Aisi Kitaab Jis Ki
Aayatian Waazeh-Ul-Maani (Meaning Full) Hain Yaani Quraan-E-Arabi, Un Lougon Ke
Liye Joh Samajh Rakhte Hain.
4
Joh Bisharat Bhi Sunta
Hai Aur Khof Bhi Dilata Hai Lekin Un Main Se Aksaroun Ne Moonh Phair Liya Aur
Wo Sunte Hi Nahi.
5
Aur Kehne Lage Ke Jis
Cheez Ki Taraf Tum Hamain Bulate Ho Us Se Hamare Dil Pardoun Main Hain Aur
Hamare Kaanoun Main Bojh Yaani Behra Pan Hai Aur Hamare Aur Tumhare Darmayan
Parda Hai Toh Tum Apna Kaam Karo, Ham Apna Kaam Karte Hain.
6
Keh Do Ke Main Bhi
Aadmi Hoon Jaise Tum. Haan Mujh Par Ye Wahi Aati Hai Ke Tumhara Maabood Khuda-E-Wahid
Hai Toh Seedhe Ussi Ki Taraf Mutawajoh Raho Aur Ussi Se Maghfirat Mango Aur
Mushrikoun Par Afsos Hai.
7
Joh Zakaat Nahi Dete
Aur Aakhrat Ke Bhi Qaail Nahi.
8
Joh Loug Eemaan Laye
Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Un Ke Liye Aisa Sawaab Hai Joh Khatam Hi Na Ho.
9
Kaho Kia Tum Us Se
Inkaar Karte Ho, Jis Ne Zameen Ko Do Din Main Paida Kia. Aur Buttoun Ko Us Ke
Madd Muqabil Banate Ho. Wo Hi Toh Saare Jahan Ka Malik Hai.
10
Aur Ussi Ne
Zameen Main Us Ke Oopar Pahaar (Mountains)
Banaye Aur Zameen Main Barkat Rakhi Aur Us Main Samaan-E-Maeeshat Muqarrar Kia,
Sab Chaar Din Main.Aur Tamaam Talabgaaroun Ke Liye Yaksaan (Evenly).
11
Phir Aasmaan Ki Taraf
Mutawajoh Hua, Aur Wo Dhuaan Tha, Toh Us
Ne Us Se Aur Zameen Se Farmaya Ke Dono Aao Khuah Khushi Se Khuah Na Khushi Se. Unhoun
Ne Kaha Ke Ham Khushi Se Aate Hain.
12
Phir Do Din Main Saat
Aasmaan Banaye Aur Har Aasmaan Main Us Ke Kaam Ka Hukum Bhaija Aur Hamne
Aasmaan Dunia Ko Charagoun Yaani Sitaaroun Se Muzzaiyan Kia Aur Shaitaanoun Se
Mehfooz Rakha. Ye Zabardast Aur Khabardaar Ke Muqarrar Kiye Hue Andaaze Hain.
13
Phir Agar Ye Moonh
Phair Lain Toh Keh Do Ke Main Tumko Aisi Chinghaar Ke Azaab Se Aagah Karta Hoon
Jaise Aad Aur Samood Par Chinghaar Ka Azaab Aaya Tha.
14
Jab Un Ke Paas
Paighamabar, Un Ke Aage Aur Peeche Se Aaye, Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na
Karo. Kehne Lage Ke Agar Hamara Parwardigar Chahta Toh Farishte Utaar Deta So
Joh Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ko Nahi Maante.
15
Joh Aad The Wo Na Haq
Mulk Main Garoor Karne Lage Aur Kehne Lage Ke Ham Se Barh Kar Quwwat Main Koun
Hai? Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Khuda
Jis Ne Un Ko Paida Kia Wo Un Se Quwwat Main Bohot Barh Kar Hai. Aur Wo Hamari
Aayatoun Se Inkaar Karte Rahe.
16
Toh Ham Ne Bhi Un Par
Nahoosat Ke Dinoun Main Zour Ki Hawa Chalyee Taa-Ake Un Ko Dunia Ki Zindagi
Main Zillat Ke Azaab Ka Mazah Chakha Dain. Aur Aakhrat Ka Azaab Toh Bohot Hi Zaleel
Karne Wala Hai Aur Us Roz Un Ko Madad Bhi Na Mile Gi.
17
Aur Joh Samood The Un
Ko Ham Ne Seedha Rasta Dikha Dia Tha Magar Unhoun Ne Hidayat Ke Muqable Main
Andha Rehna Pasand Kia, Toh Un Ke Aamal Ki Saza Main Karak Ne Un Ko Aa Pakra. Aur
Wo Zillat Ka Azaab Tha.
18
Aur Joh Eemaan Laye
Aur Parhaizgaari Karte Rahe Un Ko Ham Ne Bacha Liya.
19
Aur Jis Din Khuda Ke
Dushman Dozakh Ki Taraf Chalaye Jaayen Ge Toh Tarteeb Waar Kar Liye Jaayen Ge.
20
Yahan Tak Ke Jab Us Ke
Paas Pohonch Jayen Ge Toh Un Ke Kaan Aur Aankahin Aur Chamre(Skin) Yaani Doosre
Aaza Un Ke Khilaf Un Ke Aamaal Ki Shahadat Dainge.
21
Aur Wo Apne Chamroun
Yaani Aaza Se Kahian Ge Ke Tum Ne Hamare
Khilaaf Kion Shahadat
Di? Wo Kahainge Ke Jis Khuda Ne Sab
Cheezoun Ko Nutaq Bakhsha Ussi Ne Ham Ko Bhi Goyaayee Di Aur Ussi Ne Tum Ko
Pehli Baar Paida Kia Tha Aur Ussi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.
22
Aur Tum Is Baat Ke
Khof Se Toh Parda Nahi Karte The, Ke Tumhare Kaam Aur Tumhari Aankahin Aur
Chamre Tumhare Khilaaf Shahdat Dainge,
Balke Tum Ye Khyal Karte The Ke Khuda Ko Tumhare Bohot Se Amaloun Ki Khabar Hi
Nahi.
23
Aur Ussi Khayal Ne,
Joh Tum Apne Parwardigar Ke Bare Main Rakhte The Tum Ko Halak Kar Dia Aur Tum
Khasara Paane Waaloun Main Ho Gaye.
24
Ab Agar Ye Sabar
Karainge Toh Un Ka Thikana Dozakh Hi Hai. Aur Agar Touba Kariange Toh Un Ki
Touba Qabool Nahi Ki Jaye Gi.
25
Aur Ham Ne Shaitanoun
Ko Un Ka Ham Nasheen Muqarrar Kar Dia
Tha Toh Unhoun Ne Un
Ke Agle Aur Pichle Aamaal Un Ko Umda Kar Dikhaye The Aur Jinnat Aur Insaanoun
Ki Jamaatain Joh Un Se Pehle Guzar Chuki, Un Par Bhi Khuda Ke Azaab Ka Waada
Poora Ho Gaya. Be Shak Ye Nuqsan Uthane Wale Hain.
26
Aur Kaafir Kehne Lage
Ke Is Quraan Ko Suna Hi Na Karo Aur Jab Parhne Lagain Toh Shor Macha Dia Karo
Taa-Ke Tum Galib Raho.
27
So Ham Bhi Kaafiroun
Ko Sakht Azaab Ke Mazeh Chakyane Ge Aur Un Ke Bure Amaloun Ki Joh Wo Karte The
Saza Dainge.
28
Ye Khuda Ke Dushmanoun
Ka Badla Hai, Yaani Dozakh. Un Ke Liye Ussi Main Hamesha Ka Ghar Hai. Ye Is Ki
Saza Hai Ke Hamari Aayatoun Se Inkaar Karte The.
29
Aur Kafir Kahainge, Ke
Ae Hamare Parweardigar Jinnoun Aur Insaanoun Main Se Jin Lougon Ne Ham Ko
Gumrah Kia Tha Un Ko Hamain Dikha, Ke Ham Un Ko Apne Paaon Ke Tale Rond Daalain
Taa-Ake Wo Nihayat Zaleel Houn.
30
Jin Lougon Ne Kaha, Ke
Harma Parwardigar Khuda Hai, Phir Wo Us Par Qaaim Rahain, Un Par Farishte
Utrain Ge Aur Kahain Ge Ke Na Khof Karo Aur Na Ghamnaak Ho Aur Behshat Ke Jis
Ka Tumse Waaada Kia Jata Hai Khushi Manao.
31
Ham Dunia Ki Zindagi
Main Bhi Tumhare Dost The Aur Aakhrat Main Bhi Tumahre Rafeeq Hain .Aur Wahan
Jis Naimat Ko Tumhara
Ji Jchaahe Ga, Tum Ko
Mile Gi Aur Joh Cheez Talab Karo Ge Tumhare Liye Mojood Hogi.
32
Ye Bakhashne Wale
Meherbaan Ki Taraf Se Mehmaani Hai.
33
Aur Us Shakhs Se Baat
Ka Acha Koun Ho Sakta Hai Joh Khuda Ki Taraf Bulaye Aur Amal-E-Naik Kare Aur
Kahe Ke Main Musalmaan Hoon.
34
Aur Bhalayee Aur
Burayee Barabar Nahi Ho Sakti.Toh Sakht Kalami Ka Aise Tareeq Se Jawab Do Joh
Bohot Acha Ho Aisa Karne Se Tum Daikho Ge Ke Jis Main Aur Tum Main Dushmani Thi
Goya Wo Garam Josh Dost Hai.
35
Aur Ye Baat Un Hi
Lougon Ko Hasil Hoti Hai Joh Bardaasth Karne Wale Hain. Aur Un Hi Ko Naseeb
Hoti Hai Joh Bare Sahib-E-Naseeb Hain.
36
Aur Agar Tumhain
Shaitaan Ki Janib Se Koi Waswasa Paida Ho Toh Khuda Ki Panaah Maang Liya Karo. Be
Shak Wo Sunnta Jaanta Hai.
36
Aur Raat Aur Dinn Aur
Sooraj Aur Chand Us Ki Nishaniiyoun Main Se Hain.Tum Loug Na Toh Sooraj Ko Sajda
Karo Aur Na Chaand Ko Balke Khuda Hi Ko Sajda Karo, Jis Ne Un Cheezoun Ko Paida
Kia Hai Agar Tum Ko Us Ki Ibadat Manzoor Hai.
38
Agar Ye Loug Sarkashi Karain
Toh Khuda Ko Bhi Un Ki Parwah Nahi Joh Farishte Tumhare Pawardigar Ke Pas Hain
Wo Raat Din Us Ki Tasbeeh Karte Rehte Hain Aur Kabhi Thakte Hi Nahi.
39
Aur (Ae Bande Ye) Ussi
Ki Qudrat Ke Namoone Hain, Ke Tu Zameen Ko Dabe Hue Yaani Khushk Daikhta Hai.
Jab Ham Us Par Paani Barsa Dete Hain Toh Shadaab Ho Jati Hai Aur Phoolne Lagti
Hai Toh Jis Ne Zameen Ko Zinda Kia Wo Hi Murdoan Ko Zinda Karne Wala Hai. Be
Shak Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.
40
Joh Loug Hamari
Aayatoun Main Kajj Rahi Karte Hain, Wo Ham Se Posheeda Nahi Hain. Bhala Joh
Shakhs Dozakh Main Dala Jaye Wo Behtar Hai Ya Wo Joh Qiamat Ke Din Aman-O-Amaan
Se Aaye.Toh Khair Joh Chaho So Kar Lo.Joh Kuch Tum Karte Ho Wo Us Ko Daikh Raha
Hai.
41
Jin Lougon Ne Naseehat
Ko Na Maana Jab Wo Un Ke Paas Aaye.Aur Ye Toh Aik Aali Rutba Kitaab Hai.
42
Is Par Jhoot Ka Dakhal
Na Aage Se Ho Sakta Hai Na Peeche Se. Aur Dana Aur Khoobiyoun Wale Khuda Ki
Utaari Hui Hai.
43
Tum Se Wo Hi Baatian
Kahi Jati Hain Joh Tumse Pehle Aur Paigambaroun Se Kahi Gayee Thi.Beshak
Tumhara Parwardigar Bakhash Dene Wala Bhi Hai Aur Azab-E-Aleem Dene Wala Bhi
Hai.
44
Aur Agar Ham Is Quraan
Ko Gair Zaban Arab Main Nazil Karte Toh Ye Loug Kehte Ke Is Ki Aayatian Hamri
Zabaan Main Kion Khol Kar Bayan Nahi Ki Gayee. Kia Khof Ke Quraan Toh Ajmi Aur
Mukhatib-E-Arabi. Keh Do Ke Joh Eemaan Laate Hain Un Ke Liye Ye Hidayat Aur Shifa
Hai. Aur Joh Eemaan Nahi Laate Un Ke Kaanoun Main Garani, Yaani Behra Pann Hai
Aur Ye Un Ke Haq Main Moajjab-E-Na Benaayee Hai. Giraani Ke Sabab Un Ko Goya
Door Jaga Se Awaaz Di Jati Hai.
45
Aur Ham Ne Moosa Ko
Kitaab Di Toh Us Main Ikhtilaaf Kia Gaya. Aur Agar Tumahare Parwardigar Ki
Taraf Se Aik Baat Pehle Se Theher Chuki Hoti Toh Un Main Fiasla Kar Dia
Jata.Aur Ye Is Quraan Se Shak Main Ulajh Rahe Hain.
46
Joh Naik Kaam Kare Ga
Toh Apne Liye.Aur Joh Bure Kare Ga Toh Un Ka Zarrar Ussi Ko Hoga. Aur Tumhara Parwardigar
Bandoun Par Zulm Karne Wala Nahi.
47
Qiamat Ke Ilm Ka
Hawala Ussi Ki Taraf Dia Jata Hai Yaani Qiamat Ka Ilm Ussi Ko Hai Aur Na Toh
Phal(Fruits) Gaabhoun Se Nikalte Hain
Aur Na Koi Maada(Female) Haamla(Pregnant) Hoti Hai Aur Na Janti Hai Magar Us Ke
Ilm Se.Aur Jis Din Wo Un Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Shareek Kahan Hain
Toh Wo Kahain Ge Ke Ham Tujh Se Arz Karte Hain Ke Ham Main Se Kisi Ko In Ki
Khabar Hi Nahi.
48
Aur Jin Ko Pehle Wo
Khuda Ke Siwa Pukara Karte The Sab Un Se Ghayaaib Ho Jayen Ge Aur Wo Yaqeen Kar
Lainge Ke Un Ke Liye Mukhlasi Nahi.
49
Insaan Bhaliye Ki
Duaain(Prayers) Karta Karta Toh Thakhta Nahi Aur Agar Takleef Pohounchayee Jati Hai Toh Na Umeed Ho Jata Aur Aas Tour Baithta Hai.
50
Aur Agar Takleef
Pohonchne Ke Baad Ham Us Ko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhate Hain, Toh Kehta Hai
Ke Ye Toh Mera Haq Tha Aur Main Nahi Khayal Karta Ke Qiamat Barpa Ho. Aur Agar
Qiamat Sach Much Bhi Ho Aur Main Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaya Bhi Jaaon
Toh Mere Liye Us Ke Haan Bhi Khushhali Hai. Pas Kafir Joh Amal Kia Karte Hain
Wo Ham Zaroor Un Ko Jatayen Ge Aur Un Ko Sakht Azaab Ka Mazah Chakhaye Ge.
51
Aur Jab Ham Insaan Par
Karam Karte Hain Toh Moonh Mour Leta Hai Aur Pehlu Phair Kar Chal Deta Hai. Aur
Jab Us Ko Takleef Pohounchti Hai Toh Lambi Lambi Duaayen Karne Lagta Hai.
52
Kaho Ke Bhala Daikho Toh
, Agar Ye Quraan Khuda Ki Taraf Se Ho Phir Tum Us Se Inkaar Karo Toh Us Se Barh
Kar Koun Gumraah Hai Joh Haq Ki Parle Darje Ki Mukhalfat Main Ho.
53
Ham Anqareeb Un Ko Itaraaf-E-Alam
Main Bhi Aur Khud Un Ki Zaat Main Bhi Nishaniyan Dihkayen Ge Yahan Tak Ke, Un
Par Zahir Ho Jaye Ga Ke Quraan Haq Hai.Kia Tumko Ye Kafi Nahi Ke Tumhara
Parwardigar Har Cheez Se Khabardaar Hai.
54
Daikho Ye Apne
Parwardigar Ke Ru Baru Hazir Hone Se Shak Main Hain.Sunn Rakho Ke Wo Har Cheez
Par Ahaata Kiye Hue
Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!