Soorah-Al-Qamar
Aayaat-55
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Qiamat Qareeb Aa
Pohonchi Aur Chaand Shaqq Hogaya.
2
Aur Agar Kafir Koi
Nishani Daikhte Hain, Toh Moonh Phair Lete Hain Aur Kehte Hain Ke Ye Aik
Hamesha Ka Jaadu Hai.
3
Aur Unhoun Ne Jhutlaya
Aur Apni Khuahishoun Ki Pairwi Ki Aur Har Kaam Ka Waqt Muqarrar Hai.
4
Aur Un Ko Aise
Halaat-E Saabqeen Pohonch Chuke Hain Jin Main Ibrat Hai.
5
Aur Kamil Danaaye Ki
Kitab Bhi, Lekin Darana Un Ko Kuch Faaida
Nahi Deta.
6
Toh Tum Bhi Un Ki Kuch
Parwah Na Karo. Jis Din Bulane Wala Un Ko Aik Na Khush Cheez Ki Taraf Bulaye Ga
.
7
Toh Aankhain Neechi
Kiye Hue Qabroun Se Nikal Parain Ge, Goya Bikhri Hui Tiddiyaan Hain.
8
Us Bulane Wale Ki Tarf
Dorte Jate Hounge. Kafir Kahainge Ye Din Bara Sakht Hai.
9
Un Se Pehle Nooh-A.S.
Ki Qoum Ne Bhi Takzeeb Ki Thi, Toh Unhoun
Ne Hamare Bande Ko Jhutlaya Aur Kaha Ke Deewaa Hai Aur Unhian Daanta Bhi.
10
Toh Unhoun Ne Apne
Parwardigar Se Dua Ki, Ke Baar-E-Ilaha
Main Un Ke Muqable Main Kamzor Hoon, Tu
Un Se Badla Le.
11
Pas Ham Ne Zor Ke
Meenh Se Aasmaan Ke Dahaahne Khol Diye
12
Aur Zameen Main
Chashme Jarri Kar Diye, Toh Pani Aik
Kaam Ke Liye Joh Muqadar Ho Chuka Tha Jama Ho Gaya.
13
Aur Ham Ne Nooh A.S.
Ko Aik Kashti Par, Joh Takhtouon Aur Maikhon Se Taiyaar Ki Gai
Thi Sawar Kar Liya.
14
Wo Hamari Aankhoun Ke
Saamne Chalti Thi . Ye Sab Kuch Us Shaks Ke Intiqaam Ke Liye Kia Gaya, Jis Ko Kafir Maante Na The.
15
Aur Ham Ne Us Ko Aik
Ibrat Bana Chora, Toh Koi Hai Ke Soche
Samajhe?
16
So Diakh Lo Ke Mera
Azaab Aur Darana Kaisa Hua?
17
Aur Ham Ne Quraan Ko
Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?
18
Aad Ne Bhi Takzeeb Ki
Thi,So Daikh Lo Ke Mera Azaab Aur Darana Kaisa Hua.
19
Ham Ne Un Par Sakht Manhoos
Din Main Aandhi Chalyee.
20
Wo Lougon Ko Is Tarha
Ukhaire Daalti Thi, Goya Ukhri Hui
Khajooroun Ke Tanne Hain.
21
So Daikh Lo Ke Mera
Azaab Aur Darana Kaisa Hua.
22
Aur Ham Ne Quraan Ko
Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai, Toh
Koi Hai Ke Soche Samjhe?
23
Samood Ne Bhi Hidayat
Karne Walouun Ko Jhutlaya.
24
Aur Kaha Ke Bhala Aik
Aadmi Joh Ham Hi Main Se Hai, Ham Us Ki
Pairwi Karain? Youn Ho , Toh Ham Gumrahi
Aur Deewangi Main Par Gaye.
25
Kia Ham Sab Main Se, Ussi
Par Wahi Nazil Hue Hai, Nahi Balke Ye Jhoota Khud Pasand Hai.
26
Un Ko Kal Hi Maloom Ho
Jaye Ga, Ke Koun Jhoota Khud Pasand Hai.
27
Ae Saaleh Ham Un Ki
Aazmaaish Ke Liye Oontni Bhajne Wale Hain Toh Tum Un Ko Daikhte Raho Aur Sabar
Karo.
28
Aur Un Ko Aagaah Kar
Do, Ke Un Main Paani Ki Bari Muqarrarr
Kar Di Gai Hai. Har Bari Wale Ko Apni Bari Par Aana Chahiye.
29
Toh Un Lougn Ne Apne
Rafeeq Ko Bulaya Aur Us Ne Oontni Ko Pakar Kar Us Ki Koonchain Kaat Daaleen.
30
So Daikh Lo, Ke Mera
Azaab Aar Darana Kaisa Hua.
31
Ham Ne Un Par Azaab Ke
Leyi Aik Cheehk Bhaiji , Toh Wo Aise Ho Gaye Jaise Baar Wale Ki Sookhi Aur
Tooti Hui Baar.
32
Aur Ham Ne Quraan Ko
Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai, Toh
Koi Hai Ke Soche Samhjhe?
33
Loot Ki Qoum Ne Bhi
Dar Sunaane Walon Ko Jhutlaya Tha.
34
Toh Ham Ne Un Par
Kankar Bhari Hawa Chalyee, Magar Loot Ke
Ghar Wale, Ke Ham Ne Un Ko Pichli Raat
Hi Se Bacha Liya.
35
Apne Fazal Se Shukar
Karne Wale Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
36
Aur Loot Ne Un Ko
Hamaari Pakar Se Dara Bhi Dia Tha, Magar
Unhoun Ne Daraane Main Shak Kia.
37
Aur Un Se Un Ke
Mehmaanoun Ko Le Lena Chaha, Toh Ham Ne
Un Ki Aankhain Mita Deen, So Ab Mere
Azaab Aur Daraane Ke Maze Chakho.
38
Aur Un Par Subha
Sawaire Hi Atal Azaab Aa Nazil Hua.
39
Toh Ab Mere Azaab Aur
Daraane Ke Maze Chakho.
40
Aur Ham Ne Quraan Ko
Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai, Toh
Koi Hai Ke Soche Samjhe?
41
Aur Qoum-E-Firown Ke
Pas Bhi Dar Sunaane Wale Aaye.
42
Unhoun Ne Hamari
Tamaam Nishaniyoun Ko Jhutlaya Toh Ham Ne Un Ko Is Tarh Pakar Lia Jis Tarh Aik
Qawi Aur Ghalib Shakhs Pakar Leta Hai.
43
Ae Ehl-E-Arab Kia
Tumhare Kafir Un Lougon Se Behtar Hain, Ya Tumhare Liye Pehli Kitaboun Main Koi
Faarigh Khati Likh Di Gai Hai.
44
Kia Ye Loug Kehte Hain
Ke Hamari Jamaat Bari Mazboot Hai.
45
Anqareeb Ye Jamaat
Shikast Khaye Gi Aur Ye Loug Peeth Phair Phair Kar Bhaag Jaye Ge.
46
Un Ke Wade Ka Waqt Toh
Qiamat Hai Aur Qiamat Bari Sakht Aur Bohot Talkh Hai.
47
Be Shak Gunnehgaar
Loug Gumraahi Aur Deewangi Main Mubtila Hain.
48
Us Roz Moonh Ke Bal Dozakh
Main Ghaseete Jaaye Ge, Ab Aag Ka Mazah
Chakho.
49
Ham Ne Har Cheez
Andaza-E-Muqarrarr Ke Sath Paida Ki Hai.
50
Aur Hamara Hukum Toh
Aankh Ke Jhapakne Ki Tarha Aik Baat Hoti Hai.
51
Aur Ham Tumhare Ham
Mazhaboun Ko Halak Kar Chuke Hain, Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?
52
Aur Joh Kuch Unhoun Ne
Kia, Un Ke Amaal Namoun Main Mundarij Hai.
53
Yaani Har Chota Aur
Bara Kaam Likh Dia Gaya Hai.
54
Joh Parhaizgaar Hain,
Wo Baaghoun Aur Nehroun Main Hounge.
55
Yaani Paak Makaam Main,
Har Tarha Ki Qudrat Rakhne Wale Baadshah Ki Baar Gah Main.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!