Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara
Meherbaan,Nihayat Rehem Wala Hai.
1
Alif Laam Meem
2
Khuda Joh Mabood Barhaq Hai Us Ke Siwa Koi
Ibadat Ke Laaiq Nahi Zinda Hamesha Rehne Wala.
3
Us Ne Ae Muhammad S.A.W. Tum Par Sachi Kitaab
Nazil Ki Joh Pehli Aasmaani Kitabon Ki Tasdeeq Karti Hai Aur Ussi Ne Touraat
Aur Injeel Nazil Ki.
4
Yaani Lougon Ki Hidayat Ke Liye Touraat Aur
Injeel Utaari Aur Phir Quraan Joh Haq Aur Baatil Ko Alag Alag Kar Dene Wala Hai
Nazil Kia Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ka Inkaar Karte Hain Un Ko Sakht Azaab Hoga
Aur Khuda Zabardast Aur Badla Lene Wala Hai.
5
Khuda Aisa Khabeer-O-Baseer Hai Ke Koi Cheez
Us Se Poshida(Hidden) Nahi Na Zameen Main Aur Na Asmaan Main.
6
Wohi Toh Hai Joh Maan(Mother) Ke Pait Main
Jaisi Chahta Hai Tumhari Soortain Banata Hai Aus Gaalib Hikmat(Wisdom) Waale Ke
Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi.
7
Wohi Toh Hai Jis Ne Tum Par Kitaab Naazil Ki
Jis Ki Baaz Aayatain Mohkam(Clear) Hain Aur Wohi Asal Kitaab Hain Aur Baaz
Mutshabiha(Difficult) Hain Toh Jin Lougon Ke Dilon Main Kajji Hai Woh
Mutshabehat Ke Ittbaa(Follow) Karte Hain Taa-Aake Fitna Barpa Karain Aur
Muraad-E-Asli Ka Pata Lagayen Halanke Muraad Asli(Reality) Khuda Ke Siwa Koi
Nahi Jaanta Aur Joh Loug Ilm Main Dast
Gaah-E- Kamil(Firm Believe) Rakhte Hain Woh Yeh Kehte Hain Ke Ham
In Par Eemaan Laye Yeh Sab Hamare
Parwardigaar Ki Taraf Se Hain Aur Naseehat(Advice) Toh Aqal Mand Hi Qabool
Karte Hain.
8
Ae Parwardigaar Jab Tu Ne Hamain Hidayat
Bakhshi Hai Toh Us Ke Baad Hamare Diloun Main Kajji Na Paida Kar Dijiyo Aur
Hamain Apne Haan Se Naimat Ata Farma Tu
Toh Bara Ata Farmaane Wala Hai.
9
Ae Parwardigaar!Tu Us Roz Jis Ke Aane Main
Kuch Bhi Shak Nahi Sab Lougon Ko Apne Huzoor Main Jama Kar Le Ga Be Shak Khuda
Khilaaf-E-Waada Nahi Karta.
10
Joh Loug Kaafir Hue Us Din Na Toh Un Ka Maal
Hi Khuda Ke Azaab Se Un Ko Bacha Sake Ga Aur Na Un Ki Aulaad Hi Kuch Kaam Aye
Gi.Aur Yeh Loug Aatish-E-Jahannum Ka Eendhan(Fuel)Honge.
11
Un Ka Haal Bhi Firowniyo(Firown) Aur Run Se
Pehele Lougon Ka Sa Hoga Jinhon Ne
Hamari Aayaton Ki Takzeeb(Deny) Ki Thi Toh Khuda Ne Un Ko Un Ke
Gunaahon(Sinn) Ke Sabab(Because Of) Azaab Main Pakar Liya Tha Aur Khuda Sakht
Azaab Karne Wala Hai.
12
Ae Paigambar Kaafiron Se Keh Do Ke Tum Dunia
Main Bhi Anqreeb Maghloob Ho Jao Ge Aur
Aakhrat Main Jahaum Ki Taraf Haanke Jao Ge Aur Woh Buri Jagha Hai.
13
Tumhare Liye Do Gurohon(Groups) Main Joh
Jang-E-Badar Ke Din Apas Main Bhirr Gaye Qudrat-E-Khuda Ki Azeem-U-Shan Nishani
Thi Aur Aik Guroh(Group) Musalmanon(Muslims) Ka Tha Woh Khuda Ki Raah Main Lar
Raha Tha Aur Doosra Guroh Kaaafiron Ka Tha Woh Un Ko Apni Aankhon Se Apne Se
Dugna(Double) Mushahida(Observation) Kar Raha Tha Aur Khuda Apni Nusrat Se Jis
Ko Chahata Hai Madad Daita Hai, Joh Ehl-E-Bisarat Hain Un Ke Liye Is Waqiye(Insident)
Main Bari Ibrat Hai.
14
Lougon Ko Un Ki Khuahishon Ki Cheezain Yaani
Aurtain Aur Baite(Son) Aur Sone Aur Chandi Ke Bare Bare Dhair Aur Nishaan Lage Hue Ghore(Horse)Aur
Mawaishi Aur Khaiti, Bari
Zeenat Daar Maloom Hoti Hain Magar Yeh Sab Dunia Hi Ki Zindagi Ke Saamaan Hain
Aur Khuda Ke Paas Bohot Acha Thikana Hai.
15
Ae Paigambar Un Se Kaho Ke Bhala Main Tum Ko
Aisi Cheez Bataoon Joh In Cheezon Se Kaheen Achi Ho Suno Joh Loug Parhaizgaar
Hain Un Ke Liye Khuda Ke Haan Baghaat-E-Bahisht(Gardens) Hain Jin Ke Neeche
Nehrain Beh Rahi Hain Un Main Woh
Hamesha Rahain Ge Aur Pakeeza Aurtain Hain Aur Sab Se Barh Kar Khuda Ki
Khushnooodi(Will) Aur Khuda Apne Naik Bandon Ko Daikh Raha Hai.
16
Joh Khuda Se Iltija(Request) Karte Hain Ke Ae Parwardigaar Ham Eemaan Le
Aye So Ham Ko Hamare Gunnah Moaaf Farma Aur Dozakh Ke Azaab Se Mehfooz Rakh.
17
Yeh Woh Loug Hain Joh Mushkilaat Main Sabar
Karte, Aur Sach Bolte Aur Ibadat Main Lage Rehte Aur Raah-E-Khuda Main Kharch Kate Aur Owqaat-E-Seher Main Gunahon Ki Moaafi
Manga Karte Hain.
18
Khuda Toh Is Baat Ki Gawahi Deta Hai Ke Us Ke
Siwa Koi Maabood Nahi Aur Farishte Aur Ilm Waale Loug, Joh Insaaf Par Qaaim
Hain Woh Bhi Gawahi Dete Hain Ke Us Gaalib Hikmat Wale Ke Siwa Koi
Laaiq-E-Ibadat Nahi.
19
Deen Toh Khuda Ke Nazdeek Islam Hai Aur
Ehl-E-Kitaab Ne, Joh Is Deen Se Ikhtilaaf Kia, Toh Ilm Haasil Hone Ke Baad Apas
Ki Zidd Se Kia Aur Joh Shakhs Khuda Ki Aayaton Ko Na Maane Toh Khuda Jald
Hisaab Lene Wala Aur Saza Dene Wala Hai.
20
Ae Paigambar Agar Yeh Loug Tum Se Jhagarne
Lagain Toh Kehna Ke Main Aur Mere Pairvi Karne Wale Toh Khuda Ke
Farmabardaar(Obedient) Ho Chuke Aur Ehl-E-Kitaab Aur An Parh(Uneducated) Lougon
Se Kaho Ke Kia Tum Bhi Khuda Ke Farmanbardaar Bante Aur Islaam Laate Ho?Agar
Yeh Loug Islaam Le Aayain Toh Be Shak Hidayat Paa Lain Aur Agar Tumhara Kaha Na
Mane Toh Tumhara Kaam Sirf Khuda Ka Paighaam Pohoncha Dena Hai Aur Khuda Apne
Bandon Ko Daikh Raha Hai.
21
Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ko Nahi Maante Aur
Anbiya Ko Nahaq Qatal Karte Rahe Hain Aur Joh Insaaf Ka Hukum Dete Hain Unhain
Bhi Maar Daaalte Hain Un Ko Dukh Dene Wale Azaab Ki Khushkhabri Suna Do.
22
Yeh Aise Loug Hain Jin Ke Aamaal Dunia Aur
Aakhrat Dono Main Barbaad Hain Aur Un Ka Koi Madadgaar(Helper) Nahi Hoga.
23
Bhala Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jin Ko
Kitaab-E-Khuda Yaani Touraat Se Behra Dia Gaya Aur Woh Is Kitaab Allah Ki Taraf
Bulaaye Jate Hain Taa-Ake Woh Un Ke Tanazaat Ka Un Main Faisla Kar De Toh Aik
Fareek Un Main Se Kajj Adaayee Ke Sath Moon Phair Leta Hai.
24
Yeh Is Liye Ke Yeh Is Baat Ke Qaail
(Believe)Hain Ke Dozakh Ki Aag Hamain Chand Roz Ke Siwa Choo Hi Nahi Sake
Gi Aur Joh Kuch Yeh Deen Ke Bare Main
Bohtaan Baandhte Rahe Hain Us Ne In Ko Dhoke Main Daal Rakha Hai.
25
Toh Us Waqt Kia Haal Hoga Jab Ham Un Ko Jama
Karen Ge Yaani Us Roz(Qiamat Ke Din) Jis Ke Aane Main Kuch Bhi Shak Nahi Aur
Har Nafs Apne Aamaal Ka Poora Pora Badla Paye Ga Aur Un Par Zulm Nahi Kia Jaye
Ga.
26
Kaho Ke Ae Khuda Ae Baadshahi Ke Malik Tu Jis
Ko Chahe Baadshaahi Bakhshe Aur Jis Se Chaahe Baadshahi Cheen Le Aur Jis Ko
Chaahe Izzat De Aur Jise Chahe Zaleel Kare, Har Tarha Ki Bhalayee Tere Hi Hath
Hai Aur Be Shak Tu Har Cheez Par Qaadir Hai.
27
Tu Hi
Raat Ko Din Main Daakhil Karta Aur Tu Hi Din Ko Raat Main Daakhil Karta
Hai Tu Hi Be Jaan Se Jaandaar Paida
Karta Hai Aur Tu Hi Jaandaar Se Be Jaan Paida Karta Hai Aur Tu Hi Jis Ko Chahata Hai Be Shumaar Rizq Bakhashta Hai.
28
Momino Ko Chahiye Ke Momino Ke Siwa Kaafron Ko
Dost Na Banaye Aur Joh Aisa Kare Ga Us Se Khuda Ka Kuch Ehed Nahi Haan Agar Us
Tareeq Se Tum Un Ke Shar Se Bachne Ki Soorat Paida Karo Toh Muzaaiqa Nahi Aur
Khuda Tum Ko Apne Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Hi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar
Jana Hai.
29
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Koi Baat Tum
Apne Diloun Main Makhfi(Hidden) Rakho Ya Usse Zaahir Karo Khuda Us Ko Jaanta
Hai Aur Joh Kuch Aasmaano Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Us Ko Sab Ki Khabar
Hai Aur Woh Har Cheez Par Qaadir Hai.
30
Jis Din Har Shakhs Apne Aamaal Ki Naiki Ko
Mojood Paa Le Ga Aur Un Ki Barayee Ko Bhi Daikh Le Ga Toh Aarzoo Kare Ga Ke Ae
Kaash Is Ain Aur Us Buraiee Main Door Ki Musafat Ho Jati Aur Khuda Tum Ko Apne
Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Apne Bandon Par Nihayat Meherbaan Hai.
31
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Agar Tum
Khuda Ko Dost Rakhte Ho Toh Meri Pairvi Karo Khuda Bhi Tumhain Dost Rakhe Ga
Aur Tumhare Gunnah Moaaf Kar De Ga Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
32
Keh Do Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ka Hukum
Maano Agar Na Maanain Toh Khuda Bhi Kaafiron Ko Dost Nahi Rakhta.
33
Khuda Ne Adam Aur Nooh Aur Khaandan-E-Ibraheem
Aur Khaandaan-E-Imraan Ko Tamaam Jahan Ke Lougon Main Muntakhib(Select) Farmaya
Tha.
34
Un Main Se Baaz Baaz Ki Aulaad The Aur Khuda
Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
35
Woh Waqt Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Imraan Ki Bivi Ne
Kaha Ke Ae Parwardigaar Joh Bacha Mere Pait Main Hai Main Us Ko Teri Nazar
Karti Hon Usse Dunia Ke Kamon Se Azaad Rakhoongi Tu Usse Meri Taraf Se Qabool Farma Tu
Toh Sunn-Ne Wala Aur Jann-Ne Wala Hai.
36
Jab Un Ke Haan Bacha Paida Hua Aur Joh Kuch Un
Ke Haan Paida Hua Tha Khuda Ko Khoob Maloom Tha, Toh Kehne Lageen Ke
Parwardigaar! Mere Toh Larki Hui Hai Aur Nazar Ke Liye Larka Mozoon(Suitable)
Tha Ke Woh Larki Ki Tarha Natawaa Nahi Hota Aur Main Ne Is Ka
Naam Maryam Rakha Hai Aur Main Is Ko Aur Is Ki Aulaad Ko Shaitaan Mardood Se
Teri Panaah Main Deti Hoon.
37
Toh Parwardigaar Ne Us Ko Pasandeedgi Ke Sath
Qabool Farmaya Aur Usse Achi Tarha Parwarish Kia Aur Zakaria Ko Us Ka Mutkafil
Banaya Zakria Jab Kabhi Ibadat Gaah Main
Us Ke Paas Jaate Toh Us Ke Paas Khana Paate Yeh Kaifiyat Daikh Kar Aik Din
Maryam Se Poochne Lage Ke Maryam Yeh Khaana Tumhare Paas Kahan Se Aata Haii Woh
Boleen Khuda Ke Haan Se Aata Ahi Beshak Khuda Jisse Chahata Hai Be Shumaar Rizq
Deta Hai.
38
Us Waqt Zakria Ne Apne Parwardigaar Se Dua Ki
Aur Kaha Ke Parwardigaar Mujhe Apni Janaab Se Aulad Saaleh Ata Farma Tu Be Shak
Dua Sunn-Nwwala Aur Qabool Karne Wala Hai.
39
Woh Abhi Ibadat Gaah Main Khare Namaaz Hi Parh
Rahe The Ke Farishtoun Ne Awaaz Di Ke Zakria Khuda Tumhain Yahiya Ke Basharat
Deta Hai Joh Khuda Ke Faiz Yaani Eesa Ki Tasdeeq Karain Ge Aur Sardaar Honge
Aur Aurton Se Raghbat Na Rakhne Wale Aur Khuda Ke Paigambar Yaani Naiko Kaaron
Main Honge.
40
Zakria Ne Kaha Ae Parwardigaar Mere Haan Larka
Kiyon Kar Paida Hoga Ke Main Toh Budha Ho Gaya Hoon Aur Meri Biwi Baanjh Hai
Khuda Ne Farmaya Isi Tarha Khuda Joh Chahata Hai Karta Hai.
41
Zakria Ne Kaha Ke Parwardigaar Mere Liye Koi
Nishaani Muqarrar Farma Khuda Ne Farmaya Nishani Yeh Hai Ke Tum Lougon Se Teen
Din Ishaate Ke Siwa Baat Na Kar Sako Ge Toh In Din On Main Apne Parwardigaar Ki
Kasrat Se Yaad Aur Subh-O-Sham Us Ki Tasbeeh Karna.
42
Aur Jab Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam!
Khuda Ne Tum Ko Barguzeeda Kia Hai Aur Paak Banaya Hai Aur Jahaan Ki Aurton
Main Muntakhib(Select) Kia Hia.
43
Maryam! Apne Parwardigar Ki Farmanbardari
Karna Aur Sajda Karna Aur Rukoo Karne Walon Ke Sath Rukoo Karna.
44
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Baatain Akhbaar-E-Gaib
Main Se Hain Joh Ham Tumhare Pas Bhaijte Hain Aur Jab Woh Loug Apne Qalam
Bator-E-Quraa Daal Rahe The, Ke Maryam Ka Mutkafill Koun Bane Toh Tum Un Ke
Paas Nahi The Aur Na Us Waqt Hi Un Ke Paas The Jab Woh Apas Main Jhagar Rahe
The.
45
Woh Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab
Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam Khuda Tum Ko Apni Taraf Se Aik Faiz Ki
Bisharat Deta Hai Jis Ka Naam Maseeh Aur Mashoor Eesaa Ibn-E-Maryam Hoga Aur Joh Dunia Aur Aakhrat
Main Ba Aabroo(Respectable) Aur Khuda Ke Khaason(Special) Main Se Hoga.
46
Aur Maan Ki Goud (Lap) Main Aur Bari Umar Ka Ho Kar Dono Halaton Main Lougon Se Yaksaan Guftugo
Kare Ga Aur Naiko Kaaron Main Hoga.
47
Maryam Ne Kaha Parwardigaar Mere Haan Bacha
Kiyonkar Hoga Ke Kisi Insaan Ne Mujhe Hath Tak Na Lagaya Nahi, Farmaya Ke Khuda
Issi Tarha Joh Chahata Hai Paida Karta Hai, Jab Woh Koi Kaam Karna Chahat Hai
Toh Irshaad Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Woh Ho Jata Hai.
48
Aur Woh Unhain Likhna Parhna Aur Danaayee Aur
Touraat Aur Injeel Sikhaye Ga.
49
Aur Eesaa Bani Israeel Ki Taraf Paigambar Ho
Kar Jaayen Ge Aur Kahain Ge Ke Main Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf
Se Nishani Le Kar Aaya Hoon , Woh Yeh Ke Tumhare Saamne Matti(Mud) Ki Moorat Bashakal Parinda Banata Hoon Phir Us
Main Phoonk Marta Hoon, Toh Woh Khuda Ke Hukum Se Sach Much Janwar Ho Jata Hai
Aur Andhe Aur Abras Ko Tandurust Kar Deta Hoon Aur Khuda Ke Hukum Se Murde Main
Jaan Daal Deta Hoon Aur Joh Kuch Tum Kha Kar Aate Ho Aur Joh Apne Gharon Main
Jama Kar Rakhte Ho Sab Tum Ko Bata Deta Hon Agar Tum Saahib-E-Eemaan Ho Toh In
Baton Main Tumhare Liye Qudrat-E-Khuda Ki Nishani Hai.
50
Aur Mujhe Se Pehle Joh Touraat Nazil Hui Thi
Us Ki Tasdeeq Bhi Karta Hon Aur Main Is Liye Bhi Aaya Hon Ke Baaz Cheezain Joh
Tum Par Haraam Theen Un Ko Tumhare Liye Halaal Kar Doon Aur Main Toh Tumhare
Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon Toh Khuda Se Daro Aur Mera
Kaha Mano.
51
Kuch Shak Nahi Ke Khuda Hi Mera Aur Tumhara
Parwardigaar Hai, Toh Usi Ki Ibadat Karo Yeh Hi Seedha Rasta Hai.
52
Jab Eesa Ne Un Ki Taraf Se Nafarmani Aur
Niyat-E-Qatal Daikhi Toh Kehne Lage Ke Koi Hai Joh Khuda Ka Taraf Daaar Aur
Mera Madadgaar Ho, Hawaari Bole Ke Ham Khuda Ke Tarf Daar Aur Aap Ke Madadgaar
Hain, Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Ap Gawah Rahain Ke Ham Farmanbardaar Hain.
53
Ae Parwardigaar Joh Kitaab Tu Ne Nazil
Farmayee Hai Ham Us Par Eemaan Le Aye Aur Tere Paigambar Ke Mutbaa(Obedient) Ho
Chuke Tu Ham Ko Maan-Ne Waloun Main Likh Rakh.
54
Aur Woh Yaani Yahood Qatal-E-Eesa Ke Bare Main
Aik Chaal Chale Aur Khuda Bhi Eesa Ko Bachane Ke Liye Chaal Chala Aur Khuda
Koob Chaal Chalne Wala Hai.
55
Us Waqt Khuda Ne Farmaya Ke Eesaa! Main
Tumhari Dunia Main Rehne Ki Muddat(Time)Poori Kar Ke Tum Ko Apni Taraf Utha
Loon Ga Aur Tumhain Kafiron Ki Sohbat Se Paak Kar Doon Ga Aur Joh Loug Tumhari
Pairwi(Follow) Karen Ge Un Ko Kaafiron Par Qiamat Tak Faiq-O-Gaalib Rakhoon Ga
Phir Tum Sab Mere Paas Lout Kar Aao Ge Toh Jin Baton Main Tum Ikhtilaaf Karte
The Us Din Tum Main Un Ka Faisla Kar
Doonga.
56
Yaani Joh
Kafir Hue
Un Ko Dunia Aur Aakhrat Dono Main Sakht Azaab Doonga Aur Un Ka Koi Madadgaar Na
Hoga.
57
Aur Joh Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe
Un Ko Khuda Poora Poora Sila De Ga Aur Khuda Zalimon Ko Dost Nahi Rakhta.
58
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Ham Tum Ko Khuda Ki
Aayatain Aur Hikmat Bhari Nasehatain Parh Parh Kar Sunate Hain.
59
Eesa Ka Haal Khuda Ke Nazdeek Adam Ka Sa Hai
Ke Us Ne Pehle Matti(Mud) Se Un Ka Qaalib(Heart) Banaya Phir Farmaya Ke Insaan Ho Ja, Toh Woh Insaan Ho Gaye.
60
Yeh
Baat Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Tum Har Gizz Shak
Karne Walon Main Na Hona.
61
Phir Agar Yeh Loug Eesa Ke Baare Main Tum Se
Jhagra Karen Aur Tum Ko Haqeeqat-Ul-Haal Toh Maloom Ho Hi Chali Hai Toh Un Se
Kehna Ke Aao Ham Apne Baiton Aur Aurton Ko Bulaayen Aur Tum Apne Baiton Aur
Aruton Ko Bulaao Aur Ham Khud Bhi Aayen Aur Tum Khud Bhi Aao Phir Dono Fareeq
Khuda Se Dua-O-Iltija Karen Aur Jhooton(Liar) Par Khuda Ki Laanat Bhaijen.
62
Yeh Tamaam Bayanaat Sahee(True) Hain Aur Khuda
Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Beshak Khuda Gaalib Aur Sahib-E-Hikmat Hai.
63
Toh Agar Yeh Loug Phir Jaayen Toh Khuda Mufsidoun
Ko Khoob Jaanta Hai.
64
Keh Do Ke Ae Ahl-E-Kitaab Joh Baat Hamare Aur
Tumhare Dono Ke Darmiyaan Yaksaan(Same)
Tasleem(Accepted) Ki Gai Hai Us Ki Taaraf Aao, Woh Yeh Ke Khuda Ke Siwa
Ham Kisi Ki Ibadat Na Karen Aur Us Ke Sath Kisi Cheez Ko Shareek Na Banayen Aur
Ham Main Koi Kisi Ko Khuda Ke Siwa Apna Kaar Saaz Na Samjhe, Agar Yeh Loug Is
Baat Ko Na Maane Toh Un Se Keh Do Ke Tum Gawah Raho Ke Ham Khuda Ke Farma
Bardaar Hain.
65
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Ibraaheem Ke Bare Main
Kion Jhagarte Ho Halaanke Touraat Aur Injeel Un Ke Baad Utri Hain Aur Woh Pehle
Ho Chuke, Toh Kia Tum Aqal Nahi Rakhte.
66
Daikho Aisi Baat Main Toh Tum Ne Jhagra Kia Hi
Tha Jis Ka Tumhain Kuch Ilm Tha Bhi, Magar Aisi Baat Main Kion Jhagarte Ho Jis
Ka Tumhain Kuch Bhi Ilm Nahi, Aur Khuda Janta Hai Aur Tum Nahi Jaante.
67
Ibrahim Na Toh Yahoodi The Aur Na Eesaaye
Balke Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe The, Aur Usi Ke Farmabardaar
The Aur Mushrikon Main Na The.
68
Ibrahim Se Qurb Rakhne Wale Toh Woh Loug Hain
Joh Un Ki Pairwi Karte Hain, Aur Yeh Paigambar Aakhir-Uz-Zamaan(Last Messenger)
Aur Woh Loug Joh Eemaan Laye Hain, Aur Khuda Mominon Ka Kaarsaaz Hai.
69
Ae Ehl-E-Islaam Baaz Ehl-E-Kitaab Is Baat Ki
Khuahish Rakhte Hain Ke Tum Ko Gumrah Kar Dain Magar Yeh Tum Ko Kia Gumrah
Karen Ge Apne Aap Ko Hi Gumrah Kar Rahe Hain, Aur Nahi Jaante.
70
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Khuda Ki Aayaton Se Kion
Inkaar Karte Ho Aur Tum Touraat Ko Maante Toh Ho.
71
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Sach Ko Jhoot Ke Sath
Ghalalt Malt Kion Karte Ho Aur Haq Ko Kion Chupate Ho Aur Tum Jaante Bhi Ho.
72
Aur Ehl-E-Kitaab Ap Ik Doosre Se Kehte Hain Ke
Joh Kitaab Mominon Par Naazil Hui Hai, Us Par Din Ke Shroo Main Toh Eemaan Le
Aaya Karo Aur Us Ke Aakhir Main Inkaar Kar Dia Karo, Taa-Ake Woh Islam Se
Bargashta(Gaafil)Ho Jayen.
73
Aur Apne Deen Ke Pairo Kaar Ke Siwa Kisi Aur
Ke Qaail Na Hona, Ae Paigambar Keh Do, Ke Hidayat Toh Khuda Hi Ki Hidayat Hai
Woh Yeh Bhi Kehte Hain, Yeh Bhi Na Maan-Na Ke Joh Cheez Tum Ko Mili Hai Waisi
Kisi Aur Ko Mile Gi, Ya Woh Tumhain Khuda Ke Ru Baro Qaail Maqool Kar Sakain
Ge, Yeh Bhi Keh Do Ke Buzurgi Khuda Hi Ke Hath Main Hai Who Jisse Chahata Hai
Deta Hai, Aur Khuda Kushaaish Wala Aur Ilm Wala Hai.
74
Woh Apni Rehmat Se Jis Ko Chahata Hai Khaas
Kar Leta Hai Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.
75
Aur Ehl-E-Kitaab Main Se Koi Toh Aisa Hai Ke,
Agar Tum Us Ke Paas Rupee(Rs.) Ka Dhair Amanat Rakh Do, Toh Tum Ko Foran Wapas
De De, Aur Koi Is Tarha Ka Hai Ke Agar Us Ke Paas Aik Deenaar Bhi Amanat Rakho,
Toh Jab Tak Us Ke Sar Par Har Waqt Khare Na Raho Tumhain De Hi Nahi, Yeh Is
Liye Ke Woh Kehte Hain Ke Ummiyo Ke Bare
Main Ham Se Mawakhaza Nahi Hoga Yeh Khuda Par Mehez Jhoot Bolte Hain Aur Is
Baat Ko Jaante Bhi Hain.
76
Haan Joh Shakhs Apne Iqraar Ko Poora Kare Aur
Khud Se Dare Toh Khuda Darne Walon Ko Dost Rakhta Hai.
77
Joh Loug Khuda Ke Iqraaron Aur Apni Qasmon Ko
Baich Daalte Hain Aur Un Ke Iwz(Inreturn) Thori Si Qeemat Hasil Karte Hain, Un
Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi Un Se Khuda Na Toh Kalaam Kare Ga Aur Na Qiamat
Ke Roz Un Ki Taraf Daikhe Ga Aur Na Un Ko Paak Kare Ga Aur Un Ko Dukh Dene Wala
Azaab Hoga.
78
Aur Un Ehl-E-Kitaab Main Baaz Aise Hain, Ke
Kitaab-E-Touraat Ko Zabaan Maror Maror Kar Parhte Hain Taa-Ake Tum Samjho Ke
Joh Kuch Woh Parhte Hain Kitaab Main Se Hai, Halaanke Woh Kitaab Main Se Nahi
Hota Aur Kehte Hain Ke Woh Khuda Ki Taraf Se Naazil Hua Hai, Halaanke Woh Khuda
Ki Taraf Se Nahi Hota, Aur Khuda Par Jhoot Bolte Hain Aur Yeh Baat Jaante Bhi
Hain.
79
Kisi Aadmi Ko Shaayan(Suitable) Nahi Ke Khuda
Toh Use Kitaab Aur Hukumat Aur Nabuwat Ata Farmaye, Aur Woh Lougon Se Kahe Ke
Khuda Ko Chor Kar Mere Bande Ho Jao, Balke Us Ko Yeh Kehna Sazawaar Hai, Ke Ae
Ehl-E-Kitaab Tum Ullmaa-E-Rabbani Ho Jao Kion Ke Tum Kitaab-E-Khuda Parhte
Parhate Rehte Ho.
80
Aur Us Ko Yeh Bhi Nahi Kehna Chahiye Ke Tum
Farishtoun(Angels) Aur Paigambaron(Messengers)
Ko Khuda Bana Lo Bhala Jab Tum Muslamaan Ho Chuke, Toh Kia Use
Zaiba(Suitable) Hai Ke Tumhain Kaafir
Hone Ko Kahe.
81
Aur Jab Khuda Ne Paigambaron Se Ehed(Promise) Lia Ke Jab Main Tum Ko
Kitaab Aur Daanayee Ata Karoon, Phir Tumhare Paas Koi Paigambar Aaye Joh
Tumharei Kitaab Ki Tasdeeq Kare, Toh Tumhain Zaroor Us Par Eemaan Lana Hoga Aur
Zaroor Us Ki Madad(Help) Karni Hogi, Aur Ehed(Promise) Lene Ke Baad Poocha Ke Bhala Tum Ne Iqraar Kia,
Aur Us Iqraar Par Mera Zimma(Responcibility) Liya? Yaani Mujhe Zaamin (Witness)
Tehraya, Unhon Ne Kaha Haan Ham Ne Iqraar Kia Khuda Ne Farmaya Ke Tum Is Ehd-O-Paimaan Ke Gawah Raho Aur
Main Bhi Tumhare Sath Gawah Hoon.
82
Toh Joh Us Ke Baad Phir Jaayen, Woh Badkirdaar
(Bad Character) Hain.
83
Kia Yeh Kaafir Khuda Ke Deen Ke Siwa Kisi Aur Deen Ke Taalib Hain, Halaanke Sab
Ehl-E-Aasmaan-O-Zameen Khushi Ya Zabardasti Se Khuda Ke Farmaan Bardaar Hain
Aur Usi Ki Taraf Lout Kar Jane Wale Hain.
84
Kaho Ke Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Joh
Kitaab Ham Par Naazil Hui Aur Joh Saheefe Ibrahim Aur Ismail Aur Ishaaq Aur
Yaqoob Aur Un Ki Aulad Par Utre Aur Jooh Kitaabain Moosa Aur Eesa Aur Doosre
Ambia Ko Parwardigaar Ki Taraf Se Milee Sab Par Eemaan Laye Ham Un Paigambaron
Main Se Kisi Main Kuch Farq Nahi Karte Aur Ham Usi Khudaa-E-Wahid Ke
Farmabardaar Hain.
85
Aur Joh Shakhs Islam Ke Siwa Kisi Aur Deen Ka
Talib Hoga, Woh Us Se Har Gizz Qubool Nahi Kia Jaye Ga, Aur Aisa Shakhs Aakhrat
Main Nuqsaan Uthane Waloun Main Hoga.
86
Khuda Aise Lougon Ko Kiyon Kar Hidayat De Joh
Eemaan Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye Aur Pehle Is Baat Ki Gawahi De Chuke, Ke
Yeh Paigambar Barhaq Hai Aur Un Ke Paas Dalaail Bhi Aa Gaye, Aur Khuda Be
Insaafon Ko Hidayat Nahi Deta.
87
Un Lougon Ki Saza Yeh Hai Ke Un Par Khuda Ki,
Aur Farishton Ki, Aur Insaanon Ki, Sab Ki Laanat Ho.
88
Hamesha Is Laanat Main Giriftaar Rahain Ge, Un
Se Na Toh Azaab Halka Kia Jaye
Ga , Aur Na Unhain Mohlat Di Jaye
Gi.
89
Haan, Jinhon Ne Us Ke Baad Touba Ki Aur Api
Halat Durust Kar Li Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
90
Joh Loug Eeman Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye
Phir Kufur Main Barhte Gaye, Aison Ki Touba Har Gizz Qabool Nahi Hogi Aur Yeh
Loug Gumrah Hain.
91
Joh Loug Kaafir Hue, Aur Kufur Hi Ki Halat
Main Mar Gaye, Woh Agar Nijaat Hasil Karni Chahain, Aur Badle Main Zameen Bhar
Kar Sona Dain, Toh Hargizz Qabool Na Kia Jaye Ga, Un Lougon Ko Dukh Dene Wala
Azaab Hoga Aur Un Ki Koi Madad Nahi Kare Ga.
92
Momino! Jab Tak Tum Un Cheezon Main Se, Joh
Tumhain Azeez Hain, Raah-E-Khuda Main Sarf Na Karo Ge Kabhi Naiki Hasil Na Kar
Sako Ge Aur Joh Cheez Tum Sarf Karo Ge Khuda Us Ko Jaanta Hai.
93
Bani Israail Ke Liye Touraat Ke Nazil Hone Se
Pehle, Khaane Ki Tamaam Cheezain Halaal Theen, Bajuz Un Ke Joh Yaqoob Ne Khud
Apne Oopar Haraam Kar Li Theen, Keh Do Ke Agar Sache Ho Toh Touraat Laao Aur
Use Parho Yaani Daleel Paish Karo.
94
Joh Is Ke Baad Bhi Khuda Par Jhoote Iftara
Karen, Toh Aise Loug Hi Be Insaaf Hain.
95
Keh Do Ke Khuda Ne Sach Farma Dia Pas
Deen-E-Ibrahim Ki Pairwi Karo Joh Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe
The Aur Mushrikon Se Na The.
96
Pehla Ghar, Joh Lougon Ke Ibadat Karne Ke Liye
Muqarar Kia Gaya
Tha Woh Hi Hai Joh Makke Main Hai, Babarkat Aur Jahaan Ke Liy Moojib-E-Hidayat.(Way Of Hidayat)
97
Is Main Khuli Hui Nishaniyan Hain, Jin Main Se
Aik Ibrahim Ke Khare Hone Ki Jagha Hai Joh Shakhs Is Mubarak Ghar Main Daakhil
Hua Us Ne Aman Paa Liya, Aur Lougon Par Khuda Ka Haq Yaani Farz Hai Ke Joh Us
Ghar Tak Jaane Ka Maqdoor Rakhe Woh Is Ka Haj Kare Aur Joh Is Hukum Ki Taamaeel
Na Kare Ga, Toh Khuda Bhi Ehl-E-Alam Se Be Niyaaz Hai.
98
Kaho! Ke Ae Ehl-E-Kitaab! Tum Khuda Ki Aayaton
Se Kion Kufur Karte Ho, Aur Khuda Tumhare Sab Amaal Se Ba Khabar Hai.
99
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab Tum Mominon Ko Khuda
Ke Rashte Se Kiyon Rokte Ho, Aur Bawajood Yeh Ke, Tum Is Se Waaqif Ho, Is Main
Kajji(Fault) Nikalte Ho Aur Khuda Tumhare Kaamon Se Be Khabar Nahi.
100
Momino! Agar Tum Ehl-E-Kitaab Ke Kisi Bhi
Fareeq (Member) Ka Kaha Maan Lo Ge, Toh Woh Tumhain Eemaan Lane Ke Baad Kaafir
Bana Dain Ge.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!