Soorah-At-Talaaq
Aayaat-12
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Paigambar S.A.W.
Muslamaanoun Se Keh Do, Ke Jab Tum Aurton Ko Tallaaq Dene Lago, Toh Un Ki Iddat
Ke Shroo Main Talaaq Do Aur Iddat Ka Shumaar Rakho. Aur Khuda Se Joh Tumhara
Parwardigar Hai Daro. Na Toh Tumhi Un Ko Ayaam-E-Iddat Main Un Ke Gharoun Se
Nikaalo Aur Na Wo Khud Hi Niklain. Haan Agar Wo Sareeh Be Hayaeee Karain, Toh
Nikaal Dena Chahiye Aur Ye Khuda Ki Hadain Hain. Joh Khuda Ki Hadoun Se
Tajawuzz Kare Ga Wo Apne Aap Par Zulm Kare Ga. Ae Tallaaq Dene Wale Tujhe Kia
Maloom Shayad Khuda Us Ke Baad Koi Rujaat Ki Sabeel Paida Kar De.
2
Phir Jab Wo Apni
Mayaad Yaani Inqazaa-E-Iddat Ke Qareeb Pohonch Jaayen, Toh Ya Toh Un Ko Achi
Tarha Zojiyat Main Rehne Do, Ya Achi Tarha Se Alehda Kar Do Aur Apne Main Se Do
Munsif Mardoun Ko Gawah Kar Lo Aur Gawaho! Khuda Ke Liye Durust Gawahi Dena. In
Baatoun Se Us Shaks Ko Naseehat Ki Jati Hai Joh Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat Pe
Emeenan Rakhta Hai. Aur Joh Koi Khuda Se Dare Ga Wo Us Ke Liye Ranj-O-Mehin Se
Mukhlasi Ki Soorat Paida Kar De Ga.
3
Aur Us Ko Aisi Jaga Se
Rizqq De Ga, Jahan Se Wehm-O-Gumana Bhi Na Ho. Aur Joh Khuda Par Bhaorsa Rakhe Ga, Toh Wo Us Ko
Kifayat Kare Ga. Khuda Apne Kaam Ko Joh Wo Karna Chahta Hai Poora Kar Deta Hai.
Khuda Ne Har Cheez Ka Andaza Muqarrar Kar Rakha Hai.
4
Aur Tumhari Mutaliqa
Aurtain, Joh Haiz Se Na Umeed Ho Chuki Houn, Agar Tum Ko Un Ki Iddat Ke Baare
Main Shuba Ho, Toh Un Ki Iddat Teen Maheene Hai Aur Jin Ko Abhi Haiz Nahi Aane
Laga Un Ki Iddat Bhi Ye Hi Hai Aur Hamal Wali Aurtoun Ki Iddat Wazaa-E-Hamal
Yaani Bahca Jann-Ne Tak Hai. Aur Joh Khuda Se Dare Ga Khuda Us Ke Kaam Main
Sahoolat Paida Kar De Ga.
5
Ye Khuda Ke Hukum Hain,
Joh Khuda Ne Tum Par Nazil Kiye Hain. Aur Joh Khuda Se Dare Ga Wo Us Se Us Ke
Gunnah Door Kar De Ga Aur Usse Ajar-E-Azeem Bakhshe Ga.
6
Mutaliqa Aurtoun Ko
Ayaam-E-Iddat Main Apne Maqdoor Ke Mutabiq Waheen Rakho, Jahan Khud Rehte Ho Aur Un Ko Tang Karne Ke
Liye Takleef Na Do Aur Agar Hamal Se Houn, Toh Bacha Jann-Ne Tak Un Ka Kharch
Dete Raho. Phir Agar Wo Bache Ko Tumhare Kehne Se Doodh Pilaayen, Toh Un Ko Un
Ki Ujjrat Do. Aur Bache Ke Baare Main Pasandeeda Tareeq Se Mawafiqat Rakho. Aur
Agar Bhaham Zidd Aur Na Ittifaqi Karo Ge, Toh Bache Ko Us Ke Baap Ke Kehne Se Koi Aur
Aurat Doodh Pilaye Gi.
7
Sahib-E-Wussat Ko Apni
Wussat Ke Mutabiq Kharch Karna Chahiye. Aur Jis Ke Rizq Main Tangi Ho, Wo Jitna
Khuda Ne Us Ko Dia Hai Us Ke Mawafiq Karch Kare. Khuda Kisi Ko Takleef Nahi
Deta Magar Ussi Ke Mutabiq, Joh Us Ko Dia Hai Aur Khuda Anqareeb Tangi Ke Baad
Kushaaish Bakhshe Ga.
8
Aur Bohot Si
Bastiyuoun Ke Rehne Waloun Ne Apne Parwardigaar Aur Us Ke Paigambaroun Ke
Ehkaam Se Sar Kashi Ki, Toh Ham Ne Un Ko Sakht Hisaab Main Pakar Liya Aur Un
Par Aisa Azaab Nazil Kia Joh Na Daikha Tha Na Suna.
9
Sou Unhoun Ne Apne
Kaamoun Ki Saza Ka Mazah Chakh Liya Aur Un Ka Anjaam Nuqsaan Hi Toh Tha.
10
Khuda Ne Un Ke Liye
Sakht Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai. Toh Ae Arbaab-E-Daanish Joh Eemaan Laye Ho
Khuda Se Daro. Khuda Ne Tumhare Paas Naseehat Ki Kitaab Bhaiji Hai.
11
Aur Apne Paighambar
Bhi Bhaije Hain, Joh Tumhare Saamne Khuda Ki Waazeh-Ul-Matlab Aayatain Parhte
Hain, Taa-Ake Joh Loug Eemaan Laye Aur
Amal-E-Naik Karte Rahe Hain, Un Ko Andhaire Se Nikaal Kar Roshni Main Le Aayen
Aur Joh Shakhs Eemaan Laye Ga Aur Amal-E-Naik Kare Ga Un Ko Baaghhaaye Behshat Main Dakhil Kare Ga,
Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Abad-Ul-Abaad Un Main Rahain Ge. Khuda Ne Un
Ko Khoob Rizq Dia Hai.
12
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Saat Aasmaan Paida Kiye Aur Waisi Hi Zameenain, Un Main Khuda Ke Hukum Utarte Rehte Hain
Taa-Ake Tum Loug Jaan Lo Ke Khuda Har
Cheez Par Qaadir Hai. Aur Ye Ke Khuda Apne Ilm Se Har Cheez Par Ahaata Kiye Hue
Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!