Wednesday, 27 April 2016

31-soorah-e-luqmaan-aayaat-34



Soorah-E-Luqmaan
Aayaat-34

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem

2
Ye Hikmat Ki Bhari Hui Kitaab Ki Aayatin Hain.

3
Naiko Kaaroun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

4
Joh Namaaz Ki Pabandi Karte Aur Zakaat Dete Aur Aakhrat Par Yaqeen Rakhte Hain.

5
Ye Hi Apne Parwardigar Ki Taraf Se Hidayat Par Hain Aur Ye Hi Nijaat Paane Wale Hain.

6
Aur Lougon Main Baaz Aisa Hai Joh Behooda Hikayatain Khareedta Hai Taa-Ake Lougon Ko Be Samjhe Khuda Ke Raaste Se Gumraah Kare Aur Us Se Istehzaa Kare Ye Hi Loug Hain Jin Ko Zaleeel Karne Wala Azaab Hoga.

7
Aur Jab Us Ko Hamari Aayatain Sunayee Jati Hain Toh Akar Kar Moonh Phair Leta Hai, Goya Un Ko Suna Hi Nahi, Jaise Us Ke Kaanoun Main Saqal(Lock) Hai, Toh Us Ko Dard Dene Wale Azab Ki Khushkhabri Suna Do.

8
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe Un Ke Liye Naimat Ke Baagh Hain

9
Hamesha Un Main Rahain Ge .Khuda Ka Waada Sacha Hai Aur Wo Gaalib Hikmat Wala Hai.


10
Ussi Ne Aasmaanoun Ko Satoonoun Ke Bagair Paida Kia Jaisa Ke Tum Daikhte ho.
Aur Zameen Par Pahaar Bana Kar Rakh Diye,  Taa-Ake Tum Ko Hila Hila Na De, Aur Is Main Har Tarha Ke Jaanwar Phaila Diye. Aur Ham Hi Ne Aasmanoun Se Paani Naazil Kia, Phir Us Se Us Main Har Qisaam Ki Nafees Cheezain Ugaayeen.

11
Ye Toh Khuda Ki Paidaaish Hai, Toh Mujhe Dikhaao Ke Khuda Ke Siwa Joh Loug Hain Unhoun Ne Kia Paida Kia Hai? Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Zaalim Sareeh Gumraahi Main Hain.

12
Aur Ham Ne Luqmaan Ko Daanayee Bakhshi.Ke Khuda Ka Shukar Karo. Aur Joh Shakhs Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai. Aur Joh Na Shukri Karta Hai Toh Khuda Bhi Be Parwah Aur Sazawaar Hamd-O-Sana Hai.

13
Aur Us Waqt Ko Yaad Karo Jab Luqmaan Ne Apne Baite Ko Naseehat Karte Hue Kaha Ke Beta Khuda Ke Sath Shirk Na Karna.Shirk Toh Bara Bhaari Zulm Hai.

14
Aur Ham Ne Insaan Ko, Jisse Us Ki Maan Takleef Par Takleef Seh Kar Pait Main Uthaaye Rakhti Hai, Phir Us Ko Doodh Pilaati Hai Aur Aakhir Kaar Do Baras Main Us Ka Doodh Churana Hota Hai, Apne ,Neez, Us Ke Maan Baap Ke Bare Main Taakeed Ki Hai Ke Mera Bhi Shukar Karta Reh Aur Apne Maan Baap Ka Bhi, Ke Tumko Meri Hi Taraf Lout Kar Aana Hai.

15
Aur Agar Wo Tere Dar Per Houn Ke Tu Mere Sath Kisi Aisi Cheez Ko Shareek Kare Jis Ka Tujhe Kuch Bhi Ilm Nahi Toh Un Ka Kaha Na Maan-Na. Haan Dunia Ke Kaamoun Main Un Ka Achi Tarha Sath Dena Aur Joh Shakhs Meri Taraf Rujoo Laaye, Us Ke Raste Par Chalna, Phir Tum Ko Meri Taraf Lout Kar Aana Hai. Toh Joh Kaam Tum Karte Rahe Main Sab Se Tum Ko Aagaah Karoonga.





16
Luqmaan Ne Ye Bhi Kaha Ke Beta Agar Koi Amal Bilfarz Raayee Ke Daane Ke Barabar Bhi Chota Ho, Aur Ho Bhi Kisi Pathar Ke Andar Ya Aasmaanoun Main Makhfi Ho, Ya Zameen Main. Khuda Us Ko Qiamat Ke Din La Mojood Kare Ga. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Baareek Been Aur Khabardaar Hai.
17
Beta Namaaz Ki Paabandi Rakhna Aur Lougon Ko Ache Kaamoun Ke Karne Ka Amar Aur Buri Baatoun Se Mana Karte Rehna Aur Joh Museebat Tujh Par Waaqe Ho Us Par Sabar Karna.Beshak Ye Bari Himmat Ke Kaam Hain.

18
Aur Az Raah-E-Gharoor Lougon Se Gaal Na Phulana Aur Zameen Main Akar Kar Na Chalna. Ke Khuda Kisi Itraane Wale Khud Pasand Ko Pasand Nahi Karta.

19
Aur Apni Chaal Par Aitadaal Kiye Rehna Aur Bolte Waqt Awaaz Neechi Rakhna, Kion Ke Oonchi Aawaaz Gadhoun Ki Si Hai Aur Kuch Shak Nahi Ke Sab Awaazoun Se Buri Awaaz Gadhoun Ki Hai.

20
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Joh Kuch Aasmaanoun Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ko Khuda Ne Tumhare Qaaboo Main Kar Dia Hai Aur Tum Par Apni Zaahiri Aur Baatini Naimatain Poori Kar Di Hai. Aur Baaz Loug Aise Hain Ke Khuda Ke Bare Main Jhagarte Hain, Na Ilm Rakhte Hain Aur Na Hidayat Aur Na Kitaab-E-Roshan.

21
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai, Ke Joh Kitaab Khuda Ne Nazil Farmayee Hai Us Ki Pairwi Karo. Toh Kehte Hain Ke Ham Toh Ussi Ki Pairwi Karainge Jis Par Apne Baap Dada Ko Paaya. Bhala Agarcha Shaitaan Un Ko Dozakh Ke Azab Ki Taraf Bulata Ho Tab Bhi?

22
Aur Joh Shakhs Apne Taiyee Khuda Ka Farmabardaar Kar De Aur Naiko Kaar Bhi Ho Toh Us Ne Mazboot Dastaweez Hath Main Le Li.Aur Sab Kaamoun Ka Anjaam Khuda Hi Ki Taraf Hai.

23
Aur Joh Kufur Kare Toh Us Ka Kufur Tumhain Ghamnaak Na Kar De, Un Ko Hamari Taraf Lout Kar Aana Hai, Phir Joh Kaam Wo Kia Karte The Ham Un Ko Jata Dainge. Be Shak Khuda Diloun Ki Baatoun Se Waqif Hai.

24
Ham Un Ko Thora Sa Faaida Pohonchayen Ge Phir Azaab-E-Shadeed Ki Taraf Majboor Kar Ke Le Jaayen Ge.

25
Aur Agar Tum Un Se Poocho Ke Aasmanaoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Hai, Toh Bol Uthain Ge Ke Khuda Ne. Keh Do Ke Khuda Ka Shukar Hai Lekin Un Main Aksar Samajh Nahi Rakhte.

26
Joh Kuch Aasmanaoun Aur Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai. Beshak Khuda Be Parwah Aur Saza Waar Hamd-O-Sana Hai.

27
Aur Agar Youn Ho, Ke Zameen Main Jitney Darakht Hain, Sab Ke Sab Qalam Houn Aur Samandar Ka Tamaam Paani Siyahi Ho, Aur Us Ke Baad Saat Samandar Aur Siyahi Ho Jayen, Toh Khuda Ki Baatain Yaani Us Ki Siftain Khatam Na Houn.Beshak Khuda Ghaalib Hikmat Wala Hai.

28
Khuda Ko Tumhara Paida Karna Aur Jila Uthana, Aik Shakhs Ke Paida Karne Aur Jila Uthaane Ki Tarha Hai. Beshak Khuda Sunn-Ne Wala Daikhne Wala Hai.

29
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Raat Ko Din Main Daakhil Karta
Hai Aur Wo Hi Din Ko Raat Mian Daakhil Karta Hai Aur Ussi Ne Sooraj Aur Chaand Ko Tumhare Zer-E-Farmaan Kar Rakha Hai. Har Aik Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Chal Raha Hai, Aur Ye Ke Khuda Tumahre Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.

30
Ye Isliye Ke Khuda Ki Zaat Bar Haq Hai Aur Jin Ko Ye Loug Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain Wo Laghw(Wrong) Hain Aur Ye Ke Khuda Hi Aali Rutba Aur Giraami-e-Qadar Hai.

31
Kia Tum  Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Ki Meherbaani Se Kashtiyaan Darya Main Chalti Hain. Taa-Ake Wo Tum Ko Apni Kuch Nishaaniyan Dikhaye. Beshak Is Main Har Sabar Karne Wala Aur Shukar Karne Wale Ke Liye Nishaaniyan Hain.


32
Aur Jab Un Par Darya Ki Lehrain Saaiebaanoun Ki Tarha Cha Jati Hain, Toh Khuda Ko Pukaarne Aur Khaalis Us Ki Ibaadat Karne Lagte Hain, Phir Jab Wo Un Ko Nijaat De Kar Khushki Par Pohoncha Deta Hai, Toh Baaz Hi Insaaf Par Qaaim Rehte Hain. Aur Hamari Nishaaniyoun Se Wo Hi Inkaar Karte Hain Jo Ehed Shikan Aur Na Shukre Hain.

33
Lougo Apne Parwardigar Se Daro Aur Us Din Ka Khouf Karo,  Ke Na Toh Baap Apne Bete Ke Kuch Kaam Aaye. Aur Na Beta Baap Ke Kuch Kaam Aa Sake. Beshak Khuda Ka Waada Sacha Hai, Pas Dunia Ki Zindagi Tum Ko Dhoke Main Na Daal De. Aur Na Faraib Dene Wala Shaitaan Tumhain Khuda Ke Bare Main Kisi Tarha Ka Faraib De.

34
Khuda Hi Ko Qiamat Ka Ilm Hai, Aur Wo Hi Meenh Barsaata Hai. Aur Wo Hi Haamla Ke Pait Ki Cheezoun Ko Jaanta Hai, Ke Nar Hai Ya Maada Aur Koi Shakhs Nahi Jaanta, Ke Wo Kal Ko Kia Kaam Kare Ga. Aur Koi Muttanaffis Nahi Jaanta Ke Kis Sar Zameen Main Usse Mout Aaye Gim Beshak Khuda Hi Jan-Ne Wala Aur Khabardaar Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!