Tuesday, 19 April 2016

65-Soorah-at-Tallaq-Aayaat-12




Soorah-At-Talaaq

Aayaat-12

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Paigambar S.A.W. Muslamaanoun Se Keh Do, Ke Jab Tum Aurton Ko Tallaaq Dene Lago, Toh Un Ki Iddat Ke Shroo Main Talaaq Do Aur Iddat Ka Shumaar Rakho. Aur Khuda Se Joh Tumhara Parwardigar Hai Daro. Na Toh Tumhi Un Ko Ayaam-E-Iddat Main Un Ke Gharoun Se Nikaalo Aur Na Wo Khud Hi Niklain. Haan Agar Wo Sareeh Be Hayaeee Karain, Toh Nikaal Dena Chahiye Aur Ye Khuda Ki Hadain Hain. Joh Khuda Ki Hadoun Se Tajawuzz Kare Ga Wo Apne Aap Par Zulm Kare Ga. Ae Tallaaq Dene Wale Tujhe Kia Maloom Shayad Khuda Us Ke Baad Koi Rujaat Ki Sabeel Paida Kar De.

2
Phir Jab Wo Apni Mayaad Yaani Inqazaa-E-Iddat Ke Qareeb Pohonch Jaayen, Toh Ya Toh Un Ko Achi Tarha Zojiyat Main Rehne Do, Ya Achi Tarha Se Alehda Kar Do Aur Apne Main Se Do Munsif Mardoun Ko Gawah Kar Lo Aur Gawaho! Khuda Ke Liye Durust Gawahi Dena. In Baatoun Se Us Shaks Ko Naseehat Ki Jati Hai Joh Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat Pe Emeenan Rakhta Hai. Aur Joh Koi Khuda Se Dare Ga Wo Us Ke Liye Ranj-O-Mehin Se Mukhlasi Ki Soorat Paida Kar De Ga.

3
Aur Us Ko Aisi Jaga Se Rizqq De Ga, Jahan Se Wehm-O-Gumana Bhi Na Ho. Aur  Joh Khuda Par Bhaorsa Rakhe Ga, Toh Wo Us Ko Kifayat Kare Ga. Khuda Apne Kaam Ko Joh Wo Karna Chahta Hai Poora Kar Deta Hai. Khuda Ne Har Cheez Ka Andaza Muqarrar Kar Rakha Hai.
4
Aur Tumhari Mutaliqa Aurtain, Joh Haiz Se Na Umeed Ho Chuki Houn, Agar Tum Ko Un Ki Iddat Ke Baare Main Shuba Ho, Toh Un Ki Iddat Teen Maheene Hai Aur Jin Ko Abhi Haiz Nahi Aane Laga Un Ki Iddat Bhi Ye Hi Hai Aur Hamal Wali Aurtoun Ki Iddat Wazaa-E-Hamal Yaani Bahca Jann-Ne Tak Hai. Aur Joh Khuda Se Dare Ga Khuda Us Ke Kaam Main Sahoolat Paida Kar De Ga.

5
Ye Khuda Ke Hukum Hain, Joh Khuda Ne Tum Par Nazil Kiye Hain. Aur Joh Khuda Se Dare Ga Wo Us Se Us Ke Gunnah Door Kar De Ga Aur Usse Ajar-E-Azeem Bakhshe Ga.

6
Mutaliqa Aurtoun Ko Ayaam-E-Iddat Main Apne Maqdoor Ke Mutabiq Waheen Rakho,  Jahan Khud Rehte Ho Aur Un Ko Tang Karne Ke Liye Takleef Na Do Aur Agar Hamal Se Houn, Toh Bacha Jann-Ne Tak Un Ka Kharch Dete Raho. Phir Agar Wo Bache Ko Tumhare Kehne Se Doodh Pilaayen, Toh Un Ko Un Ki Ujjrat Do. Aur Bache Ke Baare Main Pasandeeda Tareeq Se Mawafiqat Rakho. Aur Agar Bhaham Zidd Aur Na Ittifaqi Karo Ge,  Toh Bache Ko Us Ke Baap Ke Kehne Se Koi Aur Aurat Doodh Pilaye Gi.

7
Sahib-E-Wussat Ko Apni Wussat Ke Mutabiq Kharch Karna Chahiye. Aur Jis Ke Rizq Main Tangi Ho, Wo Jitna Khuda Ne Us Ko Dia Hai Us Ke Mawafiq Karch Kare. Khuda Kisi Ko Takleef Nahi Deta Magar Ussi Ke Mutabiq, Joh Us Ko Dia Hai Aur Khuda Anqareeb Tangi Ke Baad Kushaaish Bakhshe Ga.

8
Aur Bohot Si Bastiyuoun Ke Rehne Waloun Ne Apne Parwardigaar Aur Us Ke Paigambaroun Ke Ehkaam Se Sar Kashi Ki, Toh Ham Ne Un Ko Sakht Hisaab Main Pakar Liya Aur Un Par Aisa Azaab Nazil Kia Joh Na Daikha Tha Na Suna.


9
Sou Unhoun Ne Apne Kaamoun Ki Saza Ka Mazah Chakh Liya Aur Un Ka Anjaam Nuqsaan Hi Toh Tha.

10
Khuda Ne Un Ke Liye Sakht Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai. Toh Ae Arbaab-E-Daanish Joh Eemaan Laye Ho Khuda Se Daro. Khuda Ne Tumhare Paas Naseehat Ki Kitaab Bhaiji Hai.

11
Aur Apne Paighambar Bhi Bhaije Hain, Joh Tumhare Saamne Khuda Ki Waazeh-Ul-Matlab Aayatain Parhte Hain,  Taa-Ake Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Hain, Un Ko Andhaire Se Nikaal Kar Roshni Main Le Aayen Aur Joh Shakhs Eemaan Laye Ga Aur Amal-E-Naik Kare Ga  Un Ko Baaghhaaye Behshat Main Dakhil Kare Ga, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Abad-Ul-Abaad Un Main Rahain Ge. Khuda Ne Un Ko Khoob Rizq Dia Hai.

12
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Saat Aasmaan Paida Kiye Aur Waisi Hi Zameenain,  Un Main Khuda Ke Hukum Utarte Rehte Hain Taa-Ake Tum Loug Jaan Lo  Ke Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai. Aur Ye Ke Khuda Apne Ilm Se Har Cheez Par Ahaata Kiye Hue Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!