Tuesday, 19 April 2016

69-Soorah-Al-Haaqqah-Aayaat-52




Soorah-Al-Haqqah

Aayaat-52

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Sach Much Hone Wali.

2
Wo Sach Much Hone Wali Kia Hai?

3
Aur Tum Ko Kia Maloom Hai, Ke Wo Sach Much Hone Wali Kia Hai?

4
Wo Hi Kharkharane Wali, Jis Ko Samood Aur Aad Dono Ne Jhutlaya.

5
So Samood Toh Karak Se Halaak Kar Diye Gaye.

6
Rahe Aad, Toh Un Ka Nihayat Taiz Aandhi Se Sattianaas Kar Dia Gaya.

7
Khuda Ne Us Ko Saat(7) Raat Aur Aath(8) Din Un Par Chalye Rakha Toh Ae Mukhatib, Tu Lougon Ko Is Mian Is Tarha Dhaye Aur Mare Pare Daikhe, Jiase Khajooroaun Ke Khokhle Tane.

8
Bhala Tu Un Main Se Kisi Ko Bhi Baaqi Daikhta Hai?
9
Aur Firown Aur Joh Loug Us Se Pehle The, Aur Wo Joh Ulti Bastiyoun Mian Rehte The,  Sab Gunnah Ke Kaam Karte The.

10
Unhouin Ne Apne Parawrdigar Ke Paigambar Ki Nafarmaani Ki, Toh Khuda Ne Bhi Un Ko Bara Sakht Pakra.

11
Jab Paani Tugyaani Par Aaya Toh Ham Ne Tum Lougon Ko Kashti Main Sawaar Kar Liya.

12
Taa-Ake Us Ko Tumhare Liye Yaad Gaar Banaye Aur Yaad Rakhne Waale Kaan Isse Yaad Rakhain.

13
Toh Jab Soor Main, Aik Baar Phooonk Maar Di Jaye Gi.

14
Aur Zameen Aur Pahaar Dono Utha Liye Jayen Ge. Phir Aik Baar Bhi Tour Phor Kar Barabar Kar Diye Jaaye Ge.

15
Toh Us Roz Ho Parne Wali Yaani Qiamat Ho Pare Gi.

16
Aur Aasmaan Phat Jaye Ga, Toh Wo Us Din Kamzor Hoga.

17
Aur Farishte Is Ke Kinaaroun Par Uttar Aaye Ge Aur Tumahre Parwadigar Ke Arsh Ko, Us Roz Aath Farishte Uthaaye Hounge.

18
Us Roz Tum Sab Lougon Ke Saamne Paish Kiye Jao Ge Aur Tumhari Koi Posheeda Baat Chupi Na Rahe Gi.

19
Toh Jis Ka Aamaal Nama Us Ke Daahne Hath Main Dia Jaye Ga Wo Doosroun Se Kahe Ga Ke Lijiye Mera Naam-E-Aamaal Parhiye.

20
Mujhe Yaqeeen Tha Ke Mujh Ko Mera Hisaab Kitaaab Zaroor Mile Ga.

21
Pas Wo Shaksh Man Manane Aish Main Hoga.

22
Yaani Oonche Oonche Mehloun Ke Baagh Main .

23
Jin Ke Maiwe Jhuke Hue Hounge.

24
Joh Amal Tum Ayaam-E-Guzishta Main, Aage Bhaij Chuke Ho, Us Ke Sile Main Maze Se Khao Aur Piyo.

25
Aur Jis Ka Naam-E-Aamaal Us Ke Baayen Hath Main Dia Jaye Ga Wo Kahe Ga, Ae Kaash Mujh Ko Mera Aamaal Nama Na Dia Jaata.

26
Aur Mujhe Maaloom Na Hota Ke Mera Hisaab Kia Hai.

27
Ae Kaash, Mout Abad-Ul-Aabaad Ke Liye Mera Kaam Tamaam Kar Chuki Hoti.

28
Aaj Mera Maal Mere Kuch Bhi Kaam Na Aaya.

29
Haaye Meri Saltanat Khaak Main Mill Gai.
30
Hukum Hoga Ke Isse Pakar Lo, Aur Touq Pehna Do.

31
Phir Dozakh Ki Aag Main Jhonk Do.

32
Phir Zanjeer Se, Jis Ki Naap Sattar(70) Gazz Hai Jakar Do.

33
Ye, Na Toh Khuda-E-Jaala Shana Hu Par Eemaan Lata Tha.

34
Aur Na Faqeer Ke Khana Khilane Par Aamaada Karta Tha.

35
So Aaj Us Ka Bhi Yahan Koi Dostdaar Nahi.

36
Aur Na Peep Ke Siwa Us Ke Liye Khana Hai.

37
Jis Ko Gunnehgaaroun Ke Siwa Koi Nahi Khaaye Ga.

38
Toh Ham Ko Un Cheezoun Ki Qasam Joh Tum Ko Nazar Aati Hain.

39
Aur Un Ki Joh Nazar Nahi Aateen.

40
Ke Ye Quraan Farishta-E-Aali Maqaam Ki Zabaan Ka Paigaam Hai.

41
Aur Ye Kisi Shaair Ka Kalaam Nahi. Magar Tum Loug Bohot Hi Kam Eemaan Laate Ho.

42
Aur Na Kisi Kaahin Ke Muzzkharfat Hain. Lekin Tum Loug Bohot Hi Kam Fikar Karte Ho.

43
Ye Toh Parwardigar-E-Aalam Ka Utaara Hua Hai.

44
Agar Ye Paigambar Hamari Nisbat, Koi Baat Jhoot Bana Laate.

45
Toh Ham Un Ka Daahna Hath Pakar Lete.

46
Phir Un Ki Ragg-E-Gardarn Kat Daalte.

47
Phir Tum Main Se Koi Hamain Us Se Rokne Wala Na Hota.

48
Aur Ye Kitaab Toh Parhaizgaaroun Ke Liye Naseehat Hai.

49
Aur Ham Jaante Hain, Ke Tum Main Se Baaz Is Ko Jhutlaane Wala Hain.

50
Neez Ye Kaafiroun Ke Liye Moajjab-E-Hasrat Hai.

51
Aur Kuch Shak Nahi Ke Ye Barhaq Qaabil-E-Yaqeen Hai.

52
So Tum Apne Parwardigar Azz-O-Jall Ke Naam Ki Tanzeeh Karte Raho.


^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!