Soorah-An-Najam
Aayaat-62
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala
Hai.
1
Taare(star)
ki qasam jab ghaaib hone lage.
2
Keh Tumhare Rafeeq Muhammad
S.A.W. Na Raaste Bhoole Hain, Na Bhatake Hain.
3
Aur Na Khuahish-E-Nafs
Se Moonh Se Baat Nikaalte Hain.
4
Ye Quraan Toh
Hukm-E-Khuda Hai, Joh Un Ki Taraf Bhaija
Jata Hai.
5
Un Ko Nihayat Quwwat
Wale Ne Sikhaya.
6
Yaani Jibrail Taqat
War Ne, Phir Wo Poore Nazar Aaye.
7
Aur Wo Aasmaan Ke
Oonche Kinare Main The.
8
Phir Qareeb Hue Aur,
Aur Aage Barhe.
9
Toh Do Kamaan Ke Fasle
Par Ya us Se Bhi Kam.
10
Phir Khuda Ne Apne
Bande Ki Taraf Joh Bhaija So Bhaija.
11
Joh Kuch Unhoun Ne
Daikha Un Ke Dil Ne Us Ko Joot Na Jana.
12
Kia Joh Kuch Wo
Daikhte Hain, Tum Us Main Un Se Jhagarte Ho?
13
Aur Unhoun Ne Us Ko
Aik Aur Baar Bhi Daikha Hai.
14
Parli Had Ki Beri Ke
Paas.
15
Ussi K Paas Rehne Ki
Behshat Hai.
16
Jab Ke Us Beri Par Cha
Raha Tha Joh Cha Raha Tha.
17
Un Ki Aankhn Na Toh Aur Tarf Maail Hui Aur Na Had Se Aage
Barhi.
18
Unhoun Ne Apne
Parwardigar Ki Qudrat Ki Kitni Hi Bari Bari Nishaniyan Daikheen.
19
Bhala Tum Louon Ne
Laat Aur Uzaa Ko Daikha.
20
Aur Teesre Mannaat Ko,
Ke Ye Butt Kahin Khuda Ho Sakte Hai.
21
Mushrkio! Kia Tumhare Liyy Toh Bete Aur Khuda Ke Liye
Betiyaan.
22
Ye Taqseem Toh Bohot
Be Insaafi Ki Hai.
23
Wo Toh Sirf Naam Hi
Naam Hain, Joh Tum Ne Aur Tumhare Baap
Dada Ne Gharr Liye Hain. Khuda Ne Toh Un Ki Koi Sanad Nazil Nahi Ki. Ye Loug
Mehez Zann-E-Fasid Aur Khuahishaat-E-Nafs Ke Peeche Chal Rahe Hain. Halanke Un
Ke Parwardigar Ki Taraf Se Un Ke Paas Hidayat Aa Chuki Hai.
24
Kia Jis Cheez Ki
Insaan Aarzoo Karta Hai, Wo Usse Zaroor Milti Hai.
25
Aakhrat Aur Dunia Toh
Khuda Hi Ke Hath Main Hai.
26
Aur Asmaanoun Main
Bohot Se Farishte Hain, Jin Ki Sifarish Kuch Bhi Faaida Nahi Deti, Magar Us Waqt Ke Khdua Jis Ke Liye Chahe
Ijazat Bakhshe Aur Sifarish Pasnad Kare.
27
Joh Loug Aakhrat Par
Eemaan Nahi Laate, Wo Farishtoun Ko Khuda Ki Larkiyoun Ke Naam Se Mosoom Karte
Hain.
28
Halanke Un Ko Us Ki
Kuch Khabar Nahi. Wo Sirf Zann Par Chalte Hain. Aur Zann Yaqeen Ke Muqable Main
Kuch Kaam Nahi Aata.
29
Toh Joh Hamari Yad Se
Roo Gardaani Kare Aur Sirf Dunia Hi Ki Zindagi Ka Khuahaan Ho, Us Se Tum Bhi Moonh Pahir Lo.
30
Un Ke Ilm Ki Ye Hi Intiha
Hai.Tumahra Parwardigar Us Ko Bhi Khoob Jaanta Hai Joh Us Ke Raaste Se Bhatak
Gaya Aur Uss Se Bhi Khoob Waqif Hai Joh Raaste Par Chala.
31
Aur Joh Kuch
Aasmanaoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai, Sab Khuda Hi Ka Hai Aur Us Ne Khalqat Ko
Isliye Paida Kia Hai , Ke Jin Lougon Ne Bure Kaam Kiye Un Ko Un Ke Amaal Ka
Bura Badla De Aur Jinhoun Ne Naikiyaan Kee Un Ko Naik Badla De.
32
Joh Sagheera Gunahoun
Ke Siwa, Bare Bare Gunahoun Aur Be
Hayatee Ki Batoun Se Ijtinaab Karte Hain. Be Shak Tumhara Pawradigar Bari
Bakhshish Wala Hai. Wo Tum Ko Khoob Jaanta Hai. Jab Us Ne Tum Ko Matti Se Paida
Kia Aur Jab Tum Apni Maaon Ke Pait Main Bachhe The , Toh apne Ap Ko Paak Saaf
Na Jataoo. Joh Parhaizgaar Hai Wo Us Se
Khoob Waqif Hai.
33
Bhala Tum Ne Us Shaks
Ko Daikha Jis Ne Moonh Phair Liya.
34
Aur Thora Sa Dia Phir
Hath Rok Liya.
35
Kia Us Ke Paas Ghaib
Ka Ilm Hai, Ke Wo Usse Daikh Raha Hai.
36
Kia Joh Baatain Moosa
A.S. Ke Saheefoun Main Hain, Us Ki Us Ko Khabar Nahi Pohonchi.
37
Aur Ibrahim A.S. Ki
Jinhoun Ne Haq-E-Taa-At-O-Risalat Poora Kia.
38
Wo Ye Ke Koi Shaks
Doosre Ke Gunaah Ka Bojh Nahi Uthaye Ga.
39
Aur Ye Ke Insaan Ko Wo
Hi Milta Hai, Jis Ki Wo Koshish Karta
Hai.
40
Aur Ye Ke Us Ki
Koshsish Dikhai Jaye Gi.
41
Phir Us Ko Us Ka Poora
Poora Badla Dia Jaye Ga.
42
Aur Ye Ke, Tumhare
Parwardigar Hi Ke Pas Pohonchna Hai.
43
Aur Ye Ke Wo Hansaata
Aur Rulaata Hai.
44
Aur Ye Ke Wo Hi Maarta
Aur Jilata Hai.
45
Aur Ye Ke Wo Hi Nar
Aur Mada, Do Qisam Ke Haiwan Paida Karta Hai.
46
Yaani Nutfe Se, Joh
Rehem Main Daala Jaata Hai.
47
Aur Ye Ke Qiamat Ko
Ussi Par Dobara Uthana Lazim Hai.
48
Aur Ye Ke Wo Hi Dolat
Mand Banata Aur Muflis Karta Hai.
49
Aur Ye Ke Wo Hi Shoraa
Ka Malik Hai.
50
Aur Ye Ke Ussi Ne
Aad-E-Awwal Ko Haalak Kar Dala.
51
Aur Samood Ko Bhi, Gharz Kisi Ko Baqi Na Chora.
52
Aur Un Se Pehle
Qoum-E-Nooh A.S. Ko Bhi. Kuch Shak Nahi Ke Wo Loug Bare Hi Zalim Aur Bare Hi
Sarkash The.
53
Aur Ussi Ne Ulti Hui
Bastiyoun Ko De Patkha.
54
Phir Un Par Chaaya Joh
Chaaya.
55
Toh Ae Insaan Tu Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Namat Par Jhagre Ga.
56
Ye Muhammad S.A.W. Bhi,
Agle Dar Sunaane Waloun Main Se Aik Dar
Sunane Waale Hain.
57
Aane Wali Yaani Qiamat
Qareeb Aa Pohonchi.
58
Us Din Ki Takleefoun
Ko Khuda Ke Siwa Koi Door Nahi Kar Sakte Ga.
59
Ae Munkareen-E-Khuda
Kia Tum Is Kalaam Se Taajub Karte Ho?
60
Aur Hanste Ho Aur
Rote Nahi?
61
Aur Tum Gaflat Main
Par Rahe Ho.
62
Toh Khuda Ke Aage
Sajda Karo Aur Ussi Ki Ibadat Karo.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!