Soorah Al-Ahzab
Aayaat 73
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Paigambar S.A.W.
Khuda Se Darte Rehna Aur Kaafiroun Aur Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na. Be Shak
Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
2
Aur Joh Kitaab Tum Ko
Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Wahi Ki Jati Hai Ussi Ki Pairwi Kiye Jana. Be
Shak Khuda Tumhare Sab Amaaloun Se Khabardar Hai.
3
Aur Khuda Par Bharosa
Rakhna. Aur Khuda Hi Kaarsaz Kafi Hai.
4
Khuda Ne Kisi Aadmi Ke
Pehlu Main Do Dill Nahi Banaye. Aur Na Tumhari Aurtoun Ko, Jin Ko Tum Maan Keh
Baithe Ho Tumhari Maan Banaya, Aur Na Tumhre Le Paalakoun(Adopted Child) Ko
Tumhare Bete Banaya. Ye Sab Tumhare Moonh Ki Baatain Hain. Aur Khuda Toh Sachhi
Baat Fermata Hai Aur Wo Hi Seedha Rasta Dikhata Hai.
5
Momino! Le
Paalkoun(Adopted Child) Ko Un Ke Asli Baapoun Ke Naam Se Pukara Karo. Keh Khuda
Ke Nazdeek Ye Hi Baat Dururst Hai. Agar Tumko Un Ke Baapoun Ke Naam Maloom Na
Houn Toh Deen Main Wo Tumhare Bhai Aur Dost Hain Aur Joh Baat Tum Se Ghalti Se
Ho Gai Ho Us Mai Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Lekin Joh Qasad Dili Se Karo Us Par
Mawaakhza Hai Aur Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.
6
Paighambar Mominoun
Par Un Ki Jaanoun Se Bhi Ziada Haq Rakhte Hain, Aur Paighamar Ki Bewiyaana Un
Ki Maayen Hain. Aur Rishta Daar Apas Main Kitaab-ul-ALLAH Ke Roo Se
Musalmaanoun Aur Mohaajroun Se, Aik Doosre Ke Tarke Ke Ziada Haqdaar Hain . Magar
Ye Ke Tum Apne Dostoun Pe Ehsaan Karna Chaho. Ye Hukum Kitaab Yaani Quraan Main
Likh Dia Gaya Hai.
7
Aur Jab Ham Ne Paigambaroun
Se Ehed Liya, Aur Tum Se Nooh Se Aur Ibarahim Se Aur Moosa Se Aur Maryam Ke
Bete Eesa Se. Aur Ehed Bhi Un Se Pakka Liya.
8
Ta-Ake Sach Kehne
Waloun Se Un Ki Sachayee Ke Bare Main Daryaaft Kare Aur Us Ne Kaafiroun Ke Liye
Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.
9
Momino Khuda Ki Us
Meherbaani Ko Yaad Karo, Joh Us Ne Tum Par Us Waqt Ki, Jab Foujaain Tum Par
Hamla Karne Ko Aayen. Toh Ham Ne Un Par Hawa Bhaiji Aur Aise Lashkar Nazil Kiye
Jin Ko Tum Daikh Nahi Sakte The. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Un Ko Daikh
Raha Hai.
10
Jab Wo Tumhare Oopar
Aur Neeche Ki Taraf Se Tum Par Charh Aaye Aur Jab Aankahin Phir Gayee Aur Dil
Mare Dehshat Ke Galoun Tak Pohonch Gaye Aur Tum Khuda Ki Nisbat Tarha Tarha Ke
Gumaan Karne Lage.
11
Wahan Momin Aazmaaye
Gaye, Aur Sakhst Tour Par Hilaaye Gaye.
12
Aur Jab Munafiq Aur Wo
Loug Jin Ke Diloun Main Bimari Hai Kehne Lage Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ne Toh
Ham Se Mehez Dhoke Ka Waada Kia Tha.
13
Aur Jab Un Main Se Aik
Jamaat Kehti Thi, Ke Ae Ehl-E-Madeena
Yahan Tumhare Theherne Ka Maqaam Nahi, Toh Lout Chalo. Aur Aik Guroh Un Main Se
Paigamabar Se Ijazat Maangne Aur Kehne Laga Ke Hamare Ghar Khule Pare Hain,
Halaanke Wo Khule Nahi The. Wo Toh Sirf Bhaagna Chahte The.
14
Aur Agar Foujain
Itraaf-E-Madeena Se Un Par Aa Dakhil Houn Phir Un Se Khana Jangi Ke Liye Kaha
Jaye, Toh Foran Karne Lagain Aur Us Ke Liye Bohot Kam Tawaquff Karain.
15
Halanke Pehle Khuda Se
Iqraar Kar Chuke The, Ke Peeth Nahi Phairain Ge .Aur Khdua Sa Joh Iqraar Kia
Jata Hai Us Ki Zaroor Purrshish Hogi.
16
Keh Do Ke Agar Tum Marne Ya Maarne Jane Se Bhaagte Ho Toh Bhaagna Tum Ko
Faaida Nahi De Ga Aur Us Waqt Tum Bohot Hi Kam Faaaida Uthaao Ge.
17
Keh Do Ke Agar Khuda
Tumhare Sath Burai Ka Iraada Kare Toh Koun Tum Ko Is Se Bacha Sakta Hai, Ya Agar
Tum Par Meherbaani Karni Chahte Toh Koun Us Ko Hata Sakta Hai, Aur Ye Loug
Khuda Ke Siwa Kisi Ko Na Apna Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.
18
Khuda Tum Main Se Un
Lougon Ko Bhi Jaanta Hai, Joh Lougon Ko Mana Karte Hain Aur Apne Bhaaiyoun
Se Kehte Hain Ke Hamare Pas Chale Aao.MAur
Larayee Main Nahi Aate Magar Kam.
19
Ye Is Liye Ke Tumhare
Bare Main Bukhal Karte Hain. Phir Jab Dar Ka Waqt Aaye, Toh Tum Unko Daikho, Ke
Tumhri Taraf Daikh Rahe Hain, Aur Un Ki Aankhian Issi Tarah Phir Rahi Hain
Jaise Kisi Ko Mout Se Ghashi Aa Rahi Ho. Phir Jab Khof Jaata Rahe Toh Taiz
Zabbnoun Ke Sath Tumhare Bare Main Zabaan Daraazi Karain Aur Maal Main Bukhal
Karian . Ye Loug Haqeeqat Main Eemaan Laaye Hi Na The Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal
Barbaad Kar Diye Aur Ye Khuda Ko Aasaaan Tha.
20
Khof Ke Sabab Khayal
Karte Hain, Ke Foujain Nahi Gayee. Aur Agar Lashkar Aa Jaayen Toh Tamanna
Karain, Ke Kaash Ganwaaroun Main Ja
Rahain Aur Tumhari Khabar Poocha Karian. Aur Agar Tumhare Darmyaan Houn Toh
Larayee Na Karain , Magar Kam.
21
Tum Ko
Paigambar-E-Khuda Ki Pairwi Karni Behtar Hai Yaani Us Shakhs Ko Jisse Khuda Se
Milne Aur Roz-E-Qiamat Ke Aane Ki Umeed Ho Aur Wo Khuda Ka Zikar Kasrat Se
Karta Ho.
22
Aur Jab Mominoun Ne
Kaafiroun Ke Lashkar Ko Daikha, Toh Kehne Lage, Ye Wo Hi Hai Jis Ka Khuda Aur
Us Ke Paigamabar Ne Ham Se Waada Kia Tha, Aur Khuda Aur Us Ke Paigamabar Ne
Sach Kaha Tha. Aur Us Se Un Ka Eemaan Aur Itaa-At Aur Ziada Ho Gai.
23
Mominoun Main, Kitne
Hi Aise Shakhs Hain, Ke Joh Iqraar Unhoun
Ne Khuda Se Kia Tha Us Ko Sach Kar Dikhaya. Toh Un Main Baaz Aise Hain
Jon Apni Nazar Se Faarigh Ho Gaye Aur Baaz Aise Hain Ke Intizar Kar Rahe Hain
Aur Unhoun Ne Apne Qoul Ko Zara Bhi Nahi Badla.
24
Taa-Ake Khuda Sachoun
Ko Un Ki Sachayee Ka Badla De Aur Munafiqoun Ko Chahe Toh Azaab De Ya Chahe Toh
Un Par Meherbaani Kare. Beshak Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.
25
Aur Joh Kafir The Un
Ko Khuda Ne Phair Dia Aur Wo Apne Ghusse Main Bhare Hue The, Kuch Bhalaiyee
Hasil Na Kar Sake. Aur Khuda Mominoun Ko Larayee Ke Bare Main Kafi Hua. Aur
Khuda Taqatwar Aur Zabardast Hai.
26
Aur Ehl-E-Kitaab Main
Se Jinhoun Ne Un Ki Madad Ki Thi, Un Ko Un Ke Qiloun Se Utaar Dia Aur Un Ke
Diloun Main Dehshat Daal Di. Toh Kitnoun Ko Tum Qatal Kar Dete The, Aur Kitnou
Ko Qaid Kar Lete The.
27
Aur Un Ki Zameen, Aur
Un Ke Gharoun Aur Un Ke Maal Aur Us Zameen Ka, Jis Main Tum Ne Paaoun Bhi Nahi
Rakha Tha, Tumko Waaris Bana Dia. Aur Khuda Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.
28
Ae Paigambar S.A.W.
Apni Biwiyon Se Keh Do Ke Agar Tum Dunia Ki Zindagai Aur Us Ki
Zeenat-O-Aaraaish Ki Khuaastgaar Ho, Toh Aao Main Tumhain Kuch Maal Doon Aur
Achi Tarha Se Rukhsat Kar Doon.
29
Aur Agar Tum Khuda Aur
Us Ke Paigamabar Aur Aaqbat Ke Ghar Yaani Behshat Ki Talabgaar Ho, Toh Tum Main
Joh Naiko Kari Karne Wali Hain, Un Ke Liye Khuda Ne Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar
Rakha Hai.
30
Ae Paigambar Ki Biwiyo,
Tum Main Se Joh Koi Sareeh Na Shaaista Harkaat Kare Gi. Us Ko Dooni Saza Di
Jaye Gi Aur Ye Baat Khuda Ko Aasaan Hai.
31
Aur Joh Tum Se, Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardaar Rahe Gi
Aur Amal-e-Naiki Kare Gi. Us Ko Ham Doona Sawab Dainge Aur Us Ke Liye Ham Ne
Izzat Ki Rozi Taiyaar Kar Rakhi Hai.
32
Ae Paigambar Ki Biwiyo
Tum Aur Aurtoun Ki Tarha Nahi Ho. Agar Tum Parhaizgaar Rehna Cahti Ho Toh Kisi
Ajnabi Shakhs Se Narm Narm Baatain Na Kia Karo, Taa-Ake Wo Shakash Jis Ke Dil
Main Kisi Tarha Ka Marz Hai Koi Umeed Na Paida Kar Le. Aur Un Main Dastoor Ke
Mutabiq Baat Kia Karo.
33
Aur Apne Gharoun Main
Thehri Raho, Aur Jis Tarha Pehle
Jaahliyat Ke Dinoun Main Izhaar-E-Tajammul Karti Theen. Uss Tarha Zeenat Na
Dikhao. Aur Namaaz Parhti Raho Aur Zakat Deti Raho Aur Khuda Aur Us Ke Rasool
Ki Faramabardari Karti Raho. Ae Paigamabar S.A.W. Ke Ehle-E-Bait Khuda Chahta
Hai Ke Tum Se Napaaki Ka Mail Kuchail Door Kar De Aur Tumhain Bilkul Paak Saaf
Kar De.
34
Aur Tumhare Gharoun
Main Joh Khuda Ki Aayatain Parhi Jati Hain Aur Hikmat Ki Baatain Sunaye Jati
Hain, Un Ko Yaad Rakho.Be Shak Khuda Baareek Been Aur Ba Khabar Hai.
35
Joh Loug Khuda Ke Aage
Sar-E-Itaa-At Kham Karne Wale Hain Yaani Musalmaan Mard Aur Mulsalmaan Aurtain
Aur Momin Mard Aur Momin Aurtain Aur Farmabadar Mard Aur Farmabardar Aurtain Aur
Raast Baz Mard Aur Raast Baz Aurtain Aur
Sabar Karne Wale Mard Aur Sabar Karne Wali Aurtain Aur Farotni Karne Wale Mard
Aur Farotni Karne Wali Aurtain Aur Khairaat Karne Wale Mard Aur Khairaat Karne
Wali Aurtain Aur Roze Rakhne Wale Mard Aur Roze Rakhne Wali Aurtain Aur Apni
Sharmgaahoun Ki Hifazat Karne Wale Mard Aur Hifazat Karne Wali Aurtain Aur
Khuda Ko Kasrat Se Yaad Karne Wale Mard Aur Kasrat Se Yaad Karne Wali Aurtain. Kuch
Shak Nahi Ke Un Ke Liye Khuda Ne Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar Rakha
Hai.
36
Aur Kisi Momin Mard
Aur Momin Aurat Ko Haq Nahi Hai Ke Jab Khuda Aur Us Ka Rasool Koi Amar Muqarrar
Kar Dain Toh Wo Us Kaam Main Apna Bhi Kuch Ikhtiyaar Samjhain.Aur Joh Koi Khuda
Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani Kare Wo Sareeh Gumrah Ho Gaya .
37
Aur Jab Tum Us Shakhs
Se Jis Par Khuda Ne Ehsaan Kia Aur Tum Ne Bhi Ehsaan Kia, Ye Kehte The Ke Apni
Biwi Ko Apne Paas Rehne De Aur Khuda Se Dar, Aur Tum Apne Dil Main Wo Baat
Posheeda Karte The Jis Ko Khuda Zaahir Karne Wala Tha Aur Tum Lougon Se Darte
The. Halanke Khuda Hi Is Ka Ziada Mustahiq Hai Ke Us Se Daro. Phir Jab Zaid Ne
Us Se Koi Hajat Mutliq Na Rakhi Yaani Us Ko Tallaq De Di, Toh Ham Ne Tum Se Us
Ka Nikaah Kar Dia Taa-Ake Mominoun Ke Liye Un Ke Moon Bole Baitoun Ki Biwiyoun
Ke Sath Nikah Karne Ke Bare Main Jab Wo Un Se Apni Hajat Mutliq Na Rakhain,
Yaani Talaaaq De Dain, Kuch Tangi Na Rahe. Aur Khuda Ka Hukum Waaqe Ho Kar
Rehne Wala Tha.
38
Paigambar Par Us Kaam
Main Kuch Tangi Nahi Joh Khuda Ne Un Ke Liye Muqarrat Kar Dia. Aur Joh Loug Pehle Guzar Chuke Hain Un Main
Bhi Khuda Ka Ye Hi Dastoor Raha Hai.Aur Khuda Ka Hukum Theher Chukka Tha.
39
Aur Joh Khuda Ke Paighaam
Joon Ke Toon Pohnchaate, Aur Us Se Darte Aur Khuda Ke Siwa Kisi Se Nahi Darte
The. Aur Khuda Hi Hisaab Karne Ko Kaafi Hai.
40
Muhammad S.A.W.
Tumhare Mardoun Main Se Kisi Ke Walid Nahi Hain, Balke Khuda Ke Paigambar Aur
Nabiyoun Ki Naboowat Ki Mohor, Yaani Us Ko Khatam Kar Dene Wale Hain Aur Khuda
Har Cheez Se Waqif Hai.
41
Ae Ehl-E-Eemaan Khuda
Ka Bohot Zikar Kia Karo.
42
Aur Subh Aur Shaam, Us Ki Paaki Bayan Karte Raho.
43
Wohi Toh Hai, Joh Tum
Par Rehmat Bhaijta Hai Aur Us Ke Farishte Bhi. Taa-Ake Tum Ko Andhairoun Se
Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jaaye. Aur Khuda Mominoun Par Meherbaan Hai.
44
Jis Roz Wo Un Se
Milain Ge Un Ka Tohfa Khuda Ki Taraf Se Salam Hoga Aur Us Ne Un Ke Liye Bara
Sawaab Taiyar Kar Rakha Hai.
45
Ae Paigambar S.A.W.
Ham Ne Tum Ko Gawahi Dene Wala Aur Khushkhabri Sunnane Wala Aur Darane Wala
Bana Kar Bhaija Hai.
46
Aur Khuda Ki Taraf
Bulane Wala Aur Chiraagh-E-Roshan.
47
Aur Mominoun Ko
Khushkhabri Suna Do Ke Un Ke Liye Khuda Ki Taraf Se Bara Fazal Hai.
48
Aur Kaafiroun Aur
Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na Aur Na Un Ke Takleef Dene Par Nazar Karna Aur
Khuda Par Bharosa Rakhna. Aur Khuda Hi Karsaaz Kafi Hai.
49
Momino! Jab Tum Momin
Aurtoun Se Nikaah Kar Ke Un Ko Hath Lagane Yani Un Ke Paas Jane Se Pehle Tallaq
De Do, Toh Tumko Kuch Ikhtiyar Nahi Ke Un Se Iddat Poori Karao. Un Ko Kuch
Faaida Yaani Kharch De Kar Achi Tarha Se Rukhsat Kar Do.
50
Ae Paigambar S.A.W.
Ham Ne Tumhare Liye, Tumhari Biwiyoun Jin Ko Tum Ne Un Ke Meher De Diye Hain
Halaal Kar Di Hain Aur Tumhari Loundiyaan, Joh Khuda Ne Tum Ko Kuffaar Se Bator
Maal-E-Ganeemat Dilwayee Hain Aur Tumhare Chachha Ki Baitiyan Aur Tumhari
Phoopiyoun Ki Betiyan Aur Tumhare Maamoonoun Ki Betiyan Aur Tumhari Khalaaoun
Ki Betiyan, Aur Joh Tumhare Sath Watan Chor Kar Aaye Hain, Sab Halaal Hain, Aur Koi Momin Aurat Agar Apne Taiyee Paighambar
Ko Bakhsh De, Yaani Meher Lene Ke Bagair Nikaah Main Aana Chahe Basharat Ye Ke
Paigambar Bhi Un Se Nikaah Karna Chahain, Wo Bhi Haaal Hai Lekin Ye Ijazat Ae Muhammad
S.A.W. Khaas Tum Hi Ko Hai, Sab Musalmaanoun Ko Nahi . Ham Ne Un Ki Biwiyoun
Aur Loundiyuoun Ke Bare Main Joh Meher Wajib-Ul-Ada Muqarrar Kar Dia Hai Ham Ko
Maaloom Hai Ye Is Liye Kia Gaya He, Ke Tum Par Kisi Tarha Tangi Na Rahe Aur
Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
51
Aur Tum Ko Ye Bhi
Ikhtiyar Hai Ke Jis Biwi Ko Chaho Alehda Rakho Aur Jisse Chaho Apne Paas Rakho.
Aur Jis Ko Tum Ne Alehda Kar Dia Ho Agar Us Ko Phir Apne Paas Talab Kar Lo Toh
Tum Kuch Gunaah Nahi. Ye Ijazat Is Liye Hai Ke Un Ki Aankhain Thanndi Rahain
Aur Wo Ghamnaak Na Houn Aur Joh Kuch Tum
Un Ko Do. Usse Le Kar Sab Khush Rahain. Aur Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai
Khuda Usse Jaanta Hai. Aur Khdua Jaan-Ne Wala Aur Burdbaar Hai.
52
Ae Paigambar S.A.W. In
Ke Siwa Aur Aurtain Tum Ko Jaaiz Nahi Aur Na Ye Ke Un Biwiyoun Ko Chor Kar Aur
Biwiyaan Karo, Khuah Un Ka Husan Tum Ko Kaisa Hi Acha Lage, Magar Wo Joh
Tumhare Hath Ka Maal Hai Yaani Loundiyoun Ke Bare Main Tum Ko Ikhtiyaar Hai Aur
Khuda Har Cheez Par Nigaaah Rakhta Hai.
53
Mominoun Paigambar Ke
Gharoun Main Na Jaaya Karo, Magar Is Soorat Main Ke Tum Ko Khaane Ke Liye
Ijazat Di Jaye Aur Us Ke Pakne Ka Intizar Bhi Na Karna Pare. Lekin Jab Tumhari
Dawat Ki Jaye Toh Jao Aur Jab Khana Kha Chuko Toh Chal Do Aur Baatoun Main Ji
Laga Kar Na Baith Jao. Ye Baat Paigambar Ko Eeza Deti Thi. Aur Wo Tum Se Sharm
Karte The Aur Kehte Nahi The. Lekin Khuda Sachi Baat Ke Kehne Se Sharm Nahi
Karta. Aur Jab Paigambar Ki Biwiyoun Se Koi Samaan Mango Toh Parde Ke Bahar Se
Mango. Ye Tumhare Aur Un Ke Dono Ke Diloin Ke Liye Bohot Paakezgi Ki Baat Hai. Aur
Tum Ko Ye Shayaan Nahi Ke Paigambar Khuda Ko Takleef Do Aur Na Ye Ke Un Ki
Biwiyoun Se Kabhi Un Ke Baad Nikaah Karo. Be Shak Ye Khuda Ke Nazdeek Bare
Gunnah Ka Kaam Hai.
54
Agar Tum Kisi Cheez Ko
Zahir Karo Ya Us Ko Makhfi Rakho Toh Yaad Rakho Ke Khuda Har Cheez Se Ba Khabar
Hai.
55
Aurtoun Par Apne
Baapoun Se Parda Na Karne Main Kuch Gunaah Nahi Aur Na Apne Baitoun Se Aur Na
Apne Bhaaiyoun Se Aur Na Apne Bhatijoun Se Aur Na Apne Bhaanjoun Se Aur Na Apni
Qisam Ki Aurtoun Se Aur Na Loundiyoun Se. Aur Ae Aurto Khuda Se Darti Raho. Be
Shak Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.
56
Khuda Aur Us Ke
Farishte Paigambar Par Darood Bhaijte Hain. Mominoun Tum Bhi Paigambar Par
Darood Aur Salaam Bhaija Karo.
57
Joh Loug Khuda Aur Us
Ke Paigamabr Ko Ranj Pohonchate Hain, Un Par Khuda Dunia Aur Aakhrat Main
Laanat Karta Hai Aur Un Ke Liye Us Ne Zaleel Karne Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha
Hai.
58
Aur Joh Loug Momin
Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Aise Kaam Ki Tohmat Se Joh Unhoun Ne Na Kia Ho
Eeza Dain Toh Unhoun Ne Bohtaan Aur Sareeh Gunaah Ka Bojh Ape Sar Par Rakha.
59
Ae Paigambar S.A.W.
Apni Biwiyoun Aur Baitiyoun Aur Musalmaanoun Ki Aurtoun Se Keh Do Ke Bahar
Nikala Karain Toh Apne Moohoun Par Chadar Latka Kar Ghoonghat Nikal Liya
Karain. Ye Amar Un Ke Liye Moaajaab-E-Shanakht-O-Imtiya Hoga, Toh Koi Unko Eeza
Na De Ga. Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
60
Agar Munafiq Aur Wo
Loug Jin Ke Diloun Main Marz Hai Aur Joh Madeene Ke Sheher Main Buri Buri Khabrain
Uraaya Karte Hain Apne Kirdaar Se Baaz Na Ayen Ge, Toh Ham Tum Ko Un Ke Peeche
Laga Dain Ge, Phir Wahan Tumahre Paros Main Na Reh Sakain Ge Magar Thore Din.
61
Wo Bhi Phitkaare Hue, Jahan Paaye Gaye Pakre Gaye Aur Jaan Se Maar
Dale Gaye.
62
Joh Loug Pehle Guzar
Chuke Hain Un Ke Bare Main Bhi Khuda Ki Ye Hi Aadat Rahi Hai. Aur Tum Khuda Ki
Aadat Main Taghaiyurr-O-Tabaadul Na Pao Ge.
63
Loug Tum Se Qiamat Ki
Nisbat Daryaaft Karte Hain, Ke Kab Aaye Gi Keh Do Ke Us Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai
Aur Tumhain Kia Maloom Hai, Shayad Qiamat Qareeb Hi Aa Gai Ho.
64
Be Shak Khuda Ne
Kaafiroun Par Laanat Ki Hai Aur Un Ke Liye Jahannum Ki Aag Taiyaar Kar Rakh
Hai.
65
Us Main Abad-Ul-Abaad
Rahain Ge. Na Kisi Ko Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.
66
Jis Din Un Ke Moonh
Aag Main Ultaaye Jayen, kahain Ge, Ke Ae Kaash Ham Khuda Ki Farmabardaari Karte
Aur Rasool-E-Khuda Ka Hukum Mante.
67
Aur Kahain Ge, Ke Ae
Hamare Parwardigar Ham Ne Apne Sardaaroun Aur Bare Lougon Ka Kaha Maana Toh
Unhoun Ne Hamko Raste Se Gumraah Kar Dia.
68
Ae Hamare Parewardigar
Un Ko Dugna Azab De Aur Un Par Bari Laanat Kar.
69
Momino Tum Un Lougon
Jaise Na Hona Jinhoun Ne Moosa Ko Aib Laga Kar Ranj Pohonchaya, Toh Khuda Ne
Unko Be Aib Sabit Kia. Aur Wo Khuda Ke Nazdeek Aabru Wale The.
70
Momino Khuda Se Dara
Karo Aur Baat Seedhi Kaha Karo.
71
Wo Tumhare Sab Aamaal
Durust Kar De Ga Aur Tumhare Gunnah Bakhsh De Ga. Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us
Ke Rasool Ki Farmabardari Kare Ga Toh Be Shak Bari Muraad Paye Ga.
72
Ham Ne Baar-e-Amanat
Ko Aasmanaoun Aur Zamen Par Paish Kia Toh Unhoun Ne Us Ko Uthaane Se Inkar Kia
Aur Us Se Dar Gaye. Aur Insaan Ne Us Ko Utha Liya. Be Shak Wo Zalim Aur Jahil
Tha.
73
Taa-Ake Khuda Munfiq
Mardoun Aur Munafiq Aurtoun Aur Mushrik Mardoun
Aur Mushrik Aurtoun Ko Azaab De, Aur Khuda Momin Mardoun Aur Momin
Aurtoun Par Meherbaani Kare. Aur Khuda Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!