Soorah-E-Al-Isra
Sorrh Number 17
Aayaat 111
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala Hai.
1
Wo Zaat Paak Hai, Joh
Aik Raat Apne Bande Ko Masjid-Ul-Haraam Yaani Khaana-E-Kaaba Se Masjid-E-Aqsa
Yaani Bait-Ul-Muqaddas Tak, Jis Ke Girda Gird Ham Ne Barkatain Rakhi Hain Le
Gaya, Ta-Ake Ham Usse Apni Qudrat Ki Naishaniyan Dikhayen. Be Shak Wo Sunn-Ne
Wala Aur Daikhne Wala Hai.
2
Aur Ham Ne Moosa Ko
Kitaab Inayat Ki Thi Aur Us Ko Bani Israil Ke Liye Rehnuma Muqarrar Kia Tha, Ke
Mere Siwa Kisi Ko Kaar Saaz Na Thehrana.
3
Ae Un Lougon Ki Aulad,
Jin Ko Ham Ne Nooh Ke Sath Kashti Main Sawar Kia Tha. Be Shak Nooh Hamare
Shukar Guzaar Bande The.
4
Aur Ham Ne Kitaab Main
Bani Israil Se Keh Dia Tha Ke Tum Zameen Main Do Dafa Fisaad Machao Ge Aur Bari
Sarkashi Karo Ge.
5
Pas Jab Pehle Wade Ka
Waaqt Aaya Toh Ham Ne Sakht Laraye Larne Wale Bande Tum Par Mussalat Kar Diye
Aur Wo Shehroun(Cities) Ke Andar Phail Gaye. Aur Wo Waada Poora Ho Kar Raha.
6
Phir Ham Ne Doosri
Baar Tum Ko Un Par Ghalba Dia Aur Maal Aur Baitoun(Son) Se Tumhari Madad Ki. Aur
Tum Ko Jamaat-E-Kaseer(Huge Group) Bana Dia.
7
Agar Tum Naiko Kaari
Karo Ge Toh Apni Jaanoun Ke Liye Karo Ge. Aur Agar Aamaal Bad Karo Ge Toh Un Ka
Wabaal Bhi Tumhari Hi Jaanoun Par Hoga, Phir Jab Doosre Wade Ka Waqt Aaya Toh
Ham Ne Phir Apne Bande Bhaije Taa-Ake Tumhare Chehroun Ko Bigaar Dain, Aur Jis
Tarha Pehli Dafa Masjid(Bait-Ul-Muqaddas) Main Dakhil Ho Gaye The Ussi Tarha
Phir Us Main Dakhil Ho Jayen, Aur Jis Cheez Par Galba Paayen Usse Tabaah Kar
Dain.
8
Umeed Hai Ke Tumhara
Parwardigar Tum Par Rehem Kare. Aur Agar Tum Phir Wohi Harkatain Karo Ge Toh
Ham Bhi Wo Hi Pehla Salook Karain Ge, Aur Ham Ne Jahanuum Ko Kaafiroun Ke Liye
Qiad Khana Bana Rakha Hai.
9
Yeh Quraan Wo Rasta
Dikhata Hai Joh Sab Se Seedha Hai Aur Mominoun Ko Joh Naik Amal Karte Hain
Bisharat Deta Hai Ke Un Ke Liye Ajar-E-Azeem Hai.
10
Aur Yeh Bhi Batata Hai
Ke Joh Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte Un Ke Liye Ham Ne Dukh Dene Wala Azaab
Taiyar Kar Rakha Hai.
11
Aur Insan Jis Tarha
Jaldi Se Bhalai Maangta Hai, Ussi Tarha Burai Mangta Hai. Aur Insane Jald Baaz
Paida Hua Hai.
12
Aur Ham Ne Din Aur
Raat Ko Do Nishaniyan Banaya Hai Raat Ki Nishani Ko Tareek Banaya Aur Din Ki
Nishani Ko Roshan. Taa-Ake Tum Apne Parwaridgaar Ka Fazal Yaani Rozi Talash
Karo Aur Barsoun(Years) Ka Shumaar(Counting) Aur Hisab Jano. Aur Ham Ne Har
Cheez Ki Bakhoobi Tafseel Kar Di Hai.
13
Aur Ham Ne Har Insan
Ke Aamaal Ko Ba Soorat-E-Kitaab Us Ke Gale Main Latka Dia Hai. Aur Qiamat Ke
Roz Wo Kitaab Usse Nikaal Dikhayen Ge Jisse Wo Khula Hua Daikhe Ga.
14
Kaha Jaye Ga Ke Apni
Kitaab Parh Le. Toh Aaj Apna Aap Hi Mohasib Kafi Hai.
15
Joh Shakhs Hidayat
Ikhtiyar Karta Hai To Apne Liye Ikhtiyaar Karta Hai.Aur Joh Gummarh Hota Hai
Toh Gumhrai Ka Zarrar Bhi Ussi Ko Hoga.Aur Koi Shakhs Kisi Doosre Ka Bojh Nahi
Uthaye Ga. Aur Jab Tak Ham Paigambar Na Bhaij Lain Azaab Nahi Dia Karte.
16
Aur Hamara Irada Kisi Basti Ke Halak Karne Ka Hua
Toh Wahan Ke Aasooda Lougon Ko Fawahish(Buri Batain) Par Maamoor Kar Dia, Toh
Wo Nafarmaniyan Karte Rahe. Phir Us Par Azaab Ka Hukum Sabit Ho Gaya. Aur Ham
Ne Usse Halak Kar Daala.
17
Aur Ham Ne Nooh Ke Bad
Bohot Si Ummatoun Ko Halak Kar Daala. Aur Tumhara Parwardigaar Apne Bandoun Ke
Gunnahon Ko Jaan-Ne Aur Daikhne Wala Kafi Hai.
18
Joh Shakhs Dunia Ki
Aasoodgi Ka Khuahismand Ho Toh Ham Us Main Se Jisse Chahte Hain Aur Jitna
Chahate Hain Jald De Dete Hain. Phir Us Ke Liye Jahannum Ko Thikana Muqarrar
Kar Rakha Hai. Jis Main Wo Nafrain Sunn Kar Aur Dargaah-E-Khuda Se Raanda Ho
Kar Dakhil Hoga.
19
Aur Joh Shakhs Aakhrat
Ka Khuastgaar(Talabgaar) Ho Aur Us Main Utni Khoshish Kare Jistni Usse Laaiq
Hai Aur Wo Momin Bhi Ho Toh Aise Hi Lougone Ki Koshish Thikane Lagti Hai.
20
Ham Un Ko Aur In Ko
Sabko Tumhare Parwardigar Ki Bakhshish Se Madad Dete Hain. Aur Tumhare
Parwardigar Ki Bakhshish Kisi Se Ruki Hui Nahi.
21
Daikho Ham Ne Kis
Tarha Baaz Ko Baaz Par Fazeelat Bakhshi Hai. Aur Aakhrat, Darjoun Main Dunia Se
Bohot Bar Tar Aur Bartari Main Kahin Barh Kar Hai.
22
Aur Khuda Ke Sath Koi
Aur Maabood Nahi Banana Ke Malaamatain Sunn Kar Aur Be Kas Ho Kar Baihte Reh
Jao Ge.
23
Aur Tumhare
Parwardigar Ne Irshaad Farmaya Hai Ke Us Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo Aur
Maan Baap Ke Sath Bhalai Karte Raho .Agar Un Main Se Aik Ya Dono Tumhare Saamne
Burhape Ko Pohonch Jayen Toh Un Ko Uff Tak Na Kehna Aur Na Unhain Jhirakna Aur
Un Se Baat Adab Ke Sath Karna.
24
Aur Ajz-O-Niaz Se Un
Ke Aage Jhuke Raho Aur Un Ke Haq Main Dua Karo Ke Ae Parwardigar Jaisa Unhoun
Ne Mujhe Bachpan(Childhood) Main Shafqat(Affection) Se Parwarish(Grow) Kia Hai
Tu Bhi Un Ke Haal Par Rehmat Farma.
25
Joh Kuch Tumhare
Diloun Mian Hai Tumhara Parwardigar Us Se Bakhoobi Waqif Hai. Agar Tum Naik Ho
Ge Toh Wo Rujoo Lane Waloun Ko Bakhsh Dene Wala Hai.
26
Aur Rishta Daaroun(Relatives)
Aur Mohtajoun(Needy People) Aur Musafiroun(Travelers) Ko Un Ka Haq Ada Karo. Aur
Fizool Kharchi Se Maal Na Uraao.
27
Ke Fizool Kharchi Karne Wale Toh Shaitan Ke Bhai Hain. Aur Shaitan Apne Parwardigar Ki Naimatoun Ka Kufraan Karne Wala, Yaani Na Shukra Hai.
Ke Fizool Kharchi Karne Wale Toh Shaitan Ke Bhai Hain. Aur Shaitan Apne Parwardigar Ki Naimatoun Ka Kufraan Karne Wala, Yaani Na Shukra Hai.
28
Aur Agar Tum Ne Apne
Parwardigar Ki Rehmat Yaani Farakh Dasti Ke Intizaar Main Jis Ki Tumhain Umeed
Ho Un Mustehqeen Ki Taraf Tawajoh Na Kar Sako Toh Un Se Narmi Se Baat Keh Dia
Karo.
29
Aur Apne Hath Ko Na
Toh Garden Se Bandha Hua Yaani Bohot Tang Karo Ke Kisi Ko Kuch Do Hi Nahi, Aur
Na Bilkul Khol Hi Do Ke Sabhi Kuch De Daalo Aur Anjaam Yeh Ho Ke Malamat
Zada Aur Darmanda Ho Kar Baith Jao.
30
Be Shak Tumhara
Parwardigar Jis Ki Rozi Chahta Hai Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ki Rozi Chahta Hai
Tang Kar Deta Hai Wo Apne Bandoun Se Khabardar Hai Aur Un Ko Daikh Raha Hai.
31
Aur Apni Aulaad Ko
Muflisi(Poor) Ke Khof Se Qatal Na Karna. Kion Ke Un Ko Aur Tum Ko Ham Hi Rizq
Dete Hain. Kuch Shak Nahi Ke Un Ka Maar Daalna Bara Sakht Gunnah Hai.
32
Aur Zana Ke Bhi Paas
Na Jaana Ke Wo Be Hayayee Aur Buri Raah Hai.
33
Aur Jis Jaandaar Ka
Maarna Khuda Ne Haraam Kia Hai Usse Qatal Na Karna Magar Jaaiz Tour Par Yaani
Bafatwa-E-Shariyat(According Toh Sharah) Aur Joh Shakhs Zulm Se Qatal Kia Jaye
Ham Ne Us Ke Waris Ko Ikhtiyar Dia Hai Keh Zalim Qatil Se Badla Le Toh Us Ko
Chahiye Ke Qatal Ke Qasaas Main Ziadti Na Kare Ke Wo Mansoor-O-Fatahyaab Hai.
34
Aur Yateem(Orphan) Ke
Maal Ke Paas Bhi Na Phatakna Magar Aise Tareeq Se Ke Bohot Behtar Ho Yahan Tak
Ke Wo Jawani Ko Pohonch Jaye.Aur Ehed Ko Pora Karo Ke Ehed Ke Bare Main Zaroor
Purrshish Hogi.
35
Aur Jab Koi Cheez Maap
Kar Dene Lago Toh Paimana Poora Bhara Karo Aur Jab Toul Kar Do Toh Tarazoo
Seedhi Rakh Kar Toula Karo. Yeh Bohot Achi Baat Aur Anjaam Ke Lehaaz Se Bhi
Bohot Behtar Hai.
36
Aur Ae Bande Jis Cheez
Ka Tujhe Ilm Nahi Us Ke Peeche Na Par. Ke Kaan Aur Aankh Aur Dil In Sab Jawareh
Se Zaroor Baaz Purrs Hogi.
37
Aur Zameen Par Akar
Kar Aur Tan Kar Mat Chal, Keh Tu Zameen Ko Phaar Toh Nahi Dale Ga Aur Na Lamba
Ho Kar Paharoun Ki Choti Tak Pohonch Jaye Ga.
38
In Sab
Aadatoun(Nature) Ki Burai Tere Parwardigar Ke Nazdeek Bohot Na Pasand Hai.
39
Ae Paigambar S.A.W. Ye
Un Hidayatoun Main Se Hain Joh Khuda Ne Daanayee Ki Batain Tumhari Taraf Wahi
Ki Hain. Aur Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Na Banana Ke Aisa Karne Se Malamat
Zada Aur Dargaah-E-Khuda Se Raanda Bana Kar Jahannum Main Dal Diye Jao Ge.
40
Mushriko! Kia Tumhare
Parwardigar Ne Tumko To Larke Diye Aur Khud Farishtoun Ko Baitiyan Banaya. Kuch
Shak Nahi Ke Yeh Tum Bari Naa Maqool Baat Kehte Ho
41
Aur Hamne Is Quraan
Main Tarha Tarha Ki Batain Bayan Ki Hain Taa-Ake Loug Naseehat Pakrain. Magar
Wo Is Se Aur Bidak Jate Hain.
42
Keh Do Ke Agar Khuda
Ke Sath Aur Maabood Hote Jaisa Ke Yeh Kehte Hain Toh Wo Zaroor Khuda-E-Malik
Arsh Ki Taraf Larne Bhirne Ke Liye Rasta Nikalte.
43
Wo Paak Hai Aur Joh
Kuch Yeh Bakwas Karte Hain Us Se Us Ka Rutbaa Bohot Aali Hai.
44
Saatoun (7) Aasmaan
Aur Zameen Aur Joh Loug Un Main Hain Sab Us Ki Tasbeeh Karte Hain. Aur
Makhlooqat Main Se Koi Cheez Nahi Magar Us Ki Taaareef Ke Sath Tasbeeh Karti
Hai. Lekin Tum Un Ki Tasbeeh Ko Nahi Samajhte. Be Shak Wo Burdbaar Aur Gaffaar
Hai.
45
Aur Jab Tum Quraan
Parha Karte Ho Toh Ham Tum Main Aur Un Lougon Main Joh Aakhrat Par Eemaan Nahi
Rakhte Hijaab Par Hijaab Kar Dete Hain.
46
Aur Un Ke Diloun Par
Parda Daal Dete Hain Ke Usse Samajh Na Sakain Aur Un Ke Kaanoun Main
Saqal(Lock) Paida Kar Dete Hain. Aur Jab Tum Quraan Main Apne Parwardigaar
Yakta(One) Ka Zikar Karte Ho Toh Wo Bidak Jate Aur Peeth Phair Kar Chal Dete
Hain.
47
Ye Loug Jab Tumhari
Taraf Kaan Lagate Hain Toh Jis Niyat Se Ye Sunte Hain Ham Usse Khoob Jante Hain
Aur Jab Ye Sargoshiyan Karte Hain Yaani Jab Zalim Kehte Hain Ke Tum Toh Aik
Aise Shakhs Ki Pairwi Karte Ho Jis Par Jadu Kia Gaya Hai.
48
Daikho Unhoun Ne Kis
Kis Tarha Ki Tumhare Bare Main Batain Banayi Hain. So Yeh Gumraah Ho Rahe Hain
Aur Rasta Nahi Paa Sakte.
49
Aur Kehte Hain Ke Jab
Ham Mar Kar Boseeda Haddiyan Aur Choor Choor Ho Jayen Geh Toh Kia Az Sar-E-No
Paida Ho Kar Uthain Ge.
50
Keh Do Ke Khuah Tum
Pathar(Stone) Ho Jao Ya Loha(Iron).
51
Ya Koi Aur Cheez Joh
Tumhare Nazdeek Pathar Aur Lohe Se Bhi Bari Sakht Ho, Jhat Kahian Ge Ke Bhala Hamain Dobara Koun Jiilaye
Ga? Keh Do Keh Wo Hi Jis Ne Tum Ko Pehli Baar Paida Kia. Toh Taajub Se Tumhare
Aage Sar Hilaayen Ge Aur Poochain Ge, Ke Aisa Kab Hoga? Keh Do Umeed Hai Jald
Hoga.
52
Jis Din Wo
Tumhain Pukare Ga Toh Tum Us Ki Taaareef
Ke Sath Jawab Do Ge Aur Khayal Karo Ge Ke Tum Dunia Main Bohot Kam Muddat Rahe.
53
Aur Mere Bandoun Se
Keh Do Ke Lougoun Se Aisi Batain Kaha Karain Joh Bohot Pasandeeda Houn. Kion Ke
Shaitan Buri Batoun Se Un Main Fisaad Dalwa Deta Hai. Kuch Shak Nahi Ke Shaitan
Insaan Ka Khula Dushman Hai.
54
Tumhara Parwardigar
Tum Se Khoob Waqif Hai. Agar Chahe Toh Tumhain Azaab De. Aur Ham Ne Tum Ko Un
Par Darogha Bana Kar Nahi Bhaija.
55
Aur Joh Loug
Aasmaanoun Aur Zamen Main Hain Tumhara Parwardcigar Un Se Khoob Waqif Hai. Aur
Ham Ne Baaz Paigambaroun Ko Baaz Par Fazeelat Bakhashi Aur Daawood Ko Zaboor
Inayat Ki.
56
Kaho Ke Mushriko! Jin
Lougon Ki Nisbat Tumhain Maabood Hone Ka Gumaan Hai Un Ko Bulao. Daikho Wo Tum
Se Takleef Ke Door Karne Ya Us Ke Badal Dene Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte.
57
Yeh Loug Jin Ko Khuda
Ke Siwa Pukaarte Hain, Wo Khud Apne Parwardigaar Ke Haan Zariya-E-Taqqarub
Talash Karte Rehte Hain, Ke Koun Un Main Khuda Ka Ziada Muqqrab Hota Hai Aur Us
Ki Rehmat Ke Umeedwar Rehte Hain Aur Us Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain. Be Shak
Tumhare Parwardigar Ka Azaab Darne Ki Cheez Hai.
58
Aur Kufur Karne Waloun
Ki Koi Basti Nahi, Magar Qiamat Ke Din Se Pehle Ham Usse Halaak Kar Dainge Ya
Sakht Azaab Se Moaazzab Karain Ge. Yeh Kitaab Yaani Taqdeer Main Likha Ja
Chukka Hai.
59
Aur Ham Ne Nishaniyan
Bhaijni Is Liye Moqoof(Stop) Kar Deen Ke Agle Lougon Ne Us Ki Takzeeb Ki Thi. Aur
Ham Ne Samood Ko Oontni Nishani Di. Toh Unhoun Ne Us Par Zulm Kia Aur Ham Joh
Nishaniyan Bhaija Karte Hain Toh Darane Ko.
60
Jab Ham Ne Tum Se Kaha
Ke Tumhara Parwardigar Lougon Ko Aehaata Kiye Hue Hai. Aur Joh Numaaish Ham Ne
Tumhain Dikhayee Us Ko Lougon Ke Liye Aazmaaish Kia. Aur Issi Tarha (Thooar
Tree) Ke Darakht Ko Jis Par Quraan Main Laanat Ki Gai .Aur Ham Unhain Darate
Hain Toh Un Ko Us Se Bari Sakht Sarkashi Paida Hoti Hai.
61
Aur Jab Ham Ne
Farishtoun Se Kaha Ke Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kia Magar Iblees Ne
Na Kia. Bola Ke Bhala Main Aise Shakhs Ko Sajda Karooon Jis Ko Tu Ne Matti
(Mud) Se Paida Kia Hai.
62
Aur Azraah-E-Tanz
Kehne Laga Ke Daikh Toh Yehi Wo Hai Jisse Tu Ne Mujh Par Fazeelat Di Hai. Agar
Tu Mujh Ko Qiamat Ke Din Tak Ki Mohlat De Toh Main Thore Se Shakhsoun Ke Siwa
Is Ki Tamaam Aulaad Ki Jar Kaat-Ta Rahoon Ga.
63
Khuda Ne Farmaya Yahan
Se Chala Ja. Joh Shakhs In Main Se Teri Pairwi Kare Ga, Toh Tum Sab Ki Jaza Jahannum
Hai Aur Wo Poori Saza Hai.
64
Aur Un Main Se Jis Ko
Behka Sake Apni Aawaaz Se Behkata Reh. Aur Un Par Apne Sawaaroun Aur Piyaaroun
Ko Charha Kar Laata Reh Aur Un Ke Maal Aur Aulad Main Shareek Hota Reh Aur Un
Se Wade Karta Reh. Aur Shaitaan Joh Wade Un Se Karta Hai Sab Dhoka Hai.
65
Joh Mere Mukhlis Bande
Hain Un Par Tera Kuch Zor Nahi.Aur Ae Paigambar S.A.W. Tumhara Parwardigaar
Kaar Saaz Kaafi Hai.
66
Tumhara Parwaradigar
Wo Hai Joh Tumhre Liye Darya Main Kashtiyan Chalata Hai. Taa-Ake Tum Us Ke
Fazal Se Rozi Talaash Karo. Be Shak Wo Tum Par Meherbaan Hai.
67
Aur Jab Tum Ko Darya
Main Takleef Pohonchti Hai Yaani Doobne Ka Khof Hota Hai, Toh Jin Ko Tum Pukara
Karte Ho Sab Us Parwardigaar Ke Siwa Gumm Ho Jate Hain. Phir Jab Wo Tum Ko
Doobne Se Bahca Kar Khushki Par Le Jata Hai Toh Tum Mooh Phair Lete Ho Aur
Insan Hai Hi Na Shukra.
68
Kia Tum Us Se Be Khof
Ho Ke Khuda Tumhain Khushki Ki Taraf Le Ja Kar Zameen Main Dhanasa De, Ya Tum
Par Sangraizoun Ki Bhari Hui Aandhi Chala De. Phir Tum Apna Koi Nigehbaan Na
Paao.
69
Ya Is Se Be Khof Ho Ke
Tum Ko Doosri Dafa Darya Main Le Jaye, Phir Tum Par Taiz Hawa Chalaye Aur
Tumhare Kufur Ke Sabab Tumhain Dabo De. Phir Tum Us Garq Ke Sabab Apne Liye Koi
Peecha Karne Wala Na Paao.
70
Aur Ham Ne Bani Aadam
Ko Izzat Bakhshi Aur Un Ko Jungle Aur Darya Main Sawari Di Aur Paakeeza Rozi
Ata Ki Aur Apni Bohot Se Makhlooqaat Par Fazeelat Di.
71
Jis Din Ham Sab Lougon
Ko Un Ke Paishwaaoun Ke Sath Bulaayne Ge. Toh Jin Ke Aamaal Ki Kitaab Un Ke
Daahne Hath Main di Jaye Gi, Wo Apni Kitaab Ko Khush Ho Ho Kar Parhain Ge Aur
Un Par Dhage Barabar Bhi Zulm Na Hoga.
72
Aur Joh Shakhs Is
Dunia Main Andha Ho Wo Aakhrat Main Bhi Andha Hoga.Aur Nijaat Ke Raste Se Bohot
Door.
73
Aur Ae Paigamabar Jo
Wahi Ham Ne Tumhari Taraf Bhaiji Hai Qareeb Tha, Ke Ye Kaafir Loug Tum Ko Us Se
Bahca Dain Taa-Ake Tum Us Ke Siwa Aur Baatain Hamari Nisbat Bana Lo. Aur Us
Waqt Wo Tum Ko Dost Bana Lete.
74
Aur Agar Tum Ko Sabit
Qadam Na Rehne Dete Toh Tum Kisi Qadar Un Ki Taraf Maail Hone Hi Lage The.
75
Us Waqt Ham Tum Ko
Zindagai Main Azaab Ka Doogna(Double) Aur Marne Par Bhi Doona Azaab Chakhate
Phir Tum Hamare Muqaable Main Kisi Ko Apna Madadagaar Na Pate.
76
Aur Qareeb Tha Ke Ye
Loug Tumhain Zameen-E-Makkah Se Phusla Dain, Taa-Ake Tumhain Wahan Se Jala Watan Kar Dain. Aur
Us Waqt Tumhare Peeche Ye Bhi Na Rehte Magar Kam.
77
Joh Paigambar Ham Ne
Tum Se Pehle Bhaije The Un Ka Aur Un Ke Bare Main Hamara Ye Hi Tareeq Raha Hai,
Aur Tum Hamare Tarreeq Main Taghaaiyurr-O-Tabaddul Na Paao Ge.
78
Ae Muhammad S.A.W.
Sooraj Ke Dhalne Se Raat Ke Andhere Tak (Zohor,Asar,Magrib,Isha Ki) Namazain
Aur Subha Ko Quraan Parha Karo. Kion Ke Subha Ke Waqt Quraan Ka Parhan
Moojjab-E-Huzoor Malaaika Hai.
79
Aur Baaz Hissa-e-Shab
Main Baidaar Hua Karo. Aur Tahajjud Ki Namaaz Parha Karo. Yeh Shab Khaizii
Tumhare Liye Sabab-E-Ziarat Hai, Qareeb Hai Ke Khuda Tum Ko Maqaam-E-Mehmood
Main Daakhil Kare.
80
Aur Kaho Ke Ae
Parwardigaar, Mujhe Madeene Main Achi Tarha Daakhil Kijiyo Aur Makkhe Se Achi
Tarha Nikaaliyo. Aur Apne Haan Se Zor-O-Qwat(Power)Ko Mera Madadagaar Banaiyo.
81
Aur Keh Do Ke Haq
Aagaya Aur Baatil Nabood Ho Gaya. Be Shak Baatil Nabood Hone Wala Hai.
82
Aur Ham Quraan Ke
Zariye Se Wo Cheez Naazil Karte Hain Joh Mominoun Ke Liye Shifa Aur Rehmat Hai
Aur Zaalimoun Ke Haq Main Toh Is Se Nuqsaan Hi Barhta Hai.
83
Aur Jab Ham Insaan Ko
Naimat Bakhashte Hain Toh Ruu Gardaan Ho Jata Aur Pehlu Pahir Leta Hai. Aur Jab
Usse Sakhti Pohonchti Hai, Toh Na Ummeed Ho Jata Hai.
84
Keh Do Ke Har Shakhs
Apni Tareeq Ke Mutabiq Amal Karta Hai. So Tumahra Parwardigaar Us Shakhs Se
Khoob Waqif Hai Joh Sab Se Ziada Seedhe Raste Par Hai.
85
Aur Tum Se Rooh Ke
Bare Main Sawal Karte Hain. Keh Do Ke Wo Mere Parwardigar Ki Aik Shaan Hai Aur
Tum Lougon Ko Bohot Hi Kam Ilm Dia Gaya
Hai.
86
Aur Agar Ham Chahian,
Toh Joh Kitaab Ham Tumhari Taraf Bhaijte Hain, Usse Diloun Se Mehew Kar Dain. Phir
Tum Us Ke Liye Hamare Muqable Main Kisi Ko Madadgaar Na Paao.
87
Magar Us Ka Qaaim
Rehna Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Hai. Kuch Shak Nahi Ke Tum Par Us Ka Bara
Fazal Hai.
88
Keh Do Ke Agar Insan
Aur Jin Is Baat Par Mujtamaa Houn Ke Is Quraan Jaisa Bana Layen Toh Is Jaisa Na
Laa Sakain Ge. Agarcha Wo Aik Doosre Ke Madadgaar Houn.
89
Aur Ham Ne Quraan Main
Sab Batain, Tarha Tarha Se Bayan Kar Di Hain. Magar Aksar Lougon Ne Inkaar
Karne Ke Siwa Qabool Na Kia.
90
Aur Kehne Lage Ke Ham
Tum Par Eemaan Nahi Layen Ge Jab Tak Ke Ajeeb-O-Gareeb Batain Na Dikhao Yaani
Ya Toh Hamare Liye Zameen Se Chashma Jari Kar Do.
91
Ya Tumhara Khajooroun
Aur Angooroun Ka Koi Baagh(Garden) Ho Aur Us Ke Beech Main Nehrain Baha Nikalo.
92
Ya Jaisa Tum Kaha
Karte Ho Hum Par Aasmaan Ke Tukre La Giraao Ya Khuda Aur Farishtoun Ko Hamare
Saamne Le Aao.
93
Ya Toh Tumhara
Sone(Gold) Ka Ghar Ho Ya Tum Aasmaan Par Charh Jao. Aur Ham Tumahre Charne Ko
Bhi Nahi Maanain Ge, Jab Tak Ke Koi Kitaab Na Lao Jisse Ham Parh Bhi Lain. Keh
Do Ke Mera Parwardigaar Paak Hai Main Toh Sirf Aik Paigaam Pohonchane Wala
Insan Hoon.
94
Aur Jab Lougon Ke Pas
Hidayat Aa Gai Toh Un Ko Eemaan Lane Se Is Ke Siwa Koi Cheez Maane(Refuse) Na
Hui Ke Kehne Lage Keh Kia Khuda Ne Aadmi Ko Paighambar Kar Ke Bhaija Hai.
95
Keh Do Ke Agar Zameen
Main Farishte Hote Keh Is Main Chalte Phirte Aur Araam Karte, Yaani Baste, Toh
Ham Un Ke Paas Farishte Ko Paigambar Bana Kar Bhaijte.
96
Keh Do Ke Mere Aur
Tumahre Darmiyaan Khuda Hi Gawah Kafi Hai. Wo Hi Apne Bandoun Se Khabardar Aur
Unko Daikhne Wala Hai.
97
Aur Jis Shakhs Ko
Khdua Hidayat De Wo Hi Hidayat Yaab Hai. Aur Jin Ko Gumraah Kare, To Tum Khuda
Ke Siwa Un Ke Refeeq Nahi Paao Ge. Aur Ham Unko Qiamat Ke Din Oundhe Moonh Andhe Goonge Aur Behre Bana Kar Uthayen Ge. Aur
Un Ka Thikana Dozakh Hai. Jab Us Ki Aag Bujhne Ko Hogi Toh Ham Un Ko Azaab Dene
Ke Liye Aur Bharka Dain Ge.
98
Yeh Un Ki Saza Hai Is
Liye Ke Wo Hamari Aayatoun Se Kufur Karte The Aur Kehte The Keh Jab Ham Mar Kar
Boseeda Haddiyan Aur Raiza Raiza Ho Jayen Ge Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Kiye
Jayen Ge.
99
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Khuda Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia Hai, Is Baat Par
Qaadir Hai Ke Un Jaise Loug Paida Kar De. Aur Us Ne Un Ke Liye Aik Waqt
Muqarrar Kar Dia Hai, Jis Main Kuch Bhi Shak Nahi.Toh Zaalimoun Ne Inkaar Karne
Ke Siwa Usse Qabool Na Kia.
100
Keh Do Ke Agar Mere
Parwardigaar Ki Rehmat Ke Khazane Tumhare Hath Main Hote, Toh Tum Kharch Ho Jane
Ke Khof Se Un Ko Band Rakhte. Aur Insan Dil Ka Bohot Tang Hai.
101
Aur Ham Ne Moosaa Ko
Nou(9) Khuli Nishaniyan Deen, Toh Bani Israail Se Daryaaft Kar Lo Ke Jab Wo Un
Ke Paas Aaye Toh Firown Ne Un Se Kaha Ke Moosa Main Khayal Karta Hoon Ke Tum
Par Jaadu Kia Gaya Hai.
102
Unhoun Ne Kaha Ke Tum
Yeh Jante Ho Ke Aasmanoun Aur Zameen Ke Parwardigar Ke Siwa Us Ko Kisi Ne Nazil
Nahi Kia. Aur Wo Bhi Tum Lougon Ke Samjhane Ko. Aur Ae Firown Main Khayal Karta
Hoon Keh Tum Halak Ho Jao Ge.
103
Toh Us Ne Chaha Ke Un
Ko Sar Zameen-E-Missr(Egypt) Se Nikaal De, Toh Ham Ne Us Ko Aur Joh Us Ke Sath
The Sab Ko Dubo Dia.
104
Aur Us Ke Baad Bani
Israail Se Kaha Ke Tum Is Mulk Main Raho Saho. Phir Jab Aakhrat Ka Waada Aa Jaye Ga Toh Ham Tum Sab Ko Jama Kar Ke Le
Ayen Ge.
105
Aur Ham Ne Is Quraan
Ko Sachai Ke Sath Nazil Kia Hai Aur Wo Sachai Ke Sath Nazil Hua Aur Ae Muhammad
S.A.W. Ham Ne Tum Ko Sirf Khushkhabri Dene Wala Aur Dar Sunane Wala Bana Kar
Bhaija Hai.
106
Aur Ham Ne Quraan Ko
Juzw Juzw (Part By Part) Kar Ke Nazil Kia Hai, Taa-Ake Tum Lougon Ko Theher
Theher Kar Parh Kar Sunao Aur Ham Ne Us Ko Aahisa Aahista Utara Hai.
107
Keh Do Ke Tum Is Par
Eemaan Laao Ya Na Lao Ye Fee Nafsa-E-Haq Hai, Jin Lougon Ko Is Se Pehle
Ilm-E-Kitaab Dia Gaya Hai. Jab Wo Un Ko Parh Kar Sunaya Jata Hai Toh Wo
Thoriyoun(Chin) Ke Bal Sajde Main Girr Parte Hain.
108
Aur Kehte Hain Ke
Hamara Parwardiar Paak Hai Be Shak Hamare Parwardigar Ka Waada Poora Ho Kar
Raha.
109
Aur Wo Thoriyoun Ke
Bal Girr Parte Hain Aur Rote Jate Hain Aur Us Se Un Ko Aur Ziada Aajzi Paida
Hoti Hai.
110
Keh Do Ke Tum Khuda Ko
Allah Ke Naam Se Pukaro Ya Rehmaan Ke Naam Se, Jis Naam Se Pukaro Us Ke Sab
Naam Ache Hain. Aur Namaz Na Buland(Loud) Awaz Se Parho Aur Na Aahista Balke Us
Ke Beech Ka Tareeqa Ikhtiyar Karo.
111
Aur Kaho Keh Sab
Taareef Khuda Hi Ko Hai, Jis Ne Na Toh Kisi Ko Baita Banaya Hai Aur Na Us Ki
Baadshahi Main Koi Shareek Hai, Aur Na Is Waja Se Ke Wo Aajiz-O-Natawaan Hai
Koi Us Ka Madadgaar Hai Aur Us Ko Bara Jaan Kar Us Ki Barai Karte Raho.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!