Wednesday, 27 April 2016

34-Soorah-Saba-Aayat-54



Sooraah Saba

Aayaat- 54

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Sab Taareef Khuda Hi Ko Sazawaar Hai, Joh Sab Cheezoun Ka Malik Hai Yaani Wo Ke Joh Kuch Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai, Aur Aakhrat Main Bhi Ussi Ki Taareef Hai. Aur Wo Hikmat Wala Aur Khabardaar Hai.

2
Joh Kuch Zameen Main Dakhil Hota Hai Aur Joh Us Main Se Nikalta Hai Aur Joh Aasmaan Se Uttarta Hai Aur Joh Us Par Charhta Hai Sab Us Ko Maloom Hai. Aur Wo Meherbaan Aur Bakhashne Wala Hai.

3
Aur Kafir Kehte Hain Ke Qiamat Ki Ghari Ham Par Nahi Aaye Gi. Keh Do Kion Nahi Aaye Gi, Mere Parwardigar Ki Qasam Wo Tum Par Zaroor Aa Kar Rahe Gi, Wo Parwardigar Ghaib Ka Jaan-Ne Wala Hai, Zarra Bhar Cheez Bhi Us Se Posheeda Nahi Na Aasmaanoun Main Aur Na Zameen Main Aur Koi Cheez Us Se Choti Ya Bari Aisi Nahi, Magar Kitaab-E-Roshan Main Likhi Hui Hai.

4
Is Liye Ke Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rehe Un Ko Badla De.Ye Hi Hain Jin Ke Liye Bakhshish Aur Izzat Ki Rozi Hai.

5
Aur Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Main Koshish Ki Hai Ke Hamain Hara Dain. Un Ke Liye Sakht Dard Dene Wale Azaab Ki Saza Hai.


6
Aur Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya He Wo Jaante Hain Ke Joh Quraan Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hua Hai, Wo Haq Hai. Aur Khudaaye Ghalib Aur Sazawaar Taareef Ka Rasta Batata Hai.

7
Aur Kafir Kehte Hain Ke Bhala Ham Tumhain Aisa Admi Batayen Joh Tumhain Khabar Deta Hai, Ke Jab Tum Mar Kar Bilkul Paara Paara Ho Jao Ge, Toh Naye Sire Se Paida Hoge.

8
Ya Toh Us Ne Khuda Par Jhoot Baandh Liya Hai. Ya Usse Junoon Hai. Baat Ye Hai Ke Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte Wo Aafaat Aur Parle Darje Ki Gumrahi Main Mubtila Hain.

9
Kia Unhoun Ne Us Ko Nahi Daikha Joh Un Ke Aage Aur Peeche Hai Yaani Aasmaan Aur Zameen. Agar Ham Chaahain Toh Unko Zameen Main Dhansa Dain Ya Un Par Aasmaan Ke Tukrre Gira Dain. Is Main Hai Bande Ke Liye Joh Rujoo Karne Wala Hai Aik Nishani Hai.

10
Aur Ham Ne Daawood Ko Apni Taraf Se Bartari Bakhshi Thi. Ae Pahaaro Un Ke Sath Tasbeeh Karo Aur Parindoun Ko Un Ka Maskhar Kar Dia, Aur Un Ke Liye Ham Ne Lohe(Iron) Ko Naram Kar Dia.

11
Ke Kushada Zarhain Banaow Aur Kariyoun Ko Andaze Se Joro Aur Naik Amal Karo. Joh Amal Tum Karte Ho Main Us Ko Daikhne Wala Hoon.





12
Aur Hawa Ko Ham Ne Sulaimaan Ka Taabe Kar Dia Tha, Us Ki Subh Ki Manzil Aik Maheene Ki Raah Hoti Aur Sham Ki Manzil Bhi Maheene Bhar Ki Hoti. Aur Un Ke Liye Ham Ne Taanbe Ka Chashma Baha Dia Tha Aur Jinnoun Main Se Aise The Joh Un Ke Parwardigar Ke Hukum Se Un Ke Aage Kaam Karte The. Aur Joh Koi Un Main Se Hamare Hukum Se Phire Ga, Us Ko Ham Jahannum Ki Aag Ka Mazah Chakhayen Ge.


13
Wo Joh Chahte Ye Un Ke Liye Banate Yaani Qille Aur Mujjasme Aur Bare Bare Lagan, Jaise Taalaab Aur Daigain, Joh Aik Hi Jaga Rakhi Rahain. Ae Daawood Ki Aulad Mera Shukar Karo Aur Mere Bandoun Main Shukar Gzaar Thore Hain.

14
Phir Jab Ham Ne Un Ke  Liye Mout Ka Hukum Saadir Kia Toh Kisi Cheez Se Un Ka Marna Maloom Na Hua, Magar Ghunn Ke Keere Se Joh Un Ke Asaa Ko Khata Raha. Jab Asaa Girr Para Tab Jinoun Ko Maloom Hua Aur Kehne Lage Ke Agar Wo Ghaib Jaante Hote Toh Zillat Ki Takleef Main Na Rehte.

15
Ehl-E-Saba Ke Liye Un Ke Maqaam Bood-O-Baash Main Aik Nishani Thi, Yaani Do Baagh,  Aik Daahni Taraf Aur Aik Baayen Taraf. Apne Parwardigar Ka Rizzq Khao Aur Us Ka Shukar Karo. Yahan Tumhare Rehne Ko Ye Paakeeza Sheher Hai Aur Wahan Bakhashne Ko Khudaa-E-Gaffar .

16
Toh Unhoun Ne Shukar Guzari Se Moonh Phair Liya, Pas Ham Ne Un Par Zor Ka Sailaab Chor Dia Aur Unhain Un Ke Baaghoun Ke Badle, Do Aise Baagh Diye, Jin Ke Maiwe(Dry Fruits) Bad Mazah The Aur Jin Main Kuch Toh Jhaao Tha Aur Thori Si Beriyaan.


17
Ye Ham Ne Un Ki  Na Shukri Ki Un Ko Saza Di. Aur Ham Saza Na Shukre Hi Ko Dia Karte Hain.

18
Aur Ham Ne Un Ke Aur Sham Main Un Bastiyoun Ke Darmiyaan , Jin Main  Ham Ne Barkat Di Thi, Aik Doosre Ke Muttsail Dehaat Banaye The, Joh Saamne Nazar Aate The Aur Un Main Aamad-O-Raft Ka Andaza Muqarrar Kar Dia Tha Ke Raat Din Be Khof-O-Khatar Chalte Raho.

19
Toh Unhoun Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigar Hamari Musafatoun Main Bood Aur Tool Paida Kar De, Aur Us Se Unhoun Ne Apne Haq Main Zulm Kia Toh Ham Ne Unhain Nabood Kar Ke Un Ke Afsaane Bana Diye, Aur Unhain Bilkul Muntashir Kar Dia. Is Main Har Sabir-O-Shakir Ke Liye Nishaaniyan Hain.

20
Aur Shaitan Ne Un Ke Bare Main Apna Khayal Sach Kar Digkhaya Ke Mominoun Ki Aik Jamaat Ke Siwa Wo Us Ke Peeche Chal Pare.

21
Aur Us Ka Un Par Kuch Zor Na Tha Magar Hamara Maqsood Ye Tha Ke Joh Loug Aakharat Main Shak Rakhte Hain , Un Se Un Lougon Ko Joh Us Par Eemaan Rakhte Hain, Muttmaizz Kar Dain Aur Tumhara Parwardigar Har Cheez Par Nigehbaan Hai.

22
Keh Do Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Maabood Khayal Karte Ho Unko Bulao. Wo Aasmaanoun Aur Zameen Main Zarra Bhar Cheez Ke Bhi Maalik Nahi Hain Aur Na Un Main Un Ki Shirkat Hai Aur Na Un Main Se Koi Khuda Ka Madadgaar Hai.




23
Aur Khuda Ke Haan Kisi Ke Liye Sifarish  Faida Na De Gi, Magar Us Ke Liye Jis Ke Bare Main Wo Ijazat Bakhshe. Yahan Tak Ke Jab Un Ke Diloun Se Iztiraat Door Kar Dia Jaye Ga, Toh Kahain Ge Ke Tumhare Parwardigar Ne Kia Farmaya Hai. Farishte Kahain Ge Ke Haq Farmaya Hai, Aur Wo Aali Rutba Aur Giraami Qadar Hai.

24
Poocho Ke Tum Ko Aasmaanoun Aur Zameen Se Koun Rizq Deta Hai? Kaho Ke Khuda Aur Ham Ya Tum Ya Toh Seedhe Raste Par Hain Ya Sareeh Gumrahi Main.

25
Ke Na Hamare Gunahoun Ki Tum Se Purrshish Hogi Aur Na Tumhare Aamaal Ki Ham Se Purrshish Hogi.

26
Keh Do Ke Hamara Parwardigar Ham Ko Jama Kare Ga Phir Hamare Darmyan Insaaf Ke Sath Faisla Kar De Ga. Aur Wo Khoob Faisla Karne Wala Aur Sahib-E-Ilm Hai.

27
Kaho Ke Mujhe Wo Loug Toh Dikhao Jin Ko Tum Ne Shareek Khuda Bana Kar Us Ke Sath Mila Rakha Hai. Koi Nahi, Balke Wo Hi Akaila Khuda Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.

28
Aur Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne Tumko Tamaam Lougon Ke Liye Khushkhabari Sunane Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bhaija Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.

29
Aur Kehte Hain Agar Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Qiamat Ka Waada Kab Waqoo Main Aye Ga.



30
Keh Do Ke Tum Se Aik Din Ka Waada Hai, Jis Se Na Aik Ghari Peeche Raho Ge Aur Na Aage Barho Ge.

31
Aur Joh Kafir Hain Wo Kehte Hain Ke Ham Na Toh Is Quraan Ko Maanain Ge Aur Na In Kitaaboun Ko, Joh Un Se Pehle Ki Hain Aur Kash In Zaalimoun Ko Tum Us Waqt Daikho Jab Ye Apne Parwardigar Ke Saamne Khare Hounge Aur Aik Doosre Se Radd-o-Kadd Kar Rahe Hounge. Joh Loug Kamzor Samajhe Jate The Wo Bare Lougon Se Kahain Ge Ke, Agar Tum Na Hote Toh Ham Zaroor Momin Ho Jate.

32
Bare Loug Kamzouroun Se Kahain Ge Ke Bhala Ham Ne Tum Ko Hidayat Se Jab Wo Tumhare Pas Aa Chuki Thi Roka Tha? Nahi Balke Tum Hi Gunnehgaar The.

33
Aur Kamzor Loug Bare Lougon Se Kahian Ge, Nahi, Balke Tumhari Raat Din Ki Chaloun Ne Hamain Rok Rakha Tha, Jab Tum Ham Se Kehte The, Ke Ham Khuda Se Kufur Karain Aur Us Ka Shareek Banayen. Aur Jab Wo Azaab Ko Daikhain Ge Toh Dil Main Pashemaan Hounge. Aur Ham Kaafiroun Ki Gardanoun Main Touq Daal Dainge. Pas Joh Amal Wo Karte The Un Hi Ka Un Ko Badla Mile Ga.

34
Aur Ham Ne Kisi Basti Main Koi Darane Wala Nahi Bhaija, Magar Wahan Ke Khush Haal Lougon Ne Kaha Ke Joh Cheez Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ke Qaail Nahi.

35
Aur Ye Bhi Kehne Lage Ke Ham Bohot Sa Maal Aur Aulaad Rakhte Hain Aur Ham Ko Azaab Nahi Hoga.


36
Keh Do Ke Mera Rabb Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Faraakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.

33
Aur Tumhara Maal Aur Aulad Aisi Cheez Nahi Ke Tum Ko Hamara Maqrab Bana De. Haan Hamara Maqrab Wo Hai Joh Eemaan Laaya Aur Amal-E-Naik Karta Raha. Aise Hi Lougon Ko Un Ke Aamaal Ke Sabab Dugna Badle Mile Ga Aur Wo Khatir Jama Se Baala Khaanoun Main Baithe Hounge.

38
Joh Loug Hamari Aatyatoun Main Koshish Karte Hain Ke Hamain Hara Dain, Wo Azaab Main Hazir Kiye Jayen Ge.

39
Keh Do Ke Mera Parwardigar Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahata Hai Tang Kar Deta Hai Aur Tum Joh Cheez Kharch Karo Ge Wo Us Ka Tumhain Iwazz De Ga. Aur Wo Sab Se Behtar Rizq Dene Wala Hai.

40
Aur Jis Din Wo Un Sab Ko Jama Kare Ga, Phir Farishtoun Se Farmaaye Ga, Kia Ye Loug Tumhari  Pooja Karte The.

41
Wo Kahain Ge, Tu Paak Hai Tu Hi Hamara Dost Hai, Na Ye, Balke Ye Jinnaat Ko Pooja Karte The.Aur Aksar In Hi Ko Maante The.

42
Toh Aaj Tum Main Se Koi Kisi Ko Nafa Aur Nuqsaan Pohonchane Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhta. Aur Ham Zaalimoun Se Kahainge Ke Dozakh Ke Azaab Ka Jis Ko Tum Jhoot Samajhte The Mazah Chakho.


43
Aur Jab Un Ko Hamari Roshan Aayatain Parh Kar Sunaiyee Jati Hai Toh Kehte Hain Ye Aik Aisa Shakhs Hai Joh Chahta Hai Ke Jin Cheezoun Ki Tumhare Baap Dada Parastish Kia Karte The Un Se Tumko Rouk De, Aur Ye Bhi Kehte Hain Ke Ye Quraan Mehez Jhoot Hai Joh Apni Taraf Se Bana Liya Gaya Hai. Aur Kaafiroun Ke Paas Jab Haq Aaya Toh Us Ke Bare Main Kehne Lage Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.

44
Aur Ham Ne Na Toh In Mushrikoun Ko Kitaabain Deen Jin Ko Ye Parhte Hain Aur Na Tum Se Pehle Un Ki Taraf Koi Darane Wala Bhaija Agar Unhoun Ne Takzeeb Ki.

45
Aur Joh Loug Un Se Pehe The Unhoun Ne Takzeeb Ki Thi Aur Joh Kuch Ham Ne In Ko Dia Tha Ye Us Ke Daswain(10th) Hisse Ko Bhi Nahi Pohonche, Toh Unhoun Ne Mere Paigambaroun Ko Jhutlaya.So Mera Azaab Kaisa Hua.

46
Keh Do Ke Main Tumhain Sirf Aik Baat Ki Naseehat Karta Hoon Ke Tum Khuda Ke Liye, Do Do, Aur Akaile Akaile, Khare Ho Jao Phir Ghour Karo. Tumhare Rafeeq Ko Mutliq Souda Nahi, Wo Toh Tum Ko Azab Sakhat Ke Aane Se Pehle Sirf Darane Wale Hain.

47
Keh Do Ke Main Ne Tum Se Kuch Sila Maanga Ho, Toh Wo Tumahra Mera Sila Khuda Hi Ke Zimme Hai. Aur Wo Har Cheez Se Khabardaar Hai.

48
Keh Do Ke Mera Parwardigar Oopar Se Haq Utaarta Hai Aur Wo Ghaib Ki Baatoun Ko Jaan-Ne Wala Hai.



49
Keh Do Ke Haq Aa Chukka Aur Maabood Batil Na Toh Pehli Baar Paida Kar Sakta Hai Aur Na Dobara Paida Kare Ga.

50
Keh Do Ke Agar Main Gumrah Hoon, Toh Meri Gumrahi Ka Zarrar Mujh Hi Ko Hai. Aur Agar Hidayat Par Hoon Toh Ye Us Ki Tufail Hai, Joh Mera Parwardigar Meri Taraf Wahi Bhaijta Hai. Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Nazdeek Hai.

51
Aur Kash Tum Daikho Jab Ye Ghabra Jayen Ge, Toh Azaab Se Bach Nahi Sakainge Aur Nazdeek Hi Se Pakar Liye Jaye Ge.

52
Aur Kahainge Ke Ham Is Par Eemaan Le Aaye Aur Ab Itni Door Se Un Ka Hath Eemaan Ke Lene Ko Kion Kar Pohonch Sakta Hai.

53
Aur Pehle Toh Is Se Inkaar Karte Rahe Aur Bin Daikhe Door Hi Se Zann Ke Teer Chalte Rahe.

54
Aur Un Main Aur Un Ki Khuahish Ki Cheezoun Main Parda Hail Kar Dia Gaya, Jaisa Ke Pehle Un Ke Ham Jinsoun Se Kia Gaya, Wo Bhi Uljhan Main Daalne Wale Shak Main Pare Hue The.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

35-Soorah-e-Fatir-Aayat-45



Soorah-E-Fatir

Aayaat-45

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Sab Taareef Khuda Hi Ko Sazawar Hai, Joh Aasmaanoun Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Aur Farishtoun Ko Qaasid Banane Wala Hai, Jin Ke Do Do Aur Teen Teen Aur Chaar Chaar Par Hain. Wo Apni Makhlooqaat Main Joh Chahta Hai Barhata Hai. Be Shak Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.

2
Khuda Joh Apni Rehmat Ka Darwaza Khol De Toh Koi Us Ko Band Karne Wala Nahi. Aur Joh Band Kar De Toh Us Ke Baad Koi Us Ko Kholne Wala Nahi.Aur Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.

3
Lougo Khuda Ke Joh Tum Par Ehsaanaat Hain, Un Ko Yaad Karo.Kia Khuda Ke Siwa Koi Aur Khaliq Aur Raaziq Hai Joh Tum Ko Aasmaan Aur Zameen Se Rizqq De. Is Ke Siwa Koi Maabood Nahi Pas Tum Kahan Behke Phirte Ho?

4
Aur Ae Peigambar S.A.W. Agar Ye Loug Tum Ko Jhutlaayen Toh Tum Se Pehle Bhi Paigambar Jhutlaye Gaye Hain. Aur Sab Kaam Khuda Hi Ki Taraf Loutaye Jaayenge.

5
Lougo Khuda Ka Waada Sacha Hai. Toh Tum Ko Dunia Ki Zindagi Dhoke Main Na Daal Se Aur Na Shaitaan Faraib Dene Wala Tumhain Faraib De.


6
Shaitaan Tumhara Dushman Hai Tum Bhi Usse Dushman Samjho.
Wo Apne Pairwi Karne Waloun Ke Guroh Ko Bulata Hai, Taa-Ake Wo Dozakh Waloun Main Houn.

7
Jinhoun Ne Kufur Kia Un Ke Liye Sakht Azaab Hai. Aur Joh Eeman Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Un Ke Liye Bakhshish Aur Bara Sawab Hai.

8
Bhala Jis Shakhs Ko Is Ke Aamaal-E-Bad Aaraasta Kar Ke Dikhaye Jaayain Aur Wo Unko Umda Samajhne Lage, Toh Kia Wo Naiko Kaar Aadmi Jaisa Ho Sakta Hai. Be Shak Khuda Jis Ko Chahta Hai Gumraah Karta Hai Aur Jis Ko Chahta Hai Hidayat Deta Hai.Toh Un Lougon Par Afsos Kar Ke Tumhara Dam Na Nikal Jaye. Ye Joh Kuch Karte Hain Khuda Us Se Waqif Hai.

9
Aur Khuda Hi Toh Hai Joh Hawaayen Chalata Hai Aur Wo Baadal Ko Ubhaarti Hain, Phir Ham Us Ko Aik Be Jaan Sheher Ki Taraf Chalate Hain. Phir Us Se Zameen Ke Marne Ke Baad Zinda Kar Dete Hain. Issi Tarha Murdoun Ko Jee Uthna Hoga.

10
Joh Shakhs Izzat Ka Talabgaar Hai, Toh Izzt Toh Sab Khuda Hi Ki Hai. Ussi Ki Taraf Paakeeza Kalmaat Charhte Hain Aur Naik Amal Us Ko Buland Karte Hain. Aur Joh Loug Bure Bure Makkar Karte Hain, Un Ke Liye Sakht Azaab Hai. Aur Un Ka Makkar Nabood Ho Jaye Ga.







11
Aur Khuda Hi Ne Tum Ko Matti Se Paida Kia Phir Nutfe Se, Phir Tum Ko Jora Jora Bana Dia. Aur Koi Aurat Na Haamla Hoti Hai Aur Na Janti Hai, Magar Us Ke Ilm Se. Aur Na Kisi Bari Umar Wale Ko Umar Ziada Di Jati Hai Aur Na Us Ki Umar Kam Ki Jati Hai, Magar Sab Kuch Kitaab Main Likha Hua Hai.Be Shak Ye Khuda Ko Aasaan Hai.

12
Aur Dono Darya Mill Kar Yaksan Nahi Ho Jate. Ye Toh Meetha Hai Piyaas Bujhane Wala. Jis Ka Paani Khushgawaar Hai Aur Ye Khari Hai Karwa. Aur Sab Se Tum Taaza Gosht Khate Ho Aur Zewar Nikaalte Ho Jisse Pehente Ho. Aur Tum Darya Main Kashtiyoun Ko Daikhte Ho Ke Paani Ko Phaarti Chali Aati Hain, Taa-Ake Tum Us Ke Fazal Se Moaash Talash Karo Aur Taa-Ake Shukar Karo.

13
Wo Hi Raat Ko Din Main Daakhil Karta Aur Wo Hi Din Ko Raat Main Daakhil Karta Hai Aur Ussi Ne Sooraj Aur Chaand Ko Kaam Main Laga Dia Hai. Har Aik Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Chal Raha Hai. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar Hai Us Ki Baadshahi Hai. Aur Jin Lougoun Ko Tum Us Ke Siwa Pukaarte Ho Wo Khajoor Ki Guthli Ke Chilke Ke Barabar Bhi Toh Kisi Cheez Ke Malik Nahi.

14
Agar Tum Un Ko Pukaro Toh Wo Tumhari Pukaar Na Sunain Aur Agar Sunn Bhi Lain Toh Tumhari Baat Ko Qabool Na Kar Sakain. Aur Qiamat Ke Roz Tumhare Shirk Se Inkar Kar Dainge. Aur Khudaaye Ba Khabar Ki Tarha Tumko Koi Khabar Nahi De Ga.

15
Lougo Tum Sab Khuda Ke Mohtaaj Ho Aur Khuda Be Parwa Sazawar-e-Hamd-O-Sana Hai.

16
Agar Chaahe Toh Tumko Nabood Kar De, Aur Nai Makhlooqaat La Abaad Kare.
17
Aur Ye Khuda Ko Kuch Mushkil Nahi.

18
Aur Koi Uthaane Wala Doosre Ka Bojh Na Uthaaye Ga. Aur Koi Bojh Main Daba Hua,  Apna Bojh Bataane Ko, Kisi Ko Bulaye, Toh Koi Us Main Se Kuch Na Uthaaye Ga, Agarcha Qarabat Daar Hi Ho. Ae Paigambar S.A.W. Tum Un Hi Lougon Ko Naseehat Kar Satke Ho Joh Bin Daikhe Apne Parwrdigar Se Darte Aur Namaaz Biltizaam Parhte Hain. Aur Joh Shakhs Paak Hota Hai Wo Apne Hi Liye Paak Hota Hai. Aur Sab Ko Khuda Hi Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai.

19
Aur Andha Aur Aankh Walaa Barabar Nahi.

20
Aur Na Andhaira Aur Roshni.

21
Aur Na Saaya Aur Na Dhoop.

22
Aur Na Zinde Aur Murde Barabar Ho Sakte Hain. Khuda Jis Ko Chahta Hai Suna Deta Hai. Aur Tum Un Ko Joh Qabroun Main Madfoon Hain Suna Nahi Sakte.

23
Tum Toh Sirf Hidayat Karne Wale Ho.

24
Ham Ne Tum Ko Haq Ke Sath Khushkhabri Sunane Wala Aur Darane Wala Bhaija Hai. Aur Koi Ummat Nahi, Magar Us Main Hidayat Karne Wala Guzar Chukka Hai.




25
Aur Agar Ye Tumahri Takzeeb Karain Toh Joh Loug Un Se Pehle The Wo Bhi Takzeeb Kar Chuke Hain,  Un Ke Pas Un  Ke Paigamabar Nishaniyan Aur Saheefe Aur Roshan Kitaabain Le Le Kar Aate Rahe.

26
Phir Main Ne Kaafiroun Ko Pakar Liya, So Daikh Lo Ke Mera Azaab Kaisa Hua.

27
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Ne Aasmaan Se Meenh Barsaya .Toh Hamne Us Se Tarha Tarha Ke Rangoun Ke Maiwe Paida Kiye .Aur Paharoun Main Safaid Aur Surkh Rangoun Ke Qataat Hain Aur Baaz Kaale Siyaah.

28
Insaanoun Aur Jaanwaroun Aur Chaarpaaiyoun Ke Bhi Kai Tarha Ke Rang Hain. Khuda Se Toh, Us Ke Bandoun Main Se, Wo Hi Darte Hain, Joh Sahib-E-Ilm Hain. Be Shak Khuda Gaalib Aur Bakhashne Wala Hai.

29
Joh Loug Khuda Ki Kitaab Parhte Aur Namaaz Ki Paa Bandi Karte Hain, Aur Joh Kuch Ham Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Posheeda Aur Zahir Kharch Karte Hain, Wo us Tijarat Ke Faaide Ke Umeedwaar Hain Joh Kabhi Tabah Nahi Hogi.

30
Kion Ke Khuda Un Ko Poora Poora Badla De Ga, Aur Apne Fazal Se Kuch Ziada Bhi De Ga. Wo Toh Bakhashne Wala Aur Qadardaan Hai.





31
Aur Ye Kitaab Joh Hamne Tumhari Taraf Bhaiji Hai, Bar Haq Hai. Aur Un Kitaboun Ki Tasdeeq Karti Hai, Joh Is Se Pehle Ki Hain. Be Shak Khuda Apne Bandoun Se Khabardaar Aur Un Ko Daikhne Wala Hai.

32
Phir Ham Ne Un Lougon Ko Kitab Ka Waaris Thehraya Jin Ko Apne Bandoun Main Se Burguzeeda Kia. Toh Kuch Toh In Main Se Apne Aap Par Zulm Karte Hain Aur Kuch Miyana Rou Hain. Aur Kuch Khuda Ke Hukum Se Naikiyoun Main Aage Nikal Jaane Wale Hain. Ye Hi Bara Fazal Hai.

33
In Lougon Ke Liye Behshat Jawedaani Hai, Jin Main Wo Daakhil Houge. Wahan Un Ko Sone(Gold) Ke Kangan Aur Moti Pehnaye Jaayen Ge.Aur Un Ki Poshaak Reshmi Hogi.

34
Wo Kahain Ge Ke Khuda Ka Shukar Hai Jis Ne Ham Se Gham Door Kia. Be Shak Hamara Parwardigar Bakhshne Wala Aur Qadardaan Hai.

35
Jis Ne Hamko Apne Fazal Se Hamesha Ke Rehne Ke Ghar Main Utaara. Yayan Na Toh Ham Ko Ranj Pohonche Ga Aur Na Hamain Thakaan Hi Hogi.

36
Aur Jin Lougon Ne Kufur Kia Un Ke Liye Dozakh Ki Aag Hai. Na Unhain Mout Aaye Gi,  Ke Mar Jaayen Aur Na Us Ka Azaab Hi Un Se Halka Kia Jaye Ga. Ham Har Aik Na Shukre Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.




37
Wo Us Main Chillayen Ge,  Ke Ae Parwardigar Ham Ko Nikaal Le Ab Ham Naik Amal Kia Kariange. Na Wo Joh Pehle Karte The. Kia Ham Ne Tumko Itni Umar Nahi Di Thi, Ke Us Main Joh Sochna Chahta Soch Leta Aur Tumahre Paas Daraane Wala Bhi Aaya. Toh Ab Maze Chakho. Zaalimoun Ka Koi Madadgaar Nahi.

38
Be Shak Khuda Hi Aasmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Baatoun Ka Jaan-Ne Wala Hai.Wo Toh Dil Ke Bhaidoun Tak Se Waqif Hai.

39
Wo Hi Toh Hai Js Ne Tumko Zameen Main Pehloun Ka Janasheen Banaya. Toh Jis Ne Kufur Kia Us Ke Kufur Ka Zarrar Ussi Ko Hai. Aur Kaafiroun Ke Haq Main Un Ke Kufur Se Parwardigar Ke Haan Na Khushi Hi Barhti Hai Aur Kaafiroun Ko Un Ka Kufur Nuqsaan Hi Ziada Karta Hai.

40
Bhala Tum Ne Apne Shareekoun Ko Daikha, Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho. Mujhe Dikhao Ke Unhoun Ne Zameen Se Koun Si Cheez Paida Ki Hai, Ya Bataow Ke Aasmaanoun Main Un Ki Shirkat Hai. Ya Ham Ne Un Ko Kitaab Di Hai, Toh Wo Us Ki Sanad Rakhte Hain, In Main Se Koi Baat Bhi Nahi, Balke Zaalim Joh Aik Doosre Ko Waada Dete Hain Mehez Faraib Hai.

41
Khuda Hi Aasmaanoun  Aur Zameen Ko Thaame Rakhta Hai, Ke Tall Na Jayen. Agar Wo Tall Jaye Toh Khuda Ke Siwa Koi Aisa Nahi Joh Un Ko Thaam Sake. Be Shak Wo Burdbaar Aur Bakhashne Wala Hai.

42
Ye Khuda Ki Sakht Sakht Qasmain Khaate Hain Ke Agar Un Ke Paas Koi Hidayat Karne Wala Aaye, Magar Jab Unke Paas Hidayat Karne Waala Aaya, Toh Us Se Un Ko Nafrat Hi Barhi.



43
Yaani Unhoun Ne Mulk Main GHaroor Karna Aur Buri Chaal Chalna Ikhtiyar Kia,  Aur Buri Chaal Ka Wabaal Us Ke Chalne Wale Hi Par Parta Hai. Ye Agle Lougon Ki Rawish Ke Siwa Aur Kisi Cheez Ke Muntazir Nahi. So Tum Khuda Ki Aadat Main Har Gizz Tabbaddul Na Paao Ge. Aur Khuda Ke Tareeqe Main Kabhi Tagaiyuur Na Daikho Ge.

44
Kia Unhoun Ne Zameen Main Sair Nahi Ki, Taa-Ake Daikhte Ke Joh Loug Unse Pehle The Un Ka Anjaam Kia Hua, Halanke Wo Un Se Quwwat Main Bohot Ziada The. Aur Khuda Aisa Nahi Ke Aasmaanoun Aur Zameen Main Koi Cheez Us Ko Aajiz Kar Sake. Wo Ilm Wala Aur Qudrat Wala Hai.

45
Aur Agar Khuda Lougon Ko Un Ke Aamal Ke Sabab Pakarne Lagta. Toh Roo-E-Zameen Par Aik Chalne Phirne Wale Ko Na Chorta. Lekin Wo Un Ko Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Mohlat Diye Jata Hai. So Jab Un Ka Waqt Aa Jaye Ga Toh Us Ke Aamaal Ka Badla De Ga Khuda Toh Apne Bandoun Ko Daikh Raha Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

36-Soorah-Ya-Seen-Aayat-83



Soorah-Ya-Seen

Aayaat 83

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Yasin.

2
Qasam Hai Quraan Ki Joh Hikmat Se Bhara Hua Hai.

3
Ae Muhammad S.A.W. Be Shak Tum Paigambaroun Main Se Ho.

4
Seedhe Raste Par.

5
Ye Khuda-E-Galib Aur Meherbaan Ne Nazil Kia Hai.

6
Taa-Ake Tum In Lougon Ko, Jin Ke Baap Dada Ko Muttnabeh Nahi Kia Gaya Tha, Muttnabeh Kar Do, Wo Ghaflat Main Pare Hue Hain.

7
Un Mian Se Aksar Par Khuda Ki Baat Poori Ho Chuki Hai,  So Wo Eemaan Nahi Laayen Ge.

8
Ham Ne Un Ki Gardanoun Main Touq Daal Rakhe Hain Aur Wo Thoriyoun Tak Phanse Hue Hain, Toh Un Ke Sarr Ullal Rahe Hian.



9
Aur Ham Ne Un Ke Aage Bhi Deewaar Bana Di Aur Un Ke Peeche Bhi. Phir Un Par Parda Dal Dia Toh Ye Daikh Nahi Sakte.

10
Aur Tum Un Ko Naseehat Karo Ya Na Karo Un Ke Liye Barabar Hai Wo Eemaan Nahi Laane Ke.

11
Tum Toh Sirf Us Shakhs Ko Naseehat Kar Skate Ho Joh Naseehat Ki Pairwi Kare Aur Khuda Se Ghaaibana Dare,  So Us Ko Magfirat Aur Bare Sawab Ki Bisharat Suna Do.

12
Be Shak Ham Murdoun Ko Zinda Karain Ge Aur Joh Kuch Wo Aage Bhaij Chuke Aur Joh Un Ke Nishaan Peeche Reh Gaye Ham Unko Qalamband Kar Lete Hain. Aur Har Cheez Ko Ham Ne Kitaab-E-Roshan Yaani Loh-E-Mehfooz Main Likh Rakha Hai.

13
Aur Un Se Gaaoun(Village) Waloun Ka Qissa Bayan Karo Jab Un Ke Pas Paigamaar Aaye.

14
Yaani Jab Ham Ne Un Ki Taraf Do Paigambar Bhaije Toh Unhoun Ne Un Ko Jhutlaya. Phir Ham Ne Teesre Se Taqwiyat Di, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ham Tumahri Taraf Paigambar Ho Kar Aaye Hain.

15
Wo Bole Ke Tum Aur Kuch Nahi Magar Hamari Tarah  Ke Aadmi Ho Aur Khuda Ne Koi Cheez Bhi Nazil Nahi Ki Tum Mehez Jhooot Bolte Ho.

16
Unhoun Ne Kaha Ke Hamara Parwardigar Jaanta Hai, Ke Ham Tumahri Tararf Paighaam De Kar Bhaije Gaye Hain.
17
Aur Hamare Zimme Toh Saaf Saaf Pohoncha Dena Hai Aur Bas.

18
Wo Bole Ke Ham Tum Ko Namubarak Daikhte Hain. Agar Tum Baaz Na Ao Ge, Toh Ham Tumhain Sangsaar Kar Dainge Aur Tum Ko Ham Se Dukh Dene Wala Azaab Pohonche Ga.

19
Unhoun Ne Kaha Ke Tumhari Nahoosat Tumhare Sath Hai. Kia Is Liye Ke Tum Ko Naseehat Ki Gai. Balke Tum Aise Loug Ho Joh Had Se Tajawaz Kar Gaye Ho.

20
Aur Sheher Ke Parle Kinaare Se Aik Aadmi Dourta Hua Aya,  Kehne Lage Ke Ae Meri Qoum Paigambaroun Ke Peeche Chalo.

21
Aisoun Ke, Joh Tum Se Sila Nahi Maangte Aur Wo Seedhe Raste Par Hain.

22
Aur Mujhe Kia Hai Ke Main Us Ki Parastish Na Karoon Jis Ne Mujhe Paida Kia Aur Usi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.

23
Kia Main Un  Ko Chor Kar Auroun Ko Maabood Banaaon? Agar Khuda Mere Haq Main Nuqsaan Karna Chaahe Toh Un Ki Sifarish Mujhe Kuch Bhi Faaida Na De Sake Aur Na Wo Mujhe Chura Hi Sakain.

24
Tab Toh Main,  Sareeh Gumrahi Main Mubtila Ho Gaya.

25
Main Tumhare Parwardigar Par Eemaan Laaya Hoon, So Meri Baat Sunn Rakho.
26
Hukum Hua Ke Behshat Main Daakhil Ho Ja. Bola Kaash! Meri Qoum Ko Khabar Ho.

27
Ke Khuda Ne Mujhe Bakhsh Dia Aur Izzat Waloun Main Kia.

28
Aur Ham Ne Us Ke Baad Us Ki Qoum Par Koi Lashkar Nahi Utaara Aur Na Ham Utaarne Wale The Hi.

29
Wo Toh Sirf Aik Chinghaar Thi Aatsheen,  So Wo Us Se Nagahaan Bujh Kar Reh Gaye.

30
Bandoun Par Afsos Hai, Ke Un Ke Paas Koi Paigambar Nahi Aata Magar Us Se Tammaskhurr Karte Hain.

31
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Se Lougon Ko Halak Kar Dia Tha, Ab Wo Un Ki Taraf Lout Kar Nahi Aayen Ge.

32
Aur Sab Ke Sab Hamare Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.

33
Aur Aik Nishaani Un Ke Liye Zameen-e-Murda Hai, Ke Ham Ne Us Ko Zindaa Kia Aur Us  Main Se Anaaj Ugaaya. Phir Ye Us Main Se Khaate Hain.

34
Aur Us Main Khajooroun Aur Angooroun Ke Baagh Paida Kiye Aur Us Main Chashme Jaari Kar Diye .


35
Taa-Ake Ye In Ke Phal Kaayen Aur Un Ke Hathoun Ne Toh Un Ko Nahi Banaya, Toh Phir Kia Ye Shukar Nahi Karte?

36
Wo Khuda Paak Hai Jis Ne Zameen Ki Nabataat Ke, Aur Khud Un Ke, Aur Jin Cheezoun Ki, Un Ko Khabar Nahi, Sab Ke Jore Banaye.

37
Aur Aik Nisaani Un Ke Liye Raat Hai Ke Us Main Se Ham Dinn Ko Khainch Lete Hain Toh Us Waqt Un Par Andhaira Cha Jata Hai.

38
Aur Sooraj Apne Muqarrar Raste Par Chalta  Rehta Hai. Ye Khuda-E-GHalib Aur Dana Ka Muqarrar Kia Hua Andaza Hai.

39
Aur Chaand Ki Bhi Ham Ne Manzilain Muqarrar Kar Deen, Yahan Tak Ke Ghat-Te Ghat-Te Khajoor Ki Purani Shakal Ki Tarha Ho Jata Hai.

40
Na Toh Sooraj Hi Se Ho Sakta Hai Ke Chand Ko Jaa Pakre Aur Na Raat Hi Din Se Pehle Aa Sakti Hai. Aur Sab Apne Apne Daaire Main Tair Rahe Hain.

41
Aur Aik Nishaani Un Ke Liye Ye Hai, Ke Ham Ne Un Ki Aulaad Ko Bhari Hui Kashti Main Sawaar Kia.

42
Aur Un Ke Liye Waisi Hi Aur Cheezain Paida Kee Jin Par Wo Sawaar Hote Hain.

43
Aur Agar Ham Chaahain, Toh un Ko Gharq Kar Dain. Phir Na Toh Un Ka Koi Faryaad Rass Hua Aur Na Un Ko Rihayee Mile.
44
Magar Ye Hamari Rehmat Aur Aik Muddat Tak Ke Faide Hain.

45
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Joh Tumhare Aage Aur Joh Tumhare Peeche Hai,  Un Se Daro Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaye.

46
Aur Un Ke Paas Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Koi Nishaani Nahi Aaye, Magar Us Se Moonh Phair Lete Hain.

47
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke,  Joh Rizq Khuda Ne Tumko Dia Hai,  Us Main Se Kharch Karo. Toh Kaafir Mominoun Se Kehte Hain Ke Bhala Ham Un Lougon Ko Khana Khilaaye,  Jin Ko Agar Khuda Chahta Toh Khud Khila Deta. Tum Toh Sareeh Ghalti Main Ho.

48
Aur Kehte Hain Agar Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Waada Kab Poora Hoga?

49
Ye Toh Aik Chinghaar Ke Muntazir Hain Joh Un Ko Us Haal Main Ke Baham Jhagar Rahe Hounge Aa Pakre Gi.

50
Phir Na Toh Wasiyat Kar Sakain Ge Aur Na Apne Ghar Waaloun Main Wapas Ja Sakain Ge.

51
Aur Jis Waqt Soor Phoonka Jaye  Ga Ye Qabroun Se Nikal Kar Apne Parwardigar Ki Taraf Dour Parainge.




52
Kahain Ge Ke Ae Hai,  Hamain Hamari Khuabgaahoun Se Kis Ne Jaga Uthaaya?  Ye Wo Hi Toh Hai Jis Ka Khuda Ne Waada Kia Tha Aur Paigambaroun Ne Sach Kaha Tha.

53
Sirf Aik Zour Ki Awaaz Ka Hona Hoga Ke Sab Ke Sab Hamare Ru Baru Aa Hazir Hounge.

54
Us Roz Kisi Shakhas Par Kuch Bhi Zulm Nahi Kia Jaye Ga,  Aur Tum Ko Badla Waisa Hi Mile Ga Jaisa Tum Kaam Karte The.

55
Ehl-E-Jannat Us Roz Aish-O-Nishaat Ke Mashgale Main Hounge.

56
Wo Bhi Aur Un Ki Biwiyaan Bhi,  Saayoun Main Takhtoun Par Takiye Lagaaye Baithe Hounge.

57
Wahan Un Ke Liye Maiwe Aur Joh Chahain Ge Mojood Hoga.

58
Parwardigar Meherbaan Ki Tarf Se Salam Kaha Jaye Ga.

59
Aur Gunnehgaaro! Tum Aaj Alag Ho Jao.

60
Ae Aadam Ki Aulad Ham Ne Tum Se Keh Nahi Dia Tha,  Ke Shaitaan Ko Na Poojna Wo Tumhara Khula Dushman Hai.

61
Aur Ye Ke Meri Hi Ibadat Karna. Ye Hi Seedha Rasta Hai.


62
Aur Us Ne Tum Main Se Bohot Si Khalqat Ko Gumrah Kar Dia Tha. Toh Kia Tum Samajhte Nahi The?

63
Ye Hi Wo Jahannum Hai Jis Ki Tumhain Khabar Di Jati Thi.

64
So Joh Tum Kufur Karte Rahe Ho Us Ke Badle Aaj Is Main Daakhil Ho Jaao.

65
Aaj Ham Un Ke Moohoun Par Mohor Laga Dainge Aur Joh Kuch Ye Karte Rahe The, Un Ke Hath, Ham Se Bayan Kar Dainge Aur Un Ke Paaon Is Ki Gawahi Dainge.

66
Aur Agar Ham Chaahain Toh Un Ki Aankhoun Ko Mita Kar Andha Kar Dain. Phir Ye Raste Ko Dorain Toh Kahan Daikh Sakain Ge.

67
Aur Agar Ham Chahain Toh Un Ki Jaga Par Un Ki Sooratian Badal Dain Phir Wahan Se Na Aage Ja Sakain Aur Na Peeche Lout Sakain.

68
Aur Jis Ko Ham Bari Umar Dete Hain Toh Usse Khalqat Main Oundha Kar Dete Hain,  Toh Kia Ye Samajhte Nahi?

69
Aur Ham Ne Un Paigambar Ko Sher Goi Nai Sikhaye Aur Na Wo Unko Shayaan Hai. Ye Toh Mehez Naseehat Aur Saaf Saf Quraan Purr Az Hikmat Hai.

70
Taa-Ake Us Shakhs Ko Joh Zinda Ho Hidayat Ka Rasta Dikhaye Aur Kaafiroun Par Baat Poori Ho Jaye.

71
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Joh Cheezin Ham Ne Apne Haathoun Se Banaye,  Un Main Se Ham Ne Un Ke Liye Chaar Paaye Paida Kar Diye Aur Ye Un Ke Malik Hain.

72
Aur Un Ko Un Ke Qaabu Main Kar Dia Toh Koi Toh Un Main Se Un Ki Sawari Hai Aur Kisi Ko Ye Khaate Hain.

73
Aur Un Main Un Ke Liye Aur Faaida Aur Peene Ki Cheezain Hain. Toh Kia Ye Shukar Nahi Karte?

74
Aur Unhoun Ne Khuda Ke Siwa Aur Maabood Bana Liye Hain, Ke Shayad Un Se IUn Ko Madad Pohonche.

75
Magar Wo Un Ki Madad Ki Har Gizz Taqat Nahi Rakhte.Aur Wo Un Ki Fouj Ho Kar Hazir Kiye Jayen Ge.

76
Toh Un Ki Baatain Tumhain Gamnaak Na Kar Dain. Ye Joh Kuch Chupaate Aur Joh Kuch Zahir Karte Hain,  Hamain Sab Maloom Hai.

77
Kia Insaan Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Us Ko Nutfe Se Paida Kia. Phir Wo Tarraq Parraq Jhagarne Laga.

78
Aur Hamare Bare Main Misaalain Bayan Karne Laga Aur Apni Paidaaish Ko Bhool Gaya. Kehne Laga Ke Jab Haddiyan Boseeda Ho Jayen Gi, Toh Un Ko Koun Zinda Kare Ga?

79
Keh Do Ke Un Ko Wo Zinda Kare Ga Jis Ne Un Ko Pehli Baar Paida Kia Tha. Aur Wo Sab Qisam Ka Paida Karna Jaanta Hai.
80
Wo Hi Jis Ne Tumhare Liye Sabz Darakht Se Aag Paida Ki Phir Tum Us Ki Tehniyoun Ko Raggar Kar, Un Se Aag Nikaalte Ho.

81
Bhala Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia, Kia Wo Is Baat Par Qaadir Nahi Ke Un Ko Phir Waise Hi Paida Kar De. Kion Nahi. Aur Wo Toh Bara Paida Karne Wala Aur Ilm Wala Hai.

82
Us Ki Shaan Ye Hai Ke Jab Wo Kisi Cheez Ka Iraada Karta Hai Toh Us Se Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Wo Ho Jati Hai.

83
Wo Zaat Paak Hai, Jis Ke Hath Main Har Cheez Ki Baadshahat Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^