Soorah As-Sajdah
Aayaat 30
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Alif Laam Meem.
2
Is Main
Kuch Shak Nahi Ke Is Kitaab Ka Nazil Kia Jaana Tamaam Jahaan Ke Parwardigaar Ki
Taraf Se Hai.
3
Kia Ye Loug Ye Kehte
Hain Ke Paighamabar Ne Is Ko Az Khud Bana Liya Hai Nahi Balke Wo Tumhare
Parwardigar Ki Taraf Se Bar Haq Hai, Taa-Ake Tum Un Lougon Ko Hidayat Karo Jin
Ke Paas Tum Se Pehle Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya, Taa-Ake Ye Raste Par
Chalain.
4
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Cheezain In Donon Main Hain Sab Ko Che (6)
Dinoun Main Paida Kia, Phir Arsh Par Qaaim Hua. Us Ke Siwa Tumhara Na Hi Koi
Dost Hai Aur Na Sifaaarish Karne Wala. Kia Tum Naseehat Nahi Pakarte.
5
Wo Hi Aasmaan Se
Zameen Tak Ke Har Kaam Ka Intizaam Karta Hai. Phir Wo Aik Roz Jis Ki Miqdaar
Tumhare Shumar Ke Mutabiq Hazaar Baras Ho Gi. Us Ki Taraf Saood Aur Rujoo Kare
Ga.
6
Ye Hi Toh Posheeda Aur
Zahir Ka Jaan-Ne Wala Aur Gaalib Aur Rehem Wala Khuda Hai.
7
Jis Ne Har Cheez Ko
Bohot Achi Tarha Banaya Yaani Us Ko Paida Kia.Aur Insaan Ki Paidaaish Ko Matti
Se Shroo Kia.
8
Phir Us Ki Nasal
Khulase Se Yaani Haqeer Paani Se Paida Ki.
9
Phir Us Ko Dost Kia,
Phir Us Main Apni Taraf Se Roooh Phoonki Aur Tumhare Kaan Aur Aankhain Aur Dil
Banaye Magar Tum Bohot Kam Shukar Karte Ho.
10
Aur Kehne Lage Ke Jab
Ham Zameen Main Malyamait Ho Jaayen Ge, Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Hounge. Haqeeqat
Ye Hai Ke Ye Loug Apne Parwardigar Ke Saamne Jaane Hi Ke Qaail Nahi.
11
Keh Do Ke Mout Ka
Farishta Joh Tum Par Muqarrar Kia Gaya Hai, Tumhare Roohain Qabz Kar Leta Hai,
Phir Tum Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaaye Jao Ge.
12
Aur Tum Taajjub Karo,
Jab Daikho Ke Gunnehgaar Apne Parwardigar Ke Saamne Sar Jhukaaye Hounge, Aur Kahain Ge Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ne
Daikh Liya Aur Sunn Liya, Toh Ham Ko Dunia Main Wapas Bhaij De, Ke Naik Amal
Karain Be Shak Ham Yaqeen Karne Wale Hain.
13
Aur Agar Ham Chahte
Hain Toh Har Shakhs Ko Hidayat De Dete. Lekin Meri Taraf Se Ye Baat Qaraar Paa
Chuki Hai Ke Main Dozakh Ko Jinoun Aur Insaanoun Sab Se Bhar Doon
Ga.
14
So Ab Aag Ke Maze
Chakho, Is Liye Ke Tum Ne Is Din Ke Aane Ko
Bhula Rakha Tha, Aaj Ham Bhi Tumhian Bhula Dainge Aur Joh Kaam Tum Karte
The Un Ki Saza Main Hamesha Ke Azaab Ke Maze Chakhte Raho.
15
Hamari Aayatoun Par
Toh Wo Hi Loug Eemaan Laate Hain Ke Jab Un Ko Un Se Naseehat Ki Jati Hai, Toh
Sajde Main Girr Parte Aur Apne Parwardigar Ki Taareeef Ke Sath Tasbeeh Karte
Hain Aur Gharoor Nahi Karte.
16
Un Ke Pehlu Bichounoun
Se Alag Rehte Hain Aur Wo Apne Parwardigar Ko Khof Aur Umeed Se Pukaarte Aur
Joh Maal Ham Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Kharch Karte Hain.
17
Koi Muttanaffis Nahi
Jaanta Ke Un Ke Liye Kaisi Aankhon Ki Thandak Chupa Kar Rakhi Gai Hai. Ye Un
Aamaal Ka Sila Hai Joh Wo Karte The.
18
Bhala Joh Momin Ho, Wo
Us Shaks Ki Tarha Ho Sakta Hai Joh Nafarmaan Ho? Dono Barabar Nahi Ho Sakte.
19
Joh Loug Eemaan Laye
Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ke Rehne Ke Liye Baagh Hain, Ye Mehmani Un Kaamoun
Ki Jaza Hai Joh Wo Karte The.
20
Aur Jinhoun Ne
Nafarmani Ki Un Ke Rehne Ke Liye Dozakh Hai, Jab Chaahain Ge Ke Us Main Se
Nikal Jaayen, Toh Us Main Louta Diye Jaayen Ge. Aur Un Se Kaha Jaye Ga Ke Jis
Dozakh Ke Azaab Ko Tum Jhooot Samajhte The Us Ke Maze Chakho.
21
Aur Ham Un Ko Qiamat
Ke Bare Azaab Ke Siwa Azaab-E-Dunia Ka Bhi Mazah Chakhayen Ge. Shayad Hamari
Taraf Lout Aayen.
22
Aur Us Shaks Se Barh
Kar Zaalim Koun Jis Ko Us Ke Parwardigar Ki Aayatoun Se Naseehat Ki Jaye, Toh
Wo Un Se Moonh Phair Le. Ham Gunnehgaaroun Se Zaroor Badla Lene Wale Hain.
23
Aur Ham Ne Mooosa A.S.
Ko Kitaab Di Toh Tum Un Ke Milne Se Shak Main Na Hona Aur Ham Ne Us Kitaab Ko
Ya Mooosa A.S. Ko Bani Israil Ke Liye Zariya-E-Hidayat Banaya.
24
Aur Un Main Se Ham Ne
Paishwa Banaye The, Joh Hamare Hukum Se Hidyat Kia Karte The. Jab Wo Sabar
Karte The Aur Wo Hamari Aayatoun Par Yaqeen Rakhte The.
25
Bila Shuba Tumhara
Parwardigar Un Main Jin Baatoun Main Wo Ikhtilaaf Karte The. Qiamat Ke Roz
Faisla Kar De Ga.
26
Kia Un Ko Is Amar Se
Hidayat Na Hui Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Si Ummatoun Ko Jin Ke
Maqaamaat-E-Sakoont Main Ye Chalte Phirte Hain Halak Kar Dia. Beshak Is Main
Nishaniyan Hain.Toh Ye Sunte Kion Nahi.
27
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Ham Banjar Zameen Ki Taraf Paani Rawan Karte Hain, Phir Us Se Khaiti
Paida Karte Hain Jis Main Se Un Ke Chopaaye Bhi Khaate Hain Aur Wo Bhi Khaate
Hain Toh Ye Daikhte Kion Nahi.
28
Aur Kehte Hain Agar
Tum Sache Ho Toh Ye Faisla Kab Hoga.
29
Keh Do Ke Faisle Ke
Din Kaafiroun Ko Un Ka Eemaan Laana Kuch Bhi Faaida Na De Ga Aur Na Un Ko
Mohlat Di Jaye Gi.
30
Toh Un Se Moonh Phair
Lo, Aur Intizar Karo Ye Bhi Intizar Kar Rahe Hain.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!