Soorah-E-Az-Zukhruf
Aayaat-89
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Haa Meem.
2
Kitaab-E-Roshan Ki
Qasam.
3
Keh Ham Ne Is Ko
Quraan-E-Arabi Banaya Hai Taa-Ake Tum Samjho.
4
Aur Ye Bari Kitaab Yani Loh-E-Mehfooz Main Hamare Pas Likhi Hui
Aur Bari
Fazeelat Aur Hikmat Wali Hai.
5
Bhala Is Liye Ke Tum
Had Se Nikle Hue Loug Ho, Ham Tum Ko Naseehat Karne Se Baaz Rahainge.
6
Aur Ham Ne Pehle
Lougon Main Bhi Bohot Se Paigamabar Bhaije The.
7
Aur Koi Paigamabar In
Ke Paas Nahi Aata Tha Magar Wo Us Se Tamaskhurr Karte The.
8
Toh Joh Un Main Sakht
Zour Wale The Un Ko Ham Ne Halaak Kar Dia Aur Agle Lougon Ki Haalat Guzar Gai.
9
Aur Agar Tum Un Se
Poocho Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Hai Toh Keh Dainge Ke, Un
Ko Ghalib Aur Ilm Wale Khuda Ne Paida Kia Hai.
10
Jis Ne Tumhare Liye
Zameen Ko Bichona Banaya.Aur Is Main Tumhare Liye Raste Banaye, Taa-Ake Tum
Raah Maloom Karo.
11
Aur Jis Ne Aik Andaze
Ke Sath Aasman Se Pani Nazil Kia.Phir Ham Ne Us Se Sheher-E-Murda Ko Zinda Kia.
Issi Tarha Tum Zameen Se Nikale Jao Ge.
12
Aur Jis Ne Tamaam
Qisam Ke Haiwanaat Paida Kiye Aur Tumhare Liye Kashtiyaan Aur Chaar Paye Banaye
Jin Par Tum Sawaar Hote Ho.
13
Taa-Ake Tum Un Ki Peeth
Par Charh Baitho Aur Jab Us Par Baith Jao, Phir Apne Parwardigar Ke Ehsaan Ko
Yaad Karo Aur Kaho, Ke Wo Zaat Paak Hai, Jis Ne Us Ko Hamare Zer-E-Farmaan Kar
Dia Aur Ham Main Taqat Na Thi Ke Us Ko Bas Main Kar Lete.
14
Aur Ham Apne
Parwardigar Ki Taraf Lout Kar Jane Wale Hain.
15
Aur Unhoun Ne Us Ke
Bandoun Main Us Ke Liye Aulad Muqarrar Ki. Be Shak Insane Sareeh Nashukra Hai.
16
Kia Us Nain Apni
Makhloqaat Main Se Khud Toh Bitiyan Leen Aur Tum Ko Chunn Kar Bete Diye.
17
Halanke Jab Un Main Se
Kisi Ko Us Chez Ki Khushkabari Di Jati Hai Joh Unhoun Ne Khuda Ke Liye Banayan
Ki Hai, Toh Us Ka Moonh Siyah Ho Jata Aur Wo Gham Se Bhar Jata Hai.
18
Kia Wo Joh Zewar Main
Parwarish Paaye Aur Jhagre Ke Waqt Baat Na Kar Sake Khuda Ki Beti Ho Sakti Hai?
19
Aur Unhoun Ne
Farishtoun Ko Ke Wo Bhi Khuda Ke Bande Hain Khud Ki Betiyaan Muqarrar Kia. Kia
Ye Un Ki Paidaaish Ke Waqt Hazir The Anqareeb Un Ki Shahadat Likh Li Jaye Gi
Aur Un Se Baaz Puras Ki Jaye Gi.
20
Aur Kehte Hain Agar
Khuda Chahta Toh Ham Un Ko Na Poojte. Un Ko Is Ka Kuch Ilm Nahi.Ye Toh Sirf Atkalian
Dora Rahe Hain.
21
Ya Ham Ne Un Ko Is Se
Pehle Koi Kitaab Di Thi Toh Ye Is Se Sanad Pakarte Hain.
22
Balke Kehne Lage Ke
Ham Ne Apne Baap Dada Ko Aik Raaste Par Paaya Hai Aur Ham Un Hi Ke Qadam
Baqadam Chal Rahe Hain.
23
Aur Issi Tarha Ham Ne
Tum Se Pehle Kisi Basti Main Koi Hidayat Karne Wala Nahi Bhaija, Magar Wahan Ke
Khushaal Lougon Ne Kaha Ke Ham Ne Apne Baap Dada Ko Aik Raah Par Paaya Hai Aur
Ham Qadam Baqadam Un Hi Ke Peche Chalte Hain.
24
Paighamar Ne Kaha! Agarcha Main Tumhare Paas Aisa Deen Laaon Ke
Jis Raste Par Tum Ne Apne Baap Dada Ko Paaya Wo Us Se Kahin Seedha Raasta
Dikhata Hai, Kehne Lage Ke Joh Deen Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ko Nahi
Maante.
25
Toh Ham Ne Un Se
Initqaam Liya, So Daikh Lo Ke Jhutlane Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.
26
Aur Jab Ibrahim Ne
Apne Baap Aur Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha Ke Jin Cheezoun Ko, Tum Poojte Ho
Main In Se Baizaar Hoon.
27
Haan Jis Ne Mujh Ko
Paida Kia Wo Hi Mujhe Seedha Raasta Dikhaye Ga.
28
Aur Ye Hi Baat Apni
Aulad Main Peeche Chor Gaye, Taa-Ake Wo Khuda Ki Taraf Rujoo Rahain.
29
Baat Ye Hai Ke Main Un
Kuffar Ko Aur Un Ke Baap Dada Ko Muttmatte Karta Raha, Yahan Tak Ke Un Ke Pas
Haq Aur Saaf Saaf Bayan Karne Wala Paigamabar Aa Pohoncha.
30
Aur Jab Un Ke Paas Haq
Yaani Quraan Aaya Toh Kehne Lage Ke Ye Toh Jaadu Hai Aur Ham Is Ko Nahi Maante.
31
Aur Ye Bhi Kehne Lage
Ke Ye Quraan Un Dono Bastiyoun Yaani Makka Aur Taaif Main Se Kisi Bare Aadmi
Par Kion Nazil Na Kia Gaya?
32
Kia Ye Loug Tumhare
Parwardigar Ki Rehmat Ko Baant-Te Hain? Ham Ne Un Main Un Ki Maeeshat Ko Dunia
Ki Zindagi Main Taqseem Kar Dia Aur Aik Ke Doosre Par Darje Buland Kiye Taa-Ake
Aik Doosre Se Khidmat Lain, Aur Joh Kuch Ye Jama Karte Hain Tumahre Parwadigar
Ki Rehemat Us Se Kahin Behtar Hai.
33
Aur Agar Ye Khayal Na
Hota Ke Sab Loug Aik Hi Jamat Ho Jaye Ge
Toh Joh Loug Khuda Se Inkar Karte Hain Ham Un Ke Gharoun Ki Chatain Chaandi Ki
Bana Dete Aur Seerhiyan Bhi, Jin Par Wo Charhte.
34
Aur Un Ke Gharoun Ke
Darwaze Bhi Aur Takhat Bhi Jin Par Wo Takya Lagate Hain.
35
Aur Khoob
Tajammul-O-Aaraaish Kar Dete Aur Ye Sab Dunia Ki Zindagi Ka Thora Sa Samaan
Hai. Aur Aakrat Tumhare Parwardigar Ke Haan Parhaizgaaroun Ke Liye Hai.
36
Aur Joh Koi Khuda Ki
Yaad Se Aankhain Band Kare, Yaani Taghaful Kare, Ham Us Par Aik Shaitaan
Muqarrar Kar Dete Hain Toh Wo Us Ka Sathi Ho Jata Hai.
37
Aur Ye Shaitaan Un Ko
Raste Se Rokte Rehte Hain Aur Wo Smajhte Hain Ke Seedhe Raste Par Hain.
38
Yahan Tak Ke Jab
Hamare Pas Aaye Ga Toh Kahe Ga, Ke Ae Kaash Mujh Main Aur Tujh Main Mashriq-O-Magrib
Ka Fasla Hota, Tu Bura Sath Hai.
39
Aur Jab Tum Zulm Karte
Rahe Toh Aaj Tumhain Ye Baat Faida Nahi De Sakti Ke Tum Sab Azab Mai Shareek
Ho.
40
Kia Tum Behre Ko Suna
Sakte Ho Ya Andhe Ko Rasta Dikha Sakte Ho Aur Joh Sareeh Gumrahi Main Ho Usse Raah
Par La Sakte Ho.
41
Agar Ham Tum Ko Wafaat
De Kar Utha Lain Toh Un Lougon Se Toh Ham Intiqam Le Kar Rahainge.
42
Ya Tumahri Zindagi Hi
Main Tumhain Wo Aazab Dikha Dainge Jin Ka Ham Ne Un Se Waada Kia Hai Ham In Par
Qabu Rakhte Hain.
43
Pas Tumhari Taraf Joh
Wahi Ki Gai Hai Us Ko Mazboot Pakre Raho. Be Shak Tum Seedhe Raste Par Ho.
44
Aur Ye Quraan Tumhare
Liye Aur Tumahri Qoum Ke Liye Naseehat Hai, Aur Lougo Tum Se Anqareeb Pursish
Hogi.
45
Aur Ae Muhammad.S.A.W.
Joh Apne Paighambar, Ham Ne Tum Se Pehle Bhaije Hain Un Ke Ehwaal Daryafat Kar
Lo. Kia Ham Ne Khudaa-E-Rehman Ke Siwa Aur Maabood Banaye The Ke Un Ki Ibadat
Ki Jaye.
46
Aur Ham Ne Moosa Ko
Apni Nishaniyan De Kar Firown Aur Us Ke Darbaariyoun Ki Taraf Bhaija Toh Unhoun
Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigar-E-Alam Ka Bhaija Hua Hoon.
47
Jab Wo Un Ke Paas
Hamari Nishaniyan Le Kar Aye Toh Wo Nishaniyoun Se Hansi Karne Lage.
48
Aur Joh Nishani Ham Un
Ko Dikhate Hain, Wo Doosri Se Bari Hoti Thi Aur Ham Ne Un Ko Azaab Main Pakar
Liya Taa-Ake Baaz Aayen.
49
Aur Kehne Lage Ke Ae
Jadugar Us Ehed Ke Mutabiq Joh Tere Parwardigar Ne Tujh Se Kar Rakha Hai, Us Se
Dua Kar Be Shak Ham Hidayat Yaab Ho Jayen Ge.
50
So Jab Ham Ne Un Se
Azaab Ko Door Kar Dia Toh Wo Ehed Shikni Karne Lage.
51
Aur Firown Ne Apni
Qoum Se Pukaar Kar Kaha! Ke Ae Qoum Kia Misr Ki Hukumat Mere Hath Main Nahi
Hai. Aur Ye Nehrain Joh Mere Mehloun Ke Neeche Beh Rahi Hain Meri Nahi Hain,
Kia Tum Daikhte Nahi.
52
Be Shak Main Us Shaks
Se Joh Kuch Izzat Nahi Rakhta Aur Saaf Guftugu Bhi Nahi Kar Sakta Kahin Behtar
Hoon.
53
Toh Us Par Sone Ke
Kangan Kion Na Utaare Gaye, Ya Ye Hota Ke Farishte Jama Ho Kar Us Ke Sath Aate.
54
Gharz Us Ne Apni Qoum
Ki Aqal Maar Di.Aur Unhoun Ne Us Ki Baat Maan Li. Be Shak Wo Nafarmaan Loug
The.
55
Jab Unhoun Ne Ham Ko
Khafa Kia, Toh Ham Ne Un Se Intiqaam Le Kar Aur Un Sabko Dibo Kar Chora.
56
Aur Un Ko Gaye Guzre
Kar Dia Aur Pichloun Ke Liye Ibrat Bana Dia.
57
Aur Jab Maryam Ke Bete
Eesa Ka Haal Bayan Kia Gaya Toh Tumhari Qoum Ke Loug Us Se Chilla Uthe.
58
Aur Kehne Lage Ke
Bhala Hamare Maabood Ache Hain, Ya Wo Eesa ,Unhoun Ne Joh Eesa Ki Misaal Tum Se Bayan Ki Hai Toh Sirf Jhagarne
Ko. Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Loug Hain Hi Jhagraaloo.
59
Wo Toh Hamare Aise
Bande The Jin Par Ham Ne Fazal Kia Aur Bani Israil Ke Liye Un Ko Apni Qudrat Ka
Namoona Bana Dia.
60
Aur Agar Ham Chahte
Toh Tum Main Se Farishte Bana Dete Joh Tumhari Jaga Zameen Main Rehte.
61
Aur Wo Eesa Qiamat Ki
Nishai Hain. Toh Keh Do Ke Lougo Is Main Shak Na Karo Aur Mere Peeche Chalo. Ye
Hi Seedha Raasta Hai.
62
Aur Kahin Shaitaan Tum
Ko Is Se Rok Na De. Wo Toh Tumhara Ailaniya Dushman Hai.
63
Aur Jab Eesa
Nishaniyan Le Kar Aye Toh Kehne Lage, Ke Main Tumahare Paas Danayee Ki Kitaab
Le Kar Aya Hoon. Neez Isliye Ke Baaz Batain Jin Main Tum Ikhtilaaf Karte Ho,
Tumko Samjha Doon. Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Mano.
64
Kuch Shak Nahi Ke
Khuda Hi Mera Aur Tumahra Parwardigar Hai Pas Ussi Ki Ibadat Karo. Ye Hi Seedha
Rasta Hai.
65
Phir Kitne Firqe Un
Main Se Phat Gaye. So Joh Loug Zalim Hain Un Ko Dard Dene Wale Din Ke Azaab Se
Kharaabi Hai.
66
Ye Sirf Is Baat Ke
Muntazir Hain Ke Qiamat Un Par Nagahaan Aa Mojood Ho Aur Un Ko Khabar Tak Na
Ho.
67
Joh Apas Main Dost
Hain Us Roz Aik Doosre Ke Dushman Hounge. Magar Parhaizgaar Ke Baham Dost Hi Rahainge.
68
Mere Bando Aaj Tumhain
Na Kuch Khof Hai Aur Na Tum Ghamnaak Hoge.
69
Joh Loug Hamari
Aayatoun Par Eemaan Laye, Aur
Farmabardar Ho Gaye.
70
Un Se Kaha Jaye Ga Ke
Tum Aur Tumhari Bewiyaan Izzat-O-Ehtiraam Ke Sath Behshat Main Dakhil Ho Jao.
71
Un Par Sone Ki
Pirchoun Aur Piyaloun Ka Dour Chale Ga. Aur Wahan Joh Ji Chahe Aur Joh Aankhoun
Ko Acha Lage Aa mojood Hoga.Aur Ae Ehl-E-Jannat Tum Us Main Hamesha Raho Ge.
72
Aur Ye Jannat Jis Ke
Tum Malik Kar Diye Gaye Ho Tumhare Amaal Ka Sila Hai.
73
Wahan Tumhare Liye
Bohot Se Mewe Hain Jin Ko Tum Khao Ge.
74
Aur Kuffaar Gunnehgaar
Hamesha Dozakh Ke Azaab Main Rahainge.
75
Joh un Se Halka Na Kia
Jaye Ga, Aur Wo Us Main Na Umeed Ho Kar Pare Rahainge.
76
Aur Ham Ne Un Par Zulm
Nahi Kia.Balke Wo Khud Hi Apne Aap Par Zulm Karte The.
77
Aur Pukarain Ge Ke Ae
Malik Tumhara Parwardigar Hamain Mout De De. Wo Kahe Ga Ke Tum Hamesha Issi
Halat Main Raho Ge.
78
Ham Tumahre Pas Haq Le
Kar Pohonche, Lekin Tum Main Se Aksar Haq Se Na Khush Hote Rahe Hain.
79
Kia Unhoun Ne Koi Baat
Thehra Rakhi Hai, Toh Ham Bhi Kuch
Thehrane Wale Hain.
80
Kia Ye Loug Ye Khayal
Karte Hain, Ke Ham Unki Posheeda Baatoun Aur Sargoshiyoun Ko Sunte Nahi? Haan Haan Sab Sunte Hain Aur Hamare Farishte
Un Ke Paas Un Ki Sab Batain Likh Lete Hain.
81
Keh Do Ke Agar Khuda
Ke Aulad Ho Toh Main Sab Se Pehle Us Ki Ibadat Karne Wala Hoon.
82
Ye Joh Kuch Bayan
Karte Hain Aasmaanoun Aur Zameen Ka Malik Aur Arsh Ka Malik Us Se Paak Hai.
83
Toh Un Ko Bak Bak
Karne Aur Khailne Do. Yahan Tak Ke Jis Din Ka Un Se Waada Kia Jata Hai Us Ko
Daikh Lain.
84
Aur Wo Hi Aik
Aasmanaoun Main Maabood Hai Aur Wo Hi Zameen Main Maabood Hai. Aur Wo Daana Aur
Ilm Wala Hai.
85
Aur Wo Bohot Babarkat
Hai, Jis Ke Liye Aasmanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ki
Badshahat Hai. Aur Ussi Ko Qiamat Ka Ilm Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jao
Ge.
86
Aur Jin Ko Ye Loug
Khuda Ke Siwa Pukarte Hain Wo Sifarish Ka Kuch Ikhtiyar Nahi Rakhte. Haan Joh
Ilm-O-Yaqeen Ke Sath Haq Ki Gawahi Dain Wo Sifarish Kar Sakt Hain.
87
Aur Agar Tum Un Se
Pocho Ke Un Ko Kis Ne Paida Kia Hai, Toh
Keh Dainge Ke Khuda Ne.Toh Phir Ye Kahan Behke Phirte Hain?
88
Aur Basa Ouqaat
Paigambar Kaha Karte Hain Ke Ae Parwardigaar Ye Aise Loug Hain Ke Eemaan Nahi
Late.
89
Toh Un Se Moonh Phair
Lo Aur Salam Keh Do. Un Ko Anqareeb Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!