Soorah-Al-Waaqiah
Aayaat-96
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Jab Waaqe Hone Wali
Waaqe Ho Jaye.
2
Us Ke Waaqe Hone Main
Kuch Jhoot Nahi.
3
4
Jab Zameen Bhonchaal
Se Larazne Lage.
5
Aur Pahaar Toor Kar
Raiza Raiza Ho Jaayen.
6
Phir Ghubaar Ho Kar
Urne Lagain.
7
Aur Tum Loug Teen
Qisam Ho Jao.
8
Toh Daahne Hath Wale
(Subhaan Allah) Daahne Hath Wale Kia Hi Chain Main Hain.
9
Aur Baayen Hath Wale
Afsos, Baayen Hath Wale Kia Giriftaa-e-Azaab Hain.
10
Aur Joh Aage Barhne
Wale Hain Un Ka Kia Kehna Wo Aage Hi Barhne Wale Hain.
11
Wo Hi Khuda Ke Maqrab
Hain.
12
Naimat Ki Behshatoun
Main.
13
Wo Bohot Se Toh Agle
Lougon Main Se Hounge.
14
Aur Thore Se Pichloun
Main Se.
15
Laal-O-Yaqoot Wagaira
Se Jare Hue Takhtoun Par.
16
Aamne Samne Takya
Lagaye Hue.
17
Noujawan Khidmat
Guzaar, Joh Hamesha Aik Hi Halat Main Rahainge Un Ke Aas Paas Phirain Ge.
18
Yaani Aabkhore Aur
Aaftaabe Aur Saaf Sharab Ke Gilaas Le Le Kar.
19
Us Se Na Toh Sar Main
Dard Hoga Aur Na un Ki Aqlain Zaail Houngi.
20
Aur Mewe Jis Tarha Ke
Un Ko Pasand Houn.
21
Aur Parindoun Ka Gosht
Jis Qisam Ka Un Ka Jee Chahe.
22
Aur Bari Bari Aankhoun
Wali Hoorain.
23
Jaise( Hifazat Se) Tae
Kiye Hue (Aab Daar) Moti.
24
Ye Un Ke Aamaal Ka
Badla Hai Joh Wo Karte The.
25
Wahan Na Behooda Baat
Sunain Ge Aur Na Gaali Galoch.
26
Haan Un Ka Kalaam
Salam Salam Hoga.
27
Aur Dahne Hath Wale
(Subhaan Allah) Dhane Hath Wale Kia Hi Aish Main Hain.
28
Yaani Be Khaar Ki Bairiyoun.
29
Aur Tae Ba Tae
Kailoun.
30
Aur Lambe Lambe
Saayoun.
31
Aur Paani Ke Jharnoun.
32
Aur Mewa Haaye
Kaseera(Un Countable Dry Fruits) Ke Baaghoun Main.
33
Joh Na Kabhi Khatam
Houn Aur Na Un Se Koi Roke.
34
Aur Oonche Oonche
Farshoun Main.
35
Ham Ne Un Hooroun Ko
Paida Kia.
36
Toh In Ko
Kanwaaariyaan Banaya.
37
Aur Shohroun Ki
Piyaariyan Aur Ham Umar.
38
Yaani Daahne Hath
Waloun Ke Liye.
39
Ye Bohot Se Toh Agle
Lougon Main Se Hain.
40
Aur Bohot Se Pichloun
Main Se.
41
Aur Baayen Hath Wale Afsos
Baayane Hath Wale Kia Hi Azaab Main Hain.
42
Yaani Dozakh Ki Lipat
Aur Kholte Hue Paani Main.
43
Aur Siyaah Dhooain Ke
Saye Main.
44
Joh Na Thanda Hai Na
Khushnuma.
45
Ye Loug Is Se Pehle
Aish-e-Naeem Main Pare Hue The.
46
Aur Gunnah-E-Azeem Par
Are Hue The.
47
Aur Kaha Karte The Ke
Bhala Jab Ham Mar Gaye Aur Matti Ho Gaye Aur Haddiyaan Hi Haddiyaan Reh Gaye,
Toh Kia Hamain Phir Uthna Hoga?
48
Aur Kia Hamare Baap
Dada Ko Bhi?
49
Keh Do Ke Be Shak
Pehle Aur Pichle.
50
Sab Aik Roz-E-Muqarrar
Ke Waqt Jama Kiye Jaye Ge.
51
Phir Tum Ae Jhutlaane
Wale Gumraho!
52
Thoohar Ke Darakht
Khaao Ge.
53
Aur Ussi Se Pait Bharo
Ge.
54
Aur Us Par Kholta Hua
Paani Piyo Ge.
55
Aur Piyo Ge Bhi Toh Is
Tarha Jaise Piyase Oont Peete Hain.
56
Jaza Ke Din Ye Un Ki
Ziafat Hogi.
57
Ham Ne Tum Ko Pehli Baar
Bhi Toh Paida Kia Hai, Toh Tum Dobara
Uthne Ko Kion Sach Nahi Samajhte?
58
Daikho Toh Jis Nutfe
Ko Tum Aurtoun Ke Rehem Main Daalte Ho.
59
Kia Tum Us Se Insaan
Ko Banate Ho, Ya Ham Banate Hain?
60
Ham Ne Tum Main Marna
Tehra Dia Hai Aur Ham Is Baat Se Aajiz Nahi.
61
Ke Tumhari Tarha Ke
Aur Loug Tumhare Jaga Laayen Aur Tum Ko Aise Jahaan Main Jis Ko Tum Nahi Jaante
Paida Kar Dain.
62
Aur Tum Ne Pehli
Paidaish Toh Jaan Hi Li Hai. Phir Tum Sochte Kion Nahi?
63
Bhala Daikho Toh Ke
Joh Kuch Tum Bote(Sow) Ho.
64
Toh Kia Tum Usse
Ugaate Ho Ya Ham Ugaate Hain.
65
Agar Ham Chahain Toh
Usse Choora Choora Kar Dain Aur Tum Baatain Banate Reh Jao.
66
Ke Haaye Ham Toh Muft
Taawaan Main Phans Gaye.
67
Balke Ham Hain Hi Be
Naseeb.
68
Bhala Daikho Toh, Ke
Joh Paani Tum Peete Ho.
69
Kia Tum Ne Us Ko Badal
Se Nazil Kia Hai, Ya Ham Naazil Karte Hain?
70
Agar Ham Chahain Toh
Ham Usse Khaari Kar Dain, Phir Tum Shukar Kion Nahi Karte?
71
Bhala Daiko Toh Joh
Aag Tum Darakht Se Nikaalte Ho.
72
Kia Tum Ne Us Ke
Darakht Ko Paida Kia Hai, Ya Ham Paida Karte Hain?
73
Ham Ne Usse Yaad
Dilaane Aur Musafirroun Ke Baratne Ko Banaya Hai.
74
Toh Tum Apne
Parwardigar Buzurg Ke Naam Ki Tasbeeh Karo.
75
Hamain Taaroun Ki
Manziloun Ki Qasam.
76
Aur Agar Tum Samjho
Toh Ye Bari Qasam Hai.
77
Ke Ye Bare Rutbe Ka
Quraan Hai.
78
Joh Kitaab-E-Mehfooz
Main Likha Hua Hai.
79
Is Ko Wo Hi Hath
Lagate Hain Joh Paak Hain.
80
Parwardigar-E-Aalam Ki
Taraf Se Utaara Gaya Hai.
81
Kia Tum Is Kalaam Se
Inkaar Karte Ho?
82
Aur Apna Wazeefa Ye
Banate Ho Ke Isse Jhutlaate Ho.
83
Bhala Jab Rooh Gale
Main Aa Pohonchti Hai.
84
Aur Tum Us Waqt Ki
Halat Ko Daikha Karte Ho.
85
Aur Ham Us Marne Wale
Se Tum Se Bhi Ziada Nazdeek Hote Hain, Lekin Tum Ko Nazar Nahi Aate.
86
Pass Agar Tum Kisi Ke
Bas Main Nahi Ho.
87
Toh Agar Sache Ho Toh
Rooh Ko Phair Kion Nahi Lete?
88
Phir Agar Wo Khuda Ke
Muqraboun Main Se Hai.
89
Toh Us Ke Liye Araam
Aur Khushboodaar Phool Aur Naimat Ke Baagh Hain.
90
Aur Agar Wo Daayen Hath
Waloun Main Se Hain.
91
Toh Kaha Jaye Ga Ke
Tujh Par Daahne Hath Waloun Ki Taraf Se Salam.
92
Aur Agar Wo Jhutlaane
Wale Gumrahoun Main Se Hain.
93
Toh Us Ke Liye Kholte
Paani Ki Ziafat Hain.
94
Aur Jahannum Main
Dakhil Kia Jana.
95
Ye Dakhil Kia Jana
Yaqeenan Saheeh, Yaani Haqq-Ul-Yaqeen Hai.
96
Toh Tum Apne
Parwardigar-E-Buzurg Ke Naam Ki Tasbeeh
Karte Raho.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!