Wednesday, 27 April 2016

36-Soorah-Ya-Seen-Aayat-83



Soorah-Ya-Seen

Aayaat 83

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Yasin.

2
Qasam Hai Quraan Ki Joh Hikmat Se Bhara Hua Hai.

3
Ae Muhammad S.A.W. Be Shak Tum Paigambaroun Main Se Ho.

4
Seedhe Raste Par.

5
Ye Khuda-E-Galib Aur Meherbaan Ne Nazil Kia Hai.

6
Taa-Ake Tum In Lougon Ko, Jin Ke Baap Dada Ko Muttnabeh Nahi Kia Gaya Tha, Muttnabeh Kar Do, Wo Ghaflat Main Pare Hue Hain.

7
Un Mian Se Aksar Par Khuda Ki Baat Poori Ho Chuki Hai,  So Wo Eemaan Nahi Laayen Ge.

8
Ham Ne Un Ki Gardanoun Main Touq Daal Rakhe Hain Aur Wo Thoriyoun Tak Phanse Hue Hain, Toh Un Ke Sarr Ullal Rahe Hian.



9
Aur Ham Ne Un Ke Aage Bhi Deewaar Bana Di Aur Un Ke Peeche Bhi. Phir Un Par Parda Dal Dia Toh Ye Daikh Nahi Sakte.

10
Aur Tum Un Ko Naseehat Karo Ya Na Karo Un Ke Liye Barabar Hai Wo Eemaan Nahi Laane Ke.

11
Tum Toh Sirf Us Shakhs Ko Naseehat Kar Skate Ho Joh Naseehat Ki Pairwi Kare Aur Khuda Se Ghaaibana Dare,  So Us Ko Magfirat Aur Bare Sawab Ki Bisharat Suna Do.

12
Be Shak Ham Murdoun Ko Zinda Karain Ge Aur Joh Kuch Wo Aage Bhaij Chuke Aur Joh Un Ke Nishaan Peeche Reh Gaye Ham Unko Qalamband Kar Lete Hain. Aur Har Cheez Ko Ham Ne Kitaab-E-Roshan Yaani Loh-E-Mehfooz Main Likh Rakha Hai.

13
Aur Un Se Gaaoun(Village) Waloun Ka Qissa Bayan Karo Jab Un Ke Pas Paigamaar Aaye.

14
Yaani Jab Ham Ne Un Ki Taraf Do Paigambar Bhaije Toh Unhoun Ne Un Ko Jhutlaya. Phir Ham Ne Teesre Se Taqwiyat Di, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ham Tumahri Taraf Paigambar Ho Kar Aaye Hain.

15
Wo Bole Ke Tum Aur Kuch Nahi Magar Hamari Tarah  Ke Aadmi Ho Aur Khuda Ne Koi Cheez Bhi Nazil Nahi Ki Tum Mehez Jhooot Bolte Ho.

16
Unhoun Ne Kaha Ke Hamara Parwardigar Jaanta Hai, Ke Ham Tumahri Tararf Paighaam De Kar Bhaije Gaye Hain.
17
Aur Hamare Zimme Toh Saaf Saaf Pohoncha Dena Hai Aur Bas.

18
Wo Bole Ke Ham Tum Ko Namubarak Daikhte Hain. Agar Tum Baaz Na Ao Ge, Toh Ham Tumhain Sangsaar Kar Dainge Aur Tum Ko Ham Se Dukh Dene Wala Azaab Pohonche Ga.

19
Unhoun Ne Kaha Ke Tumhari Nahoosat Tumhare Sath Hai. Kia Is Liye Ke Tum Ko Naseehat Ki Gai. Balke Tum Aise Loug Ho Joh Had Se Tajawaz Kar Gaye Ho.

20
Aur Sheher Ke Parle Kinaare Se Aik Aadmi Dourta Hua Aya,  Kehne Lage Ke Ae Meri Qoum Paigambaroun Ke Peeche Chalo.

21
Aisoun Ke, Joh Tum Se Sila Nahi Maangte Aur Wo Seedhe Raste Par Hain.

22
Aur Mujhe Kia Hai Ke Main Us Ki Parastish Na Karoon Jis Ne Mujhe Paida Kia Aur Usi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.

23
Kia Main Un  Ko Chor Kar Auroun Ko Maabood Banaaon? Agar Khuda Mere Haq Main Nuqsaan Karna Chaahe Toh Un Ki Sifarish Mujhe Kuch Bhi Faaida Na De Sake Aur Na Wo Mujhe Chura Hi Sakain.

24
Tab Toh Main,  Sareeh Gumrahi Main Mubtila Ho Gaya.

25
Main Tumhare Parwardigar Par Eemaan Laaya Hoon, So Meri Baat Sunn Rakho.
26
Hukum Hua Ke Behshat Main Daakhil Ho Ja. Bola Kaash! Meri Qoum Ko Khabar Ho.

27
Ke Khuda Ne Mujhe Bakhsh Dia Aur Izzat Waloun Main Kia.

28
Aur Ham Ne Us Ke Baad Us Ki Qoum Par Koi Lashkar Nahi Utaara Aur Na Ham Utaarne Wale The Hi.

29
Wo Toh Sirf Aik Chinghaar Thi Aatsheen,  So Wo Us Se Nagahaan Bujh Kar Reh Gaye.

30
Bandoun Par Afsos Hai, Ke Un Ke Paas Koi Paigambar Nahi Aata Magar Us Se Tammaskhurr Karte Hain.

31
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Se Lougon Ko Halak Kar Dia Tha, Ab Wo Un Ki Taraf Lout Kar Nahi Aayen Ge.

32
Aur Sab Ke Sab Hamare Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.

33
Aur Aik Nishaani Un Ke Liye Zameen-e-Murda Hai, Ke Ham Ne Us Ko Zindaa Kia Aur Us  Main Se Anaaj Ugaaya. Phir Ye Us Main Se Khaate Hain.

34
Aur Us Main Khajooroun Aur Angooroun Ke Baagh Paida Kiye Aur Us Main Chashme Jaari Kar Diye .


35
Taa-Ake Ye In Ke Phal Kaayen Aur Un Ke Hathoun Ne Toh Un Ko Nahi Banaya, Toh Phir Kia Ye Shukar Nahi Karte?

36
Wo Khuda Paak Hai Jis Ne Zameen Ki Nabataat Ke, Aur Khud Un Ke, Aur Jin Cheezoun Ki, Un Ko Khabar Nahi, Sab Ke Jore Banaye.

37
Aur Aik Nisaani Un Ke Liye Raat Hai Ke Us Main Se Ham Dinn Ko Khainch Lete Hain Toh Us Waqt Un Par Andhaira Cha Jata Hai.

38
Aur Sooraj Apne Muqarrar Raste Par Chalta  Rehta Hai. Ye Khuda-E-GHalib Aur Dana Ka Muqarrar Kia Hua Andaza Hai.

39
Aur Chaand Ki Bhi Ham Ne Manzilain Muqarrar Kar Deen, Yahan Tak Ke Ghat-Te Ghat-Te Khajoor Ki Purani Shakal Ki Tarha Ho Jata Hai.

40
Na Toh Sooraj Hi Se Ho Sakta Hai Ke Chand Ko Jaa Pakre Aur Na Raat Hi Din Se Pehle Aa Sakti Hai. Aur Sab Apne Apne Daaire Main Tair Rahe Hain.

41
Aur Aik Nishaani Un Ke Liye Ye Hai, Ke Ham Ne Un Ki Aulaad Ko Bhari Hui Kashti Main Sawaar Kia.

42
Aur Un Ke Liye Waisi Hi Aur Cheezain Paida Kee Jin Par Wo Sawaar Hote Hain.

43
Aur Agar Ham Chaahain, Toh un Ko Gharq Kar Dain. Phir Na Toh Un Ka Koi Faryaad Rass Hua Aur Na Un Ko Rihayee Mile.
44
Magar Ye Hamari Rehmat Aur Aik Muddat Tak Ke Faide Hain.

45
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Joh Tumhare Aage Aur Joh Tumhare Peeche Hai,  Un Se Daro Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaye.

46
Aur Un Ke Paas Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Koi Nishaani Nahi Aaye, Magar Us Se Moonh Phair Lete Hain.

47
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke,  Joh Rizq Khuda Ne Tumko Dia Hai,  Us Main Se Kharch Karo. Toh Kaafir Mominoun Se Kehte Hain Ke Bhala Ham Un Lougon Ko Khana Khilaaye,  Jin Ko Agar Khuda Chahta Toh Khud Khila Deta. Tum Toh Sareeh Ghalti Main Ho.

48
Aur Kehte Hain Agar Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Waada Kab Poora Hoga?

49
Ye Toh Aik Chinghaar Ke Muntazir Hain Joh Un Ko Us Haal Main Ke Baham Jhagar Rahe Hounge Aa Pakre Gi.

50
Phir Na Toh Wasiyat Kar Sakain Ge Aur Na Apne Ghar Waaloun Main Wapas Ja Sakain Ge.

51
Aur Jis Waqt Soor Phoonka Jaye  Ga Ye Qabroun Se Nikal Kar Apne Parwardigar Ki Taraf Dour Parainge.




52
Kahain Ge Ke Ae Hai,  Hamain Hamari Khuabgaahoun Se Kis Ne Jaga Uthaaya?  Ye Wo Hi Toh Hai Jis Ka Khuda Ne Waada Kia Tha Aur Paigambaroun Ne Sach Kaha Tha.

53
Sirf Aik Zour Ki Awaaz Ka Hona Hoga Ke Sab Ke Sab Hamare Ru Baru Aa Hazir Hounge.

54
Us Roz Kisi Shakhas Par Kuch Bhi Zulm Nahi Kia Jaye Ga,  Aur Tum Ko Badla Waisa Hi Mile Ga Jaisa Tum Kaam Karte The.

55
Ehl-E-Jannat Us Roz Aish-O-Nishaat Ke Mashgale Main Hounge.

56
Wo Bhi Aur Un Ki Biwiyaan Bhi,  Saayoun Main Takhtoun Par Takiye Lagaaye Baithe Hounge.

57
Wahan Un Ke Liye Maiwe Aur Joh Chahain Ge Mojood Hoga.

58
Parwardigar Meherbaan Ki Tarf Se Salam Kaha Jaye Ga.

59
Aur Gunnehgaaro! Tum Aaj Alag Ho Jao.

60
Ae Aadam Ki Aulad Ham Ne Tum Se Keh Nahi Dia Tha,  Ke Shaitaan Ko Na Poojna Wo Tumhara Khula Dushman Hai.

61
Aur Ye Ke Meri Hi Ibadat Karna. Ye Hi Seedha Rasta Hai.


62
Aur Us Ne Tum Main Se Bohot Si Khalqat Ko Gumrah Kar Dia Tha. Toh Kia Tum Samajhte Nahi The?

63
Ye Hi Wo Jahannum Hai Jis Ki Tumhain Khabar Di Jati Thi.

64
So Joh Tum Kufur Karte Rahe Ho Us Ke Badle Aaj Is Main Daakhil Ho Jaao.

65
Aaj Ham Un Ke Moohoun Par Mohor Laga Dainge Aur Joh Kuch Ye Karte Rahe The, Un Ke Hath, Ham Se Bayan Kar Dainge Aur Un Ke Paaon Is Ki Gawahi Dainge.

66
Aur Agar Ham Chaahain Toh Un Ki Aankhoun Ko Mita Kar Andha Kar Dain. Phir Ye Raste Ko Dorain Toh Kahan Daikh Sakain Ge.

67
Aur Agar Ham Chahain Toh Un Ki Jaga Par Un Ki Sooratian Badal Dain Phir Wahan Se Na Aage Ja Sakain Aur Na Peeche Lout Sakain.

68
Aur Jis Ko Ham Bari Umar Dete Hain Toh Usse Khalqat Main Oundha Kar Dete Hain,  Toh Kia Ye Samajhte Nahi?

69
Aur Ham Ne Un Paigambar Ko Sher Goi Nai Sikhaye Aur Na Wo Unko Shayaan Hai. Ye Toh Mehez Naseehat Aur Saaf Saf Quraan Purr Az Hikmat Hai.

70
Taa-Ake Us Shakhs Ko Joh Zinda Ho Hidayat Ka Rasta Dikhaye Aur Kaafiroun Par Baat Poori Ho Jaye.

71
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Joh Cheezin Ham Ne Apne Haathoun Se Banaye,  Un Main Se Ham Ne Un Ke Liye Chaar Paaye Paida Kar Diye Aur Ye Un Ke Malik Hain.

72
Aur Un Ko Un Ke Qaabu Main Kar Dia Toh Koi Toh Un Main Se Un Ki Sawari Hai Aur Kisi Ko Ye Khaate Hain.

73
Aur Un Main Un Ke Liye Aur Faaida Aur Peene Ki Cheezain Hain. Toh Kia Ye Shukar Nahi Karte?

74
Aur Unhoun Ne Khuda Ke Siwa Aur Maabood Bana Liye Hain, Ke Shayad Un Se IUn Ko Madad Pohonche.

75
Magar Wo Un Ki Madad Ki Har Gizz Taqat Nahi Rakhte.Aur Wo Un Ki Fouj Ho Kar Hazir Kiye Jayen Ge.

76
Toh Un Ki Baatain Tumhain Gamnaak Na Kar Dain. Ye Joh Kuch Chupaate Aur Joh Kuch Zahir Karte Hain,  Hamain Sab Maloom Hai.

77
Kia Insaan Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Us Ko Nutfe Se Paida Kia. Phir Wo Tarraq Parraq Jhagarne Laga.

78
Aur Hamare Bare Main Misaalain Bayan Karne Laga Aur Apni Paidaaish Ko Bhool Gaya. Kehne Laga Ke Jab Haddiyan Boseeda Ho Jayen Gi, Toh Un Ko Koun Zinda Kare Ga?

79
Keh Do Ke Un Ko Wo Zinda Kare Ga Jis Ne Un Ko Pehli Baar Paida Kia Tha. Aur Wo Sab Qisam Ka Paida Karna Jaanta Hai.
80
Wo Hi Jis Ne Tumhare Liye Sabz Darakht Se Aag Paida Ki Phir Tum Us Ki Tehniyoun Ko Raggar Kar, Un Se Aag Nikaalte Ho.

81
Bhala Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia, Kia Wo Is Baat Par Qaadir Nahi Ke Un Ko Phir Waise Hi Paida Kar De. Kion Nahi. Aur Wo Toh Bara Paida Karne Wala Aur Ilm Wala Hai.

82
Us Ki Shaan Ye Hai Ke Jab Wo Kisi Cheez Ka Iraada Karta Hai Toh Us Se Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Wo Ho Jati Hai.

83
Wo Zaat Paak Hai, Jis Ke Hath Main Har Cheez Ki Baadshahat Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!