Sooraah Saba
Aayaat- 54
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Sab Taareef Khuda Hi
Ko Sazawaar Hai, Joh Sab Cheezoun Ka Malik Hai Yaani Wo Ke Joh Kuch Aasmaanoun
Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai, Aur Aakhrat Main Bhi
Ussi Ki Taareef Hai. Aur Wo Hikmat Wala Aur Khabardaar Hai.
2
Joh Kuch Zameen Main
Dakhil Hota Hai Aur Joh Us Main Se Nikalta Hai Aur Joh Aasmaan Se Uttarta Hai
Aur Joh Us Par Charhta Hai Sab Us Ko Maloom Hai. Aur Wo Meherbaan Aur Bakhashne
Wala Hai.
3
Aur Kafir Kehte Hain
Ke Qiamat Ki Ghari Ham Par Nahi Aaye Gi. Keh Do Kion Nahi Aaye Gi, Mere
Parwardigar Ki Qasam Wo Tum Par Zaroor Aa Kar Rahe Gi, Wo Parwardigar Ghaib Ka
Jaan-Ne Wala Hai, Zarra Bhar Cheez Bhi Us Se Posheeda Nahi Na Aasmaanoun Main
Aur Na Zameen Main Aur Koi Cheez Us Se Choti Ya Bari Aisi Nahi, Magar
Kitaab-E-Roshan Main Likhi Hui Hai.
4
Is Liye Ke Joh Loug
Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rehe Un Ko Badla De.Ye Hi Hain Jin Ke Liye
Bakhshish Aur Izzat Ki Rozi Hai.
5
Aur Jinhoun Ne Hamari
Aayatoun Main Koshish Ki Hai Ke Hamain Hara Dain. Un Ke Liye Sakht Dard Dene
Wale Azaab Ki Saza Hai.
6
Aur Jin Lougon Ko Ilm
Dia Gaya He Wo Jaante Hain Ke Joh Quraan Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum
Par Nazil Hua Hai, Wo Haq Hai. Aur Khudaaye Ghalib Aur Sazawaar Taareef Ka
Rasta Batata Hai.
7
Aur Kafir Kehte Hain
Ke Bhala Ham Tumhain Aisa Admi Batayen Joh Tumhain Khabar Deta Hai, Ke Jab Tum
Mar Kar Bilkul Paara Paara Ho Jao Ge, Toh Naye Sire Se Paida Hoge.
8
Ya Toh Us Ne Khuda Par
Jhoot Baandh Liya Hai. Ya Usse Junoon Hai. Baat Ye Hai Ke Joh Loug Aakhrat Par
Eemaan Nahi Rakhte Wo Aafaat Aur Parle Darje Ki Gumrahi Main Mubtila Hain.
9
Kia Unhoun Ne Us Ko
Nahi Daikha Joh Un Ke Aage Aur Peeche Hai Yaani Aasmaan Aur Zameen. Agar Ham
Chaahain Toh Unko Zameen Main Dhansa Dain Ya Un Par Aasmaan Ke Tukrre Gira
Dain. Is Main Hai Bande Ke Liye Joh Rujoo Karne Wala Hai Aik Nishani Hai.
10
Aur Ham Ne Daawood Ko
Apni Taraf Se Bartari Bakhshi Thi. Ae Pahaaro Un Ke Sath Tasbeeh Karo Aur
Parindoun Ko Un Ka Maskhar Kar Dia, Aur Un Ke Liye Ham Ne Lohe(Iron) Ko Naram
Kar Dia.
11
Ke Kushada Zarhain
Banaow Aur Kariyoun Ko Andaze Se Joro Aur Naik Amal Karo. Joh Amal Tum Karte Ho
Main Us Ko Daikhne Wala Hoon.
12
Aur Hawa Ko Ham Ne
Sulaimaan Ka Taabe Kar Dia Tha, Us Ki Subh Ki Manzil Aik Maheene Ki Raah Hoti
Aur Sham Ki Manzil Bhi Maheene Bhar Ki Hoti. Aur Un Ke Liye Ham Ne Taanbe Ka
Chashma Baha Dia Tha Aur Jinnoun Main Se Aise The Joh Un Ke Parwardigar Ke
Hukum Se Un Ke Aage Kaam Karte The. Aur Joh Koi Un Main Se Hamare Hukum Se
Phire Ga, Us Ko Ham Jahannum Ki Aag Ka Mazah Chakhayen Ge.
13
Wo Joh Chahte Ye Un Ke
Liye Banate Yaani Qille Aur Mujjasme Aur Bare Bare Lagan, Jaise Taalaab Aur
Daigain, Joh Aik Hi Jaga Rakhi Rahain. Ae Daawood Ki Aulad Mera Shukar Karo Aur
Mere Bandoun Main Shukar Gzaar Thore Hain.
14
Phir Jab Ham Ne Un
Ke Liye Mout Ka Hukum Saadir Kia Toh
Kisi Cheez Se Un Ka Marna Maloom Na Hua, Magar Ghunn Ke Keere Se Joh Un Ke Asaa
Ko Khata Raha. Jab Asaa Girr Para Tab Jinoun Ko Maloom Hua Aur Kehne Lage Ke
Agar Wo Ghaib Jaante Hote Toh Zillat Ki Takleef Main Na Rehte.
15
Ehl-E-Saba Ke Liye Un
Ke Maqaam Bood-O-Baash Main Aik Nishani Thi, Yaani Do Baagh, Aik Daahni Taraf Aur Aik Baayen Taraf. Apne
Parwardigar Ka Rizzq Khao Aur Us Ka Shukar Karo. Yahan Tumhare Rehne Ko Ye
Paakeeza Sheher Hai Aur Wahan Bakhashne Ko Khudaa-E-Gaffar .
16
Toh Unhoun Ne Shukar
Guzari Se Moonh Phair Liya, Pas Ham Ne Un Par Zor Ka Sailaab Chor Dia Aur
Unhain Un Ke Baaghoun Ke Badle, Do Aise Baagh Diye, Jin Ke Maiwe(Dry Fruits)
Bad Mazah The Aur Jin Main Kuch Toh Jhaao Tha Aur Thori Si Beriyaan.
17
Ye Ham Ne Un Ki Na Shukri Ki Un Ko Saza Di. Aur Ham Saza Na
Shukre Hi Ko Dia Karte Hain.
18
Aur Ham Ne Un Ke Aur
Sham Main Un Bastiyoun Ke Darmiyaan , Jin Main
Ham Ne Barkat Di Thi, Aik Doosre Ke Muttsail Dehaat Banaye The, Joh
Saamne Nazar Aate The Aur Un Main Aamad-O-Raft Ka Andaza Muqarrar Kar Dia Tha
Ke Raat Din Be Khof-O-Khatar Chalte Raho.
19
Toh Unhoun Ne Dua Ki
Ke Ae Parwardigar Hamari Musafatoun Main Bood Aur Tool Paida Kar De, Aur Us Se
Unhoun Ne Apne Haq Main Zulm Kia Toh Ham Ne Unhain Nabood Kar Ke Un Ke Afsaane
Bana Diye, Aur Unhain Bilkul Muntashir Kar Dia. Is Main Har Sabir-O-Shakir Ke
Liye Nishaaniyan Hain.
20
Aur Shaitan Ne Un Ke
Bare Main Apna Khayal Sach Kar Digkhaya Ke Mominoun Ki Aik Jamaat Ke Siwa Wo Us
Ke Peeche Chal Pare.
21
Aur Us Ka Un Par Kuch
Zor Na Tha Magar Hamara Maqsood Ye Tha Ke Joh Loug Aakharat Main Shak Rakhte
Hain , Un Se Un Lougon Ko Joh Us Par Eemaan Rakhte Hain, Muttmaizz Kar Dain Aur
Tumhara Parwardigar Har Cheez Par Nigehbaan Hai.
22
Keh Do Ke Jin Ko Tum
Khuda Ke Siwa Maabood Khayal Karte Ho Unko Bulao. Wo Aasmaanoun Aur Zameen Main
Zarra Bhar Cheez Ke Bhi Maalik Nahi Hain Aur Na Un Main Un Ki Shirkat Hai Aur Na
Un Main Se Koi Khuda Ka Madadgaar Hai.
23
Aur Khuda Ke Haan Kisi
Ke Liye Sifarish Faida Na De Gi, Magar
Us Ke Liye Jis Ke Bare Main Wo Ijazat Bakhshe. Yahan Tak Ke Jab Un Ke Diloun Se
Iztiraat Door Kar Dia Jaye Ga, Toh Kahain Ge Ke Tumhare Parwardigar Ne Kia
Farmaya Hai. Farishte Kahain Ge Ke Haq Farmaya Hai, Aur Wo Aali Rutba Aur
Giraami Qadar Hai.
24
Poocho Ke Tum Ko
Aasmaanoun Aur Zameen Se Koun Rizq Deta Hai? Kaho Ke Khuda Aur Ham Ya Tum Ya
Toh Seedhe Raste Par Hain Ya Sareeh Gumrahi Main.
25
Ke Na Hamare Gunahoun
Ki Tum Se Purrshish Hogi Aur Na Tumhare Aamaal Ki Ham Se Purrshish Hogi.
26
Keh Do Ke Hamara
Parwardigar Ham Ko Jama Kare Ga Phir Hamare Darmyan Insaaf Ke Sath Faisla Kar
De Ga. Aur Wo Khoob Faisla Karne Wala Aur Sahib-E-Ilm Hai.
27
Kaho Ke Mujhe Wo Loug
Toh Dikhao Jin Ko Tum Ne Shareek Khuda Bana Kar Us Ke Sath Mila Rakha Hai. Koi
Nahi, Balke Wo Hi Akaila Khuda Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.
28
Aur Ae Muhammad S.A.W.
Ham Ne Tumko Tamaam Lougon Ke Liye Khushkhabari Sunane Wala Aur Darane Wala
Bana Kar Bhaija Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
29
Aur Kehte Hain Agar
Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Qiamat Ka Waada Kab Waqoo Main Aye
Ga.
30
Keh Do Ke Tum Se Aik
Din Ka Waada Hai, Jis Se Na Aik Ghari Peeche Raho Ge Aur Na Aage Barho Ge.
31
Aur Joh Kafir Hain Wo
Kehte Hain Ke Ham Na Toh Is Quraan Ko Maanain Ge Aur Na In Kitaaboun Ko, Joh Un
Se Pehle Ki Hain Aur Kash In Zaalimoun Ko Tum Us Waqt Daikho Jab Ye Apne
Parwardigar Ke Saamne Khare Hounge Aur Aik Doosre Se Radd-o-Kadd Kar Rahe
Hounge. Joh Loug Kamzor Samajhe Jate The Wo Bare Lougon Se Kahain Ge Ke, Agar
Tum Na Hote Toh Ham Zaroor Momin Ho Jate.
32
Bare Loug Kamzouroun
Se Kahain Ge Ke Bhala Ham Ne Tum Ko Hidayat Se Jab Wo Tumhare Pas Aa Chuki Thi
Roka Tha? Nahi Balke Tum Hi Gunnehgaar The.
33
Aur Kamzor Loug Bare
Lougon Se Kahian Ge, Nahi, Balke Tumhari Raat Din Ki Chaloun Ne Hamain Rok
Rakha Tha, Jab Tum Ham Se Kehte The, Ke Ham Khuda Se Kufur Karain Aur Us Ka
Shareek Banayen. Aur Jab Wo Azaab Ko Daikhain Ge Toh Dil Main Pashemaan Hounge.
Aur Ham Kaafiroun Ki Gardanoun Main Touq Daal Dainge. Pas Joh Amal Wo Karte The
Un Hi Ka Un Ko Badla Mile Ga.
34
Aur Ham Ne Kisi Basti
Main Koi Darane Wala Nahi Bhaija, Magar Wahan Ke Khush Haal Lougon Ne Kaha Ke
Joh Cheez Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ke Qaail Nahi.
35
Aur Ye Bhi Kehne Lage
Ke Ham Bohot Sa Maal Aur Aulaad Rakhte Hain Aur Ham Ko Azaab Nahi Hoga.
36
Keh Do Ke Mera Rabb
Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Faraakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai
Tang Kar Deta Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
33
Aur Tumhara Maal Aur
Aulad Aisi Cheez Nahi Ke Tum Ko Hamara Maqrab Bana De. Haan Hamara Maqrab Wo
Hai Joh Eemaan Laaya Aur Amal-E-Naik Karta Raha. Aise Hi Lougon Ko Un Ke Aamaal
Ke Sabab Dugna Badle Mile Ga Aur Wo Khatir Jama Se Baala Khaanoun Main Baithe
Hounge.
38
Joh Loug Hamari
Aatyatoun Main Koshish Karte Hain Ke Hamain Hara Dain, Wo Azaab Main Hazir Kiye
Jayen Ge.
39
Keh Do Ke Mera
Parwardigar Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Farakh Kar Deta
Hai Aur Jis Ke Liye Chahata Hai Tang Kar Deta Hai Aur Tum Joh Cheez Kharch Karo
Ge Wo Us Ka Tumhain Iwazz De Ga. Aur Wo Sab Se Behtar Rizq Dene Wala Hai.
40
Aur Jis Din Wo Un Sab
Ko Jama Kare Ga, Phir Farishtoun Se Farmaaye Ga, Kia Ye Loug Tumhari Pooja Karte The.
41
Wo Kahain Ge, Tu Paak
Hai Tu Hi Hamara Dost Hai, Na Ye, Balke Ye Jinnaat Ko Pooja Karte The.Aur Aksar
In Hi Ko Maante The.
42
Toh Aaj Tum Main Se
Koi Kisi Ko Nafa Aur Nuqsaan Pohonchane Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhta. Aur Ham
Zaalimoun Se Kahainge Ke Dozakh Ke Azaab Ka Jis Ko Tum Jhoot Samajhte The Mazah
Chakho.
43
Aur Jab Un Ko Hamari
Roshan Aayatain Parh Kar Sunaiyee Jati Hai Toh Kehte Hain Ye Aik Aisa Shakhs
Hai Joh Chahta Hai Ke Jin Cheezoun Ki Tumhare Baap Dada Parastish Kia Karte The
Un Se Tumko Rouk De, Aur Ye Bhi Kehte Hain Ke Ye Quraan Mehez Jhoot Hai Joh
Apni Taraf Se Bana Liya Gaya Hai. Aur Kaafiroun Ke Paas Jab Haq Aaya Toh Us Ke
Bare Main Kehne Lage Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.
44
Aur Ham Ne Na Toh In
Mushrikoun Ko Kitaabain Deen Jin Ko Ye Parhte Hain Aur Na Tum Se Pehle Un Ki
Taraf Koi Darane Wala Bhaija Agar Unhoun Ne Takzeeb Ki.
45
Aur Joh Loug Un Se
Pehe The Unhoun Ne Takzeeb Ki Thi Aur Joh Kuch Ham Ne In Ko Dia Tha Ye Us Ke
Daswain(10th) Hisse Ko Bhi Nahi Pohonche, Toh Unhoun Ne Mere
Paigambaroun Ko Jhutlaya.So Mera Azaab Kaisa Hua.
46
Keh Do Ke Main Tumhain
Sirf Aik Baat Ki Naseehat Karta Hoon Ke Tum Khuda Ke Liye, Do Do, Aur Akaile
Akaile, Khare Ho Jao Phir Ghour Karo. Tumhare Rafeeq Ko Mutliq Souda Nahi, Wo
Toh Tum Ko Azab Sakhat Ke Aane Se Pehle Sirf Darane Wale Hain.
47
Keh Do Ke Main Ne Tum
Se Kuch Sila Maanga Ho, Toh Wo Tumahra Mera Sila Khuda Hi Ke Zimme Hai. Aur Wo
Har Cheez Se Khabardaar Hai.
48
Keh Do Ke Mera
Parwardigar Oopar Se Haq Utaarta Hai Aur Wo Ghaib Ki Baatoun Ko Jaan-Ne Wala
Hai.
49
Keh Do Ke Haq Aa
Chukka Aur Maabood Batil Na Toh Pehli Baar Paida Kar Sakta Hai Aur Na Dobara
Paida Kare Ga.
50
Keh Do Ke Agar Main
Gumrah Hoon, Toh Meri Gumrahi Ka Zarrar Mujh Hi Ko Hai. Aur Agar Hidayat Par
Hoon Toh Ye Us Ki Tufail Hai, Joh Mera Parwardigar Meri Taraf Wahi Bhaijta Hai.
Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Nazdeek Hai.
51
Aur Kash Tum Daikho
Jab Ye Ghabra Jayen Ge, Toh Azaab Se Bach Nahi Sakainge Aur Nazdeek Hi Se Pakar
Liye Jaye Ge.
52
Aur Kahainge Ke Ham Is
Par Eemaan Le Aaye Aur Ab Itni Door Se Un Ka Hath Eemaan Ke Lene Ko Kion Kar
Pohonch Sakta Hai.
53
Aur Pehle Toh Is Se
Inkaar Karte Rahe Aur Bin Daikhe Door Hi Se Zann Ke Teer Chalte Rahe.
54
Aur Un Main Aur Un Ki
Khuahish Ki Cheezoun Main Parda Hail Kar Dia Gaya, Jaisa Ke Pehle Un Ke Ham Jinsoun
Se Kia Gaya, Wo Bhi Uljhan Main Daalne Wale Shak Main Pare Hue The.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!