Wednesday, 4 May 2016

17-Soora-e-Al-Isra Aayat- 111



Soorah-E-Al-Isra

Sorrh Number 17
Aayaat 111

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala Hai.

1
Wo Zaat Paak Hai, Joh Aik Raat Apne Bande Ko Masjid-Ul-Haraam Yaani Khaana-E-Kaaba Se Masjid-E-Aqsa Yaani Bait-Ul-Muqaddas Tak, Jis Ke Girda Gird Ham Ne Barkatain Rakhi Hain Le Gaya, Ta-Ake Ham Usse Apni Qudrat Ki Naishaniyan Dikhayen. Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Daikhne Wala Hai.

2
Aur Ham Ne Moosa Ko Kitaab Inayat Ki Thi Aur Us Ko Bani Israil Ke Liye Rehnuma Muqarrar Kia Tha, Ke Mere Siwa Kisi Ko Kaar Saaz Na Thehrana.

3
Ae Un Lougon Ki Aulad, Jin Ko Ham Ne Nooh Ke Sath Kashti Main Sawar Kia Tha. Be Shak Nooh Hamare Shukar Guzaar Bande The.

4
Aur Ham Ne Kitaab Main Bani Israil Se Keh Dia Tha Ke Tum Zameen Main Do Dafa Fisaad Machao Ge Aur Bari Sarkashi Karo Ge.


5
Pas Jab Pehle Wade Ka Waaqt Aaya Toh Ham Ne Sakht Laraye Larne Wale Bande Tum Par Mussalat Kar Diye Aur Wo Shehroun(Cities) Ke Andar Phail Gaye. Aur Wo Waada Poora Ho Kar Raha.

6
Phir Ham Ne Doosri Baar Tum Ko Un Par Ghalba Dia Aur Maal Aur Baitoun(Son) Se Tumhari Madad Ki. Aur Tum Ko Jamaat-E-Kaseer(Huge Group) Bana Dia.

7
Agar Tum Naiko Kaari Karo Ge Toh Apni Jaanoun Ke Liye Karo Ge. Aur Agar Aamaal Bad Karo Ge Toh Un Ka Wabaal Bhi Tumhari Hi Jaanoun Par Hoga, Phir Jab Doosre Wade Ka Waqt Aaya Toh Ham Ne Phir Apne Bande Bhaije Taa-Ake Tumhare Chehroun Ko Bigaar Dain, Aur Jis Tarha Pehli Dafa Masjid(Bait-Ul-Muqaddas) Main Dakhil Ho Gaye The Ussi Tarha Phir Us Main Dakhil Ho Jayen, Aur Jis Cheez Par Galba Paayen Usse Tabaah Kar Dain.

8
Umeed Hai Ke Tumhara Parwardigar Tum Par Rehem Kare. Aur Agar Tum Phir Wohi Harkatain Karo Ge Toh Ham Bhi Wo Hi Pehla Salook Karain Ge, Aur Ham Ne Jahanuum Ko Kaafiroun Ke Liye Qiad Khana Bana Rakha Hai.

9
Yeh Quraan Wo Rasta Dikhata Hai Joh Sab Se Seedha Hai Aur Mominoun Ko Joh Naik Amal Karte Hain Bisharat Deta Hai Ke Un Ke Liye Ajar-E-Azeem Hai.


10
Aur Yeh Bhi Batata Hai Ke Joh Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte Un Ke Liye Ham Ne Dukh Dene Wala Azaab Taiyar Kar Rakha Hai.

11
Aur Insan Jis Tarha Jaldi Se Bhalai Maangta Hai, Ussi Tarha Burai Mangta Hai. Aur Insane Jald Baaz Paida Hua Hai.

12
Aur Ham Ne Din Aur Raat Ko Do Nishaniyan Banaya Hai Raat Ki Nishani Ko Tareek Banaya Aur Din Ki Nishani Ko Roshan. Taa-Ake Tum Apne Parwaridgaar Ka Fazal Yaani Rozi Talash Karo Aur Barsoun(Years) Ka Shumaar(Counting) Aur Hisab Jano. Aur Ham Ne Har Cheez Ki Bakhoobi Tafseel Kar Di Hai.

13
Aur Ham Ne Har Insan Ke Aamaal Ko Ba Soorat-E-Kitaab Us Ke Gale Main Latka Dia Hai. Aur Qiamat Ke Roz Wo Kitaab Usse Nikaal Dikhayen Ge Jisse Wo Khula Hua Daikhe Ga.

14
Kaha Jaye Ga Ke Apni Kitaab Parh Le. Toh Aaj Apna Aap Hi Mohasib Kafi Hai.

15
Joh Shakhs Hidayat Ikhtiyar Karta Hai To Apne Liye Ikhtiyaar Karta Hai.Aur Joh Gummarh Hota Hai Toh Gumhrai Ka Zarrar Bhi Ussi Ko Hoga.Aur Koi Shakhs Kisi Doosre Ka Bojh Nahi Uthaye Ga. Aur Jab Tak Ham Paigambar Na Bhaij Lain Azaab Nahi Dia Karte.
16
Aur  Hamara Irada Kisi Basti Ke Halak Karne Ka Hua Toh Wahan Ke Aasooda Lougon Ko Fawahish(Buri Batain) Par Maamoor Kar Dia, Toh Wo Nafarmaniyan Karte Rahe. Phir Us Par Azaab Ka Hukum Sabit Ho Gaya. Aur Ham Ne Usse Halak Kar Daala.

17
Aur Ham Ne Nooh Ke Bad Bohot Si Ummatoun Ko Halak Kar Daala. Aur Tumhara Parwardigaar Apne Bandoun Ke Gunnahon Ko Jaan-Ne Aur Daikhne Wala Kafi Hai.

18
Joh Shakhs Dunia Ki Aasoodgi Ka Khuahismand Ho Toh Ham Us Main Se Jisse Chahte Hain Aur Jitna Chahate Hain Jald De Dete Hain. Phir Us Ke Liye Jahannum Ko Thikana Muqarrar Kar Rakha Hai. Jis Main Wo Nafrain Sunn Kar Aur Dargaah-E-Khuda Se Raanda Ho Kar Dakhil Hoga.

19
Aur Joh Shakhs Aakhrat Ka Khuastgaar(Talabgaar) Ho Aur Us Main Utni Khoshish Kare Jistni Usse Laaiq Hai Aur Wo Momin Bhi Ho Toh Aise Hi Lougone Ki Koshish Thikane Lagti Hai.

20
Ham Un Ko Aur In Ko Sabko Tumhare Parwardigar Ki Bakhshish Se Madad Dete Hain. Aur Tumhare Parwardigar Ki Bakhshish Kisi Se Ruki Hui Nahi.




21
Daikho Ham Ne Kis Tarha Baaz Ko Baaz Par Fazeelat Bakhshi Hai. Aur Aakhrat, Darjoun Main Dunia Se Bohot Bar Tar Aur Bartari Main Kahin Barh Kar Hai.

22
Aur Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Nahi Banana Ke Malaamatain Sunn Kar Aur Be Kas Ho Kar Baihte Reh Jao Ge.

23
Aur Tumhare Parwardigar Ne Irshaad Farmaya Hai Ke Us Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo Aur Maan Baap Ke Sath Bhalai Karte Raho .Agar Un Main Se Aik Ya Dono Tumhare Saamne Burhape Ko Pohonch Jayen Toh Un Ko Uff Tak Na Kehna Aur Na Unhain Jhirakna Aur Un Se Baat Adab Ke Sath Karna.

24
Aur Ajz-O-Niaz Se Un Ke Aage Jhuke Raho Aur Un Ke Haq Main Dua Karo Ke Ae Parwardigar Jaisa Unhoun Ne Mujhe Bachpan(Childhood) Main Shafqat(Affection) Se Parwarish(Grow) Kia Hai Tu Bhi Un Ke Haal Par Rehmat Farma.

25
Joh Kuch Tumhare Diloun Mian Hai Tumhara Parwardigar Us Se Bakhoobi Waqif Hai. Agar Tum Naik Ho Ge Toh Wo Rujoo Lane Waloun Ko Bakhsh Dene Wala Hai.




26
Aur Rishta Daaroun(Relatives) Aur Mohtajoun(Needy People) Aur Musafiroun(Travelers) Ko Un Ka Haq Ada Karo. Aur Fizool Kharchi Se Maal Na Uraao.

27
Ke Fizool Kharchi Karne Wale Toh Shaitan Ke Bhai Hain. Aur Shaitan Apne Parwardigar Ki Naimatoun Ka Kufraan Karne Wala, Yaani Na Shukra Hai.

28
Aur Agar Tum Ne Apne Parwardigar Ki Rehmat Yaani Farakh Dasti Ke Intizaar Main Jis Ki Tumhain Umeed Ho Un Mustehqeen Ki Taraf Tawajoh Na Kar Sako Toh Un Se Narmi Se Baat Keh Dia Karo.

29
Aur Apne Hath Ko Na Toh Garden Se Bandha Hua Yaani Bohot Tang Karo Ke Kisi Ko Kuch Do Hi Nahi, Aur Na Bilkul Khol Hi Do Ke Sabhi Kuch De Daalo Aur Anjaam Yeh Ho Ke Malamat Zada  Aur Darmanda Ho Kar Baith Jao.

30
Be Shak Tumhara Parwardigar Jis Ki Rozi Chahta Hai Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ki Rozi Chahta Hai Tang Kar Deta Hai Wo Apne Bandoun Se Khabardar Hai Aur Un Ko Daikh Raha Hai.

31
Aur Apni Aulaad Ko Muflisi(Poor) Ke Khof Se Qatal Na Karna. Kion Ke Un Ko Aur Tum Ko Ham Hi Rizq Dete Hain. Kuch Shak Nahi Ke Un Ka Maar Daalna Bara Sakht Gunnah Hai.
32
Aur Zana Ke Bhi Paas Na Jaana Ke Wo Be Hayayee Aur Buri Raah Hai.

33
Aur Jis Jaandaar Ka Maarna Khuda Ne Haraam Kia Hai Usse Qatal Na Karna Magar Jaaiz Tour Par Yaani Bafatwa-E-Shariyat(According Toh Sharah) Aur Joh Shakhs Zulm Se Qatal Kia Jaye Ham Ne Us Ke Waris Ko Ikhtiyar Dia Hai Keh Zalim Qatil Se Badla Le Toh Us Ko Chahiye Ke Qatal Ke Qasaas Main Ziadti Na Kare Ke Wo Mansoor-O-Fatahyaab Hai.

34
Aur Yateem(Orphan) Ke Maal Ke Paas Bhi Na Phatakna Magar Aise Tareeq Se Ke Bohot Behtar Ho Yahan Tak Ke Wo Jawani Ko Pohonch Jaye.Aur Ehed Ko Pora Karo Ke Ehed Ke Bare Main Zaroor Purrshish Hogi.

35
Aur Jab Koi Cheez Maap Kar Dene Lago Toh Paimana Poora Bhara Karo Aur Jab Toul Kar Do Toh Tarazoo Seedhi Rakh Kar Toula Karo. Yeh Bohot Achi Baat Aur Anjaam Ke Lehaaz Se Bhi Bohot Behtar Hai.

36
Aur Ae Bande Jis Cheez Ka Tujhe Ilm Nahi Us Ke Peeche Na Par. Ke Kaan Aur Aankh Aur Dil In Sab Jawareh Se Zaroor Baaz Purrs Hogi.




37
Aur Zameen Par Akar Kar Aur Tan Kar Mat Chal, Keh Tu Zameen Ko Phaar Toh Nahi Dale Ga Aur Na Lamba Ho Kar Paharoun Ki Choti Tak Pohonch Jaye Ga.

38
In Sab Aadatoun(Nature) Ki Burai Tere Parwardigar Ke Nazdeek Bohot Na Pasand Hai.

39
Ae Paigambar S.A.W. Ye Un Hidayatoun Main Se Hain Joh Khuda Ne Daanayee Ki Batain Tumhari Taraf Wahi Ki Hain. Aur Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Na Banana Ke Aisa Karne Se Malamat Zada Aur Dargaah-E-Khuda Se Raanda Bana Kar Jahannum Main Dal Diye Jao Ge.

40
Mushriko! Kia Tumhare Parwardigar Ne Tumko To Larke Diye Aur Khud Farishtoun Ko Baitiyan Banaya. Kuch Shak Nahi Ke Yeh Tum Bari Naa Maqool Baat Kehte Ho

41
Aur Hamne Is Quraan Main Tarha Tarha Ki Batain Bayan Ki Hain Taa-Ake Loug Naseehat Pakrain. Magar Wo Is Se Aur Bidak Jate Hain.

42
Keh Do Ke Agar Khuda Ke Sath Aur Maabood Hote Jaisa Ke Yeh Kehte Hain Toh Wo Zaroor Khuda-E-Malik Arsh Ki Taraf Larne Bhirne Ke Liye Rasta Nikalte.



43
Wo Paak Hai Aur Joh Kuch Yeh Bakwas Karte Hain Us Se Us Ka Rutbaa Bohot Aali Hai.

44
Saatoun (7) Aasmaan Aur Zameen Aur Joh Loug Un Main Hain Sab Us Ki Tasbeeh Karte Hain. Aur Makhlooqat Main Se Koi Cheez Nahi Magar Us Ki Taaareef Ke Sath Tasbeeh Karti Hai. Lekin Tum Un Ki Tasbeeh Ko Nahi Samajhte. Be Shak Wo Burdbaar Aur Gaffaar Hai.

45
Aur Jab Tum Quraan Parha Karte Ho Toh Ham Tum Main Aur Un Lougon Main Joh Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte Hijaab Par Hijaab Kar Dete Hain.

46
Aur Un Ke Diloun Par Parda Daal Dete Hain Ke Usse Samajh Na Sakain Aur Un Ke Kaanoun Main Saqal(Lock) Paida Kar Dete Hain. Aur Jab Tum Quraan Main Apne Parwardigaar Yakta(One) Ka Zikar Karte Ho Toh Wo Bidak Jate Aur Peeth Phair Kar Chal Dete Hain.

47
Ye Loug Jab Tumhari Taraf Kaan Lagate Hain Toh Jis Niyat Se Ye Sunte Hain Ham Usse Khoob Jante Hain Aur Jab Ye Sargoshiyan Karte Hain Yaani Jab Zalim Kehte Hain Ke Tum Toh Aik Aise Shakhs Ki Pairwi Karte Ho Jis Par Jadu Kia Gaya Hai.




48
Daikho Unhoun Ne Kis Kis Tarha Ki Tumhare Bare Main Batain Banayi Hain. So Yeh Gumraah Ho Rahe Hain Aur Rasta Nahi Paa Sakte.

49
Aur Kehte Hain Ke Jab Ham Mar Kar Boseeda Haddiyan Aur Choor Choor Ho Jayen Geh Toh Kia Az Sar-E-No Paida Ho Kar Uthain Ge.

50
Keh Do Ke Khuah Tum Pathar(Stone) Ho Jao Ya Loha(Iron).

51
Ya Koi Aur Cheez Joh Tumhare Nazdeek Pathar Aur Lohe Se Bhi Bari Sakht Ho,  Jhat Kahian Ge Ke Bhala Hamain Dobara Koun Jiilaye Ga? Keh Do Keh Wo Hi Jis Ne Tum Ko Pehli Baar Paida Kia. Toh Taajub Se Tumhare Aage Sar Hilaayen Ge Aur Poochain Ge, Ke Aisa Kab Hoga? Keh Do Umeed Hai Jald Hoga.

52
Jis Din Wo Tumhain  Pukare Ga Toh Tum Us Ki Taaareef Ke Sath Jawab Do Ge Aur Khayal Karo Ge Ke Tum Dunia Main Bohot Kam Muddat Rahe.

53
Aur Mere Bandoun Se Keh Do Ke Lougoun Se Aisi Batain Kaha Karain Joh Bohot Pasandeeda Houn. Kion Ke Shaitan Buri Batoun Se Un Main Fisaad Dalwa Deta Hai. Kuch Shak Nahi Ke Shaitan Insaan Ka Khula Dushman Hai.


54
Tumhara Parwardigar Tum Se Khoob Waqif Hai. Agar Chahe Toh Tumhain Azaab De. Aur Ham Ne Tum Ko Un Par Darogha Bana Kar Nahi Bhaija.

55
Aur Joh Loug Aasmaanoun Aur Zamen Main Hain Tumhara Parwardcigar Un Se Khoob Waqif Hai. Aur Ham Ne Baaz Paigambaroun Ko Baaz Par Fazeelat Bakhashi Aur Daawood Ko Zaboor Inayat Ki.

56
Kaho Ke Mushriko! Jin Lougon Ki Nisbat Tumhain Maabood Hone Ka Gumaan Hai Un Ko Bulao. Daikho Wo Tum Se Takleef Ke Door Karne Ya Us Ke Badal Dene Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte.

57
Yeh Loug Jin Ko Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain, Wo Khud Apne Parwardigaar Ke Haan Zariya-E-Taqqarub Talash Karte Rehte Hain, Ke Koun Un Main Khuda Ka Ziada Muqqrab Hota Hai Aur Us Ki Rehmat Ke Umeedwar Rehte Hain Aur Us Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain. Be Shak Tumhare Parwardigar Ka Azaab Darne Ki Cheez Hai.

58
Aur Kufur Karne Waloun Ki Koi Basti Nahi, Magar Qiamat Ke Din Se Pehle Ham Usse Halaak Kar Dainge Ya Sakht Azaab Se Moaazzab Karain Ge. Yeh Kitaab Yaani Taqdeer Main Likha Ja Chukka Hai.



59
Aur Ham Ne Nishaniyan Bhaijni Is Liye Moqoof(Stop) Kar Deen Ke Agle Lougon Ne Us Ki Takzeeb Ki Thi. Aur Ham Ne Samood Ko Oontni Nishani Di. Toh Unhoun Ne Us Par Zulm Kia Aur Ham Joh Nishaniyan Bhaija Karte Hain Toh Darane Ko.

60
Jab Ham Ne Tum Se Kaha Ke Tumhara Parwardigar Lougon Ko Aehaata Kiye Hue Hai. Aur Joh Numaaish Ham Ne Tumhain Dikhayee Us Ko Lougon Ke Liye Aazmaaish Kia. Aur Issi Tarha (Thooar Tree) Ke Darakht Ko Jis Par Quraan Main Laanat Ki Gai .Aur Ham Unhain Darate Hain Toh Un Ko Us Se Bari Sakht Sarkashi Paida Hoti Hai.

61
Aur Jab Ham Ne Farishtoun Se Kaha Ke Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kia Magar Iblees Ne Na Kia. Bola Ke Bhala Main Aise Shakhs Ko Sajda Karooon Jis Ko Tu Ne Matti (Mud) Se Paida Kia Hai.

62
Aur Azraah-E-Tanz Kehne Laga Ke Daikh Toh Yehi Wo Hai Jisse Tu Ne Mujh Par Fazeelat Di Hai. Agar Tu Mujh Ko Qiamat Ke Din Tak Ki Mohlat De Toh Main Thore Se Shakhsoun Ke Siwa Is Ki Tamaam Aulaad Ki Jar Kaat-Ta Rahoon Ga.

63
Khuda Ne Farmaya Yahan Se Chala Ja. Joh Shakhs In Main Se Teri Pairwi Kare Ga, Toh Tum Sab Ki Jaza Jahannum Hai Aur Wo Poori Saza Hai.

64
Aur Un Main Se Jis Ko Behka Sake Apni Aawaaz Se Behkata Reh. Aur Un Par Apne Sawaaroun Aur Piyaaroun Ko Charha Kar Laata Reh Aur Un Ke Maal Aur Aulad Main Shareek Hota Reh Aur Un Se Wade Karta Reh. Aur Shaitaan Joh Wade Un Se Karta Hai Sab Dhoka Hai.

65
Joh Mere Mukhlis Bande Hain Un Par Tera Kuch Zor Nahi.Aur Ae Paigambar S.A.W. Tumhara Parwardigaar Kaar Saaz Kaafi Hai.

66
Tumhara Parwaradigar Wo Hai Joh Tumhre Liye Darya Main Kashtiyan Chalata Hai. Taa-Ake Tum Us Ke Fazal Se Rozi Talaash Karo. Be Shak Wo Tum Par Meherbaan Hai.

67
Aur Jab Tum Ko Darya Main Takleef Pohonchti Hai Yaani Doobne Ka Khof Hota Hai, Toh Jin Ko Tum Pukara Karte Ho Sab Us Parwardigaar Ke Siwa Gumm Ho Jate Hain. Phir Jab Wo Tum Ko Doobne Se Bahca Kar Khushki Par Le Jata Hai Toh Tum Mooh Phair Lete Ho Aur Insan Hai Hi Na Shukra.

68
Kia Tum Us Se Be Khof Ho Ke Khuda Tumhain Khushki Ki Taraf Le Ja Kar Zameen Main Dhanasa De, Ya Tum Par Sangraizoun Ki Bhari Hui Aandhi Chala De. Phir Tum Apna Koi Nigehbaan Na Paao.




69
Ya Is Se Be Khof Ho Ke Tum Ko Doosri Dafa Darya Main Le Jaye, Phir Tum Par Taiz Hawa Chalaye Aur Tumhare Kufur Ke Sabab Tumhain Dabo De. Phir Tum Us Garq Ke Sabab Apne Liye Koi Peecha Karne Wala Na Paao.

70
Aur Ham Ne Bani Aadam Ko Izzat Bakhshi Aur Un Ko Jungle Aur Darya Main Sawari Di Aur Paakeeza Rozi Ata Ki Aur Apni Bohot Se Makhlooqaat Par Fazeelat Di.

71
Jis Din Ham Sab Lougon Ko Un Ke Paishwaaoun Ke Sath Bulaayne Ge. Toh Jin Ke Aamaal Ki Kitaab Un Ke Daahne Hath Main di Jaye Gi, Wo Apni Kitaab Ko Khush Ho Ho Kar Parhain Ge Aur Un Par Dhage Barabar Bhi Zulm Na Hoga.

72
Aur Joh Shakhs Is Dunia Main Andha Ho Wo Aakhrat Main Bhi Andha Hoga.Aur Nijaat Ke Raste Se Bohot Door.

73
Aur Ae Paigamabar Jo Wahi Ham Ne Tumhari Taraf Bhaiji Hai Qareeb Tha, Ke Ye Kaafir Loug Tum Ko Us Se Bahca Dain Taa-Ake Tum Us Ke Siwa Aur Baatain Hamari Nisbat Bana Lo. Aur Us Waqt Wo Tum Ko Dost Bana Lete.

74
Aur Agar Tum Ko Sabit Qadam Na Rehne Dete Toh Tum Kisi Qadar Un Ki Taraf Maail Hone Hi Lage The.



75
Us Waqt Ham Tum Ko Zindagai Main Azaab Ka Doogna(Double) Aur Marne Par Bhi Doona Azaab Chakhate Phir Tum Hamare Muqaable Main Kisi Ko Apna Madadagaar Na Pate.

76
Aur Qareeb Tha Ke Ye Loug Tumhain Zameen-E-Makkah Se Phusla Dain,  Taa-Ake Tumhain Wahan Se Jala Watan Kar Dain. Aur Us Waqt Tumhare Peeche Ye Bhi Na Rehte Magar Kam.

77
Joh Paigambar Ham Ne Tum Se Pehle Bhaije The Un Ka Aur Un Ke Bare Main Hamara Ye Hi Tareeq Raha Hai, Aur Tum Hamare Tarreeq Main Taghaaiyurr-O-Tabaddul Na Paao Ge.

78
Ae Muhammad S.A.W. Sooraj Ke Dhalne Se Raat Ke Andhere Tak (Zohor,Asar,Magrib,Isha Ki) Namazain Aur Subha Ko Quraan Parha Karo. Kion Ke Subha Ke Waqt Quraan Ka Parhan Moojjab-E-Huzoor Malaaika Hai.

79
Aur Baaz Hissa-e-Shab Main Baidaar Hua Karo. Aur Tahajjud Ki Namaaz Parha Karo. Yeh Shab Khaizii Tumhare Liye Sabab-E-Ziarat Hai, Qareeb Hai Ke Khuda Tum Ko Maqaam-E-Mehmood Main Daakhil Kare.





80
Aur Kaho Ke Ae Parwardigaar, Mujhe Madeene Main Achi Tarha Daakhil Kijiyo Aur Makkhe Se Achi Tarha Nikaaliyo. Aur Apne Haan Se Zor-O-Qwat(Power)Ko Mera Madadagaar Banaiyo.

81
Aur Keh Do Ke Haq Aagaya Aur Baatil Nabood Ho Gaya. Be Shak Baatil Nabood Hone Wala Hai.

82
Aur Ham Quraan Ke Zariye Se Wo Cheez Naazil Karte Hain Joh Mominoun Ke Liye Shifa Aur Rehmat Hai Aur Zaalimoun Ke Haq Main Toh Is Se Nuqsaan Hi Barhta Hai.

83
Aur Jab Ham Insaan Ko Naimat Bakhashte Hain Toh Ruu Gardaan Ho Jata Aur Pehlu Pahir Leta Hai. Aur Jab Usse Sakhti Pohonchti Hai, Toh Na Ummeed Ho Jata Hai.

84
Keh Do Ke Har Shakhs Apni Tareeq Ke Mutabiq Amal Karta Hai. So Tumahra Parwardigaar Us Shakhs Se Khoob Waqif Hai Joh Sab Se Ziada Seedhe Raste Par Hai.

85
Aur Tum Se Rooh Ke Bare Main Sawal Karte Hain. Keh Do Ke Wo Mere Parwardigar Ki Aik Shaan Hai Aur Tum Lougon Ko Bohot Hi Kam Ilm  Dia Gaya Hai.




86
Aur Agar Ham Chahian, Toh Joh Kitaab Ham Tumhari Taraf Bhaijte Hain, Usse Diloun Se Mehew Kar Dain. Phir Tum Us Ke Liye Hamare Muqable Main Kisi Ko Madadgaar Na Paao.

87
Magar Us Ka Qaaim Rehna Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Hai. Kuch Shak Nahi Ke Tum Par Us Ka Bara Fazal Hai.

88
Keh Do Ke Agar Insan Aur Jin Is Baat Par Mujtamaa Houn Ke Is Quraan Jaisa Bana Layen Toh Is Jaisa Na Laa Sakain Ge. Agarcha Wo Aik Doosre Ke Madadgaar Houn.

89
Aur Ham Ne Quraan Main Sab Batain, Tarha Tarha Se Bayan Kar Di Hain. Magar Aksar Lougon Ne Inkaar Karne Ke Siwa Qabool Na Kia.

90
Aur Kehne Lage Ke Ham Tum Par Eemaan Nahi Layen Ge Jab Tak Ke Ajeeb-O-Gareeb Batain Na Dikhao Yaani Ya Toh Hamare Liye Zameen Se Chashma Jari Kar Do.

91
Ya Tumhara Khajooroun Aur Angooroun Ka Koi Baagh(Garden) Ho Aur Us Ke Beech Main Nehrain Baha Nikalo.

92
Ya Jaisa Tum Kaha Karte Ho Hum Par Aasmaan Ke Tukre La Giraao Ya Khuda Aur Farishtoun Ko Hamare Saamne Le Aao.
93
Ya Toh Tumhara Sone(Gold) Ka Ghar Ho Ya Tum Aasmaan Par Charh Jao. Aur Ham Tumahre Charne Ko Bhi Nahi Maanain Ge, Jab Tak Ke Koi Kitaab Na Lao Jisse Ham Parh Bhi Lain. Keh Do Ke Mera Parwardigaar Paak Hai Main Toh Sirf Aik Paigaam Pohonchane Wala Insan Hoon.

94
Aur Jab Lougon Ke Pas Hidayat Aa Gai Toh Un Ko Eemaan Lane Se Is Ke Siwa Koi Cheez Maane(Refuse) Na Hui Ke Kehne Lage Keh Kia Khuda Ne Aadmi Ko Paighambar Kar Ke Bhaija Hai.

95
Keh Do Ke Agar Zameen Main Farishte Hote Keh Is Main Chalte Phirte Aur Araam Karte, Yaani Baste, Toh Ham Un Ke Paas Farishte Ko Paigambar Bana Kar Bhaijte.

96
Keh Do Ke Mere Aur Tumahre Darmiyaan Khuda Hi Gawah Kafi Hai. Wo Hi Apne Bandoun Se Khabardar Aur Unko Daikhne Wala Hai.

97
Aur Jis Shakhs Ko Khdua Hidayat De Wo Hi Hidayat Yaab Hai. Aur Jin Ko Gumraah Kare, To Tum Khuda Ke Siwa Un Ke Refeeq Nahi Paao Ge. Aur Ham Unko Qiamat Ke Din Oundhe Moonh  Andhe Goonge Aur Behre Bana Kar Uthayen Ge. Aur Un Ka Thikana Dozakh Hai. Jab Us Ki Aag Bujhne Ko Hogi Toh Ham Un Ko Azaab Dene Ke Liye Aur Bharka Dain Ge.


98
Yeh Un Ki Saza Hai Is Liye Ke Wo Hamari Aayatoun Se Kufur Karte The Aur Kehte The Keh Jab Ham Mar Kar Boseeda Haddiyan Aur Raiza Raiza Ho Jayen Ge Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Kiye Jayen Ge.

99
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Khuda Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia Hai, Is Baat Par Qaadir Hai Ke Un Jaise Loug Paida Kar De. Aur Us Ne Un Ke Liye Aik Waqt Muqarrar Kar Dia Hai, Jis Main Kuch Bhi Shak Nahi.Toh Zaalimoun Ne Inkaar Karne Ke Siwa Usse Qabool Na Kia.

100
Keh Do Ke Agar Mere Parwardigaar Ki Rehmat Ke Khazane Tumhare Hath Main Hote, Toh Tum Kharch Ho Jane Ke Khof Se Un Ko Band Rakhte. Aur Insan Dil Ka Bohot Tang Hai.

101
Aur Ham Ne Moosaa Ko Nou(9) Khuli Nishaniyan Deen, Toh Bani Israail Se Daryaaft Kar Lo Ke Jab Wo Un Ke Paas Aaye Toh Firown Ne Un Se Kaha Ke Moosa Main Khayal Karta Hoon Ke Tum Par Jaadu Kia Gaya Hai.

102
Unhoun Ne Kaha Ke Tum Yeh Jante Ho Ke Aasmanoun Aur Zameen Ke Parwardigar Ke Siwa Us Ko Kisi Ne Nazil Nahi Kia. Aur Wo Bhi Tum Lougon Ke Samjhane Ko. Aur Ae Firown Main Khayal Karta Hoon Keh Tum Halak Ho Jao Ge.




103
Toh Us Ne Chaha Ke Un Ko Sar Zameen-E-Missr(Egypt) Se Nikaal De, Toh Ham Ne Us Ko Aur Joh Us Ke Sath The Sab Ko Dubo Dia.

104
Aur Us Ke Baad Bani Israail Se Kaha Ke Tum Is Mulk Main Raho Saho. Phir Jab Aakhrat Ka Waada  Aa Jaye Ga Toh Ham Tum Sab Ko Jama Kar Ke Le Ayen Ge.

105
Aur Ham Ne Is Quraan Ko Sachai Ke Sath Nazil Kia Hai Aur Wo Sachai Ke Sath Nazil Hua Aur Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne Tum Ko Sirf Khushkhabri Dene Wala Aur Dar Sunane Wala Bana Kar Bhaija Hai.

106
Aur Ham Ne Quraan Ko Juzw Juzw (Part By Part) Kar Ke Nazil Kia Hai, Taa-Ake Tum Lougon Ko Theher Theher Kar Parh Kar Sunao Aur Ham Ne Us Ko Aahisa Aahista Utara Hai.

107
Keh Do Ke Tum Is Par Eemaan Laao Ya Na Lao Ye Fee Nafsa-E-Haq Hai, Jin Lougon Ko Is Se Pehle Ilm-E-Kitaab Dia Gaya Hai. Jab Wo Un Ko Parh Kar Sunaya Jata Hai Toh Wo Thoriyoun(Chin) Ke Bal Sajde Main Girr Parte Hain.

108
Aur Kehte Hain Ke Hamara Parwardiar Paak Hai Be Shak Hamare Parwardigar Ka Waada Poora Ho Kar Raha.


109
Aur Wo Thoriyoun Ke Bal Girr Parte Hain Aur Rote Jate Hain Aur Us Se Un Ko Aur Ziada Aajzi Paida Hoti Hai.

110
Keh Do Ke Tum Khuda Ko Allah Ke Naam Se Pukaro Ya Rehmaan Ke Naam Se, Jis Naam Se Pukaro Us Ke Sab Naam Ache Hain. Aur Namaz Na Buland(Loud) Awaz Se Parho Aur Na Aahista Balke Us Ke Beech Ka Tareeqa Ikhtiyar Karo.

111
Aur Kaho Keh Sab Taareef Khuda Hi Ko Hai, Jis Ne Na Toh Kisi Ko Baita Banaya Hai Aur Na Us Ki Baadshahi Main Koi Shareek Hai, Aur Na Is Waja Se Ke Wo Aajiz-O-Natawaan Hai Koi Us Ka Madadgaar Hai Aur Us Ko Bara Jaan Kar Us Ki Barai Karte Raho.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!