Soorah Al-Ankaboot
Aayaat 69
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Alif Laam Meem.
2
Kia Loug Ye Khayal
Kiye Hue Hain Ke Sirf Ye Kehne Se Ke Ham Eemaan Le Aaye, Chor Diye Jaayen Ge
Aur Un Ki Aazmaaish Nahi Ki Jaye Gi.
3
Aur Joh Loug Un Se
Pehle Ho Chuke Hain, Ham Ne Un Ko Bhi Aazmaaya Tha Aur Un Ko Bhi Aazmaayen Ge,
So Khuda Un Ko Zaroor Maaloom Kare Ga Joh Apne Eemaan Main Sachhe Hain Aur Un
Ko Bhi Joh Jhoote Hain.
4
Kia Wo Loug Joh Bure
Kaam Karte Hain Ye Samajhe Hue Hain Ke Ye Hamare Qaaboo Se Nikal Jaayen Ge. Joh
Khayal Ye Karte Hain Bura Hai.
5
Joh Shakhs Khuda Ki
Mulaqaat Ki Umeed Rakhta Ho, Toh Khuda Ka Muqarrar Kia Hua Waqt Zaroor Aane
Wala Hai. Aur Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
6
Aur Joh Shakhs Mehnat
Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Mehnat Karta Hai. Aur Khuda Toh Saare
Jahan Se Be Parwah Hai.
7
Aur Joh Loug Eemaan
Laye Aur Naik Amal Kartre Rahe Ham Un Ke Gunaahoun Ko Un Se Door Kar Dainge Aur
Un Ko Un Ke Aamaal Ka Bohot Acha Badla Dainge.
8
Aur Ham Ne Insaan Ko
Apne Maan Baap Ke Sath Naik Salook Karne Ka Hukum Dia Hai. Ae Mukhatib Agar
Tere Maan Baap Tere Dar Pe Houn, Ke Tu
Mere Sath Kisi Ko Shareek Banaye, Jis Ki Haqeeqat Ki Tujhe Waaqfiyat Nahi. Toh
Un Ka Kehna Na Maaniyo. Tum Sab Ko Meri Taraf Lout Kar Aana Hai.Phir Joh Kuch
Tum Karte The Main Tum Ko Jata Doonga.
9
Aur Joh Loug Eemaan
Laaye Aur Naik Amal Karte Rahe Unko Ham Naik Lougon Main Dakhil Karain Ge.
10
Aur Baaz Loug Aise
Hain, Joh Kehte Hain Ke Ham Khuda Par Eemaan Laaye, Jab Un Ko Khuda Ke Raste
Main Koi Eezaa Pohonchti Hai, Toh Lougon Ki Eeza Ko Youn Samajhte Hain Jaise Khuda Ka Azaab. Aur Agar Tumhre
Parwardigar Ki Taraf Se Madad Pohonche Toh Kehte Hain Ke Ham Toh Tumahre Sath
The. Kia Joh Ehle-E-Aalam Ke Seenoun(Hearts) Main Hai Khuda Us Se Waaqif Nahi?
11
Aur Khuda Un Ko
Zarooor Maaloom Kare Ga Joh Sache Momin Hain Aur Munaafiqoun Ko Bhi Maaloom Kar
Ke Rahe Ga.
12
Aur Joh Kaafir Hain Wo
Mominoun Se Kehte Hain Ke Hamre Tareeq Ki Pairwi Karo. Ham Tumahre Gunnah Utha
Lainge. Halanke Wo Un Ke Gunaahoun Ka Kuch Bhi Bojh Uthane Wale Nahi. Kuch Shak
Nahi Ke Ye Jhoote Hain.
13
Aur Ye Apne Bojh Bhi
Uthayen Ge Aur Apne Bojhoun Ke Sath Aur Lougon Ke Bojh Bhi. Aur Joh Bohtaan Ye
Baandhte Rahe Qiamat Ke Din Un Ki Un Se Zaroor Purrsissh Hogi.
14
Aur Ham Ne Nooh A.S.
Ko Un Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Wo Un Main Pachaas Baras Kam, Hazar Baras
Rahe, Phir Un Ko Toofaan Ke Azaab Ne Aa Pakra.Aur Wo Zalim The.
15
Phir Ham Ne Nooh A.S.
Ko Aur Kashti Waaloun Ko Nijaat Di Aur Kashti Ko Ehl-E-Aalam Ke Liye Nishaani
Bana Dia.
16
Aur Ibrahim A.S. Ko
Yaad Karo, Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Khuda Ki Ibadat Karo, Aur Us Se
Daro, Agar Tum Samajh Rakhte Ho Toh Ye Tumahre Haq Main Behtar Hai.
17
Tum Toh Khdua Ko Chor
Kar Buttoun Ko Poojte Aur Toofaan Baandhte Ho Toh Jin Lougon Ko Tum Khuda Ke
Siwa Poojte Ho, Wo Tumko Rizq Dene Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhte, Pas Khuda Hi Ke Haan Se Rizq Talab Karo Aur
Ussi Ki Ibadat Karo Aur Ussi Ka Shukar Karo, Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jao Ge.
18
Aur Agar Tum Meri
Takzeeb Karo, Toh Tum Se Pehle Bhi Ummatain Apne Paigambaroun Ki Takzeeb Kar
Chuki Hain. Aur Paigambar Ke Zimme Khol Kar Suna De Ne Ke Siwa Aur Kuch Nahi.
19
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Khuda Kis Tarha Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Phir Kis Tarha Us
Ko Baar Baar Paida Karta Rehta Hai. Ye Khuda Ko Aasan Hai.
20
Keh Do Ke Mulk Main
Chalo Phiro Aur Daikho Ke, Us Ne Kis Tarha Khlaqat Ko Pehli Dafa Paida Kia Hai,
Phir Khuda Hi Pichli Paidaaish Paida Kare Ga. Be Shak Khuda Har Cheez Par
Qaadir Hai.
21
Wo Jisse Chahe Azaab
De Aur Jis Par Chaahe Rehem Kare.Aur Ussi Ki Taraf Tum Loutaye Jaao Ge.
22
Aur Tum Us Ko Na
Zameen Main Aajiz Kar Sakte Ho, Na
Asmaan Main Aur Na Khuda Ke Siwa Tumhara Koi Dost Hai Aur Na Madadgaar.
23
Aur Jin Lougon Ne
Khuda Ki Aayatoun Se Aur Us Ke Milne Se Inkaar Kia Wo Meri Rehmat Se Na Umeed
Ho Gaye Hain, Aur Un Ko Dard Dene Wala
Azaab Hoga.
24
Toh Un Ki Qoum Ke Loug
Jawab Main Bole Toh Ye Bole Ke Isse Maar Daalo Ya jala Do. Magar Khuda Ne Unko
Aag Ki Sozish Se Bacha Liya. Joh Loug Eemaan Rakhte Hain Un Ke Liye Is Main
Nishaniyan Hain.
25
Aur Ibrahim A.S. Ne
Kaha Ke Tum Joh Khuda Ko Chor Kar Buttoun Ko Le Baithe Ho Toh Dunia Ki Zindagi
Main Baaham Dosti Ke Liye, Magar Phir
Qiamat Ke Din Aik Doosre Ki Dosti Se Inkar Kar Do Ge, Aur Aik Doosre Par Laanat
Bhaijo Ge, Aur Tumhara Thikana Dozakh
Hoga Aur Koi Tumhara Madadgaar Na Hoga.
26
Pas Un Par Aik Loot
A.S. Eemaan Laaye Aur Ibrahim A.S. Kehne Lage Ke Main Apne Parwardigar Ki Taraf
Hijrat Karne Wala Hoon.Beshak Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.
27
Aur Ham Ne Us Ko
Ishaaq A.S. Aur Yaqoob A.S. Bakhshe Aur Un Ki Aulaad Main Paigambari Aur
Kitaaab Muqarrar Kar Di, Aur Un Ko Dunia
Main Bhi Un Ka Sila Inayat Kia Aur Wo Aakhrat Main Bhi Naik Lougon Main Hounge.
28
Aur Loot A.S. Ko Yaad
Karo Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Ajaab Be Haayaee Ke Murtakib Hote
Ho. Tum Se Pehle Ehl-E-Aalam Main Se Kisi Ne Aisa Kaam Nahi Kia.
29
Kia Tum Lazzat Ke
Iraade Se Loundoun Ki Taraf Maail Hote
Aur Musaafiroun Ki Rahzani Karte Ho Aur Apni Majlisoun Main Na Pasandeeda Kaam
Karte Ho. Toh Un Ki Qoum Ke Loug Jawab Main Bole Toh Ye Bole Ke Agar Tum Sache
Ho Toh Ham Par Azaab Le Aao.
30
Loot A.S. Ne Kaha Ke
Ae Mere Parwardigar In Muffsid Lougon Ke Muqaable Main Mujhe Nusrat Inaayat
Farma.
31
Aur Jab Hamare
Farishte Ibrahim A.S. Ke Paas Khusi Ki Khabar Le Kar Aaye Toh Kehne Lage Ke Ham
Is Basti Ke Lougon Ko Halak Kar Dene Wale Hain Ke Yahan Ke Rehne Wale Nafarmaan
Hain.
32
Ibrahim A.S. Ne Kaha
Ke Is Main Toh Loot A.S. Bhi Hain. Wo Kehne Lage Ke Joh Loug Yahan Rehte Hain
Hamain Sab Maaloom Hain. Ham Un Ko Aur Un Ke Ghar Walouon Ko Bacha Lain Ge, Bajaz Un Ki Biwi Ko Wo Peeche Rehne Waloun
Main Ho Gi.
33
Aur Jab Hamare
Farishte Loot A.S. Ke Paas Aaye Toh Wo Un Ki Waja Se Na Khush Aur Tang Dil Hue.
Faristoun Ne Kaha Kuch Khof Na Kijiye.Aur Na Ranj Kijiye, Ham Aap Ko Aur Aap Ke
Ghar Waloun Ko Bacha Lainge, Magar Aap Ki Biwi, Ke Peeche Rehne Waloun Main
Hogi.
34
Ham Is Basti Ke Rehne
Waloun Par, Is Sabab Se, Ke Ye Badkirdaari Karte Rahe Hain Aasmaan Se Azaab
Nazil Karne Wale Hain.
35
Aur Ham Ne Samajhne
Wale Lougon Ke Liye Is Basti Se Aik Khuli Nishani Chor Di.
36
Aur Madan Ki Taraf Un
Ke Bhai Shoaib A.S. Ko Bhaija, Toh Unhoun Ne Kaha Ae Qoum Khuda Ki Ibadat Karo
Aur Pichle Din Ke Aane Ki Umeed Rakho Aur Mulk Main Fisaad Na Machaao.
37
Magar Unhoun Ne Unko
Jhoota Samjha, So Un Ko Zalzale Ke Azaab Ne Aa Pakra Aur Wo Apne Gharoun Main
Oundhe Pare Reh Gaye.
38
Aur Aad Aur Samood Ko
Bhi Ham Ne Halak Kar Dia, Chunacha Un Ke Weeraan Ghar Tumhari Aankhoun Ke
Saamne Hain Aur Shaitaan Ne Un Ke Aamal Un Ko Aaraasta Kar Dikhaye Aur Un Ko
Seedhe Raaste Se Rouk Dia.Halaanke Wo Daikhne Wale Loug The.
39
Aur Qaaroon Aur Firown
Aur Hamaan Ko Bhi Halaak Kar Dia Aur Un Ke Paas Mooosa A.S. Khuli Nishaniya Le
Kar Aaye, Toh Wo Mulk Main Magroor Ho Gaye Aur Wo Hamare Qaaboo Se Nikal Jaane
Wale Na The.
40
Toh Ham Ne Sab Ko Un
Ke Gunahoun Ke Sabab Pakar Liya. So Un Main Kuch Toh Aise The Jin Par Ham Ne
Patharoun Ka Meenh Barsaaya. Aur Kuch Aise The Jin Ko Chinghaar Ne Aa Pakra, Aur Kuch Aise The Jin Ko Ham Ne Zameen Main
Dhansa Dia. Aur Kuch Aise The Jin Ko Gharq Kar Dia Aur Khuda Aisa Na Tha Ke Un
Par Zulm Karta Lekin Wohi Apne Aap Par Zulm Karte
The.
41
Jin Lougon Ne Khuda Ke
Siwa Auroun Ko Kaar Saaz Bana Rakha Hai Un Ki Misaal Makri(Spider) Ki Si Hai, Ke Wo Bhi Aik Tarha
Ka Ghar Banati Hai. Aur Kuch Shak Nahi Ke Tamaam Gharoun Se Kamzor Makri Ka
Ghar Hai Kaash Ye Is Baat Ko Jaante.
42
Ye Jis Cheez Ko Khuda
Ke Siwa Pukaarte Hain, Khuah Wo Kuch Hi Ho Khuda Usse Jaanta Hai. Aur Wo Ghaalib
Aur Hikmat Wala Hai.
43
Aur Ye Misaalain Ham
Lougon Ke Samjhaane Ke Liye Bayan Karte Hain Aur Isse Toh Ehl-E-Daanish Hi
Samajhte Hain.
44
Khuda Ne Aasmaanoun
Aur Zameen Ko Hikmat Ke Sath Paida Kia Hai. Kuch Shak Nahi Ke Eemaan Waloun Ke
Liye Is Main Nishaani Hai.
45
Ae Muhammad S.A.W. Ye
Kitaab Joh Tumhari Taraf Wahi Ki Gai Hai, Is Ko Parha Karo Aur Namaaz Ke
Paaband Raho. Kuch Shak Nahi Ke Namaaz Be Hayayee Aur Buri Baatoun Se Rokti
Hai. Aur Khuda Ka Zikar Bara Acha Kaam Hai. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda
Usse Jaanta Hai.
46
Aur Ehl-E-Kitaab Se
Jhagra Na Karo, Magar Aise Tareeq Se Ke Nihayat Acha Ho. Haan Joh Un Main Se Be
Insaafi Karain Un Ke Sath Issi Tarha
Mujaadla Karo Aur Keh Do Ke Joh Kitaab Ham Par Uttri Aur Joh Kitaabain Tum Par
Utreen Ham Sab Pe Eemaan Rakhte Hain Aur
Hamara Tumahra Maabood Aik Hi Hai Aur Ham Ussi Ke Farmabardaar Hain.
47
Aur Ussi Tarha Ham Ne
Tumhari Taraf Kitaab Utaari Hai. Toh Jin Lougon Ko Ham Ne Kitaabaain Di Theen
Wo Is Par Eemaan Le Aate Hain Aur Baaz In Mushrik Lougon Main Se Bhi Is Par
Emaan Le Aate Hain.Aur Hamari Aayatoun Se Wo Hi Inkaar Karte Hain Joh Kaafir-e-Azzli
Hain.
48
Aur Tum Is Se Pehle
Koi Kitaab Nahi Parhte The Aur Na Isse Apne Hath Se Likh Hi Sakte The, Aisa
Hota Toh Ehle-E-Baatil Zaroor Shak Karte.
49
Balke Ye Roshan
Aayatain Hain. Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya Hai Un Ke Seenoun Main Mehfooz Aur
Hamari Aayatoun Se Wo Hi Loug Inkar Karte Hain Joh Be Insaaf Hain.
50
Aur Kaafir Kehte Hain
Ke Is Par Is Ke Parwardigar Ki Taraf Se
Nishaaniyan Kion Nazil Nahi Houyee, Keh Do Ke Nishaaniyan Toh Khuda Hi Ke Paas
Hain.Aur Main Toh Khullam Khulla Hidayat Karne Wala Hoon.
51
Kia Un Lougon Ke Liye
Ye Kaafi Nahi Ke Ham Ne Tum Par Kitaab Nazil Ki Joh Unko Parh Kar Sunaaye Jati
Hai. Kuch Shak Nahi Ke Momin Lougon Ke Liye Is Main Rehmat Aur Naseehat Hai.
52
Keh Do Ke Mere Aur
Tumahre Darmayan Khuda Hi Gawaah Kaafi Hai, Joh Cheez Aasmaanoun Main Aur
Zameen Main Hai, Wo Sab Ko Jaanta Hai.Aur Jin Lougon Ne Baatil Ko Maana Aur
Khuda Se Inkaar Kia, Wo Hi Nuqsaan Uthaane Wale Hain.
53
Aur Ye Loug Tum Se
Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain. Agar Aik Waqt-E-Muqarrar Na Ho Chukka Hota
Toh Un Par Azab Aa Bhi Gaya Hota. Aur Wo Kisi Waqt Main Un Par Zaoor Nagahaan Aa Kar Rahe Ga Aur Un Ko Maaloom Bhi
Na Hoga.
54
Ye Tum Se Azaab Ke
Liye Jaldi Kar Rahe Hain.Aur Dozakh Toh Kaafiroun Ko Ghair Lene Wali Hai.
55
Jis Din Azaab Un Ko Un
Ke Oopar Se Aur Neeche Se Dhaank Le Ga Aur Khuda Farmaaye Ga Ke Joh Kaam Tum
Kia Karte The Ab Un Ka Mazaah Chakho.
56
Ae Mere Bando, Joh
Eemaan Laye Ho, Meri Zameen Faraakh Hai,
Toh Meri Hi Ibadat Karo.
57
Har Muttnaffis Mout Ka Mazah Chakhne Wala Hai. Phir
Tum Hamari Hi Taraf Lout Kar Aao Ge.
58
Aur Joh Loug Eemaan
Laye Aur Naik Amal Karte Rehe Un Ko Ham Behshat Ke Oonche Oonche Mehloun Main
Jaga Dainge. Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Hamesha Un Main Rahain Ge. Naik
Amal Karne Waloun Ka Ye Khoob Badla Hai.
59
Joh Sabar Karte Aur
Apne Parwardigar Par Bharosa Rakhte Hain.
60
Aur Aur Bohot Se
Jaanwar Hain Joh Apna Rizq Uthaaye Nahi Phirte, Khuda Hi Unko Rizqq Deta Hai
Aur Tum Ko Bhi .Aur Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
61
Aur Agar Un Se Poocho
Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Aur Sooraj Aur Chaand Ko Kis Ne
Tumhare Zer-E-Farmaan Kia, Toh Keh Dainge Khuda Ne Toh Phir Ye Kahn Ulte Jaa
Rahe Hain?
62
Khuda Hi Apne Bandoun
Main Se Jis Ke Liye Chahata Hai Rozi Faraakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye
Chahta Hai Tang Kar Deta Hai Beshak Khuda Har Cheez Se Waaqif Hai.
63
Aur Agar Tum Un Se
Poocho Ke Aasmaan Se Paani Kis Ne Barsaaya Phir us Se Zameen KouIs Ke Marne Ke
Baad Kis Ne Zinda Kia Toh Keh Dainge Ke Khuda Ne. Keh Do Ke Khuda Ka Shukar
Hai. Lekin Un Main Aksar Nahi Samajhte.
64
Aur Ye Dunia Ki
Zindagi Toh Sirf Khail Aur Tamasha Hai Aur Hamesha Hi Zindagi Ka Maqaam Toh
Aakhrat Ka Ghar Hai. Kaash Ye Loug Samaujhte.
65
Phir Jab Ye Kashti
Main Sawaar Hote Hain Toh Khuda Ko Pukaarte Aur Khaalis Ussi Ki Ibadat Karte
Hain, Lekin. Jab Wo Unko Nijaat De Kar Khushki Par Pohoncha
Deta Hai Toh Jhat Shirk Karne Lag Jate Hian.
66
Taa-Ake Joh Ham Ne Un
Ko Bakhsha Hai Us Ki Na Shukri Karain Aur Faaida Uthaaye. So Khair Anqareeb
Unko Maaloom Ho Jaye Ga.
67
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Ham Ne Haram Ko Maqaam-E-Aman Banaya Hai Aur Loug Un Ke Girdd-O-Nawah
Se Uchak Liye Jate Hain. Kia Ye Loug Baatil Par Aitqaad Rakhte Hain Aur Khuda
Ki Naimatoun Ki Na Shukri Karte Hain.
68
Aur Us Se Zaalim Koun
Joh Khuda Par Johoot Bohtaan Baandhe Ya Jab Haq Baat Us Ke Paas Aaye Toh Us Ki
Takzeeb Kare. Kia Kaafiroun Ka Thikana Jahannum Main Nahi Hai?
69
Aur Jin Lougon Ne
Hamare Liye Koshsih Ki Ham Un Ko Zaroor Apne Raste Dikha Dainge. Aur Khuda Toh
Naiko Kaaroun Ke Sath Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!