Soorah-Qaaf
Aayaat-45
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Qaaf. Quraan Majeed Ki
Qasam Ke Muhammad S.A.W. Paigambar-E-Khuda Hain.
2
Lekin Un Lougon Ne
Taajub Kia Ke Un Hi Main Se Aik Hidayat Karne Wala Un Ke Paas Aaya, Toh Kafir Kehne Lage Ke Ye Baat Toh Bari Ajeeb
Hai.
3
Bhala Jab Ham Mar Gaye
Aur Matti Ho Gaye, Toh Phir Zinda Hounge? Ye Zinda Hona Aqal Se Baeed Hai.
4
Un Ke Jismoun Ko
Zameen, Jitna Kha Kha Kar Kam Karti Jati Hai Hamain Maloom Hai. Aur Hamare Pas
Tehriri(Written) Yaad Daasht Bhi Hai.
5
Balke Ajeeb Baat Ye
Hai Ke Jab Un Ke Paas Deen-E-Haq Aa Pohoncha Toh Unhoun Ne Us Ko Jhoot Samajha,
So Ye Aik Uljhi Hui Baat Main Par Rahe Hain.
6
Kia Un Houn Ne Apne
Oopar Aasmaan Ki Taraf Nigaah Nahi Ki, Ke Ham Ne Us Ko Kion Kar Banaya Aur Kion
Kar Sajaya Aur Us Main Kahin Shagaaf Tak Nahi.
7
Aur Zameen Ko Daikho
Isse Ham Ne Phailaya Aur Is Main Pahaar Rakh Diye Aur Is Main Har Tarha Ki
Khushnuma Cheezain Ugaayen.
8
Taa-Ake Rujoo Laane
Wale Bande Hidayat Aur Naseehat Hasil Karain.
9
Aur Aasmaan Se Barkat
Wala Paani Utaara Aur Us Se Baagh-O-Bustaan Ugaaye Aur Khaiti Ka Anaaj.
10
Aur Lambi Lambi
Khajoorain, Jin Ke Gaabha Tae Ba Tae Hota Hai.
11
Ye Sab Kuch Bandoun Ko
Rozi Dene Ke Liye Kia Hai Aur Us Paani Se Ham Ne Sheher-E-Murda, Yaani
Zameeen-e-Uftaada Ko Zinda Kia.Bas Issi Tarha Qiamat Ke Roz Nikal Parna Hai.
12
Un Se Pehle Nooh Ki
Qoum Aur Koonwain Wale Aur Samood Jhutla Chuke Hain.
13
Aur Aad Aur Firown Aur
Loot Ke Bhai.
14
Aur Ban Ke Rehne Wale
Aur Tubbaa Ki Qoum. Gharz Un Sab Ne Paigambaroun Ko Jhutlaya, Toh Hamari Waeed
Bhi Poori Ho Kar Rahi.
15
Kia Ham Pehli Baar
Paida Kar Ke Thak Gaye The ? Nahi. Balke
Ye Az Sar-E-Nou Paida Karne Main Shak Main Pare Hue Hain.
16
Aur Ham Hi Ne Insaan
Ko Paida Kia Hai Aur Joh Khaylaat Us Ke Dil Main Guzarte Hain Ham Un Ko Jaante
Hain. Aur Ham Us Ki Rag Jaan Se Bhi Usse Ziada Qareeb Hain.
17
Jab Wo Koi Kaam Karta
Hai, Toh Do Likhne Wale Joh Daayen Baayen Baithte Hain, Likh Lete Hain.
18
Koi Baat Us Ki Zabaan
Par Nahi Aati, Magar Aik Nigeehbaan Us Ke Paas Taiyaar Rehta Hai.
19
Aur Mout Ki Be Hoshi
Haqeeqat Kholne Ko Taari Ho Gai. Ae Insaan Ye Hi Wo Halat Hai Jis Se Tu Bhaagta
Tha.
20
Aur Soor Phooonkha
Jaye Ga. Ye Hi Azab Ki Waeed Ka Din Hai.
21
Aur Har Shakhs Hamare
Saamne Aaye Ga. Aik Farishta Us Ke Sath Chalaane Wala Hoga Aur Aik Us Ke
Amaloun Ki Gawahi Dene Wala.
22
Ye Wo Din Hai Ke Is Se
Tu Ghafil Ho Raha Tha .
Ab Ham Ne Tujh Par
Se Parda Utha Dia.Toh
Aaj Teri Nigaah Taiz Hai.
23
Aur Us Ka Ham Nasheen
Farishta Kahe Ga Ke Ye Aamaal Naama Mere Paas Hazir Hai.
24
Hukum Hoga Ke Har
Sarkash Na Shukre Ko Dozakh Main Dal Do.
25
Joh Maal Main Bukhal
Karne Wala, Had Se Barhne Wala Shube
Nikaalne Wala Tha.
26
Jis Ne Khuda Ke Sath
Aur Maabood Muqarrar Kar Rakhe The. Toh Us Ko Sakht Azaab Main Daal Do.
27
Us Ka Sathi Shaitaan
Kahe Ga, Ke Ae Hamare Pawardigar Main Ne Is Ko Gumraah Nahi Kia Tha, Balke Ye
Aap Hi Raste Se Door Bhatka Hua Tha.
28
Khuda Kahe Ga Ke
Hamare Huzoor Main Radd-o-Kadd Na Karo. Ham Tumhare Paas Pehle Hi Azaab Ki
Waeed Bhaij Chuke The.
29
Hamare Haan Baat Badla
Nahi Karti Aur Ham, Bandoun Par Zulm Nahi Kia Karte.
30
Us Din Ham Dozakh Se
Poochain Ge, Ke Kia Tu Bhar Gai? Wo Kahe
Gi Ke Kuch Aur Bhi Hai?
31
Aur Behshat
Parhaizgaaroun Ke Qareeb Kar Di Jaye Gi Ke Mutlaq Door Na Hogi.
32
Ye Hi Wo Cheez Hai Jis
Ka Tum Se Waada Kia Jata Tha, Yaani Har Rujoo Laane Wale, Hifazat Karne Wale
Se.
33
Joh Khuda Se Bin
Daikhe Darta Raha Aur Rujoo Laane Wala Dil Le Kar Aaya.
34
Is Main Salamti Ke Sath
Dakhil Ho Jaao. Ye Hamesha Rehne Ka Din Hai.
35
Wahan Wo Joh Chahain
Ge Un Ke Liye Hazir Hai Aur Hamare Haan Aur Bhi Bohot Kuch Hai.
36
Aur Ham Ne Un Se Pehle
Kaiee Ummatain Halaak Kar Daaleen.Wo Un Se Quwwat Main Kahin Barh Kar Theen, Wo
Shehroun Main Gasht Karne Lage. Kia Kahin Bhaagne Ki Jaga Hai?
37
Joh Shakhs Dil Aagah
Rakhta Hai, Ya Dil Se Mutawajoh Ho Kar Sunta Hai, Us Ke Liye Is Main Naseehat
Hai.
38
Aur Ham Ne Aasmanaoun
Aur Zameen Ko Aur Joh Makhlooqaat In Main Se Hain Sab Ko Che (6) Dinn Man Bana
Dia. Aur Ham Ko Zara Bhi Takaan Na Hui.
39
Toh Joh Kuch Ye Kuffar
Bakte Hain, Us Par Sabar Karo Aur Aaftaab Ke Tuloo Hone Se Pehle Aur Us Ke Gharoob
Hone Se Pehle Apne Parwardigar Ki Taareef Ke Sath Tasbeeh Karte Raho.
40
Aur Raat Ke Baaz Ouqaat
Main Bhi Aur Namaaz Ke Baad Bhi Us Ke Naam Ki Tanzee Kia Karo.
41
Aur Suno, Jis Din
Pukaarne Wale Nazdeek Ki Jaga Se Pukare Ga.
42
Jis Din Loug , Cheekh
Yaqeenan Sunn Lainge. Wo Hi Nikal Parne Ka Din Hai.
43
Ham Hi Toh Zinda Karte
Hain Aur Ham Hi Maarte Hain Aur Hamare Hi Paas Lout Kar Aana Hai.
44
Us Din Zameen Un Par
Se Path Jaye Gi Aur Wo Jhat Pat Nikal Khare Hougne.Ye Jama Karna Hamain Asaan
Hai.
45
Ye Loug Joh Kuch Kehte
Hain, Hamain Khoob Maloom Hai Aur Tum Un Par Zabardasti Karne Wale Nahi Ho. Pas
Joh Hamare Azaab Ki Waeed Se Dare Us Ko Quraan Se Naseehat Karte Raho.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!