Sooraah-as-saffat
Aayaat-182
Shroo allah ke naam se
joh bara meherbaan aur nihayat rehem farmane wala hai.
1
Qasam Hai Saff
Baandhne Waaloun Ki Para Jama Kar.
2
Phir Daantne Waaloun
Ki Jhirak Kar.
3
Phir Zikar Yaani
Quraan Parhne Waaloun Ki Ghour Kar Kar.
4
Ke Tumhara Maabood Aik
Hi Hai.
5
Joh Aasmaanoun Aur
Zameen Aur Joh Cheezain Un Main Hain Sab Ka Maalik Hai, Aur Sooraj Ke Tuloo
Hone Ke Maqmaat Ka Bhi Maalik Hai.
6
Be Shak Ham Hi Ne
Aasmaan-E-Dunia Ko Sitaatroun Ki Zeenat Se Muzzaiyan Kia.
7
Aur Har
Shaitaan-E-Sarkash Se Us Ki Hifazat Ki.
8
Ke Oopar
Ki Majlis Ki Taraf Kaan Na Laga Sakain Aur Har Taraf Se Un Par Angaare Phainke
Jaate Hain.
9
Yaani Wahan
Se Nikaal Dene Ko Aur Un Ke Liye Azaab-E-Daaimi Hai.
10
Haan Joh
Koi Farishtoun Ki Kisi Baat Ko Chorri Se Jhappat Lena
Chahata Hai Toh Jalta Hua Angaara Us Ke Peeche Lagta Hai.
11
Toh Un
Se Poocho Ke Un Ka Banana Mushkil Hai, Ya Jitni Khalqat Ham Ne Banayee Hai Un
Ka? Unhain Ham Ne Chupakte Gaare Se Banaya Hai.
12
Haan Tum
Toh Taajubb Karte Ho Aur Ye Tammaskhur Karte Hain.
13
Aur Jab
Un Ko Naseehat Di Jati Hai Toh Naseehat Qabool Nahi Karte.
14
Aur Jab
Koi Nishaani Daikhte Hain Toh Thathe Karte Hain.
15
Aur Kehte
Hain Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.
16
Bhala Jab
Ham Mar Gaye Aur Matti Aur Haddiyan Ho Gaye Toh Kia Phir Uthaye Jayen Ge.
17
Aur Kia
Hamare Baap Dada Bhi Joh Pehle Ho Guzre Hain.
18
Keh Do
Ke Haan Aur Tum Zaleel Ho Gaye.
19
Wo Toh
Aik Zor Ki Awaaz Hogi Aur Yeh Us Waqt Daikhne Lagain Ge.
20
Aur Kahain
Ge,Haaye Shamat Ye Hi Jaza Ka Din Hai.
21
Kaha Jaaye
Ga Ke Haan Faisle Ka Din, Jis Ko Tum
Jhoot Samajhte The, Ye He Hai.
22
Joh Loug
Zulm Karte The Un Ko Aur Un Ke Ham Jinsoun Ko Aur Jin Ko Wo Pooja Karte The Sab
Ko Jama Kar Lo.
23
Yaani Jin
Ko Khuda Ke Siwa Pooja Karte The Phir Un Ko Jahannum Ke Raste Par Chala Do.
24
Aur Un
Ko Theraye Rakho, Ke Un Se Kuch Poochna Hai.
25
Tum Ko
Kia Hua Ke Aik Doosre Ki Madad Nahi Karte.
26
Balke Aaj
Toh Wo Farmabardar Hain.
27
Aur Aik
Doosre Ki Taraf Rukh Kar Ke Sawaal-O-Jawab Karain Ge.
28
Kahain Ge
Kia Tum Hi Hamare Paas Daayen Aur Baayen Se Aate The.
29
Wo Kahain
Ge Balke Tum Hi Eemaan Laane Wale Na The.
30
Aur Hamara
Tum Par Kuch Zor Na Tha.Balke Tum Sarkash Loug The.
31
So Hamare
Bare Main, Hamare Parwardigar Ki Baat
Poori Ho Gai Ab Ham Mazeh Chakainge.
32
Ham Ne
Tumko Bhi Gumraah Kia, Aur Ham Khud Bhi
Gumrah The.
33
Pas Wo
Us Roz Azaab Main Aik Doosre Ke Shareek Hounge.
34
Ham Gunnehgaroun
Ke Sath Aisa Hi Kia Karte Hain.
35
Un Ka Ye
Haal Tha Ke Jab Un Se Kaha Jata Tha Ke Khuda Ke Siwa Koi Maabood Nahi Toh Gharoor
Karte The.
36
Aur Kehte
The Ke Bhala Ham Aik Deewane Shaair(Poet) Ke Kehne Se Kahin Apne Maaboodoun Ko
Chor Dene Wale Hain.
37
Nahi, Balke
Wo Haq Le Kar Aaye Hain. Aur Pehle Paigambaroun Ko Sacha Kehte Hain.
38
Be Shak
Tum Taleef Dene Wale Azaab Ka Mazakh Chakhne Wale Ho.
39
Aur Tumko
Baddla Waisa Hi Mile Ga Jaise Tum Kaam Karte The.
40
Magar Joh
Khuda Ke Bandgaan-E-Khas Hain.
41
Ye Hi
Loug Hain Jin Ke Liye Rozi Muqarrar Hai.
42
Yaani Mewe
Aur Un Ka Aizaaz Kia Jaye Ga.
43
Naimat Ke
Baaghoun Main .
44
Aik Doosre
Ke Samne Takhtoun Par Baithe Hounge.
45
Sharaab-E-Lateef
Ke Jam Ka Un Main Dour Chal Raha Hoga.
46
Joh Rang
Ki Safaid Aur Peene Walaoun Ke Liye Sarasar Lazzat Hogi.
47
Na Us Se
Dard-E-Sar Ho Aur Na Wo Us Se Matwaale Houn.
48
Aur Unke
Paas Aurtain Houngi Joh Nigahain Neechi Rakhti Houngi Aur Aankhain Bari Bari .
49
Goya Wo
Mehfooz Ande Hain.
50
Phir Wo
Aik Doosre Ki Taraf Rukh Kar Ke Sawaal-O-Jawab Karain Ge.
51
Aik Kehne
Wala Un Main Se Kahe Ga Ke Mera Aik Ham Nasheen Tha.
52
Joh Kehta
Tha Ke Bhala Tum Bhi Aisi Baatoun Ke Baawar Karane Waaloun Main Ho.
43
Bhala Jab
Ham Mar Gaye Aur Matti Aur Haddiyan Ho Gaye Toh Kia Ham Ko Badla Mile Ga?
54
Phir Kahe
Ga, Ke Bhala Tum Usse Jhaank Kar Daikhna Chahte Ho?
55
Itne Main
Wo Khud Jhaanke Ga. Toh Us Ko Wast-E-Dozakh Main Daikhe Ga.
56
57
Aur Agar
Mere Parwardigar Ki Meherbani Na Hoti, Toh Main Bhi Un Main Hota Joh Azaab Main
Haazir Kiye Gaye Hain.
58
Kia Ye
Nahi Ke Ham Aainda Kabhi Marne Ke Nahi.
59
Haan Joh
Pehli Baar Marna Tha, So Mar Chuke Aur Hamain Azaab Bhi Nahi Hone Ka.
60
Be Shak
Ye Bari Kaamyaabi Hai.
61
Aisi Hi Naimatoun
Ke Liye Amal Karne Waalon Ko Amal Karne Chaahiye.
62
Bhala Ye
Mehmaani Achi Hai Ya Thoohar Ka Darakht?
63
Hamne Usko
Zaalimoun Ke Liye Azaab Bana Rakha Hai.
64
Wo Aik
Darakht Hai, Ke Jahannum Ke Asfal Main Ugge Ga.
65
Un Ke
Khoshe Aise Hounge Jaise Shitaanoun Ke Sar.
66
So Wo
Ussi Main Se Khaayen Ge Aur Ussi Se Pait Bharain Ge.
67
Phir Us
Khane Ke Sath Un Ko Garam Pani Pila Kar Dia Jaye Ga.
68
Phir Un
Ko Dozakh Ki Taraf Loutaya Jaye Ga.
69
Unhoun Ne
Apne Baap Dada Ko Gumraah Hi Paaya.
70
So Wo Un
Hi Ke Peeche Doure Chale Jate Hain.
71
Aur Un
Se Paishtar Bohot Se Pehle Loug Bhi Gumrah Ho Gaye The.
72
Aur Ham
Ne Un Main Mutannbeh Karne Wale Bhaije.
73
So Daikh
Lo, Jin Ko Mutanabeh Kia Gaya Tha, Un Ka Anjaam Kaisa Hua.
74
Haan Khuda
Ke Bandgaan-e-Khas Ka Anjaam Bohot Acha Hua.
75
Aur Ham
Ko Nooh Ne Pukara So Daikh Lo. Ke Ham
Dua Ko Kaise Ache Qabool Karne Wale Hain.
76
Aur Ham
Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Walaoun Ko Bari Museebat Se Nijaat Di.
77
Aur In
Ki Aurlaad Ko Aisa Kia Ke Wo Hi Baaqi Reh Gaye.
78
Aur Peeche
Aane Waaloun Main Un Ka Zikar-E-Jameel Baqi Chor Dia.
75
Yaani Tamaam
Jahan Main Ke Nooh Par Salam.
80
Naiko Kaaroun
Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
81
Be Shak
Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.
82
Phir Ham
Ne Doosroun Ko Dibo Dia.
83
Aur Un
Hi Ki Pairwoun Main Ibrahim The.
84
Jab Wo
Apne Parwardigar Ke Pas Aib Se Paak Dil Le Kar Aye.
85
Jab Unhoun
Ne Apne Baap Se Aur Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Kin Cheezoun Ko Poojte Ho?
86
Kion Jhoot
Bana Kar Khuda Ke Siwa Aur Maaboodoun Ke Talib Ho?
87
Bhala Parwardigar-e-Alam Ke Baare Main Tumahra Kia
Khayal Hai?
88
Tab Unhoun
Ne Sitaaroun Ki Taraf Aik Nazar Ki.
89
Aur Kaha
Main Toh Bimaar Hoon.
90
Tab Wo Un
Se Peeth Phair Kar Lout Gaye.
91
Phir Ibrahim
Un Ke Maaboodoun Ki Taraf Mutawajoh Hue Aur Kehne Lage Ke Tum Khaate Kion Nahi?
92
Tumhain Kia
Hua Hai Tum Bolte Nahi?
93
Phir Un
Ko Dahne Hath Se Maarna Aur Tourna Shroo Kia.
94
Toh Wo
Loug Un Ke Paas Dourte Hue Aaye.
95
Unhoun Ne
Kaha Ke Tum Aisi Cheezoun Ko Kion Poojte Ho Jin Ko Khud Tarashte Ho?
96
Halanke Tum
Ko Aur Joh Tum Banate Ho, Us Ko Khuda Hi Ne Paida Kia Hai.
97
Wo Kehne Lage Ke Is Ke Liye Aik Imarat Banao
Phir Us Ko Aag Ke
Dhair
Main Daal Do.
98
Gharz Unhoun
Ne Un Ke Sath Aik Chaal Chalni Chahi Aur Ham Ne Un Hi Ko Zair Kar Dia.
99
Aur Ibrahim
Bole Ke Main Apne Parweardigar Ki Taraf Jaane Wala Hoon Wo Mujhe Rasta Dikhaye
Ga.
100
Ae Parwardigar
Mujhe Aulad Ata Farma Joh Saadat Mandoun Main Se Ho.
101
Toh Ham
Ne Un Ko Aik Naram Dil Larke Ki Khushkhabri Di.
102
Jab Wo Un
Ke Sath Dorne Ki Umar Ko Pohoncha, Toh Ibrahim Ne Kaha Ke Beta Main Khuab Main
Daikhta Hoon, Ke Goya Tum Ko Zibah Kar Raha Hoon, Toh Tum Socho Ke Tumhara Kia
Khayal Hai? Unhoun Ne Kaha Ke Abba Joh
Aap Ko Hukum Hua Hai Wo Hi Kijiye, Khuda
Ne Chaha Toh Aap Mujhe Saabiroun Main Paaiye Ga.
103
Jab Dono
Ne Hukum Maan Lia Aur Baap Ne Bete Ko Maathe Ke Bal Lita Dia.
104
Toh Ham
Ne Un Ko Pukara Ke Ae Ibrahim.
105
Tum Ne
Khuab Ko Sachha Kar Dikhaya. Ham Naiko Kaaroun Ko Aissa Hi Badla Dia Karte
Hain.
106
Bila Shuba
Ye Sareeh Aazmaaish Thi.
107
Aur Ham
Ne Aik Bari Qurabaani Ko Un Ka Fidya Dia.
108
Aur Peeche
Aane Waaloun Main Ibrahim Ka Zikar-E- Khair Baqi Chor Dia.
109
Ke Ibrahim
Par Salam Ho.
110
Naikokaron
Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
111
Be Shak
Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.
112
Aur Ham
Ne In Ko Ishaq Ki Bisharat Bhi Di Ke Wo Nabi Aur Naiko Karohn Main Se Hounge.
113
Aur Ham
Ne Un Par Aur Ishaq Par Barakatain Nazil Ki Theen. Aur Un Dono Ki Aulad Main Se Naiko Kaar Bhi Hain Aur Apne
Aap Par Sareeh Zulm Karne Wale Yaani Gunehgaar Bhi Hain.
114
Aur Ham
Ne Moosa Aur Haroon Par Bhi Ehsaan Kiye.
115
Aur Un
Ko Aur Un Ki Qoum Ko Museebat-E-Azeema Se Nijaat Bakhshi.
116
Aur Un
Ki Madad Ki Toh Wo Ghalib Ho Gaye.
117
Aur Un Dono Ko Kitaab, Wazeh-Ul-Matalib Inayat Ki.
118
Aur Un
Ko Seedha Rasta Dikhaya.
119
Aur Peeche
Aane Waloun Main Un Ka Zikar Khair Baaqi Chor Dia.
120
Ke Mooa
Aur Haroon Par Salam.
121
Be Shak
Ham Naiko Kaaroun Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
122
Wo Dono
Hamare Momin Bandoun Main Se The.
123
Aur Ilyas
Bhi Paigambaroun Main Se The.
124
Jab Unhoun
Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?
125
Kia Tum
Boaal Ko Pukarte Aur Us Ko Poojte Ho Aur Ab Se Behtar Paida Karne Wale Ko Chore
Dete Ho.
126
Yani Khuda
Ko, Joh Tumhara Aur Tumhare Agle Baap Dada Ka Parwardigar Hai.
127
Toh Un
Lougon Ne Un Ko Jhutla Dia. So Wo Dozakh Mai Haazir Kiye Jaayen Ge.
128
Haan Khuda
Ke Bandgaan-E-Khas Mubtila-E-Azab Nahi Honge.
129
Aur Un
Ka Zikar Khair Pichloun Main Baqi Chor Dia.
130
Ke Ilyaseen
Par Salam.
131
Ham Naik
Lougon Ko Aisa Hi Badla Dete Hain.
132
Be Shak
Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.
133
Aur Loot
Bhi Paigambaroun Main Se The.
134
Jab Ham
Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Waaloun Ko Sab Ko Azaab Se Nijaat Di.
135
Magar Aik
Burhiya Ke Peeche Reh Jane Waaloun Main Thi.
136
Phir Hamne
Auroun Ko Halak Kar Dia.
137
Aur Tum
Din Ko Bhi Un Ki Bastiyoun Ke Paas Se Guzarte Rehte Ho.
138
Aur Raat
Ko Bhi. Toh Kia Tum Aqal Nahi Rakhte.
139
Aur Younus
Bhi Paigambaroun Main Se The.
140
Jab Bhaag
Kar Bhari Hui Kashti Main Pohonche.
141
Us Waqt
Quraa Dala, Toh Unhoun Ne Zakk Uthayee.
142
Phir Machli
Ne Un Ko Nigal Lia Aur Wo Qaabil-E-Malamat Kaam Karne Wale The.
143
Phir Agar
Wo Khuda Ki Paaki Bayan Na Karte .
144
Toh Us
Roz Tak, Ke Loug Dobara Zinda Kiye Jayen Ge, Ussi Ke Pait Main Rehte.
145
Phir Ham
Ne Un Ko Jab Ke Wo Bimaar The Farakh Maidaan Main Daal Dia.
146
Un Par
Kaddoo Ka Darakht Ugaya.
147
Aur Un
Ko Laakh Ya Us Se Ziada Lougon Ki Taraf Paigamabar Bana Kar Bhaija.
148
Toh Wo
Eemaan Le Aye, So Ham Bhi Un Ko Dunia Main Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Faaide Dete
Rahe.
149
Un Se
Poocho Toh Ke Bhala Tumhare Parwardigar Ke Liye Toh Baitiyan Aur Un Ke Liye
Bete.
150
Ya Ham
Ne Farishtoun Ko Aurtain Banaya Aur Wo Us Waqt Mojood The.
151
Daikho Ye
Apni Jhoot Banaye Hui Baat Kehte Hain.
152
Ke Khuda
Ke Aulad Hai, Kuch Shak Nahi Ke Ye Jhoote Hain.
153
Kia Us
Ne Baitoun Ki Nismbat Baitiyonn Ko Pasand Kia Hai?
154
Tum Kaise
Loug Ho, Kis Tarha Ka Faisla Karte Ho.
155
Bhala Tum
Ghour Kion Nahi Karte.
156
Kia
Tumhare Paas Koi Sareeh Daleel Hai.
157
Agar Tum
Sache Ho, Toh Aphi Kitab Paish Karo.
158
Aur Unhoun
Ne Khuda Main Aur Jinnon Main Rishta Muqarrar Kia. Halanke Jinnat Jaante Hain
Ke Wo Khuda Ke Saamne Hazir Kiye Jayen Ge.
159
Ye Joh
Kuch Bayan Karte Hain Khuda Us Se Paak Hai.
160
Magar Khuda
Ke Bandgaan-E-Khalis Mubtalyae Azaab Nahi Hounge.
161
So Tum,
Aur Jin Ko Tum Poojte Ho.
162
Khuda Ke
Khilaaf Behka Nahi Sakte.
163
Magar Us
Ko Joh Jahannum Main Jane Wala Hai.
164
Aur Farishte
Kehte Hain Ke Ham Main Se Har Aik Ka Aik Maqaam Muaqarrar Hai.
165
Aur Ham
Saff Bandhe Rehte Hain.
166
Aur Khuda-E-Paak
Zaat Ka Zikar Karte Rehte Hain.
167
Aur Ye
Loug Kaha Karte The.
168
Ke Agar
Hamare Paas Agloun Ki Koi Naseehat Ki Kitaab Hoti.
169
Toh Ham
Khuda Ke Khalis Bande Hote.
170
Lekin Ab,
Is Se Kufar Karte Hain, So Anqareeb Un Ko Is Ka Natija Maloom Ho Jaye Ga.
171
Aur Apne
Paigaam Pohonchane Wale Bandoun Se Hamara Wada Ho Chukka Hai.
172
Ke Wo Hi
Muzaffar-O-Mansoor Hain.
173
Aur Hamara
Lashkar Ghaalib Rahe Ga.
174
Toh Aik
Waqt Tak Un Se Airaaz Kiye Raho.
175
Aur Unhain
Daikhte Raho. Ye Bhi Anqareeb Kufur Ka Anjaam Daikh Lainge.
176
Kia Ye
Hamare Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain.
177
Magar Jab
Wo Un Ke Maidaan Main Aa Utre Ga, Toh Jin Ko Dar Suna Dia Gaya Tha Un Ke Liye
Bura Din Hoga.
178
Aur Aik
Waqt Tak Un Se Moonh Phaire Raho.
179
Aur Daikhte
Raho, Ye Bhi Anqareeb Natija Daikh Lainge.
180
Ye Joh
Kuch Bayaan Karte Hain , Tumahra Parwardigar Joh Sahib-E-Izzat Hai, Us Se Paak
Hai.
181
Aur Paigambarun
Par Salam.
182
Aur Sab
Tarha Ki Taareef Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmaeen Ko Sazawaar Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!