Soorah
Ash-Shuara
Aayaat-227
Shroo
Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Tuaa Seen
Meem
2
Ye Kitaab-E-Roshan
Ki Aayatain Hain.
3
Ae Paigambar
S.A.W. Shayad Tum Is Ranj Se, Ke Ye Loug Eemaan Nahi Laate Apne Taiyee Halaak
Kar Do Ge.
4
Agar Ham
Chahain Toh In Par Aasmaan Se Nishaani Utaar Dain. Phir In Ki Gardanain Us Ke
Aage Jhuk Jaayen.
5
Aur Un
Ke Paas Khuda-E-Rehmaan Ki Taraf Se, Koi
Nai Naseehat Nahi Aati Magar Us Se Moonh Phair Lete Hain.
6
So Ye
Toh Jhutla Chuke Ab Un Ko Is Cheez Ki Haqeeqat Maloom Ho Gi Jis Ki Hansi Uraate
The.
7
Kia Unhoun
Ne Zameen Ki Taraf Nahi Daikha Ke Ham Ne Is Main Har Qisaam Ki Kitni Nafees
Cheezain Ugaai Hain.
8
Kuch Shak
Nahi Ke Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Nishaani Hai Magar Ye Aksar Eemaan Laane Wale
Nahi Hain.
9
Aur Tumhara
Parwardigar Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
10
Aur Jab
Tumhare Parwardigaar Ne Moosa Ko Pukara Ke Zalim Lougon Ke Paas Jao.
11
Yaani Qoum-E-Firown
Ke Paas, Kia Ye Darte Nahi.
12
Unhoun Ne
Kaha Ke Mere Parwaridgaar Main Darta Hoon, Ke Ye Mujhe Jhoota Samjhain.
13
.Aur Mera Dil Tang Hota Hai Aur Meri Zabaan Rukti Hai,
Tu Haroon Ko Hukum Bhaij Ke Mere Sath Chalain
14
Aur Un
Lougon Ka Mujh Par Aik Gunnah Yaani Qibti Ke Khoon Ka Daawa Bhi Hai, So Mujhe
Ye Bhi Dar Hai Ke Mujh Ko Maar Hi Daalain.
15
Farmaya Har
Gizz Nahi.Tum Dono Hamari Nishaaniyan Le Kar Jaao, Ham Tumahre Sath Sunn-Ne
Wale Hain.
16
Toh Dono
Firown Ke Paas Jaao Aur Kaho Ke Ham Tamaam Jahaan Ke Malik Ke Bhaije Hue Hain.
17
Aur Is
Liye Aaye Hain Ke Ap Bani Israail Ko Hamare Sath Jane Ki Ijazat Dain.
18
Firown Ne
Moosa Se Kaha, Kia Ham Ne Tum Ko, Ke Abhi Bache The, Parwarish Nahi Kia Aur Tum
Ne Barsoun Hamare Haan Umar Basar Nahi Ki.
19
Aur Tum
Ne Aik Aur Kaam Kia Tha, Joh Kia Tum Na Shukre Maloom Hote Ho.
20
Moosa Ne
Kaha Ke Haan Wo Harkat Mujh Se Nagahaan Sar Zad Hui Thi Aur Main Khata Kaaroun
Main Tha.
21
Toh Jab
Mujhe Tum Se Dar Laga Toh Tum Main Se Bhaag Gaya. Phir Khuda Ne Mujh Ko
Naboowat-O-Ilm Bakhsha Aur Mujhe Paigambaroun Main Se Kia.
22
Aur Kai
Ye Hi Ehsaan Hai Joh Aap Mujh Par Rakhte Hain, Ke Aap Ne Bani Israail Ko Gulaam
Bana Rakha Hai.
23
Firown Ne
Kaha Ke Tamaan Jahan Ka Malik Kia.
24
Kaha Ke
Aasmaanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ka Malik , Bashart Ye
Ke Tum Lougon Ko Yaqeen Ho.
25
Firown Ne
Apne Aahaali Mawaali Se Kaha Ke Kia Tum Sunte Nahi.
26
Moosa Ne
Kaha Ke Tumhara Aur Tumhare Pehle Baap Daada Ka Malik.
27
Firown Ne
Kaha, Ke Ye Paigambar Joh Tumhari Taraf Bhaija Gaya Hai Baawla Hai.
28
Moosa A.S.
Ne Kaha Ke Mashriq Aur Magrib Aur Joh Kuch In Dono Main Hai, Sab Ka Malik,
Bashart Ye Ke Tum Ko Samajh Ho.
29
Firown Ne
Kaha Ke Agar Tum Ne Mere Siwa Kisi Aur Ko Maabood Banaya Toh Main Tumhain Qaid
Kar Doonga.
30
Moosa Ne
Keha Khuah Main Aap Ke Paas, Roshan Cheez Laaon Yaani Mojza.
31
Firown Ne
Kaha Agar Sacche Ho Toh Usse Laao Dikhaao.
32
Pas Unhoun
Ne Apni Laathi Daal Di Toh Wo Ussi Waqt Sarhee Azdaha Ban Gai.
33
Aur Apna
Hath Joh Nikala Toh Ussi Dam Daikhne Waloun Ke Liye Safaid Burraq Nazar Aane
Laga.
34
Firown Ne
Apne Gird Ke Sardaaroun Se Kaha Ke Ye Toh Kamil-E-Fan Jadugar Hai.
35
Chahata Hai
Ke Tum Ko Apne Jaadu Ke Zor Se Tumhare Mulk Se Nikaal De, Toh Tumhari Kia Raaye
Hai?
36
Unhoun Ne
Kaha Ke Usse Aur Us Ke Bhai Ke Bare Main Kuch Tawaquff Kijiye Aur Shehroun Main
Naqeeb Bhaij Dijiye.
37
Ke Sab
Maahir Jaadugaroun Ko Jama Kar Ke Aap Ke Paas Le Aayen.
38
Toh Jaadugar
Aik Muqarrarah Din Ki Miyaad Par Jamah Ho Gaye.
39
Aur Lougon
Se Keh Dia Gaya Ke Tum Sab Ko Ikhatte Ho Jana Chahyiye.
40
Taa-Ake
Agar Jadugar Gaalib Rahian Toh Ham Un Ke Pairo Ho Jaayen.
41
Jab Jadugar
Aagaye Toh Firown Se Kehne Lage Ke Agar Ham Galib Rahe Toh Hamain Sila Bhi Ata
Hoga?
42
Firown Ne
Kaha, Haan Aur Tum Maqraboun Main Bhi Daakhil Kar Liye Jao Ge.
43
Moosa Ne
Un Se Kaha Ke Joh Cheez Daalni Chahate Ho Daalo.
44
Toh Unhoun
Ne Apni Rassiyan Aur Laathiyan Daali Aur Kehne Lage Ke Firown Ke Iqbaal Ki
Qasam Ham Zaroor Ghaalib Rahainge.
45
Phir Moosa
Ne Apni Laathi Daali, Toh Wo In Cheezoun Ko Joh Jaadoogaroun Ne Banayee Theen
Nigalne Lagi.
46
Tab Jadugar
Sajde Main Girr Pare.
47
Aur Kehne
Lage Ke Ham Tamaam Jahaan Ke Malik Par Eemaan Laaye.
48
Joh Moosa
Aur Haroon Ka Malik Hai.
49
Firown Ne
Kaha, Kia Is Se Pehle Ke Main Tum Ko Ijazat Doon, Tum Us Par Eemaan Le Aaye, Be
Shak Ye Tumhara Bara Hai Jis Ne Tumko Jaadu Sikhaya Hai. So Anqareeb Tum Is Ka
Anjaam Maloom Kar Lo Ge Ke Main Tumhare Hath Aur Paaon Itaaf Mukhlif Se Kaat
Doonga Aur Tum Sab Ko Sooli Par Charhwa Doonga.
50
Unhoun Ne
Kaha, Ke Kuch Nuqsaan Ki Baat Nahi Ham
Apne Parwardigar Ki Taraf Lout Jaane Wale Hain.
51
Hamain Umeed
Hai Ke Hamara Parwardigar Hamare Gunnah Bakhsh De Ga. Is Liye Ke Ham Awwal
Eemaan Laane Waloun Main Hain.
52
Aur Ham
Ne Moosa Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Hamare Bandoun Ko Raat Ko Le Niklo, Ke Firowniyoun
Ki Taraf Se Tumahara Taaquubb Kia Jaye Ga.
53
Toh Firown
Ne Shehroun Main Naqeeb Rawana Kiye.
54
Aur Kaha
Ke Ye Loug Thori Si Jamaat Hain.
55
Aur Ye
Hamain Gussa Dila Rahe Hain.
56
Aur Ham
Sab Baa Saaz-O-Samaan Hain.
57
Toh Ham
Ne In Ko Baaghoun Aur Chashmoun Se Nikaal Dia .
58
Aur Khazaanoun
Aur Nafees Makanaat Se.
59
Un Ke
Sath Ham Ne Is Tarha Kia Aur Un Cheezoun Ka Waris Bani Israail Ko Kar Dia.
60
Toh Unhoun
Ne Sooraj Nikalte Yaani Subha Ko Un Ka Taaqubb Kia.
61
Jab Dono
Jamaatain Aamne Saame Hui Toh Moosa Ke Sath Kehne Lage Ke Ham Toh Pakar Liye
Gaye.
62
Moosa Ne
Kaha Har Gizz Nahi Mera Parwardigar Mere Sath Hai Wo Mujhe Rasta Bataye Ga.
63
Us Waqt
Ham Ne Moosa Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Apni Laathi Darya Par Maaro. Toh Darya
Phat Gaya. Aur Har Aik Tukra Youn Ho Gaya Ke Goya Bara Pahaar Hai.
64
Aur Doosron
Ko Wahan Ham Ne Qareeb Kar Dia.
65
Aur Mosa
Aur Un Ke Sath Waloun Ko Toh Bahca Liya.
66
Phir Doosroun
Ko Dibo Dia.
67
Be Shak
Is Qisse Main Nishani Hai. Lekin Ye Aksar Eemaan Laane Wale Nahi.
68
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
69
Aur Un
Ko Ibrahim A.S. Ka Haal Parh Kar Suna Do.
70
Jab Unhoun
Ne Apne Baap Aur Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha Ke Tum Kis Cheez Ko Poojte Ho.
71
Wo Kehne
Lage Ke Ham Buttoun Ko Poojte Hain Aur Un Ki Pooja Par Qaaim Hain.
72
Ibrahim A.S.
Ne Kaha Ke Jab Tum In Ko Pukaarte Ho Toh Kia Wo Tumhari Awaaz Sunte Hain?
73
Ya Tumhain
Kuch Faaide De Sakte Ya Nuqsaan Pohoncha Sakte Hain?
74
Unhoun Ne
Kaha Nahi Balke Ham Ne Apne Baap Dada Ko Issi Tarha Karte Daikha Hai.
75
Ibrahim A.S.
Ne Kaha Kia Tum Ne Daikha Hai Ke Jin Ko Tum Poojte Rahe Ho.
76
Tum Bhi
Aur Tumhare Agle Baap Dada Bhi.
77
Wo Mere
Dushman Hain. Magar Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Mera Dost Hai.
78
Jis Ne
Mujhe Paida Kia Hai Aur Wo Hi Mujhe Raasta Dikhata Hai.
79
Aur Wo
Joh Mujhe Khilata Aur Pilata Hai.
80
Aur Jab
Main Bimaar Parta Hoon Toh Mujhe Shifa Bakhashta Hai.
81
Aur Wo
Joh Mujhe Maare Ga Aur Phir Zinda Kare Ga.
82
Aur Wo
Jis Se Main Umeed Rakhta Hoon Ke Qiamat Ke Din Mere Gunnah Bakhse Ga.
83
Ae Parwardigar
Mujhe Ilm-O-Daanish Ata Farma Aur Naiko Kaaroun Main Shamil Kar.
84
Aur Pichle
Lougno Main Mera Zikar-E-Naik Jari Kar.
85
Aur Mujhe
Naimat Ki Behshat Ke Warisoun Main Kar.
86
Aur Mere
Baap Ko Bakhash De Ke Wo Gumrahoun Main Se Hai.
87
Aur Jis
Din Loug Utha Khare Kiye Jaayen Ge Mujhe Ruswa Na Kijiyo.
88
Jis Din
Na Maal Hi Kuch Faaida De Sake Ga Aur Na Bete.
89
Haan Joh
Shakhs Khuda Ke Paas Paak Dil Le Kar Aaya Wo Bach Jaye Ga.
90
Aur Behshat
Parhaizgaaroun Ke Qareeb Kar Di Jaye Gi.
91
Aur Dozakh
Gumraahoun Ke Saamne Laaye Jaye Gi.
92
Aur Un
Se Kaha Jaye Ga Ke Jin Ko Tum Poojte The Wo
Kahan
Hain?
93
Yaani Jin
Ko Khuda Ke Siwa Poojte The, Kia Wo Tumhari Madad Kar Sakte Hain, Ya Khud Badla
Le Sakte Hain.
94
Toh Wo
Aur Gumrah Yaani Butt Aur Butt Parast Oundhe Moonh Dozakh Main Daal Diye Jaaye
Ge.
95
Aur Shaitaan
Ke Lashkar Sab Ke Sab Daakhil-E-Jahannum Hounge.
96
Wahan Wo
Apas Main Jhagrain Ge Aur Kahian Ge.
97
Ke Khuda
Ki Qasam Ham Toh Sareeh Gumrahi Main The.
98
Jab Ke
Tumhain Khuda-E-Rabb-Ul-Aalemeen Ke Barabar Thehrate The.
99
Aur Ham
Ko In Gunnehgaroun Hi Ne Gumraah Kia Tha.
100
Toh Aj
Koi Hamara Sifaarish Karne Wala Hai.
101
Aur Na
Garam Josh Dost.
102
Kaash Hamain
Dunia Main Phir Jana Ho, Toh Ham Mominoun Main Ho Jaayen.
103
Be Shak
Is Main Nishani Hai Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi.
104
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
105
Qoum-E-Nooh
A.S. Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.
106
Jab Un
Se Unke Bhai Nooh A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi.
107
Main Toh
Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.
108
Toh Khuda
Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
109
Aur Main
Is Kaam Ka Tum Se Sila Nahi Maangta. Mera Sila Toh Khuda-E-Rab-Ul-Aalmeen Hi Par
Hai.
110
Toh Khuda
Se Daro Aur Mere Kehne Par Chalo.
111
Wo Bole
Ke Kia Ham Tum Ko Maan Lain Aur Tumhare Pairo Toh Razeel Loug Hue Hain.
112
Nooh A.S.
Ne Kaha Ke Mujhe Kia Maloom Ke Wo Kia Karte Hain.
113
Un Ka
Hisaab-E-Aamaal Mere Parwardigar Ke Zimme Hai Kaash Tum Samjho.
114
Aur Main
Mominon Ko Nikaal Dene Wala Nahi Hoon.
115
Main Toh
Sirf Khol Khol Kar Naseehat Karne Wala Hoon.
116
Unhoun Ne
Kaha Ke Nooh Agar Tum Baaz Na Aao Ge Toh Sangsaar Kar Diye Jao Ge.
117
Nooh Ne
Kaha Ke Parwardigar Meri Qoum Ne Toh Mujhe Jhutla Dia.
118
Toh Tu Mere
Aur Un Ke Darmiyaan Aik Khula Faisla Kar De Aur Mujhe, Aur Joh Momin Mere Sath
Hain Un Ko Bacha Le.
119
Pas Ham
Ne Un Ko Aur Joh Un Ke Sath Bhari Hui Kashti Main Sawaar The,Un Ko Bacha Liya.
120
Phir Us
Ke Baad Baqi Lougon Ko Dibo Dia.
121
Be Shak
Is Main Nishaani Hai Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.
122
Aur Tumhara
Parwardigaar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
123
Aad Ne
Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.
124
Jab Un
Se Un Ke Bhai Hood Ne Kaha Kia Tum Darte Nahi.
125
Main Toh
Tumhara Amaant Daar Paighambar Hoon.
126
Toh Khuda
Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
127
Aur Main
Is Ka Tumse Kuch Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke
Zimme Hai.
128
Bhala Tum
Har Oonchi Jaga Par Abass Nishaan Taameer Karte Ho.
129
Aur Mehel
Banate Ho Shayad Tum Hamesha Raho Ge.
130
Aur Jab Kisi Ko Pakarte Ho Toh Zaalimaana Pakarte Ho.
131
Toh Khuda
Se Daro Aur Meri Itaa-At Karo.
132
Aur Us
Se, Jis Ne Tum Ko Un Cheezoun Se Madad Di, Jin Ko Tum Jaante Ho Daro.
133
Us Ne
Tumhian Chaar Paayoun Aur Baitoun Se Madad Di.
134
Aur Baaghoun
Aur Chashmoun Se .
135
Mujh Ko
Tumhare Baare Main Bare Sakht Din Ke Azaab Ka Khof Hai.
136
Wo Kehne
Lage Ke Hamain Khuah Naseehat Karo Ya Na Karo Hamare Liye Yaksaan Hai.
137
Ye Toh
Agloun Hi Ki Tareeqe Hain.
138
Aur Ham
Par Koi Azaab Nahi Aaye Ga.
139
Toh Unhoun
Ne Hood Ko Jhutlaya So Ham Ne Un Ko Halaak Kar Daala. Be Shak Is Main Nishaani
Hai. Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.
140
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
141
Aur Qoum-E-Samood
Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.
142
Jab Un
Se Un Ke Bhai Saaleh A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?
143
Main Toh
Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.
144
Toh Khuda
Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
145
Aur Main
Is Ka Tum Se Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.
146
Kia Joh
Cheezain Tumhain Yahan Moiyassar Hain Un Main Tum Be Khof Chor Diye Jaao Ge.
147
Yaani Baagh
Aur Chashme.
148
Aur Khaitiyaan
Aur Khajoorain, Jin Ke Khoshe
Lateef-O-Nazuk Hote Hain.
149
Aur Takkalluf
Se Paharoun Main Taraash Taraash Kar Ghar Banate Ho.
150
Toh Khuda
Se Daro Aur Mere Kehne Par Chalo.
151
Aur Had
Se Tajawuzz Karne Waloun Ki Baat Na Maano.
152
Joh Mulk
Main Fisaad Karte Hain Aur Islaah Nahi Karte.
153
Wo Kehne
Lage Ke Tum Toh Jadu Zada Ho.
154
Tum Aur
Kuch Nahi, Hamari Hi Tarha Ke Aadmi Ho. Agar Sache Ho Toh Koi Nishanai Paish
Karo.
155
Saaleh A.S.
Ne Kaha Daikho Ye Oontni Hai, Aik Din Is Ki Paani Peene Ki Baari Hai, Aur Aik
Moiyyan Roz(Fix Day) Tumhari Baari.
156
Aur Is
Ko Koi Takleef Na Dena Nahi Toh Tum Ko Sakht Azaab Aa Pakre Ga.
157
Toh Unhoun
Ne Us Ki Koonchain Kaat Daaleen Phir Naadim Hue.
158
So Un Ko
Azaab Ne Aa Pakra. Be Shak Is Main Nishanai Hai.Aur Un Main Aksar Eemaan Laane
Wale Nahi The.
159
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
160
Aur Qoum-E-Loot
Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.
161
Jab Un
Se Un Ke Bhai Loot A.S. Ne Kaha Ke Tum Kion Nahi Darte.
162
Main Toh
Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.
162
Toh Khuda
Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
164
Aur Main
Tum Se Is Kaam Ka Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke
Zimme Hai.
165
Kia Tum
Ehl-E-Aalam Main Se Larkoun Par Maail Hote Ho.
166
Aur Tumhare
Parwaridigaar Ne, Joh Tumhare Liye Tumhari Biwiyaan Paida Ki Hain, Un Ko Chor
Dete Ho .Haqeeqat Ye Hai Ke Tum Had Se Niakal Jaane Wale Loug Ho.
167
Wo Kehne
Lage Ke Loot Agar Tum Baaz Na Aao Ge Toh
Sheher Badar Kar Diye Jaao Ge.
168
Loot Ne
Kaha Ke Main Tumhare Kaam Se Sakht Baizaar Hoon.
169
Ae Mere
Parwardigar Mujh Ko Aur Mere Ghar Waloun Ko Un Ke Kaamoun Ke Wabaal Se Nijaat
De.
170
So Ham
Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Waaloun Ko Sab Ko Nijaat Di.
171
Magar Aik
Burhiya, Ke Peeche Reh Gai.
172
Phir Ham
Ne Auroun Ko Halaak Kar Dia.
173
Aur In
Par Meenh Barsaaya. So Joh Meenh(Rain) In Lougon Par Barsa, Joh Daraye Gaye The,
Wo Bura Tha.
184
Be Shak
Is Main Nishaani Hai. Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.
175
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
176
Aur Ban
Kar Rehne Waloun Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.
177
Jab Un
Se Shoaib A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?
178
Main Toh
Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.
179
Toh Khuda
Se Daro Aur Mera Kaha Maano.
180
Aur Main
Is Kaam Ka Tum Se Kuch Badla Nahi Maangta Mera Badla Toh
Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.
181
Daikho Paimaana
Poora Bhara Karo Aur Nuqsaan Na
Kia
Karo.
182
Aur Taraazoo
Seedhi Rakh Kar Toula Karo.
183
Aur Lougon
Ko Un Ki Cheezain Kam Na Dia Karo Aur Mulk Main Fisad Na Karte Phiro.
184
Aur Us
Se Daro Jis Ne Tumko Aur Pehli Khalqat Ko Paida Kia.
185
Wo Kehne
Lage Ke Tum Jaadu Zada Ho.
186
Aur Tum
Aur Kuch Nahi Ham Hi Jaise Aadmi Ho. Aur Hamara Khayal Hai Ke Tum Jhoote Ho.
187
Agar Sachhe
Ho, Toh Ham Par Aasmaan Se Aik Tukra Laa Giraao.
188
Shoaib Ne
Kaha Ke Joh Kaam Tum Karte Ho Mera Parwardigar Is Se Khoob Waqif Hai.
189
Toh Un
Lougon Ne Un Ko Jhutlaya, Pas Saaibaan Ke Azaab Ne Un Ko Aa Pakra. Be Shak Wo
Bare Sakht Din Ka Azaab Tha.
190
Is Main
Yaqeenan Nishani Hai.Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.
191
Aur Tumhara
Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.
192
Aur Ye
Quraan Khuda-E-Parwardigar Aalam Ka Utaara Hau Hai.
193
Is Ko
Amanat Daar Farishta Le Kar Utra Hai.
194
Yaani Us
Ne Tumhare Dil Par Ilqa Kia Tha Taa-Ake Lougon Ko Naseeehat Karte Raho.
195
Aur Ilqa
Bhi Faseeh Arabi Zabaan Main Kia Hai.
196
Aur Is
Ki Khabar Pehle Paigambaroun Ki Kitaaboun Main Likhi Hui Hai.
197
Kia Un
Ke Liye Ye Sanad Nahi Hai Ke Ulmaa-E-Bani Israail Is Baat Ko Jaante Hain.
198
Aur Agar
Ham Is Ko Kisi Gair Ehl-E-Zaban Par Utaarte.
199
Aur Wo
Isse Un Lougon Ko Parh Kar Sonata Toh Ye Usse Kabhi Na Maante.
200
Issi Tarha
Ham Ne Inkaar Ko Gunnehgaaroun Ke Diloun Main Daakhil Kar Dia.
201
Wo Jab
Tak Dard Dene Wala Azaab Na Daikh Lainge, Us Ko Nahi Maane Ge.
202
Wo Un Par
Nagaahan Aa Waaqe Hoga Aur Unhain Khabar Bhi Na Hogi.
203
Us Waqt
Kahain Ge Ke Kia Hamain Mohlat Mile Gi?
204
Toh Kia
Ye Hamare Azaab Ko Jaldi Talab Kar Rahe Hain.
205
Bhala Daikho
Toh Agar Ham Un Ko Barsoun Faaide Dete Rahain.
206
Phir Un
Par Wo Azaab Aa Waaqe Ho Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai.
207
Toh Joh
Faaide Ye Uthaate Rahe Hain Un Ke Kis Kaam Aayen Ge.
208
Aur Ham
Ne Koi Basti Halaak Nahi Ki Magar Us Ke Liye Naseehat Karne Wale Pehle Bhaij
Dete The.
209
Taa-Ake
Naseehat Kar Dain, Aur Ham Zaalim Nahi Hain.
210
Aur Is
Quraan Ko Shaitaan Le Kar Naazil Nahi Hue.
211
Ye Kaam
Na Toh Un Ko Sazawaar Hai Aur Na Wo Is Ki Taaqat Rakhte Hain.
212
Wo Aasmani
Baatoun Ke Sunn-Ne Ke Maqaamaat Se Alag Kar Diye Gaye Hain.
213
Toh Khuda
Ke Siwa Kisi Aur Maabood Ko Mat Pukaarna,Warna Tum Ko Azaab Dia Jaye Ga.
214
Aur Apne
Qareeb Ke Rishta Daaroun Ko Darr Suna Do.
215
Aur Joh
Momin Tumhare Pairo Ho Gaye Hain, Un Se Matawaazeh(Balanced) Paish Aao.
216
Phir Agar
Loug Tumhari Nafarmaani Karian Toh Keh Do Ke Main Tumhare Aamaal Se Be Taalluq
Hoon.
217
Aur Khuda-E-Ghaalib
Aur Meherbaan Par Bharosa Rakho.
218
Joh Tum
Ko Jab Tum Tahajjud Ke Waqt Uthte Ho Daikhta Hai.
219
Aur Namaziyoun
Main Tumhare Phirne Ko Bhi.
220
Be Shak
Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
221
Acha Main
Tumhain Bataoon Ke Shaitaan Kis Par Utarte Hain.
222
Har Jhoote
Gunnehgaar Par Utarte Hain.
223
Joh Suni
Hui Bat Us Ke Kaan Main La Daalte Hain Aur Wo Aksar Jhoote Hain.
224
Aur Shaairoun
Ki Pairwi Gumraah Loug Kia Karte Hain.
225
Kia Tum
Ne Nahi Daikha Ke Wo Har Waadi Main Sar Maarte Phirte Hain.
226
Aur Kehte
Wo Hain Joh Karte Nahi.
227
Magar Joh
Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Kiye Aur Khuda Ko Bohot Yaad Karte Rahe Aur Apne
Oopar Zulm Hone Ke Baad Intiqaam Liya Aur Zaalim Anqareeb Jaan Lainge Ke Koun
Si Jaga Lout Kar Jaate Hain.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!