Soorah-Ad-Dukhan
Aayaat-59
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Haa Meem.
2
Is Kitaab-E-Roshan Ki
Qasam.
3
Keh Ham Ne Is Ko
Mubarak Raat Main Nazil Farmaya Ham Toh Rasta Dikhane Wale Hain.
4
Ussi Raat Main Tamaam
Hikmat Ke Kaam Faisla Kiye Jate Hain.
5
Yani Hamare Haan Se
Hukum Ho Kar. Be Shak Ham Hi Paigambar Ko Bhaijte Hain.
6
Ye Tumahre Parwardigar
Ki Rehamat Hai. Wo Toh Sunn-Ne Wala Jaan-Ne Wala Hai.
7
Aasmanoun Aur Zameen
Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ka Malik. Bashart Ye Keh Tum Loug Yaqeen
Karne Wale Ho.
8
Us Ke Siwa Koi Maabood
Nahi. Wo Hi Jilata Hai Aur Wo Hi Maarta Hai. Wo Hi Tumhara Aur Tumahre Pehle
Baap Dada Ka Parwardigar Hai.
9
Lekin, Ye Loug Shak
Main Khail Rahe Hain.
10
Toh Us Din Ka Intizaar
Karo Ke Aasmaan Se Sareeh Dhuaan Nikle Ga.
11
Joh Lougon Par Cha
Jaye Ga.Ye Dard Dene Wala Azaab Hai.
12
Ae Parwardigar Ham Se
Is Azaab Ko Door Kar, Ham Eemaan Laate Hain.
13
Us Waqt Un Ko Naseehat
Kahan Mufeed Hogi, Jab Ke Un Ke Paas Paigamabar Aa Chuke, Joh Khol Khol Kar
Bayan Kar Dete The.
14
Phir Unhoun Ne Un Se
Moonh Phair Liya Aur Kehne Lage Ye Toh Parhaya Hua Aur Deewana Hai.
15
Ham Toh Thore Dinoun
Azaab Taal Dete Hain, Magar Tum Phir Kufur Karne Lagte Ho.
16
Jis Din Bari Sakht
Pakar Pakrainge Toh Be Shak Intiqaam Le Kar Chorain Ge.
17
Aur Un Se Pehle Ham Ne
Qoum-E-Firown Ki Aazmaaish Ki Aur Un Ke Paas Aik Aali Qadar Paigambar Aaye.
18
Jinhoun Ne Ye Kaha Ke
Khuda Ke Bandoun, Yaani Bani Israil Ko Mere Hawale Kar Do, Main Tumhara Amanat
Daar Paigambar Hoon.
19
Aur Khuda Ke Saamne
Sar Kashi Na Karo. Main Tumhare Pas Khuli Daleel Le Kar Aaya Hoon.
20
Aur Is Bat Se Ke Tum
Mujhe Sangsaar Karo, Apne Aur Tumhare Parwardigar Ki Panaah Mangta Hoon.
21
Aur Agar Tum Mujh Par
Eemaan Nahi Laate Toh Mujh Se Alag Ho Jao.
22
Tab Moosa Ne Apne
Parwardigar Se Dua Ki Ke Ye Nafarmaan Loug Hain.
23
Khuda Ne Farmaya Ke
Mere Bandoun Ko Raatoun Raat Le Kar Chale Jao Aur Firowni Zaroor Tumahara
Taaqub Karainge.
24
Aur Darya Se Ke Khushk
Ho Raha Hoga, Paar Ho Jao Tumhare Baad Un Ka Tamam Lashkar Dibo Dia Jaye Ga.
25
Wo Loug Bohot Se Baagh
Aur Chashme Chor Gaye .
26
Aur Khaitiyan Aur
Nafees Makaan.
27
Aur Araam Ki Cheezain
Jin Main Aish Kia Karte The.
28
Issi Tarha Hua, Aur
Ham Ne Doosre Lougon Ko Un Cheezoun Ka Malik Bana Dia.
29
Phir Un Par Na Toh
Aasmaan Aur Zameen Ko Rona Aya Aur Na Un
Ko Mohlat Hi Di Gai.
30
Aur Ham Ne Bani Israil
Ko Zillat Ke Azaab Se Nijaat Di.
31
Yaani Firown Se. Be
Shak Wo Sarkash Aur Had Se Nikla Hua Tha.
32
Aur Ham Ne Bani
Israhil Ko Ehl-E-Aalam Se Daanista Muntakhib Kia Tha.
33
Aur Un Ko Aisi
Nishaniyan Di Theen Jin Main Sareeh Aazmaaish Thi.
34
Ye Loug Ye Kehte Hain.
35
Ke Hamain Sirf Pehli
Dafa Yaani Aik Baar Marna Hai Aur Phir Uthna Nahi.
36
Pas Agar Tum Sache Ho
Toh Hamare Baap Dada Ko Zinda Kar Lao.
37
Bhala Ye Ache Hain, Ya
Tooba Ki Qoum, Aur Wo Loug Joh Tum Se Pehle Ho Chuke Hani. Ham Ne Un Sab Ko
Halaak Kar Dia.Be Shak Wo Gunnehgaar The.
38
Aur Ham Ne Aasmanoun
Aur Zameen Ko Aur Joh Kuch Un Main Hai Un Ko Khailte Hue Nahi Banaya.
39
Un Ko Ham Ne Tadbeer
Se Paida Kia Hai, Lekin Askar Loug Nahi Jante.
40
Kuch Shak Nahi Ke
Faisle Ke Din Un Sab Ke Uthne Ka Waqt Hai.
41
Jis Din Koi Dost Kisi
Dost Ke Kuch Kaam Na Aye Ga Aur Na Un Ko Madad Mile Gi.
42
Magar Jis Par Khuda
Meherbaani Kare.Wo Toh Galib Aur Meherbaan Hai.
43
Bila Shuba Thouhar Ka
Darakht.
44
Gunnehgar Ka Khana
Hai.
45
Jaise Pighla Hua
Taamba .Paitoun Main Is Tarha Khole Ga.
46
Jis Tarha Garam Paani
Kholta Hai.
47
Hukum Dia Jaye Ga Ke
Is Ko Pakar Lo Aur Khainchte Hue Dozakh
Ke Beechoun Beech Le Jao.
48
Phir Us Ke Sar Par
Kholta Hua Paani Undail Do, Ke Azab Par
Azaab Ho.
49
Ab Mazah Chakh. Tu
Bari Izzat Wala Aur Sardaar Hai.
50
Ye Wo Hi Dozakh Hai
Jis Main Tum Loug Shak Kia Karte The.
51
Be Shak Parhaizgaar
Loug Aman Ke Maqaam Main Hounge.
52
Yaani Baaghoun Aur
Chasmoun Main.
53
Hareer Ka, Bareek Aur
Dabeez Libaas Pehen Kar, Aik Doosre Ke Saamne Baithe Hounge.
54
Wahan Is Tarha Ka Haal
Hoga Aur Ham Bari Bari Aankoun Wali Safaid Rang Ki Aurtoun Se Un Ke Jore
Lagayen Ge.
55
Wahan Khatir Jama Se
Har Qisam Ke Mewe Mangwaayen Ge Aur Khaayen Ge.
56
Aur Pehli Dafa Ke Marne Ke Siwa, Ke Mar Chuke The,
Mout Ka Mazah Nahi Chakhain Ge. Aur Khuda un Ko Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le Ga.
57
Ye Tumhare Parwardigar
Ka Fazal Hai. Ye Hi Toh Bari Kamyabi Hai.
58
Ham Ne Is Quraan Ko
Tumahri Zabaan Main Asan Kar Dia Hai Ta-Ake Ye Loug Naseehat Pakrain.
59
Pas Tum Bhi Intizar
Karo Ye Bhi Intizar Kar Rahe Hain.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!