Soorah Number 9
Aayaat (129)
Note: Is Soorah Se Pehle Bissmillah
Nahi Parhi Jati.
1
Ae Ehl-E-Islaam Ab Khuda Aur Us Ke Rasool
S.A.W. Ki Taraf Se Mushrikoun Se, Jin Se Tum Ne Ehed Kar Rakha Tha, Bezaari Aur
Jang Ki Taiyaari Hai.
2
Toh Mushriko Tum Zameen Main Chaar Maheene (4
Months) Chal Phir Lo Aur Jaan Rakho Ke Tum Khuda Ko Aajiz Na Kar Sako Ge.Aur Ye
Bhi Ke Khuda Kafiroun Ko Ruswa Karne Wala Hai.
3
Aur Haj-E-Akbar Ke Din Khuda Aur Us Ke Rasool
S.A.W. Ki Taraf Se Lougon Ko Aagaah Kia Jata Hai Ke Khuda Mushrikoun Se Bezaar
Hai, Aur Us Ka Rasool Bhi Un Se Dastbardaar Hai.Pas Agar Tum Touba Kar Lo Toh
Tumhare Haq Main Behtar Hai.Aur Agar Na Mano Aur Khuda Se Muqaabla Karo, Toh
Jaan Rakho Ke Tum Khuda Ko Hara Nahi Sako Ge Aur Ae Paigambar S.A.W. Kaafiroun
Ko Dukh Dene Wale Azaab Ki Khabar Suna Do.
4
Albatta Jin Mushrikoun Ke Saath Tum Ne Ehed
Kia Ho, Aur Unhoun Ne Tumhara Kisi Tarha Ka Qasoor Na Kia Ho, Aur Na Tumhare
Muqaable Main Kisi Ki Madad Ki Ho, Toh Jis Muddat Tak Un Ke Sath Ehed Kia Ho
Usse Poora Karo.Ke Khuda Parhaizgaaroun Ko Dost Rakhta Hai.
5
Jab Izzat Ke Maheene Guzar Jaayain, Toh
Mushrikoun Ko Jahaan Paaow Qatal Kar Do, Aur Pakar Lo Aur Ghair Lo, Aur Har Ghaat Ki Jaga Un Ki Taak Main
Baithe Raho.Phir Agar Wo Touba Kar Lain Aur Namaz Parhne Aur Zakaat Dene Lagain Toh Un Ki Raah
Chor Do.Be Shak Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
6
Aur Agar Koi Mushrik Tum Se Panaah Ka
Khuaastgaar Ho, Toh Us Ko Panaah Do Yahan Tak Ke Kalaam-E-Khuda Sunn-Ne Lage
Phir Us Ko Aman Ki Jaga Wapas Pohoncha Do.Is Liye Ke Ye Be Khabar Loug Hain.
7
Bhala Mushrikoun Ke Liye, Jinhoun Ne Ehed Tour
Daala , Khuda Aur Us Ke Rasool Ke
Nazdeek Ehed Kion Kar Qaaim Reh Sakta Hai, Haan Jin Lougon Ke Sath Tum Ne
Masjid-E-Mohtaram Yaani Khaana Kaaba Ke Nazdeek Ehed Kia Hai Agar Wo Apne Ehed
Par Qaaim Rahain Toh Tum Bhi Apne Qoul-O-Qraar Par Qaaim Raho.Be Shak Khuda
Parhaizgaaroun Ko Dost Rakhta Hai.
8
Bhala Un Se Ehed Kion Kar Poora Kia Jaye, Jab
Un Ka Ye
Haal Hai Ke Agar Tum Par Ghalba Paa Lain Toh Na Qarabat Ka Lehaaz Karain
Na Ehed Ka.Yeh Moonh Se Tumhain Khush Kar Dete Hain Lekin Un Ke Dil In Batoun
Ko Qabool Nahi Karte.Aur In Main Aksar Nafarmaan Hain.
9
Yeh Khuda Ki Aayatoun Ke Iwwaz Thora Sa Faaida
Hasil Karte Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Rokte Hai.Kuch Shak Nahi Ke Joh
Kaam Yeh Karte Hain Bure Hain.
10
Yeh Loug Kisi Momin Ke Haq Main Na Toh Rishte
Daari Ka Paas Karte Hain Na Ehed Ka.Aur Ye Had Se Tajawuzz Karne Wale Hain.
11
Agar Yeh Touba Kar Lain Aur Namaaz Parhne Aur
Zakaat Dene Lagainm Toh Deen Main Tumahre Bhaai Hain.Aur Samajhne Wale Lougon
Ke Liye Ham Apni Aayatain Khol Khol Kar Biyaan Karte Hain.
12
Aur Agar Ehed Karne Ke Baad Apni Qasmoun Ko
Tour Daalain Aur Tumhare Deen Main Taane Karne Lagain Toh In Kufur Ke
Paishwaaown Se Jung Karo, Yeh Be Eemaan Loug Hain Aur Un Ki Qasmoun Ka Kuch
Aitbaar Nahi.Ajab Nahi Ke Apni Harkaat Se Baaz Aa Jayen.
13
Bhala Tum Aise Lougon Se Kion Na Laro, Jinhoun
Ne Apni Qasmoun Ko Tour Daala, Aur Paigambar-E-Khuda Ke Jila Watan Karne Ka
Azam-E-Mussammim (Confirm) Kar Liya Aur Unhoun Ne Tum Se Ehed Shikni Ki Ibtida
Ki.Kia Tum Aise Lougon Se Darte Ho Halaanke Darne Ke Laaiq Khuda Hai Bashart Ye
Ke Eemaan Rakhte Ho.
14
Un Se Khoob Laro .Khuda Un Ko Tumahre Hathoun
Se Azaab Main Dale Ga Aur Ruswa Kare Ga Aur Tum Ko Un Par Galba De Ga Aur Momin
Lougon Ke Seenoun Ko Shifa Bakhshe Ga.
15
Aur Un Ke Diloun Se Ghusaa Door Kare Ga Aur
Jis Par Chaahe Ga Rehmat Kare Ga.Aur Khuda Sab Kuch Jaanta Aur Hikmat Wala Hai.
16
Kia Tum Loug Ye Khayal Karte Ho Ke Be
Aazmaaish Chor Diye Jao Ge, Aur Abhi Toh Khuda Ne Aise Lougon Ko Matmaaiyaz Kia
Hi Nahi, Jinhoun Ne Tum Se Jihaad Kiye Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Aur Mominoun
Ke Siwa Kisi Ko Dili Dost Nahi Banaya.Aur Khuda Tumahre Sab Kaamoun Se Waqif
Hai.
17
Mushrkoun Ko Zaiba Nahi Ke Khuda Ki Masjidoun
Ko Aabaad Karain, Jab Ke Wo Apne Aap Par Kufur Ki Gawaahi De Rahe Hain.In
Lougon Ke Sab Aamaal Be Kaar Hain Aur Ye Hamesha Dozakh Main Rahain Ge.
18
Khuda Ki Masjidoun Ko Toh Wo Loug Aabaad Karte
Hain Joh Khuda Par Aur Roz-E-Qiamat Par Eemaan Laate Aur Namaaz Parhte Aur
Zakaat Dete Hain Aur Khuda Ke Siwa Kisi Se Nahi Darte.Yehi Loug Umeed Hai Ke
Hidayat Yaafta Lougon Main Daakhil Houn.
19
Kia Tum Ne Haajiyoun Ko Paani Pilana Aur
Masjid-E-Mohtaram Yaani Khaana-E-Kaaba Ko Aabaad Karna, Us Shakhs Ke Aamaal
Jaisa Khayal Kia Hai Joh Khdua Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Rakhta Hai, Aur
Khuda Ki Raah Main Jihaad Karta Hai? Yeh Loug Khuda Ke Nazdeek Barabar Nahi
Hain.Aur Khuda Zaalim Lougon Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
20
Joh Loug Eemaan Laaye Aur Watan Chor Gaye Aur
Khuda Ki Raah Main Maal Aur Jaan Se Jihaad Karte Rahe.Khuda Ke Haan Un Ke Darje Bohot Bare Hain.Aur Wo Hi Muraad Ko
Pohonchne Waale Hain.
21
Un Ka Parwardigaar Un Ko Apni Rehmat Ki Aur
Khushnoodi Ki Aur Behshatoun Ki Khushkhabri Deta Hai, Jin Main Un Ke Liye
Naimat Haaye Jaawedaani Hai.
22
Aur Wo Un Main Abad-Ul-Aabaad (Forever) Rahain
Ge.Kuch Shak Nahi Ke Khuda Ke Haan Bara Sila Taiyaar Hai.
23
Ae Ehl-E-Eeman! Agar Tumhare Maan Baap Aur
Behen Bhaai Eemaan Ke Muqabil, Kufur Ko Pasand Karain, Toh Un Se Dosti Na
Rakho.Aur Joh Un Se Dosti Rakhain Ge Wo Zaalim Hain.
24
Keh Do Ke Agar Tumhare Baap Aur Bete Aur Bhaai
Aur Aurtain Aur Khaandaan Ke Aadmi Aur Maal, Joh Tum Kamaate (Earn) Ho, Aur
Tijarat Jis Ke Band Hone Se Darte Ho, Aur Makaanat Jin Ko Pasand Karte Ho,
Khuda Aur Us Ke Rasool Se Aur Khuda Ki Raah Main Jihaad Karne Se Tumhain Ziada
Azeez Houn, Toh Thehre Raho Yahan Tak Ke Khuda Apna Hukum Yaani Azaab Bhaije.Aur
Khuda Nafarmaan Lougon Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
25
Khuda Ne Bohot Se Moqoun Par Tum Ko Madad Di
Hai, Aur Jung-E-Hunnain Ke Din.Jab Ke Tum Ko Apni Jamaat Ki Kasrat Par Gurraa
Tha, Toh Wo Tumhare Kuch Bhi Kaam Na Aaye.Aur Zameen Bawajood Itni Bari Faraakhi
Ke Tum Par Tang Ho Gai, Phir Tum Peeth Phair Kar Phir Gaye.
26
Phir Khuda Ne Apne Paigambar Par Aur Mominoun
Par Apni Taraf Se Taskeen Naazil Farmaye Aur Tumhari Madad Ko Farishtoun Ke
Lashkar, Joh Tumhain Nazar Nahi Aate The Aasmaan Se Utaare Aur Kaafiroun Ko
Azaab Dia.Aur Kufur Karne Waloun Ki Yehi Saza Hai.
27
Phir Khuda Us Ke Baad Jis Par Chaahe
Meherbaani Se Tawajoh Farmaye, Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
28
Momino! Mushrik Toh Paleed Hain Toh Is Baras
(Year) Ke Baad Wo Khaana-E-Kaaba Ke Paas Na Jaane Payen Aur Agar Tum Ko Muflasi
Ka Khouf Ho Toh Khuda Chaahe Ga Toh Tum Ko Apne Fazal Se Ghani Kar De
Ga.Be Shak Khuda Sab Kuch Jaanta Aur
Hikmat Wala Hai.
29
Joh Ehl-E-Kitaab Main Se Khuda Par Eemaan Nahi
Late Aur Na Roz-E-Aakhrat Par Yaqeen Rakhte Hain Aur Na Un Cheezoun Ko Haram
Saamajhte Hain Joh Khuda Aur Us Ke Rasool Ne Haraam Ki Hain, Aur Na Deen-E-Haq
Ko Qabool Karte Hain Un Se Jung Karo, Yahan Tak Ke Zaleel Ho Kar Apne Hath Se
Jiziyah Dain.
30
Aur Yahood Kehte Hain Ke Uzair Khuda Ke Bete
Hain, Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Maseeh Khuda Ke Bete Hain.Yeh Un Ke Moonh Ki
Batain Hain, Pehle Kaafir Bhi Usi Tarha Ki Baatain Kaha Karte The, Ye Bhi Unhi
Ki Rees (Naqal/Hirs) Karne Lage Hain.Khuda In Ko Halaak Kare.Yeh Kahan Behke
Phirte Hain.
31
Unhoun Ne Apne Ullmaa Aur Mashaaikh Aur Maseeh
Ibn-E-Maryam Ko Allah Ke Siwa Khuda Bana Liya, Haalaanke Un Ko Yeh Hukum Dia
Gaya Tha Ke Khudaa-E-Wahid Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karain.Us Ke Siwa Koi
Mabood Nahi.Aur Wo Un Lougon Ke Shareek Muqarrar Karne Se Paak Hai.
32
Yeh Chahate Hain Ke Khuda Ke Noor Ko Apne
Moonh Se Phoonk Mar Kar Bujha Dain, Aur
Khuda Apne Noor Ko Poora Kiye Bagair Rehne Ka Nahi.Agarcha Kaafiroun Ko Bura Hi
Lage.
33
Wo Hi Toh Hai Jis Ne Apne Paigambar Ko Hidayat
Aur Deen-E-Haq De Kar Bhaija Taa-Ake Is Deen Ko Dunia Ke Tamaam Deenoun Par
Ghalib Kare.Agarcha Kaafir Na Khush Hi Houn.
34
Momino! Ehl-E-Kitaab Ke Bohot Se Allaam Aur
Mashaaikh Lougon Ka Maal Na Haq Khate Aur Un Ko Raah-E-Khuda Se Rokte Hain.Aur
Joh Loug Sona Aur Chaandi Jama Karte Hain Aur Us Ko Khuda Ke Raste Main Kharach
Nahi Karte.Un Ko Us Din Azaab-E-Aleem Ki Khushkhabri Suna Do.
35
Jis Din Wo Maal Dozakh Ki Aag Main Khoob
Gaaram Kia Jaye Ga.Phir Us Se Un Bakheeloun Ki Peshaniyan Aur Pehlu Aur
Peethain Daagi Jayen Gi, Aur Kaha Jaye Ga Ke Ye Wo Hi Hai Joh Tum Ne Apne Liye
Jama Kia Tha, So Joh Tum Jama Karte The Ab Us Ka Mazah Chakho.
36
Khuda Ke Nazdeek Maheene Ginti Main Baara (12)
Hain Yaani Us Roz Se Ke Us Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia.Kitaab-E-Khuda
Main Baras (One Year) Ke Baara (12) Maheene Likhe Hue Hain.Un Mian Se Chaar
Maheene Adab Ke Hain.Yeh Hi Deen Ka Seedha Rasta Hai.Toh Un Maheenoun Main
Qattal-E-Na Haq Se Apne Aap Par Zulm Na Karna.Aur Tum Sab Ke Sab Mushrikoun Se
Laro Jaise Wo Sab Ke Sab Tum Se Larte Hain.Aur Jaan Rakho Ke Khuda
Parhaizgaaroun Ke Sath Hai.
37
Aman Ke Kisi Maheene Ko Hata Kar Aage Peeche
Kar Dena Kufur Main Izaafa Karta Hai, Us Se Kaafir Gumraahi Main Pare Rehte
Hain.Aik Saal Toh Us Ko Halaal Samajh Lete Hain, Aur Doosre Saal Haram.Taa-Ake
Adab Ke Maheenoun (Months) Ki Joh Khuda Ne Muqarrarr Kiye Hain Ginti Poori Kar
Lain.Aur Joh Khuda Ne Mana Kia Hai, Us Ko Jaaiz Kar Lain.Un Ke Bure Aamaal Un
Ko Bhale Dikhaye Dete Hain.Aur Khdua Kaafir Lougon Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
38
Momino! Tumhain Kia Hua Hai Ke Jab Tum Se Kaha
Jata Hai Ke Khuda Ki Raah Main Jihaad Ke Liye Niklo Toh Tum Kaahili (Sussti) Ke
Sabab Se Zameen Main Girre Jate Ho Yaani Gharoun Se Nikalna Nahi Chahte, Kia
Tum Aakhrat Ki Naimatoun Ko Chor Ka Dunia Ki Zindagi Par Khush Ho Baithe
Ho.Dunia Ki Zindagi Ke Faaide Toh Aakhrat Ke Muqaable Main Bohot Hi Kam Hain.
39
Agar Tum Na Niklo Ge Toh Khuda Tum Ko Bari
Takleef Ka Azaab De Ga.Aur Tumhari Jaga Aur Loug Paida Kar De Ga Joh Khuda Ke
Poore Farmabardaar (Obedient) Hounge Aur Tum Us Ko Kuch Nuqsaan Na Pohoncha
Sako Ge Aur Khdua Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.
40
Agar Tum Paigambar Ki Madad Na Karo Ge Toh
Khuda Un Ka Madadgaar Hai, Wo Waqt Tum Ko Yaad Hoga Jab In Ko Kaafiroun Ne Ghar
Se Nikaal Dia.Us Waqt Do Hi Shakhs The Jin Main Aik Abbu Baker R.A. Aur Doosre
Khud Rasool S.A.W. Jab Wo Dono Ghaar-E-Saor Main The Us Waqt Paigambar S.A.W.
Apne Rafeeq Ko Tassali Dete The Ke Gham Na Karo Khuda Hamare Sath Hai.Toh Khuda
Ne Un Par Taskeen Nazil Farmayee Aur Un Ko Aise Lashkaroun Se Madad Di Joh Tum
Ko Nazar Nahi Aate The Aur Kaafiroun Ki Baat Ko Past Kar Dia.Aur Baat Toh Khuda
Hi Ki Buland Hai.Aur Khuda Zabardast Aur Hikmat Wala Hai.
41
Tum Maal-O-Asbaab Thora Rakhte Ho Ya Bohot,
Gharoun Se Nikal Aao.Aur Khuda Ke Raste
Main Maal Aur Jaan Se Laro.Yehi Tumhare
Haq Main Behtar Hai Bashart Ye Ke Samjho.
42
Agar Maal-E-Ganeemat Sehel-Ul-Hasool(Hassil
Karne Main Aasaan) Aur Safar Bhi Halka Sa Hota Toh Tumhare Sath Shouq Se Chal
Dete.Lekin Musaafat Un Ko Door Daraaz Nazar Aayi Toh Uzar Karain Ge.Aur Khuda
Ki Qasmain Khayen Ge Ke Agar Ham Taqat Rakhte Toh Aap Ke Sath Zaroor Nikal
Parte Ye Aise Uzroun Se Apne Tainee (Themselves) Halaak Kar Rahe Hain.Aur Khuda
Jaanta Hai Ke Ye Jhoote Hain.
43
Khuda Tumhain Moaaf Kare.Tum Ne Paishtar Is Ke
Keh Tum Par Wo Loug Bhi Zaahir Ho Jate Joh Sache Hain Aur Wo Bhi Tumhain Maloom
Ho Jate Joh Jhoote Hain Un Ko Ijazat Kion Di.
44
Joh Loug Khuda Par Aur Roz-E-Aakrat Par Eeman
Rakhte Hain Wo Toh Tum Se Ijazat Nahi Maangte Ke Peeche Reh Jayen Balke Chahate
Hain Ke Apne Maal Aur Jaan Se Jihaad Karain Aur Khuda Parhaizgaaroun Se Waqif Hai.
45
Ijazat Wo Hi Loug Maangte Hain Joh Khuda Par
Aur Pichle Din Par Eemaan Nahi Rakhte Aur Un Ke Dil Shak Main Pare Hue Hai.So
Wo Apne Shak Main Daama Doul Ho Rahe Hain.
46
Aur Agar Wo Nikalne Ka Irada Karte Toh Us Ke
Liye Samaan Taiyaar Karte Lekin Khuda Ne Un Ka Uthna Aur Nikalna Pasand Hi Na
Kia Toh Un Ko Hilne Julne Hi Na Dia Aur Un Se Keh Dia Gaya Ke Jahan Maazoor
Baithe Hain Tum Bhi Un Ke Sath Baithe Raho.
47
Agar Wo Tum Main Shamil Ho Kar Nikal Bhi Khare
Hote Toh Tumhare Haq Mian Sharat Karte Aur Tum Main Fisaad Dalwane Ki Garz Se
Doure Doure Phirte Aur Tum Main Un Ke Jasoos Bhi Hain Aur Khuda Zaalimoun Ko
Khoob Jaanta Hai.
48
Yeh Pehle Bhi Taalib-E-Fisaad Rahe Hain Aur
Bohot Si Batoun Main Tumahre Liye Ulat Phair Karte Rahe Hain.Yahan Tak, Ke Haq
Aa Pohoncha, Aur Khuda Ka Hukum Gaalib Hua Aur Wo Bura Maante Hi Reh Gaye.
49
Aur Un Main Koi Aisa Bhi Hai Joh Kehta Hai Ke
Mujhe Toh Ijazat Hi Dijiey Aur Aafat Main Na Daaliye.Daikho Ye Aafat Main Par
Gaye Hain Aur Dozakh Sab Kafiroun Ko Ghaire Hue Hai.
50
Ae Paigambar S.A.W. Agar Tum Ko Aasaaish Hasil
Hoti Hai Toh Un Ko Bura Lagta Hai.Aur Koi Mushkil Parti Hai Toh Kehte Hain Ke
Ham Ne Aapna Kaam Pehle Hi Durust Kar Liya Tha Aur Khushiyaan Manaate, Lout
Jate Hain.
51
Keh Do Ke Ham Ko Koi Museebat Nahi Pohonch
Sakti, Bajuz Is Ke Joh Khuda Ne Hamare Liye Likh Di Ho, Wo Hi Hamara Kaar Saaz
Hai.Aur Momino Ko Khuda Hi Ka Bharosa Rakhna Chahiye.
52
Keh Do, Ke Tum Hamare Haq Main, Do Bhalaioun
Main Se Aik Ke Muntazir Ho, Aur Ham Tumhare Haq Main Is Baat Ke Muntazir Hain,
Ke Khuda Ya Toh Apne Paas Se Tum Par Koi Azaab Nazil Kare, Ya Hamre Hathoun Se
Azaab Dilwaye, Toh Tum Bhi Intizaar Karo Ham Bhi Tumhare Sath Intizar Kartre
Hain.
53
Keh Do Ke Tum Maal Khushi Se Kharch Karo Ya Na
Khushi Se Tum Se Har Gizz Qabool Nahi Kia Jaye Ga Tum Nafarmaan Loug Ho.
54
Aur Un Ke Kharch-E-Amwaal Ke Qabool Hone Se
Koi Chez Maane Nahi Hoti, Siwa Is Ke Keh Unhoun Ne Khuda Se Aur Us Ke Rasool Se
Kufur Kia, Aur Namaaz Ko Aate Hain Toh Sust-O-Kaahil Ho Kar, Aur Kharch Karte
Hain Toh Na Khushi Se.
55
Tum Un Ke Maal Aur Aulaad Se Taajub Na
Karna.Khuda Chahata Hai Ke Un Cheezoun Se Dunia Ki Zindagi Main Un Ko Azaab De
Aur Jab Un Ki Jaan Nikle Toh Us Waqt Bhi Wo Kafir Hi Houn.
56
Aur Khuda Ki Qasmain Khaate Hain, Ke Wo Tum Hi
Main Se Hain, Halaanke Wo Tum Main Se Nahi Hain. Asal Yeh Hai, Ke Ye Darpouk
Loug Hain.
57
Agar Un Ke Koi Bachaow Ki Jaga Jaise Qilla Ya
Gaar-O-Mogaak Ya Zameen Ke Andar Ghusne Ki Jaga Mill Jaye Toh Usi Tarha
Rassiyan (Robe) Toraate Hue Bhaag Jayen.
58
Aur Un Main Baaz Aise Bhi Hain Ke
Taqseem-E-Sadqaat Main Tum Par Taana Zani Karte Hain. Agar Un Ko Us Main Se
Khatir Khuah Mill Jaye Toh Khush Rahain, Aur Agar Is Qadar Na Mile Toh Jhat
Khafa Ho Jayen.
59
Aur Agar Wo Us Par Khush Rehte Joh Khuda Aur
Us Ke Rasool S.A.W. Ne Un Ko Dia Tha. Aur Kehte Ke, Hamain Khuda Kafi Hai, Aur
Khuda Apne Fazal Se Aur Us Ke Paigambar Apni Meherbaani Se Hamain Phir Dain Ge.
Aur Hamain Toh Khuda Hi Ki Khuahish Hai Toh Un Ke Haq Main Behtar Hota.
60
Sadqaat Yaani Zakaat-O-Khairaat Toh Muflisoun
Aur Mohtaajoun Aur Kaarkunaan-E-Sadqaat Ka Haq Hai Aur Un Lougon Ka Jin Ki
Taaleef-E-Qaloob Manzoor Hai Aur Ghulaamoun Ke Azaad Karane Main Aur Qarzdaroun
Ke Qarz Ada Karne Main Aur Khuda Ki Raah Main Aur Musaafiroun Ki Madad Main Bhi
Yeh Maal Kharch Karna Chahiye, Yeh Huqooq Khuda Ki Taraf Se Muqarrar Kar Diye
Gaye Hain, Aur Khuda Jaanne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
61
Aur Un Main Baaz Aise Hain Joh Paigambar Ko
Eeza (Takleef) Dete Hain Aur Kehte Hain Ke Ye Shakhs Nira Kaan Hai. In Se Keh Do
Ke Wo Kaan Hai Toh Tumhari Bhalaiye Ke Liye .Wo Khuda Ka Aur Mominoun Ki Baat
Ka Yaqeen Rakhta Hai Aur Joh Loug Tum Main Eemaan Laye Hain Un Ke Liye Rehmat
Hai.Aur Joh Loug Rasool-E-Khuda Ko Ranjh Pohonchate Hain Un Ke Liye
Azaab-E-Aleem Hai.
62
Momino! Yeh Loug Tumhare Saamne Khuda Ki
Qasmain Khate Hain Taa-Ake Tum Ko Khush Kar Dain.Haalanke Agar Ye Dil Se Momin
Hote Toh Khuda Aur Us Ke Paigamabar Khush Karne Ke Ziada Mustahiq Hain.
63
Kia, Un Lougon Ko Maloom Nahi Ke Joh Shakhs
Khuda Aur Us Ke Rasool Se Muqabla Karta Hai, Toh Us Ke Liye Jahannum Ki Aag
Taiyaar Hai, Jis Main Wo Hamesha Jalta Rahe Ga. Yeh Bari Ruswaayee Hai.
64
Munafiq Darte Rehte Hain Ke Un Ke Paigambar
Par Kaheen Koi Aisi Soorat Na Utar Aaye Ke Un Ke Dil Ki Batoun Ko In Musalmanoun
Par Zahir Kar De. Keh Do Ke Hansi Kiye Jao. Jis Baat Se Tum Darte Ho Khuda Us
Ko Zaroor Zahir Kar De Ga.
65
Aur Agar Tum Us Se Is Baaare Main Daryaaft
Karo Toh Kahain Ge Ham Toh Youn Hi Baat Cheet Aur Dil Lagi Karte The.Kaho Kia
Tum Khuda Aur Us Ki Aayatoun Aur Us Ke Rasool Se Hansi Karte The.
66
Bahane Mat Banao, Tum Eemaan Laane Ke Baad
Kafir Ho Chuke Ho. Agar Ham Tum Main Se Aik Jamaat Ko Moaaf Kar Dain Toh Doosri
Jamaat Ko Saza Bhi Dainge Kion Ke Wo Gunnah Karte Rahe Hain.
67
Munafiq Mard (Males) Aur Munafiq
Aurtain(Ladies) Aik Doosre Ke Ham Jins Yaani Aik Hi Tarha Ke Hain, Ke Bure Kaam
Karne Ko Kehte Aur Naik Kaamoun Se Mana Karte Aur Kharch Karne Se Hath Band
Kiye Rehte Hain. Unhoun Ne Khuda Ko Bhula Dia, Toh Khuda Ne Un Ko Bhula Dia. Be
Shak Munafiq Nafarmaan Hain.
68
Allah Ne Munafiq Mardoun Aur Munafiq Aurtoan
Aur Kaafiroun Se Aatish-E-Jahannum Ka Waada Kia Hai Jis Main Hamesha Jalte
Rahain Ge. Wo Hi Un Ke Laaiq Hain. Aur Khuda Ne Un Par Lannat Kar Di Hai. Aur
Un Ke Liye Hamesha Ka Azaab Taiyaar Hai.
69
Tum Munafiq Loug Un Lougon Ki Tarha Ho, Joh
Tum Se Pehle Ho Chuke Hain.Wo Tum Se Bohot Taqatwar Aur Maal-O-Aulaad Main
Kaheen Ziada The, Toh Wo Apne Hisse Se
Behra Yaab Ho Chuke. So Jis Tarha Tum Se Pehle Loug Apne Hisse Se Faaida Utha Chuke
Hain, Usi Tarha Tum Ne Apne Hisse Se Faaida Utha Liya. Aur Jis Tarha Wo Baatil
Main Doobe Rahe Usi Tarha Tum Batil Main Doobe Rahe, Ye Wo Loug Hain Jin Ke
Aamaal Dunia Aur Aakhrat Main Zaaya Ho Gaye. Aur Yehi Nuqsaan Uthane Wale Hain.
70
Kia In Ko Un Lougon Ke Halaat Ki Khabar Nahi
Pohonchi Joh Un Se Pehle The Yaani Nooh Aur Aad Aur Samood Ki Qoum . Aur
Ibrahim Ki Qoum Aur Madeen Wale Aur Ulti Hui Bastiyoun Wale. Unke Paas
Paigambar Nishaniyan Le Le Kar Aye. Aur Khdua Toh Aisa Na Tha Ke Un Par Zulm
Karta Lekin Wo Apne Aap Par Zulm Karte The.
71
Aur Momin Mard Aur Momin Aurtain Aik Doosre Ke
Dost Hain, Ke Ache Kaam Karne Ko Kehte Hain Aur Buri Baton Se Mana Karte Aur
Namaaz Parhte Aur Zakaat Dete Aur Khuda Aur Us Ke Paigambar Ki Itaa-At Karte
Hain. Ye Hi Loug Hain Jin Par Khuda Rehem Kare Ga. Be Shak Khuda Gaalib Hikmat
Wala Hai.
72
Khuda Ne Momin Mardoun Aur Momin Aurtaon Se
Behshatoun Ka Waada Kia Hai, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Wo Un Main
Hamesha Rahain Ge Aur Behshat-E-Haaye Jaawedaani Main Nafees Makaanaat Ka Waada
Kia Hai Aur Khuda Ki Raza Mandi Toh Sab Se Barh Kar Naimat Hai Yeh Bari
Kaamyabi Hai.
73
Ae Paigambar! Kaafiron Aur Munafiqoun Se
Laro.Aur Un Par Sakhti Karo. Aur Un Ka Thikana Dozakh Hai Aur Wo Buri Jaga Hai.
74
Yeh Khuda Ki Qasmain Khaate Hain Ke Inhoun Ne
Toh Kuch Nahi Kaha Halaanke Unhoun Ne Kufur Ka Kalma Kaha Hai Aur Ye Islam
Laane Ke Baad Kaafir Hogaye Hain Aur Aisi Baat Ka Qasad Kar Chuke Hain Jis Par
Qudrat Nahi Paa Sake. Aur Inhoun Ne Musalmanoun Main Aib(Nuqqs) Hi Koun Sa
Daikha Hai Siwa Is Ke Keh Khuda Ne Apne Fazal Se Aur Us Ke Paigamabar Ne Apni
Meherbaani Se In Ko Dolat Mand Kar Dia Hai. Toh Agar Ye Loug Touba Kar Lain Toh
Un Ke Haq Main Behtar Hoga.Aur Agar Moon Phair Lain Toh Khuda Un Ko Dunia Aur
Aakhrat Main Dukh Dene Wala Azaab De Ga Aur Zameen Main Un Ka Koi Dost Aur
Madadgar Na Hoga.
75
Aur Un Main Se Baaz Aise Hain Jinhoun Ne Khuda
Se Ehed Kia Tha Ke Agar Wo Ham Ko Apni Meherbaani Se Maal Ata Farmaaye Ga Toh
Ham Zaroor Khairaat Kia Karen Ge Aur Naiko Kaaroun Main Ho Jayen Ge.
76
Lekin Jab Khuda Ne Un Ko Apne Fazal Se Maal
Dia To Us Main Bukhal Karne Lage Aur Apne Ehed Se Roogardaani Kar Ke Phir
Baithe.
77
Toh Khuda Ne Us Ka Anjaam Yeh Kia, Ke Us Roz
Tak Ke Liye Jis Main Wo Khuda Ke Ru Baru Haazir Hounge Un Ke Diloun Main Nafaaq
Daal Dia, Is Liye Ke Unhoun Ne Khuda Se
Joh Waada Kia Tha Us Ke Khilaaf Kia Aur Is Liye Ke Wo Jhoot Bolte The.
78
Kia Un Ko Maloom Nahi Ke Khuda Un Ke Bhaidoun
Aur Mashwaroun Tak Se Waqif Hai Aur Ye Ke Wo Gaib Ki Baatain Jaanne Wala Hai.
79
Joh Zee Istitaat (Jin Ki Gunjaaish Ho Maal Ki)
Musalmaan Dil Khol Kar Khairaat Karte Hain Aur Joh Bechare Gareeb Sirf Itna Hi
Kama Sakte Hain Jitni Mazdoori Karte Aur Thori Si Kamayee Main Se Bhi Kharch
Karte Hain Un Par Joh Munafiq Taana Karte Hain Aur Hanste Hain. Khuda Un Par
Hansta Hai Aur Un Ke Liye Takleef Dene Wala Azaab Taiyaar Hai.
80
Tum Un Ke Liye Bakhshish Mango Ya Na Mango.
Baat Aik Hai. Agar Un Ke Liye Sattar(70)Dafa Bhi Bakhshish Mango Ge Toh Bhi
Khuda Un Ko Nahi Bakhshe Ga.Yeh Isliye Ke Unhoun Ne Khuda Aur Us Ke Rasool
S.A.W. Se Kufur Kia. Aur Khuda Nafarmaan Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
81
Joh Loug Gazwa-E-Tabook Main Peeche Reh Gaye
Wo Paigambar-E-Khuda Ki Marzi Ke Khilaaf Baithe Rehne Se Khush Hue Aur Is Baat Ko Na Pasand Kia Ke Khuda Ki
Raah Main Apne Maal Aur Jaan Se Jahaad
Karain. Aur, Auroun Se Bhi Kehne Lage Ke Garmi Main Mat Nikalna. Un Se
Keh Do Ke Dozakh Ki Aag Us Se Kahin Ziada Garm Hai. Kaash Ye Is Baat Ko
Samajhte.
82
Ye Dunia Main Thora Sa Hans Lain,
Aur Aakhrat Main In Ko Un Aamaal Ke Badle Joh Karte Rahe Hain Bohot Sa
Rona Hoga.
83
Phir Agar Khuda Tum Ko Un Main Se Kisi Guroh(Group)
Ki Taraf Le Jaye Aur Wo Tum Se Nikalne Ki Ijazat Talab Kare Toh Keh Dena Ke Tum
Mere Sath Har Gizz Nahi Niklo Ge, Aur Na Mere Sath Madadgaar Ho Kar Dushman Se
Larari Karo Ge. Tum Pehli Dafa Baith Rehne Se Khush Hue, Toh Ab Bhi Peeche
Rehne Waloun Ke Sath Baithe Raho.
84
Aur Ae Paigambar S.A.W. Un Main Se Koi Mar
Jaye Toh Kahbi Us Ke Janaaze Par Namaaz Na Parhna, Aur Na Us Ki Qabar Pe Ja Kar
Khare Hona. Ye Khuda Aur Us Ke Rasool Ke Sath Kufur Karte Rahe, Aur Mare Bhi
Toh Nafarmaan Hi Mare.
85
Aur In Ke Maal
Aur Aulad Se Taajub Na Karna. In Cheezon Se Khuda Yeh Chahta Hai Ke Un Ko Dunia
Main Azaab Kare Aur Jab Un Ki Jaan Nikle, Toh Us Waqt Bhi Yeh Kaafir Hi Houn.
86
Aur Jab Koi
Soorat Nazil Hoti Hai Ke Khuda Par Eemaan Lao Aur Us Ke Rasool Ke Sath Ho Kar
Larai Karo, Toh Joh Un Main Dolat Mand Hain Wo Tum Se Ijazat Talab Karte Hain
Aur Kehte Hain Ke Hamain Toh Rehne Hi Dijiey Ke Joh Loug Gharoun Main Rahain Ge
Ham Bhi Un Ke Sath Rahain.
87
Ye Is Baat Se
Khush Hain Ke Aurtoun Ke Sath Joh Peeche Reh Jati Hain Gharoun Main Baith
Rahain, Un Ke Diloun Par Mohor Laga Di Gai Hai, Toh Yeh Samajhte Hi Nahi.
88
Lekin
Paigambar Aur Joh Loug Un Ke Sath Eemaan Laye, Sab Apne Maal Aur Jaan Se Lare.
Un Hi Lougon Ke Liye Bhalaiyan Hain. Aur Ye Hi Muraad Pane Wale Hain.
89
Khuda Ne Un Ke
Liye Baaghaat Taiyaar Kar Rakhe Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain
Hamesha Un Main Rahain Ge.Ye Bari Kaamyabi Hai.
90
Aur Sehra
Nasheenoun Main Se Bhi Kuch Loug Uzar Karte Hue Tumhare Paas Aye, Ke Un Ko Bhi
Ijazat Di Jaye Aur Jinhoun Ne Khuda Aur Us Ke Rasool Se Jhoot Bola, Wo Ghar
Main Baithe Rahe, So Joh Loug Un Main Se Kaafir Hue Hain Un Ko Dukh Dene Wala
Azaab Pohonche Ga.
91
Na Toh
Zaeefoun(Old) Par Kuch Gunaah Hai Aur Na Beemaaroun Par, Na Un Par Jin Ke Paas
Kharch Mojood Nahi, Ke Shareek-E-Jahaad Houn, Yaani Jab Ke Khuda Aur Us Ke
Rasool Ke Khair Andaaish Aur Dil Se Un Ke Sath Houn. Naiko Kaaroun Par Kisi
Tarha Ka Ilzaam Nahi Hai. Aur Khdua Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
92
Aur Na Un Be
Sar-O-Samaan Lougon Par Ilzaam Hai Ke Tumhare Paas Aye, Ke Un Ko Sawari Do Aur
Tum Ne Kaha Ke Mere Paas Koi Aisi Cheez Nahi Jis Par Tum Ko Sawaar Karoon, Toh
Wo Lout Gaye Aur Is Gham Se Ke Un Ke Paas Kharch Mojood Na Tha, Un Ki Aankhoun
Se Aanoss Beh Rahe The.
93
Ilzaam Toh Un
Lougon Par Hai. Joh Dolatmand Hain Aur Phir Tum Se Ijazat Talab Karte Hain,
Yaani Is Baat Se Khush Hain Ke Aurton Ke Sath Joh Peeche Rah Jati Hain Gharoun
Main Baith Raheen. Khuda Ne Un Ke Diloun Par Mohor Kar Di Hai, Pas Wo Samajhte
Hi Nahi.
94
Jab Tum Un Ke
Pas Wapas Jaao Ge Toh Tum Se Uzar Karen Ge, Tum Kehna Ke Uzar Mat Karo Ham Har
Giz Tumhari Baat Nahi Maanain Ge, Khuda Ne Ham Ko Tumhare Sab Halaat Bata Diye
Hain. Aur Abhi Khuda Aur Us Ka Rasool Tumahre Aamaloun Ko Aur Daikhain Ge Phir
Tum Gaaib-O-Haazir Ke Jaanne Wale Khudaye Wahid Ki Taraf Loutaye Jao Ge, Aur
Joh Amal Tum Karte Rahe Ho Wo Sab Tumhain Bataye Ga.
95
Jab Tum Un Ke
Paas Lout Kar Jao Ge, Toh Tumhare Ru Baru Khuda Ki Qasmain Khayen Ge, Taa-Ake
Tum Un Se Darguzar Karo So Un Ki Taraf Iltifaat Na Karna. Ye Napaak Hain Aur
Joh Kaam Ye Karte Rahe Hain Un Ke Badle Un Ka Thikhana Dozakh Hai.
96
Yeh Tumhare
Aage Qasmain Khayen Ge Taa-Ake Tum Un Se Khush Ho Jao, Lekin Agar Tum Un Se
Khush Ho Jao Ge Toh Khuda Toh Nafarmaan Lougon Se Khush Nahi Hota.
97
Dehaati Loug
Sakhat Kaafir Aur Sakht Munafiq Hain Aur Is Qabil Hain Ke Joh
Ehkaam-E-Sharieeyat Khuda Ne Apne Rasool Par Nazil Farmaye Hain Un Se Waqif Hi
Na Houn.Aur Khuda Jaanne Wala Aur Hikmat
Wala Hai.
98
Aur Baaz
Dehaati Aise Hain Ke Joh Kuch Kharch Karte Hain Usse Tawaan Samajhte Hain, Aur
Tumhare Haq Main Museebatoun Ke Muntzir Hain .Un Hi Par Buri Museebat Waqqe Ho.
Aur Khuda Sunne Wala Aur Jaanne Wala Hai.
99
Aur Baaz
Dehaati Aise Hain Ke Khuda Par Aur Roz-E-Aakrat Par Eemaan Rakhte Hain, Aur Joh
Kuch Kharch Karte Hain Us Ko Khuda Ki Qurbat Aur Paigaambar Ki Duaaoun Ka
Zariya Samajhte Hain. Daikho Wo Be Shuba Un Ke Liye Mooajab-E-Qurbat Hai, Khuda
Un Ko Anqareeb Apni Rehmat Main Daakhil Kare Ga.Be Shak Khdua Bakhashne Wala
Meherbaana Hai.
100
Jin Lougon Ne
Sabqat Ki Yaaani Sab Se Pehle Eemaan Laye, Mohaajreen Main Se Bhi Aur Ansaar
Main Se Bhi. Aur Jinhoun Ne Naiko Kaari Ke Sath Un Ki Pairwi Ki, Khuda Un Se
Khush Hai Aur Wo Khuda Se Khush Hain, Aur Us Ne Un Ke Liye Baghaat Taiyaar Kiye
Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hai Aur Hamesha Un Main Rahain Ge. Ye Bari
Kaamyaabi Hai.
101
Aur Tumhare
Gird-O-Nawah Ke Baaz Deehati Munafiq Hain Aur Baaz Madeene Wale Bhi Nifaaq Par
Arre Hue Hain Tum Unhain Nahi Jante. Ham Jaante Hain. Ham Un Ko Dohra(Double)
Azaab Dainge Phir Wo Bare Azaab Ki Taraf
Loutaye Jayen Ge.
102
Aur Kuch Aur
Loug Hain Ke Apne Gunaahoun Ka Saaf Iqraar Karte Hain Unhoun Ne Ache Bure
Amloun Ko Mila Jula Dia Tha .Qareeb Hai Ke Khuda Un Par Meherbaani Se Tawajoh
Farmaye. Be Shak Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
103
Un Ke Maal
Main Se Zakaat Qabool Kar Lo, Ke Us Se Tum Un Ko Zaahir Main Bhi Paak Aur
Baatin Main Bhi Paakeeza Karte Ho, Aur Un Ke Haq Main Dua-E-Khair Karo Ke
Tumhari Dua Un Ke Liye Mooajab Taskeen Hai, Aur Khuda Sunne Wala Aur Jaanne
Wala Hai.
104
Kia Yeh Loug
Nahi Jante Ke Khuda Hi Apne Bandoun Se Touba Qabool Fermata Hai Aur
Sadqaat-O-Khairaat Leta Hai Aur Be Shak Khuda Hi Touba Qabool Karne Wala
Meherbaan Hai.
105
Aur Un Se Keh
Do Ke Amal Kiye Jao .Khuda Aur Us Ka Rasool Aur Momin Sab Tumhare Amaloun Ko
Daikh Lain Ge. Aur Tum Gaaib-O-Haazir Ke Jaanne Wale Khuda-E-Waahid Ki Taraf
Loutaye Jao Ge, Phir Joh Kuch Tum Karte
Rahe Ho Wo Sab Tum Ko Bata Dega.
106
Aur Kuch Aur
Loug Hain, Jin Ka Kaam Khuda Ke Hukum Par Moqoof Hai. Chaahe Un Ko Azaab De Aur
Chaahe Moaaf Kar De. Aur Khuda Jaannne Wala Hikmat Wala Hai.
107
Aur Un Main Se
Aise Bhi Hain Jinhoun Ne Is Gharz Se Masjid
Banai Hai Ke
Zarrar (Nuqsaan) Pohonchayen Aur Kufur Karain Aur Mominoun Main Taffarriqa
Daalain, Aur Joh Loug Khuda Aur Us Ke Rasool Se
Pehle Jung Kar Chuke Hain Un Ke Liye Ghaat Ki Jaga Banaain. Aur Qasmain
Khayen Ge Ke Hamara Maqsood Toh Sirf Bhalai Thi. Magar Khuda Gawahi Deta Hai,
Ke Ye Jhoote Hain.
108
Tum Us Masjid
Main Kabhi Jaa Kar Khare Bhi Na Hona.Albatta Wo Masjid Jis Ki Buniyaad Pehle
Din Se Taqwa Par Rakhi Gai Hai, Is Qaabil Hai Ke Us Main Jaaya Aur Namaaz
Parhaaya Karo. Is Main Aise Loug Hain Joh Ke Paak Rehne Ko Pasand Karte Hain. Aur
Khuda Paak Rehne Waloun Ko Hi Pasand Karta Hai.
109
Bhala Jis
Shakhs Ne Apni Imaarat Ki Buniyaad Khuda Ke Khof Aur Us Ki Raza Mandi Par
Rahki, Wo Acha Hai Ya Wo Jis Ne Apni Imaarat Ki Buniyad Girr Jane Wali Khaai Ke
Kinare Par Rakhi, Ke Wo Us Ko Dozakh Ki Aag Main Le Giri Aur Khuda Zaalim
Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
110
Yeh Imarat Joh
Unhoun Ne Banai Hai Hamesha Un Ke Diloun Main Moajjab-E-Khiljaan Rahe Gi, Aur
Un Ko Mutraddid Rakhe Gi Magar Ye Ke Un Ke Dil Paash Paash Ho Jaye Aur Khuda
Jaannne Wala Hikmat Wala Hai.
111
Khuda Ne
Mominoun Se Un Ki Jaanain, Aur Un Ke Maal Khareed Liye Hain Aur Us Ke Iwwz Main
Un Ke Liye Behshat Taiyaar Ki Hai. Yeh Loug Khuda Ki Raah Main Larte Hain Toh
Maarte Bhi Hain, Aur Maare Jaate Bhi Hain. Yeh Touraat Aur Injeel, Aur Quraan
Main Saccha Waada Hai. Jis Ka Poora Karna Usse Zaroor Hai. Aur Khuda Se Ziada
Waada Poora Karne Wala Koun Hai Toh Joh Soda Tum Ne In Se Kia Hai Us Se Khush
Raho. Aur Yeh Hi Bari Kaamyaabi Hai.
112
Touba Karne
Wale,Ibadat Karne Wale,Hamd Karne Wale,Roza Rakhne Wale,Rukoo Karne Wale,Sajda
Karne Wale,Naik Kaamoun Ko Amar Karne Wale,Buri Baatoun Se Mana Karne
Wale,Khuda Ki Haddoun Ki Hifazat Karne Wale,Ye Hi Momin Loug Hain Aur Ae
Paigambar Mominoun Ko Behshat Ki Khushkhabri Suna Do.
113
Paigambar Aur
Musalmanoun Ko Shayaan Nahi Ke Jab Un Par Zaahir Ho Gaya Ke Mushrik
Ehl-E-Dozakh Hain.Toh Un Ke Liye Bakhshish Maangain, Go Wo Un Ke Qurabat Daar
Hi Houn.
114
Aur Ibraahim
Ka Apne Baap Ke Liye Bakhshish Maangna Toh Aik Waade (Promise) Ka Sabab Tha,
Joh Wo Us Se Kar Chuke The. Lekin Jab Un Ko Maloom Ho Gaya Ke Wo Khuda Ka
Dushman Hai Toh Us Se Baizaar Ho Gaye. Kuch Shak Nahi Ke Ibrahim Bare Narm Dil
Aur Mutahammil (Tahammul Rakhne Wale) The.
115
Aur Khuda Aisa
Nahi Ke Kisi Qoum Ko Hidayat Dene Ke Baad Gumraah Kar De Jab Tak Un Ko Wo Cheez
Na Bata De Jis Se Wo Parhaiz Karain. Beshak Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.
116
Khuda Hi
Hai, Jis Ke Liye Aasmaaoun Aur Zameenoun
Ki Baadshahat Hai. Wo Hi Zindagi Bakhshta Wo Hi Mout Deta Hai Aur Khuda Ke Siwa
Tumhara Koi Dost Aur Madad Gaar Nahi Hai.
117
Be Shak Khuda
Ne Paigambar Par Meherbaani Ki Aur Mohaajreen Aur Ansaar Par, Joh Bawajood Is
Ke Keh Un Main Se Baazoun Ke Dil Jald Phir Jaane Ko The. Mushkil Ki Ghari Main,
Paigambar Ke Sath Rahe. Phir Khuda Ne Un Par Meherbaani Farmayee.Beshak Wo Un
Par Nihayat Shafqat Karne Wala Aur Meherbaan Hai.
118
Aur Un Teenoun
Par Bhi Jis Ka Moaamla Multavi (Delayed) Kia Gaya Tha. Yahan Tak Ke Jab Zameen
Bawajood Faraakhi Ke Un Par Tang Ho Gai, Aur Un Ki Jaanain Bhi Un Par Dobhar Ho
Gayeen. Aur Unhoun Ne Jaan Liya, Ke
Khuda (Ke Hath Se) Khud Us Ke Siwa Koi Panaah Nahi. Phir Khuda Ne Un Par
Meherbaani Ki Taa-Ake Touba Karain. Be Shak Khuda Touba Qabool Karne Wala
Meherbaan Hai.
119
Ae
Ehl-E-Eemaan! Khuda Se Darte Raho Aur Raast Baazoun Ke Sath Raho.
120
Ehl-E-Madeena
Ko Aur Jo Un Ke Aas Paas Dehaati Rehte Hain Un Ko Shayaan Na Tha Ke
Paigambar-E-Khuda Se Peeche Reh Jayen, Aur Na Ye Ke Apni Jaanoun Ko Un Ki Jaan
Se Ziada Azeez Rakhain. Yeh Is Liye Ke Unhain Khuda Ki Raah Main Joh Takleef
Pohonchti Hai, Piyaas Ki, Ya Mehnat Ki, Ya Bhook Ki Ya Wo Aisi Jaga Chalte Hain
Ke Kaafiroun Ko Gussa Aaye, Ya Dushmanoun Se Koi Cheez Lete Hain Toh Har Baat
Par Un Ke Liye Amal-E-Naik Likha Jata Hai. Kuch Shak Nahi, Ke Khuda Naiko Kaaroun
Ka Ajar Zaaya Nahi Karta.
121
Aur Isi Tarha
Wo Joh Kharch Karte Hain Thora Ya Bohot Ya Koi Maidaan Te (Cross) Karte Hain,
Toh Ye Sab Kuch Un Ke Liye Aamaal-E-Suaaleh Main Likh Liya Jata Hai Taa-Ake
Khuda Un Ko Un Ke Aamaal Ka Bohot Acha
Badla De.
122
Aur Ye Toh Ho
Nahi Sakta, Ke Momin Sab Ke Sab Nikal
Aayen. Toh Youn Kion Na Kia Ke Har Aik Jamaat Main Se Chand Ashkhaas Nikal
Jaate Taa-Ake Deen Ka Ilm Seekhte Aur Us Main Samajh Paida Karte, Aur Jab Apni
Qoum Ki Taraf Wapas Aate Toh Un Ko Dar Sunate Taa-Ake Wo Huzar Karte.
123
Ae
Ehl-E-Eemaan! Apne Nazdeek Ke Rehne Wale Kaafiroun Se Jung Karo Aur Chahiye Ke
Wo Tum Main Sakhti Yaani Mehnat-O-Quwwat-E-Jung Maloomaat Karain. Aur Jaan
Rakho Ke Khdua Parhaizgaaroun Ke Sath Hai.
124
Aur Jab Koi
Soorat Nazil Hoti Hai Toh Baaz Munafiq Istehza Karte Aur Poochte Hain Ke Is
Soorat Ne Tum Main Se Kis Ka Eemaan Ziada Kia Hai. So Joh Eemaan Wale Hain Un
Ka Eeman Toh Ziada Kia Aur Wo Khush Hote Hain.
125
Aor Jin Ke
Diloun Main Marz Hai , Un Ke Haq Main Khubs Par Khubs Ziada Kia Aur Wo Mare Bhi
Toh Kaafir Ke Kaafir.
126
Kia Yeh
Daikhte Nahi Ke Ye Har Saal Aik Ya Do Baar Bala Main Phansa Diye Jate Hain,
Phir Bhi Touba Nahi Karte Aur Na Naseehat Pakarte Hain.
127
Aur Jab Koi
Soorat Nazil Hoti Hai Toh Aik Doosre Ki Taraf Dakhne Lagte Hain Aur Poochte
Hain, Ke Bhala Tumhain Koi Daikhta Hai, Phir, Phir Jate Hain. Khuda Ne Un Ke
Diloun Ko Phair Rakha Hai Kion Ke Ye Aise Loug Hain Ke Samajh Se Kaam Nahi
Laite.
128
Lougo! Tumhare
Pas, Tum Hi Main Se Aik Paigambar Aaye
Hain. Tumhari Takleef Unko Garaan Maloom Hoti Hai Aur Tumhari Bhalai Ke Bohot
Khuahish Mand Hain Aur Mominoun Par Nihayat Shafqat Karne Wale Aur Meherbaan
Hain.
129
Phir Agar Ye
Loug Phir Jayen Aur Na Maanain Toh Keh Do Ke Khuda Mujhe Kifayat Karta Hai Us
Ke Siwa Koi Maabood Nahi Ussi Par Mera Bharosa Hai Aur Wo Hi Arsh-E-Azeem Ka
Malik Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!