Wednesday, 27 April 2016

33-Al-Ahzab-Aayat-73



Soorah Al-Ahzab

Aayaat 73

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Paigambar S.A.W. Khuda Se Darte Rehna Aur Kaafiroun Aur Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na. Be Shak Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.

2
Aur Joh Kitaab Tum Ko Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Wahi Ki Jati Hai Ussi Ki Pairwi Kiye Jana. Be Shak Khuda Tumhare Sab Amaaloun Se Khabardar Hai.

3
Aur Khuda Par Bharosa Rakhna. Aur Khuda Hi Kaarsaz Kafi Hai.

4
Khuda Ne Kisi Aadmi Ke Pehlu Main Do Dill Nahi Banaye. Aur Na Tumhari Aurtoun Ko, Jin Ko Tum Maan Keh Baithe Ho Tumhari Maan Banaya, Aur Na Tumhre Le Paalakoun(Adopted Child) Ko Tumhare Bete Banaya. Ye Sab Tumhare Moonh Ki Baatain Hain. Aur Khuda Toh Sachhi Baat Fermata Hai Aur Wo Hi Seedha Rasta Dikhata Hai.

5
Momino! Le Paalkoun(Adopted Child) Ko Un Ke Asli Baapoun Ke Naam Se Pukara Karo. Keh Khuda Ke Nazdeek Ye Hi Baat Dururst Hai. Agar Tumko Un Ke Baapoun Ke Naam Maloom Na Houn Toh Deen Main Wo Tumhare Bhai Aur Dost Hain Aur Joh Baat Tum Se Ghalti Se Ho Gai Ho Us Mai Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Lekin Joh Qasad Dili Se Karo Us Par Mawaakhza Hai Aur Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.
6
Paighambar Mominoun Par Un Ki Jaanoun Se Bhi Ziada Haq Rakhte Hain, Aur Paighamar Ki Bewiyaana Un Ki Maayen Hain. Aur Rishta Daar Apas Main Kitaab-ul-ALLAH Ke Roo Se Musalmaanoun Aur Mohaajroun Se, Aik Doosre Ke Tarke Ke Ziada Haqdaar Hain . Magar Ye Ke Tum Apne Dostoun Pe Ehsaan Karna Chaho. Ye Hukum Kitaab Yaani Quraan Main Likh Dia Gaya Hai.

7
Aur Jab Ham Ne Paigambaroun Se Ehed Liya, Aur Tum Se Nooh Se Aur Ibarahim Se Aur Moosa Se Aur Maryam Ke Bete Eesa Se. Aur Ehed Bhi Un Se Pakka Liya.

8
Ta-Ake Sach Kehne Waloun Se Un Ki Sachayee Ke Bare Main Daryaaft Kare Aur Us Ne Kaafiroun Ke Liye Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

9
Momino Khuda Ki Us Meherbaani Ko Yaad Karo, Joh Us Ne Tum Par Us Waqt Ki, Jab Foujaain Tum Par Hamla Karne Ko Aayen. Toh Ham Ne Un Par Hawa Bhaiji Aur Aise Lashkar Nazil Kiye Jin Ko Tum Daikh Nahi Sakte The. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Un Ko Daikh Raha Hai.

10
Jab Wo Tumhare Oopar Aur Neeche Ki Taraf Se Tum Par Charh Aaye Aur Jab Aankahin Phir Gayee Aur Dil Mare Dehshat Ke Galoun Tak Pohonch Gaye Aur Tum Khuda Ki Nisbat Tarha Tarha Ke Gumaan Karne Lage.

11
Wahan Momin Aazmaaye Gaye, Aur Sakhst Tour Par Hilaaye Gaye.




12
Aur Jab Munafiq Aur Wo Loug Jin Ke Diloun Main Bimari Hai Kehne Lage Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ne Toh Ham Se Mehez Dhoke Ka Waada Kia Tha.

13
Aur Jab Un Main Se Aik Jamaat Kehti Thi,  Ke Ae Ehl-E-Madeena Yahan Tumhare Theherne Ka Maqaam Nahi, Toh Lout Chalo. Aur Aik Guroh Un Main Se Paigamabar Se Ijazat Maangne Aur Kehne Laga Ke Hamare Ghar Khule Pare Hain, Halaanke Wo Khule Nahi The. Wo Toh Sirf Bhaagna Chahte The.

14
Aur Agar Foujain Itraaf-E-Madeena Se Un Par Aa Dakhil Houn Phir Un Se Khana Jangi Ke Liye Kaha Jaye, Toh Foran Karne Lagain Aur Us Ke Liye Bohot Kam Tawaquff Karain.

15
Halanke Pehle Khuda Se Iqraar Kar Chuke The, Ke Peeth Nahi Phairain Ge .Aur Khdua Sa Joh Iqraar Kia Jata Hai Us Ki Zaroor Purrshish Hogi.

16
Keh Do Ke Agar Tum Marne Ya Maarne Jane Se Bhaagte Ho Toh Bhaagna Tum Ko Faaida Nahi De Ga Aur Us Waqt Tum Bohot Hi Kam Faaaida Uthaao Ge.

17
Keh Do Ke Agar Khuda Tumhare Sath Burai Ka Iraada Kare Toh Koun Tum Ko Is Se Bacha Sakta Hai, Ya Agar Tum Par Meherbaani Karni Chahte Toh Koun Us Ko Hata Sakta Hai, Aur Ye Loug Khuda Ke Siwa Kisi Ko Na Apna Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.

18
Khuda Tum Main Se Un Lougon Ko Bhi Jaanta Hai, Joh Lougon Ko Mana Karte Hain Aur Apne Bhaaiyoun Se  Kehte Hain Ke Hamare Pas Chale Aao.MAur Larayee Main Nahi Aate Magar Kam.
19
Ye Is Liye Ke Tumhare Bare Main Bukhal Karte Hain. Phir Jab Dar Ka Waqt Aaye, Toh Tum Unko Daikho, Ke Tumhri Taraf Daikh Rahe Hain, Aur Un Ki Aankhian Issi Tarah Phir Rahi Hain Jaise Kisi Ko Mout Se Ghashi Aa Rahi Ho. Phir Jab Khof Jaata Rahe Toh Taiz Zabbnoun Ke Sath Tumhare Bare Main Zabaan Daraazi Karain Aur Maal Main Bukhal Karian . Ye Loug Haqeeqat Main Eemaan Laaye Hi Na The Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal Barbaad Kar Diye Aur Ye Khuda Ko Aasaaan Tha.

20
Khof Ke Sabab Khayal Karte Hain, Ke Foujain Nahi Gayee. Aur Agar Lashkar Aa Jaayen Toh Tamanna Karain,  Ke Kaash Ganwaaroun Main Ja Rahain Aur Tumhari Khabar Poocha Karian. Aur Agar Tumhare Darmyaan Houn Toh Larayee Na Karain , Magar Kam.

21
Tum Ko Paigambar-E-Khuda Ki Pairwi Karni Behtar Hai Yaani Us Shakhs Ko Jisse Khuda Se Milne Aur Roz-E-Qiamat Ke Aane Ki Umeed Ho Aur Wo Khuda Ka Zikar Kasrat Se Karta Ho.

22
Aur Jab Mominoun Ne Kaafiroun Ke Lashkar Ko Daikha, Toh Kehne Lage, Ye Wo Hi Hai Jis Ka Khuda Aur Us Ke Paigamabar Ne Ham Se Waada Kia Tha, Aur Khuda Aur Us Ke Paigamabar Ne Sach Kaha Tha. Aur Us Se Un Ka Eemaan Aur Itaa-At Aur Ziada Ho Gai.

23
Mominoun Main, Kitne Hi Aise Shakhs Hain, Ke Joh Iqraar Unhoun  Ne Khuda Se Kia Tha Us Ko Sach Kar Dikhaya. Toh Un Main Baaz Aise Hain Jon Apni Nazar Se Faarigh Ho Gaye Aur Baaz Aise Hain Ke Intizar Kar Rahe Hain Aur Unhoun Ne Apne Qoul Ko Zara Bhi Nahi Badla.



24
Taa-Ake Khuda Sachoun Ko Un Ki Sachayee Ka Badla De Aur Munafiqoun Ko Chahe Toh Azaab De Ya Chahe Toh Un Par Meherbaani Kare. Beshak Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.

25
Aur Joh Kafir The Un Ko Khuda Ne Phair Dia Aur Wo Apne Ghusse Main Bhare Hue The, Kuch Bhalaiyee Hasil Na Kar Sake. Aur Khuda Mominoun Ko Larayee Ke Bare Main Kafi Hua. Aur Khuda Taqatwar Aur Zabardast Hai.

26
Aur Ehl-E-Kitaab Main Se Jinhoun Ne Un Ki Madad Ki Thi, Un Ko Un Ke Qiloun Se Utaar Dia Aur Un Ke Diloun Main Dehshat Daal Di. Toh Kitnoun Ko Tum Qatal Kar Dete The, Aur Kitnou Ko Qaid Kar Lete The.

27
Aur Un Ki Zameen, Aur Un Ke Gharoun Aur Un Ke Maal Aur Us Zameen Ka, Jis Main Tum Ne Paaoun Bhi Nahi Rakha Tha, Tumko Waaris Bana Dia. Aur Khuda Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.

28
Ae Paigambar S.A.W. Apni Biwiyon Se Keh Do Ke Agar Tum Dunia Ki Zindagai Aur Us Ki Zeenat-O-Aaraaish Ki Khuaastgaar Ho, Toh Aao Main Tumhain Kuch Maal Doon Aur Achi Tarha Se Rukhsat Kar Doon.

29
Aur Agar Tum Khuda Aur Us Ke Paigamabar Aur Aaqbat Ke Ghar Yaani Behshat Ki Talabgaar Ho, Toh Tum Main Joh Naiko Kari Karne Wali Hain, Un Ke Liye Khuda Ne Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar Rakha Hai.




30
Ae Paigambar Ki Biwiyo, Tum Main Se Joh Koi Sareeh Na Shaaista Harkaat Kare Gi. Us Ko Dooni Saza Di Jaye Gi Aur Ye Baat Khuda Ko Aasaan Hai.

31
Aur Joh Tum Se,  Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardaar Rahe Gi Aur Amal-e-Naiki Kare Gi. Us Ko Ham Doona Sawab Dainge Aur Us Ke Liye Ham Ne Izzat Ki Rozi Taiyaar Kar Rakhi Hai.

32
Ae Paigambar Ki Biwiyo Tum Aur Aurtoun Ki Tarha Nahi Ho. Agar Tum Parhaizgaar Rehna Cahti Ho Toh Kisi Ajnabi Shakhs Se Narm Narm Baatain Na Kia Karo, Taa-Ake Wo Shakash Jis Ke Dil Main Kisi Tarha Ka Marz Hai Koi Umeed Na Paida Kar Le. Aur Un Main Dastoor Ke Mutabiq Baat Kia Karo.

33
Aur Apne Gharoun Main Thehri Raho,  Aur Jis Tarha Pehle Jaahliyat Ke Dinoun Main Izhaar-E-Tajammul Karti Theen. Uss Tarha Zeenat Na Dikhao. Aur Namaaz Parhti Raho Aur Zakat Deti Raho Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Faramabardari Karti Raho. Ae Paigamabar S.A.W. Ke Ehle-E-Bait Khuda Chahta Hai Ke Tum Se Napaaki Ka Mail Kuchail Door Kar De Aur Tumhain Bilkul Paak Saaf Kar De.

34
Aur Tumhare Gharoun Main Joh Khuda Ki Aayatain Parhi Jati Hain Aur Hikmat Ki Baatain Sunaye Jati Hain, Un Ko Yaad Rakho.Be Shak Khuda Baareek Been Aur Ba Khabar Hai.








35
Joh Loug Khuda Ke Aage Sar-E-Itaa-At Kham Karne Wale Hain Yaani Musalmaan Mard Aur Mulsalmaan Aurtain Aur Momin Mard Aur Momin Aurtain Aur Farmabadar Mard Aur Farmabardar Aurtain Aur Raast Baz Mard  Aur Raast Baz Aurtain Aur Sabar Karne Wale Mard Aur Sabar Karne Wali Aurtain Aur Farotni Karne Wale Mard Aur Farotni Karne Wali Aurtain Aur Khairaat Karne Wale Mard Aur Khairaat Karne Wali Aurtain Aur Roze Rakhne Wale Mard Aur Roze Rakhne Wali Aurtain Aur Apni Sharmgaahoun Ki Hifazat Karne Wale Mard Aur Hifazat Karne Wali Aurtain Aur Khuda Ko Kasrat Se Yaad Karne Wale Mard Aur Kasrat Se Yaad Karne Wali Aurtain. Kuch Shak Nahi Ke Un Ke Liye Khuda Ne Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar Rakha Hai.

36
Aur Kisi Momin Mard Aur Momin Aurat Ko Haq Nahi Hai Ke Jab Khuda Aur Us Ka Rasool Koi Amar Muqarrar Kar Dain Toh Wo Us Kaam Main Apna Bhi Kuch Ikhtiyaar Samjhain.Aur Joh Koi Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani Kare Wo Sareeh Gumrah Ho Gaya.

37
Aur Jab Tum Us Shakhs Se Jis Par Khuda Ne Ehsaan Kia Aur Tum Ne Bhi Ehsaan Kia, Ye Kehte The Ke Apni Biwi Ko Apne Paas Rehne De Aur Khuda Se Dar, Aur Tum Apne Dil Main Wo Baat Posheeda Karte The Jis Ko Khuda Zaahir Karne Wala Tha Aur Tum Lougon Se Darte The. Halanke Khuda Hi Is Ka Ziada Mustahiq Hai Ke Us Se Daro. Phir Jab Zaid Ne Us Se Koi Hajat Mutliq Na Rakhi Yaani Us Ko Tallaq De Di, Toh Ham Ne Tum Se Us Ka Nikaah Kar Dia Taa-Ake Mominoun Ke Liye Un Ke Moon Bole Baitoun Ki Biwiyoun Ke Sath Nikah Karne Ke Bare Main Jab Wo Un Se Apni Hajat Mutliq Na Rakhain, Yaani Talaaaq De Dain, Kuch Tangi Na Rahe. Aur Khuda Ka Hukum Waaqe Ho Kar Rehne Wala Tha.




38
Paigambar Par Us Kaam Main Kuch Tangi Nahi Joh Khuda Ne Un Ke Liye Muqarrat Kar Dia.  Aur Joh Loug Pehle Guzar Chuke Hain Un Main Bhi Khuda Ka Ye Hi Dastoor Raha Hai.Aur Khuda Ka Hukum Theher Chukka Tha.

39
Aur Joh Khuda Ke Paighaam Joon Ke Toon Pohnchaate, Aur Us Se Darte Aur Khuda Ke Siwa Kisi Se Nahi Darte The. Aur Khuda Hi Hisaab Karne Ko Kaafi Hai.

40
Muhammad S.A.W. Tumhare Mardoun Main Se Kisi Ke Walid Nahi Hain, Balke Khuda Ke Paigambar Aur Nabiyoun Ki Naboowat Ki Mohor, Yaani Us Ko Khatam Kar Dene Wale Hain Aur Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

41
Ae Ehl-E-Eemaan Khuda Ka Bohot Zikar Kia Karo.

42
Aur Subh Aur Shaam,  Us Ki Paaki Bayan Karte Raho.

43
Wohi Toh Hai, Joh Tum Par Rehmat Bhaijta Hai Aur Us Ke Farishte Bhi. Taa-Ake Tum Ko Andhairoun Se Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jaaye. Aur Khuda Mominoun Par Meherbaan Hai.

44
Jis Roz Wo Un Se Milain Ge Un Ka Tohfa Khuda Ki Taraf Se Salam Hoga Aur Us Ne Un Ke Liye Bara Sawaab Taiyar Kar Rakha Hai.

45
Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Tum Ko Gawahi Dene Wala Aur Khushkhabri Sunnane Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bhaija Hai.


46
Aur Khuda Ki Taraf Bulane Wala Aur Chiraagh-E-Roshan.

47
Aur Mominoun Ko Khushkhabri Suna Do Ke Un Ke Liye Khuda Ki Taraf Se Bara Fazal Hai.

48
Aur Kaafiroun Aur Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na Aur Na Un Ke Takleef Dene Par Nazar Karna Aur Khuda Par Bharosa Rakhna. Aur Khuda Hi Karsaaz Kafi Hai.

49
Momino! Jab Tum Momin Aurtoun Se Nikaah Kar Ke Un Ko Hath Lagane Yani Un Ke Paas Jane Se Pehle Tallaq De Do, Toh Tumko Kuch Ikhtiyar Nahi Ke Un Se Iddat Poori Karao. Un Ko Kuch Faaida Yaani Kharch De Kar Achi Tarha Se Rukhsat Kar Do.

50
Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Tumhare Liye, Tumhari Biwiyoun Jin Ko Tum Ne Un Ke Meher De Diye Hain Halaal Kar Di Hain Aur Tumhari Loundiyaan, Joh Khuda Ne Tum Ko Kuffaar Se Bator Maal-E-Ganeemat Dilwayee Hain Aur Tumhare Chachha Ki Baitiyan Aur Tumhari Phoopiyoun Ki Betiyan Aur Tumhare Maamoonoun Ki Betiyan Aur Tumhari Khalaaoun Ki Betiyan, Aur Joh Tumhare Sath Watan Chor Kar Aaye Hain, Sab Halaal Hain,  Aur Koi Momin Aurat Agar Apne Taiyee Paighambar Ko Bakhsh De, Yaani Meher Lene Ke Bagair Nikaah Main Aana Chahe Basharat Ye Ke Paigambar Bhi Un Se Nikaah Karna Chahain, Wo Bhi Haaal Hai Lekin Ye Ijazat Ae Muhammad S.A.W. Khaas Tum Hi Ko Hai, Sab Musalmaanoun Ko Nahi . Ham Ne Un Ki Biwiyoun Aur Loundiyuoun Ke Bare Main Joh Meher Wajib-Ul-Ada Muqarrar Kar Dia Hai Ham Ko Maaloom Hai Ye Is Liye Kia Gaya He, Ke Tum Par Kisi Tarha Tangi Na Rahe Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.



51
Aur Tum Ko Ye Bhi Ikhtiyar Hai Ke Jis Biwi Ko Chaho Alehda Rakho Aur Jisse Chaho Apne Paas Rakho. Aur Jis Ko Tum Ne Alehda Kar Dia Ho Agar Us Ko Phir Apne Paas Talab Kar Lo Toh Tum Kuch Gunaah Nahi. Ye Ijazat Is Liye Hai Ke Un Ki Aankhain Thanndi Rahain Aur Wo Ghamnaak Na Houn  Aur Joh Kuch Tum Un Ko Do. Usse Le Kar Sab Khush Rahain. Aur Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai Khuda Usse Jaanta Hai. Aur Khdua Jaan-Ne Wala Aur Burdbaar Hai.

52
Ae Paigambar S.A.W. In Ke Siwa Aur Aurtain Tum Ko Jaaiz Nahi Aur Na Ye Ke Un Biwiyoun Ko Chor Kar Aur Biwiyaan Karo, Khuah Un Ka Husan Tum Ko Kaisa Hi Acha Lage, Magar Wo Joh Tumhare Hath Ka Maal Hai Yaani Loundiyoun Ke Bare Main Tum Ko Ikhtiyaar Hai Aur Khuda Har Cheez Par Nigaaah Rakhta Hai.

53
Mominoun Paigambar Ke Gharoun Main Na Jaaya Karo, Magar Is Soorat Main Ke Tum Ko Khaane Ke Liye Ijazat Di Jaye Aur Us Ke Pakne Ka Intizar Bhi Na Karna Pare. Lekin Jab Tumhari Dawat Ki Jaye Toh Jao Aur Jab Khana Kha Chuko Toh Chal Do Aur Baatoun Main Ji Laga Kar Na Baith Jao. Ye Baat Paigambar Ko Eeza Deti Thi. Aur Wo Tum Se Sharm Karte The Aur Kehte Nahi The. Lekin Khuda Sachi Baat Ke Kehne Se Sharm Nahi Karta. Aur Jab Paigambar Ki Biwiyoun Se Koi Samaan Mango Toh Parde Ke Bahar Se Mango. Ye Tumhare Aur Un Ke Dono Ke Diloin Ke Liye Bohot Paakezgi Ki Baat Hai. Aur Tum Ko Ye Shayaan Nahi Ke Paigambar Khuda Ko Takleef Do Aur Na Ye Ke Un Ki Biwiyoun Se Kabhi Un Ke Baad Nikaah Karo. Be Shak Ye Khuda Ke Nazdeek Bare Gunnah Ka Kaam Hai.

54
Agar Tum Kisi Cheez Ko Zahir Karo Ya Us Ko Makhfi Rakho Toh Yaad Rakho Ke Khuda Har Cheez Se Ba Khabar Hai.


55
Aurtoun Par Apne Baapoun Se Parda Na Karne Main Kuch Gunaah Nahi Aur Na Apne Baitoun Se Aur Na Apne Bhaaiyoun Se Aur Na Apne Bhatijoun Se Aur Na Apne Bhaanjoun Se Aur Na Apni Qisam Ki Aurtoun Se Aur Na Loundiyoun Se. Aur Ae Aurto Khuda Se Darti Raho. Be Shak Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

56
Khuda Aur Us Ke Farishte Paigambar Par Darood Bhaijte Hain. Mominoun Tum Bhi Paigambar Par Darood Aur Salaam Bhaija Karo.

57
Joh Loug Khuda Aur Us Ke Paigamabr Ko Ranj Pohonchate Hain, Un Par Khuda Dunia Aur Aakhrat Main Laanat Karta Hai Aur Un Ke Liye Us Ne Zaleel Karne Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

58
Aur Joh Loug Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Aise Kaam Ki Tohmat Se Joh Unhoun Ne Na Kia Ho Eeza Dain Toh Unhoun Ne Bohtaan Aur Sareeh Gunaah Ka Bojh Ape Sar Par Rakha.

59
Ae Paigambar S.A.W. Apni Biwiyoun Aur Baitiyoun Aur Musalmaanoun Ki Aurtoun Se Keh Do Ke Bahar Nikala Karain Toh Apne Moohoun Par Chadar Latka Kar Ghoonghat Nikal Liya Karain. Ye Amar Un Ke Liye Moaajaab-E-Shanakht-O-Imtiya Hoga, Toh Koi Unko Eeza Na De Ga. Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

60
Agar Munafiq Aur Wo Loug Jin Ke Diloun Main Marz Hai Aur Joh Madeene Ke Sheher Main Buri Buri Khabrain Uraaya Karte Hain Apne Kirdaar Se Baaz Na Ayen Ge, Toh Ham Tum Ko Un Ke Peeche Laga Dain Ge, Phir Wahan Tumahre Paros Main Na Reh Sakain Ge Magar Thore Din.



61
Wo Bhi Phitkaare Hue,  Jahan Paaye Gaye Pakre Gaye Aur Jaan Se Maar Dale Gaye.

62
Joh Loug Pehle Guzar Chuke Hain Un Ke Bare Main Bhi Khuda Ki Ye Hi Aadat Rahi Hai. Aur Tum Khuda Ki Aadat Main Taghaiyurr-O-Tabaadul Na Pao Ge.

63
Loug Tum Se Qiamat Ki Nisbat Daryaaft Karte Hain, Ke Kab Aaye Gi Keh Do Ke Us Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Tumhain Kia Maloom Hai, Shayad Qiamat Qareeb Hi Aa Gai Ho.

64
Be Shak Khuda Ne Kaafiroun Par Laanat Ki Hai Aur Un Ke Liye Jahannum Ki Aag Taiyaar Kar Rakh Hai.

65
Us Main Abad-Ul-Abaad Rahain Ge. Na Kisi Ko Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.

66
Jis Din Un Ke Moonh Aag Main Ultaaye Jayen, kahain Ge, Ke Ae Kaash Ham Khuda Ki Farmabardaari Karte Aur Rasool-E-Khuda Ka Hukum Mante.

67
Aur Kahain Ge, Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ne Apne Sardaaroun Aur Bare Lougon Ka Kaha Maana Toh Unhoun Ne Hamko Raste Se Gumraah Kar Dia.

68
Ae Hamare Parewardigar Un Ko Dugna Azab De Aur Un Par Bari Laanat Kar.


69
Momino Tum Un Lougon Jaise Na Hona Jinhoun Ne Moosa Ko Aib Laga Kar Ranj Pohonchaya, Toh Khuda Ne Unko Be Aib Sabit Kia. Aur Wo Khuda Ke Nazdeek Aabru Wale The.

70
Momino Khuda Se Dara Karo Aur Baat Seedhi Kaha Karo.

71
Wo Tumhare Sab Aamaal Durust Kar De Ga Aur Tumhare Gunnah Bakhsh De Ga. Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardari Kare Ga Toh Be Shak Bari Muraad Paye Ga.

72
Ham Ne Baar-e-Amanat Ko Aasmanaoun Aur Zamen Par Paish Kia Toh Unhoun Ne Us Ko Uthaane Se Inkar Kia Aur Us Se Dar Gaye. Aur Insaan Ne Us Ko Utha Liya. Be Shak Wo Zalim Aur Jahil Tha.

73
Taa-Ake Khuda Munfiq Mardoun Aur Munafiq Aurtoun Aur Mushrik Mardoun  Aur Mushrik Aurtoun Ko Azaab De, Aur Khuda Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Par Meherbaani Kare. Aur Khuda Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!