Friday, 22 April 2016

42-Soorah-Ash-Shuaraa-Aayaat-53



Soorah-Ash-Shuaraa-Aayaat-53
Shroo Allah Ke Naam Se Jo Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Waala Hai
1
Haa Meem

2
Aien Seen Qaaf

3
Khuda-E-Ghalib-O-Daana Issi Tarha Tumhaari Taraf Mazameen Aur Baraaheen Bhaijta Hai , Jis Tarha Tum Se Pehle Logon Ki Taraf Wahi Bhaijta Raha.

4
Jo Kuch Aasmanoun Aur Jo Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai , Aur Wo Aali Rutba Aur Giraam-E-Qadar Hai



5
Qareeb Hai Ke Aasmaan Oopar Se Phat Parain Aur Farishte Apne  Parwardiaar Ki Taareef Ke Sath Uski Tasbeeh Karte Rehte , Aur Jo Log Zameen Main Hain, Unke Liye Moaafi Maangte Rehte Hain. Sunn Rakho Ke Khuda Bakhshne Waala Meherbaan Hai.
6
Aur Jin Logon Ne Uske Siwaa Kaar Saaz Bana Rakhe Hain , Wo Khuda Ko Yaad Rakhain , Aur Tum Un Par Daarogha Nahi Ho.

7
Aur Ussi Tarha Tumhaare Pas Quran-E-Arabi  Bhaija Hai , Taa-Ake Tum Bare Gaaoun Yaani Makkah Ke Rehne Waaloun Ko Aur Jo Log Uske  Ird Gird Hain , Unko Raasta Dikhaaow, Aur Tunhain Qayamat Ke Din Ka Bhi, Jis Main Koi Shak Nahi Khof Dilaaow, Us Roz Aik Fareeq Behshat Main Hoga Aur Aik Fareeq Dozakh Main.

8
Aur Agar Khuda Chahta Toh Unko Aik Hi Jamaat Kar Deta , Lakin Wo Jis Ko Chahta Hai Apni Rehmat Main Daakhil Kar Leta Hai, Aur Zalimoun Kaa Na Koi  Yaar Hai Aur Na Madadgaar.

9
Kia Unhoun Ne Uske Siwa Kaar Saaz Banaaye Hain? Kaar Saaz Toh Khuda Hi Hai Aur Wo Hi Murdoun Ko Zinda Kare Ga, Aur Wo Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.



10
Aur Tum Jis Baat Main Ikhtilaaf Karte Ho Uska Faisla Khuda Ki Taraf Se Hoga. Yehi Khuda Mera Parwardigaar Hai, Main Ussi Par Bharosa Rakhta Hoon. Aur Ussi Ki Taraf Rujoo Karta Hoon.

11
Aasmaanoun Aur Zameen Ka Paida Karne Waala Wo Hi Hai, Ussi Ne Tumhare Liye Tumhaari Hi Jins Ke Jore Banaaye, Aur Chaar Paayoun Ke Bhi Jore Banaiye , Aur Ussi Tareeq Par Tumko Phailaata Rehta Hai, Us Jaisi Koi Cheez Nahi , Aur Wo Daikhta Aur Suntan Hai.

12
Aasmaanoun Aur Zameen Ki Kunjiyaan Ussi Ke Hath Main Hain, Wo Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Faraakh Kar Deta Hai, Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Tang Kar Deta Hai, Beshak Wo Har Cheez Se Waaqif Hai.







13
Usne Tumhaare Liye Deen Ka Wo Hi Raasta Muqarrar Kia , Jiske Ikhtiyaar Karne Ka, Nooh Ko Hokum Dia Tha. Aur Jis Ki Ae Muhammad S.A.W.W  Tumhaari Taraf Wahi Bhaiji Hai, Aur Jis Ka Ibrahim Aur Moosa Aur Eesaa Ko Hokum Dia Tha. Wo Ye Ke Deen Ko Qaaim Rakhna , Aur Us Main Photo Na Daalna , Jis Cheez Ki Taraf Tum Mushrikoun Ko Bulaate Ho, Wo Unko Dushwaar Guzarti Hai, Allah Jis Ko Chahta Hai Apni Baargaah Ka Burguzeeda Kar Leta Hai, Aur Jo Uski Taraf Rujoo Kare, Usse Apni Taraf Rasta Dikhaata Hai.

14
Aur Ye Log Jo Alaga Alag Hue Hain Toh Ilm-E-Haq Aa Chukne Ke Baad, Aapas Ki Zidd Se Hue Hain, Aur Agar Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se, Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Ke Liye , Baat Na Theher Chuki Hoti To, Un Main Faisla Kar Dia Jaata , Aur Jo Log Unke Baad Khuda Ki Kitaab Ke Waaris Hue Wo Uski Taraf Se Shube Ki Uljhan Main Phanse Hue Hain.







15
Toh Ae Muhammad S.A.W.W Ussi Deen Ki Taraf Logon Ko Bulaate Rehna. Aur Jaisa Tumko Hokum Hua Hai, Ussi Par Qaaim Rehna. Aur Unki Khuaahishoun Ki Pairwi Na Karna, Aur Keh Do Ke Jo Kitaab Khuda Ne Naazil Farmaai Hai, Main Us Par Eemaan Rakhta Hoon. Aur Mujhe Hokum Hua Hai Ke Tum Main Insaaf Karoon. Khuda Hi Hamaara Aur Tumhaara Parwardigaar Hai. Ham Ko Hamaare Aamaal Ka Badla Mile Ga. Aur Tumko Tumhaare Aamaal Ka. Ham Main Aur Tum Main Koi Behes-O-Takraar Nahi. Khuda Ham Sab Ko Ikhata Kare Ga. Aur Ussi Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai.

16
Aur Jo Log Khuda Ke Bare Main Baad Is Ke Keh Usse Mominoun Ne Maan Liya Ho, Jhagarte Hain, Unke Parwardigaar Ke Nazdeek Unka Jhagra Laghaw Hai. Aur Un Par Khuda Ka Ghazab Aur Unke Liye Sakht Azaab Hai.

17
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Sachaai Ke Sath Kitaab Naazil Ki. Aur Adal-O-Insaaf Ki Taraazoo. Aur Tumko Kia Maaloom Shayad Qayamat Qareeb Hi Aa Pohonchi Ho.




18
Jo Log Us Par Eemaan Nahi Rakhte , Wo Uske Liye Jaldi Kar Rahe Hain.  Aur Jo Momin Hian Wo Us Se Darte Hain. Aur Jaante Hain Ke Wo Barhaq Hai. Daikho Jo Log Qayamat Main Jhagarte Hain , Wo Parle Darje Ki Gumraahi Main Hain.

19
Khuda Apne Bandoun Par Meherbaan Hai. Wo Jis Ko Chahta Hai Rizq Daita Hai. Aur Wo Zor Waala Aur Zabardast Hai.

20
Jo Shakhs Aakhrat Ki Kheti Main Afzaaiesh Karain Ge. Aur Jo Dunia Ki Kheti Ka Khuaastgaar Ho, Usko Ham Is Main Dainge . Aur Uska Aakhrat Main Kuch Hissa Naa Hoga.

21
Kia Unke Wo Shareek Hain Jinhoun Ne Unke Liye Aisa Din Muqarrar Kia Hai. Jiska Khuda Ne Hokum Nahi Dia. Aur Agar Faisle Ke Din Ka Waada Naa Hota. To Un Main Faisla Kar Dia Jaata. Aur Jo Zaalim Hain, Unke Liye Dard Dene Waala Aazaab Hai.



22
Tum Daikho Ge Ke Zaalim Apne Aamaal Ke Aazaab Se Dar Rahe Honge. Aur Wo Unpar Par Kar Rahe Ga. Aur Jo Log Eemaan Laaiye Aur Naik Amal Karte Rahe , Wo Behshat Ke Baaghoun Main Honge. Wo Jo Kuch Chaahainge Unke Parwardigaar Ke Paas Mojood Hoga. Yehi Bara Fazal Hai.

23
Yehi Wo Inaam Hai , Jiski Khuda Apne Bandoun Ko, Jo Eemaan Laate Aur Naik Aamal Karte Hain, Basharat Deta Hai. Keh Do Keh Main Uska Tum Se Silaa Nahi Maangta. Magar Tumko Qarabat Ki Mohabat To Chaahiye. Aur Jo Koi Neki Kare Ga. Uske Liye Us Main Sawaab Barhaayain Ge. Beshak Khuda Bakhashne Waala Qadardaan Hai.

24
Kia Ye Log Kehte Hain Ke Khuda Ne Paighambar Par Jhoot Baandh Liya Hai? Agar Khuda Chaahe Toh Ae Muhammad S.A.W.W Tumhaare Dil Par Mohor Laga De. Aur Khuda Jhoot Ko Nabood Karta Aur Apni Baatoun Se Haq Ko Saabit Karta Hai. Beshak Wo Seenoun Tak Ki Baatoun Se Waaqif Hai.

25
Aur Wo Hi Toh Hai Jo Apne Bandoun Ki Touba Qabool Karta Hai, Aur Unke Qasoor Moaaf Farmaata Hai. Aur Jo Tum Karte Ho Sab Jaanta Hai.

26
Aur Jo Eemaan Laaiye Aur Amal-E-Naik Keiye Unki Dua Qubool Farmaata Hai, Aur Unko Apne Fazal Se Barhaata Hai, Aur Jo Kaafir Hain Unke Liye Sakht Azaab Hain.

27
Aur Agar Khuda Apne Bandoun Ke Liye Rizq Main Faraakhi Kar Deta Toh Zameen Main Fisaad Karne Lagte. Lakin Wo Jis Qadar Chahta Hai Andaaze Ke Sath Naazil Karta Hai. Beshak Wo Apne Bandoun Ko Jaanta Aur Daikhta Hai.

28
Aur Wo Hi Toh Hai Jo Logon Ke Naa Umeed Ho Jaane Ke Baad Meenh Barsaata Hai, Aur Apni Rehmat Yaani Baarish Ki Barkat Ko Phailaa Deta Hai.  Aur Wo Kaarsaaz-O-Saazawaar-E-Taareef Hai.

29
Aur Ussi Ki Nishaaniyoun Main Se Hai Zameen Aur Aasmaan Ka Paida Karna. Aur Un Jaanwaroun Ka Jo Usne In Main Phaila Rakhe Hain. Aur Wo Jab Chaahe Unke Jamaa Kar Lene Main Qaadir Hai.



30
Aur Jo Museebat Tum Par Naazil Hui Hai So Apne Failoun Se. Aur Wo Bohot Se Gunaah Toh Moaaf Kar Deta Hai.

31
Aur Tum Zameen Main Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sakte. Aur Khuda Ke Siwa Naa Tumhara Koi Dost Hai Na Madadgaar.

32
Aur Ussi Ki Nishaaniyoun Main Samandar Ke Jahaaz Hain, Jo Goya Pahaar Hain.

33
Agar Khuda Chaahe Toh Hawa Ko Thehra De. Aur Jahaaz Uski Sataah Par Khare Reh Jaayain. Tamaam Sabar Aur Shukar Karne Waaloun Ke Liye In Baatoun Main Qudrat-E-Khuda Ke Namoone Hain.

34
Ya Unke Aamaal Ke Sabab Unko Tabaah Kar De. Aur Bohot Se Qasoor Moaaf Kar De.


35
Aur Intiqaam Isliye  Liya Jata Hai Keh Jo Log Hamaari Aayatoun  Main Jhagarte Hain, Wo Jaan Lain Keh Unke Liye Khulaasi Nahi.

36
Logo! Jo Maal-O-Mataa Tumko Dia Gaya Hai, Wo Dunia Ki Zindagi Kaa Na Paaidaar Faaida Hai. Aur Jo Kuch Khuda Ke Haan Hai , Wo Behtar Aur Qaaim Rehne Waala Hai. Yaani Un Logon Ke Liye Jo Eeman  Laaiye Aur Parwardigaar Par Bharosa Rakhte Hain.

37
Aur Jo Bare Bare Gunaahoun Aur Be Hayaai Ke Kaamoun Se Parhaiz Karte Hain,  Aur Jab Ghusaa Aata Hai To Moaaf Kar Dete Hain.

38
Aur Jo Log Apne Parwardigaar Ka Farmaan Qubool Karte Hain, Aur Namaaz Parhte Hain. Aur Apne Kaam Aapas Ke Mashware Se Karte Hain, Aur Jo Maal Ham Ne Unko Ataa Farmaaya Hai Us Main Kharch Karte Hain.

39
Aur Jo Aise Hain Ke Jab Un Par Zulm Aur Taadi Ho, To Munasib Tareeqe Se Badla Lete Hain.
40
Aur Buraai Ka Badla To Ussi Tarha Ki Buraai Hai, Magar Jo Dar Guzar Kare Aur Moaamle Ko Durust Kar De , To Uska Badla Khuda Ke Zimme Hai, Is Main Shak Nahi Ke Wo Zulm Karne Waale Logon Ko Pasand Nahi Karta.

41
Aur Jis Par Zulm Hua Ho , Wo Uske Baad Intiqaam Le Le Toh, Aise Logon Par Kuch Ilzaam Nahi.

42
Ilzaam Toh Aise Logon Par Hai , Jo Logon Par Zulm Karte Hain. Aur Mulk Main Naa Haq Fisaad Phailaate Hain. Ye Hi Log Hain Jinko Takleef Dene Waala Azaab Hoga.

43
Aur Jo Sabar Kare Aur Qusoor Moaaf Kar De To Ye Himmat Ka Kaam Hai.

44
Aur Jis Shakhs Ko Khuda Gumraah Kare Toh Uske Baad Uska Koi Dost Nahi. Aur Tum Zaalimoun Ko Daikho Ge Ke Jab Wo Dozakh Ka Aazaab Daikhainge. Toh Kahainge Ke Kia Dunya Main Wapas Jaane Ki Bhi Koi Sabeel  Hai.
45
Aur Tum Unko Daikho Ge Ke Dozakh Ke Saamne Laaye Jaayain Ge Zillat Se Aajzi Karte Hue. Chupi Aur Neechi Nigaah Se Daikh Rahe Honge. Aur Momin Log Kahainge Ke Khasaara  Uthaane Waale To Wo Hain,  Jinhoun Ne Qayamat Ke Din Apne Aap Ko Aur Apne Ghar Waaloun Ko Khasaare Main Daala, Daikho Ke Be Insaaf Log Hamesha Ke Dukh Main Pare Rahainge.

46
Aur Khuda Ke Siwa Unke Koi Dost Naa Honge Keh Khuda Ke Siwa Unki Madad Kar Sakain. Aur Jisko Khuda Gumhraah Kare Uske Liye Hidayat Ka Koi Raasta Nahi.

47
Unse Keh Do Ke, Keh Qabal Iske Keh, Wo Din Jo Tale Ga Nahi. Khuda Ki Taraf Se Aa Majood Ho, Apne Parwardigaar Ka Hokum Qabool Karo. Us Din Tumhare Liye Naa Koi Jaa-E-Panaah Hogi, Aur Na Tum Se Gunaahoun Se Inkaar Hi Ban Pare Ga.

48
Phir Agar Ye Moonh Phair Lain Toh Ham Ne Tum Ko In Par Nigehbaan Bana Kar Nahi Bhaija. Tumhara Kaam Toh Sirf Ehkaam Ka Pohonchaa Dena Hai. Aur Jab Ham Insaan Ko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhaate Hain. To Us Se Khush Ho Jata Hai. Aur Agar Unko Unhi Ke Aamaal Ke Sabab Koi Sakhti Pohonchti Hai. To Sab Ehsaanoun Ko Bhool Jata Hai. Beshak Insane Bara Naa Shukra Hai.

49
Tamaam Baadshaahat Khuda Hi Ki Hai, Aasmaanoun Ki Bhi Aur Zameen Ki Bhi. Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai, Jisse Chahta Hai Betiyaan Ataa Karta Hai. Aur Jisse Chahta Hai Baite Bakhshta Hai.


50
Yaa Unko BĂȘte Aur Betiyaan Dono Inaayat Farmaata Hai. Aur Jis Ko Chahta Hai Be Aulaad Rakhta Hai. Wo Toh Jaan-Ne Waala Qudrat Waala Hai.

51
Aur Kisi Aadmi Ke Liye Mumkin Nahi Keh , Khuda Us Se Bat Kare , Magar Ilhaam Ke Zariye Se Yaa Parde Ke Peeche Se. Ya Koi Farishta Bhaij De To Wo Khuda Ke Hokum Se , Jo Khuda Chaahe, Alqaa Kare, Beshak Wo Aali Rutbaa  Aur Hikmat Waala Hai.

52
Aur Ussi Tarha Ham Ne Apne Hokum Se , Tumhaari Rooh-Ul-Qudoos Ke Zariye Se , Quran Bhaija Hai.  Tum Naa Toh Kitaab Ko Jaante The Aur Naa Eemaan Ko, Lakin Ham Ne Usko Noor Banaaya Hai. Keh Is Se Ham Apne Bandoun Main Se Jis Ko Chahte Hain Hidayat Karte Hain. Aur Beshak Ae Muhammad S.A.W.W. Tum Seedha Rasta Dikhaate Ho.


53
Yaani Khuda Ka Raasta Jo Aasmaan Aur Zameen Ki Sab Cheezoun Ka Maalik Hai. Daikho Sab Kaam Khuda Ki Taraf Rujoo Honge. Aur Wo Hi Un Main Faisla Kare Ga.

------------------------------------

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!