Soorah-Al-Qalam
Aayaat-52
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bare Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Noon. Qalam Ki, Aur
Joh Ehl-E-Qalam Likhte Hain Us Ki Qasam.
2
Ke Ae Muhammad S.A.W.
Tum Apne Parwardigar Ke Fazal Se Deewane Nahi Ho.
3
Aur Tumhare Liye Be
Intiha Ajar Hai.
4
Aur Tumhare Ikhlaq
Bare Aali Hain.
5
So Anqareeb, Tum Bhi
Daikh Lo Ge Aur Ye Kafir Bhi Daikh Lainge.
6
Ke Tum Main Se Koun
Deewana Hai.
7
Tumhara Parwardigar Us
Ko Bhi Khoob Jaanta Hai Joh Us Ke Raaste Se Bhatak Gaya, Aur Un Ko Bhi Khoob
Janta Hai, Joh Seedhe Raaste Par Chal Rahe Hain.
8
Toh Tum Jhutlane
Waloun Ka Kaha Na Maan-Na.
9
Ye Loug Chahte Hain Ke
Tum Narmi Ikhtiyaar Karo, Toh Ye Bhi Naram Ho Jaayen.
10
Aur Kisi Aise Shakhs
Ke Kahe Main Na Aajana Joh Bohot Qasamain Khaane Wala Zaleel Ouqaat Hai.
11
Taa-N Aamaiz
Ishaartain Karne Wala Chugliyan Liye Phirne Wala.
12
Maal Main Bukhal Karne
Wala, Hadd Se Barha Hua Badkaar.
13
Sakht Khou Aur Is Ke
Ilawa Badzaat Hai.
14
Is Sabab Se Ke Maal
Aur Baite Rakhta Hai.
15
Jab Is Ko Hamari
Aayatain Parh Kar Sunayee Jati Hain, Toh Kehta Hai, Ke Ye Agle Lougon Ke Afsaane Hain.
16
Ham Anqareeb Us Ki
Naak Par Daagh Lagayen Ge.
17
Ham Ne Un Lougon Ki
Issi Tarha Aazmaaish Ki Hai, Jis Tarha Baagh Waloun Ki Aazmaaish Ki Thi. Jab Unhoun
Ne Qasmain Kha Kha Kar Kaha, Ke Subh Hote Hote Ham Is Ka Maiwa Tour Lainge.
18
Aur Inshaallah Na
Kaha.
19
So Wo Ahbi So Hi Rahte
The, Ke Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Raatoun Raat Us Par Aik Aafat Phir Gai.
20
Toh Wo Aisa Ho Gaya
Jaise Kaati Hui Khaiti.
21
Jab Subha Hui Toh Wo
Loug Aik Doosre Ko Pukarne Lage.
22
Ke Agar Tum Ko Kaatna
Hai, Toh Apni Khaiti Par Sawaire Hi Ja Pohoncho.
23
Toh Wo Chal Pare Aur
Apas Main, Chupke Chupke Kehte Jate The.
24
Ke Aaj Yahan Tumhare
Paas Koi Faqeer Na Aane Paaye.
25
Aur Koshish Ke Sath
Sawaire Hi Ja Pohonche, Goya Khaiti Par Qaadir Hain.
26
Jab Baagh Ko Daikha,
Toh (Weeraan), Kehne Lage Ke Ham Raasta Bhool Gaye Hain.
27
Nahi Balke Ham (Bar
Gashta Bakht) Be Naseeb Hain.
28
Aik Joh Un Main
Farzana Tha Bola Kia Main Ne Tum Se Nahi Kaha Tha Ke Tum Tasbeeeh Kion Nahi
Karte?
29
Tab Wo Kehne Lage, Ke
Hamara Parwardigar Paak Hai, Be Shak Ham Hi Qasoor Waar The.
30
Phir Lage Aik Dosore
Ko Ru Dar Ru Malamat Karne.
31
Kehne Lage Haaye
Shamat, Ham Hi Had Se Barh Gaye The.
32
Ummeed Hai Ke Hamara
Parwardigar Is Ke Badle Main Hamain Is Se Behtar Baagh Inayat Kare, Ham Apne Parwaredigar Ki Taraf Se Rujoo Laate
Hain.
33
Daikho Azaab Youn Hota
Hai. Aur Aakhrat Ka Azaab Is Se Kahin Barh Kar Hai. Kash ! Ye Loug Jaante Hote.
34
Parhaizgaaroun Ke Liye
Un Ke Parwardigar Ke Haan Naimat Ke Baagh Hain.
35
Kia Ham
Farmabardaaroun Ko Nafarmanoun Ki Tarha Naimatoun Se Mehroom Kar Dainge?
36
Tumhain Kia Ho Gaya
Hai, Kaisi Tajweezain Karte Ho?
37
Kia Tumhare Pas Koi
Kitab Hai, Jis Main Ye Parhte Ho.
38
Ke Joh Cheez Tum
Pasand Karo Ge, Wo Tumko Zaroor Mile Gi.
39
Ya Tum Ne Ham Se
Qasmain Le Rakhi Hain, Joh Qiamat Ke
Dinn Tak Chali Jaye Gi, Ke Jis Shae Ka
Tum Hukum Karo Ge, Wo Tumahare Liye Haazir Ho Gi.
40
Un Se Poocho Ke Un
Main Se, Un Ka Koun Zimma Leta Hai?
41
Kia Is Qoul Main Un Ke
Aur Bhi Shareek Han? Agar Ye Sache Hain
Toh Apne Shareekoun Ko La Saamne Karain.
42
Jis Din Pindli Se
Kapra Utha Dia Jaye Ga Aur Kuffaar Sajde Ke Liye Bulaye Jayen Ge, Toh Wo Sajda Na Kar Sakain Ge.
43
Un Ki Aankhain Jhuki
Hui Houngi Aur Un Par Zillat Cha Rahi Hogi, Halanke Pehle Us Waqt Sajde Ke Liye
Bulaye Jaate The, Jab Ke Sahee-O-Salam The.
44
Toh Mujh Ko Is Kalaam
Ke Jhutlaane Waloun Se Samajh Lene Do. Ham Unko Aahista Aahista Aise Tareeq Se
Pakrainge, Ke Un Ko Khabar Bhi Na Hogi.
45
Aur Main Un Ko Mohlat
Diye Jata Hoon Meri Tadbeer Qawi Hai.
46
Kia Tum Un Se Kuch
Ajar Maangte Ho, Ke Un Par Tawaan Ka Bojh Par Raha Hai.
47
Ya Un Ke Paas Ghaib Ki
Khabar Hai, Ke Usse Likhe Jate Hain.
48
Toh Apne Parwardigar
Ke Hukum Ke Intizar Main Sabar Kiye Raho Aur Machli Ka Luqma Hone Wale Younas
Ki Tarha Na Hona, Ke Unhoun Ne Khuda Ko
Pukara Aur Wo Gham-O-Gusse Main Bhare Hue The.
49
Agar Tumhare
Parwardigar Ki Meherbaani Un Ki Yaawri Na Karti Toh Wo Chatyal Maidaan Main
Daal Diye Jaate Aur Un Ka Haal Badd Tar Ho Jata.
50
Phir Parwardigar Ne Un
Ko Burguzeeda Kar Ke Naiko Karoun Main Kar Liya.
51
Aur Kafir Jab Ye
Naseehat Ki Kitaab Sunte Hain, Toh Youn
Lagte Hain Ke Tum Ko Apni Nigaahoun Se Phusla Dainge Aur Kehte Hain Ke Ye Toh
Deewana Hai.
52
Aur Lougo Ye Qruan
Ehl-E-Aalam Ke Liye Naseehat Hai.
_____________________________________
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!