Soorah An Nahl
Aayat 128
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherban Aur Rehem Wala Hai.
1
Khuda Ka Hukum Yaaani
Azaab Goya Aahi Pohoncha Toh Kaafiro Us Ke Liye Jaldi Mat Karo.Yeh Loug Joh
Khuda Ka Shareek Banate Hain Wo Is Se Paak Aur Balatar Hai.
2
Wo Hi Farishtoun Ko
Paighaam De Kar Apne Hukum Se Apne Bandoun Main Se Jis Ke Paas Chahata Hai
Bhaijta Hai Keh Lougon Ko Bata Do Ke Mere Siwa Koi Maabood Nahi Toh Mujhi Se
Daro.
3
Ussi Ne Aasmanoun Aur
Zameen Ko Mabni Bar Hikmat Paida Kia. Us Ki Zaat Un Kafiroun Ke Shirk Se Oonchi
Hai.
4
Ussi Ne Insan Ko Nutfe
Se Banaya Magar Wo Us Khaliq Ke Bare Main Ailaaniya Jhagarne Laga.
5
Aur Chaar Paayon Ko
Bhi Ussi Ne Paida Kia. In Main Tumhare Liye Jarawal Aur Bohot Se Faaide Hain
Aur Un Main Se Baaz Ko Tum Khate Bhi Ho.
6
Aur Jab Shaam Ko
Unhain Jungle Se Laate Ho Aur Jab Subha Ko Jungle Charane Le Jaate Ho Toh Un Se
Tumhari Izzat-O-Shaan Hai.
7
Aur Door Daraaz
Shehroun(Cities) Main Jahan Tum Zehmat-E-Shaaqa Ke Bagair Pohonch Nahi Sakte,Wo
Tumhare Bojh Utha Kar Le Jaate Hain. Kuch Shak Nahi Ke Tumhara Parwardigaar
Nihayat Shafqat Wala Aur Meherbaan Hai.
8
Aur Ussi Ne
Ghore(Hourses) Aur Khachar Aur Gadhe Paida Kiye Taa-Ake Tum Un Par Sawar Ho,
Aur Wo Tumhare Liye Ronaq-O-Zeenat Bhi Hain Aur Wo Aur Cheezain Bhi Paida Karta
Hai Jin Ki Tum Ko Khabar Nahi.
9
Aur Seedha Rasta Toh
Khuda Tak Ja Pohonchta Hai.Aur Baaz Raste Tairhe Hain Wo Us Tak Nahi Pohonchte
Aur Agar Wo Chahata Toh Tum Sab Ko Seedhe Raste Par Chala Deta.
10
Wo Hi Toh Hai Jis Ne
Aasmaan Se Paani Barsaya Jisse Tum Peete Ho Aur Us Se Darakht(Trees) Bhi Shaadab Hote Hain Jin Main Tum Apne
Chaarpaayoun Ko Charate Ho.
11
Ussi Paani Se Wo
Tumhare Liye Khaiti Aur Zaitoon (Olive)Aur Khajoor(Dates) Aur Angoor(Grapes)
Aur Be Shumaar Darakht Ugata Hai. Aur Har Tarha Ke Phal(Fruits) Paida Karta Hai,
Gour Karne Waloun Ke Liye Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Bari Nishani Hai.
12
Aur Ussi Ne Tumhare
Liye Raat Aur Din Aur Sooraj(Sun) Aur Chand(Moon) Ko Kaam Main Lagaya. Aur Usse
Ki Hukum Se Sitare(Stars) Bhi Kaam Main Lage Hue Hain. Samajhne Waloun Ke Liye
Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Bohot Si Nishaniyan Hain.
13
Aur Joh Tarha Tarha Ke
Rangoun(Colours) Ki Cheezain Us Ne Zameen Main Paida Keen Sab Tumhare
Zair-E-Farmaan Kar Deen Naseehat Pakarne Waloun Ke Liye Is Main Nishani Hai.
14
Aur Wo Hi Toh Hai Js
Ne Darya(River) Ko Tumhare Ikhtiyaar Main Kia Taa-Ake Us Main Se Taaza
Gosht(Means Sea Food) Khao Aur Uss Se Zaiwar Moti Waigara Nikalo Jisse Tum
Pehente Ho. Aur Tum Daikhte Ho Ke Kashtiyan(Boats) Darya Main Paani Ko Phaarti
Chali Jati Hain. Aur Is Liye Bhi Darya Ko Tumhare Ikhtiyar Main Kia Ke Tum
Khuda Ke Fazal Se Moaash(Earnings) Talash Karo Taa-Ake Us Ka Shukar Karo.
15
Aur Ussi Ne Zameen Par
Pahaar(Mountains) Bana Kar Rakh Diye Ke Tum Ko Le Kar Kahin Jhuk Na Jaye Aur Nehrain
Aur Raste Bana Diye Taa-Ake Aik Maqaam Se Doore Maqaam Tak Asaani Se Ja Sako.
16
Aur Raastoun Main
Nishanaat Bana Diye Aur Loug Sitaroun Se Bhi Raste Maloom Karte Hain.
17
Toh Joh Itni
Makhlooqaat Paida Kare.Kia Wo Waisa Hai Joh Kuch Bhi Paida Na Kar Sake, Toh
Phir Tum Ghour Kion Nahi Karte?
18
Aur Agar Tum Khuda Ki
Naimatoun Ko Shumar Karna Chaho Toh Gin(Count) Na Sako. Be Shak Khuda Bakhashne
Wala Meherbaan Hai.
19
Aur Joh Kuch Tum
Chupate Aur Joh Kuch Zaahir Karte Ho Sab Se Khuda Waqif Hai.
20
Aur Jin Lougon Ko Yeh
Khuda Ke Siwa Pukarte Hain Wo Koi Cheez Bhi Toh Nahi Bana Sakte Balke Khud Un
Ko Aur Banate Hain.
21
Wo Laashain Hain Be
Jaan. Un Ko Yeh Bhi Toh Maloom Nahi Ke Uthaye Kab Jayen Ge.
22
Tumhara Maabood Toh
Akaila Khuda Hai. Toh Joh Aakhrat Pe Eemaan Nahi Rakhte Un Ke Dil Inkar Kar
Rahe Hain Aur Wo Sarkash Ho Rahe Hain.
23
Ye Joh Kuch Chupate
Hain Aur Joh Zahir Karte Hain Khuda Us Ko Zaroor Jaanta Hai.Wo Khuda Sarkashoun
Ko Har Gizz Pasand Nahi Karta.
24
Aur Jab In Kaafiroun
Se Kaha Jata Hai Ke Tumhare Parwardigar Ne Kia Utara Hai Toh Kehte Hain Ke Wo
Toh Pehle Lougon Ki Hikayatain Hain.
25
Ae Paigambar Un Ko
Bakne Do Yeh Qiamat Ke Din Apne Aamaal Ke Pooore Bojh Bhi Uthayen Ge Aur Jin Ko
Yeh Be Tehqeeq Gumrah Karte Hain Un Ke Bojh Bhi Uthayen Ge. Sunn Rakho Ke Joh
Bojh Ye Utha Rahe Hain, Bure Hain.
26
Un Se Pehle Lougon Ne
Bhi Aisi Hi Makkaariyan Ki Theen Toh Khuda Ka Hukum Un Ki Imarat Ke Satoonoun
Par Aa Pohoncha Aur Chat Un Par Un Ke Oopar Se Girr Pari Aisi Taraf Se Un Par
Azaab Aa Waqee Hua Jahan Se Un Ko Khayal Bhi Na Tha.
27
Phir Wo Un Ko Qiamat
Ke Din Bhi Zaleel Kare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Kahan Hain Jin Ke Bare
Main Tum Jhagra Karte The. Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya Tha Wo Kahain Ge Ke Aaj
Kaafiroun Ki Ruswaai Aur Burai Hai.
28
Un Ka Haal Yeh Hai Ke
Jab Farishte Un Ki Roohain Qabz Karne Lagte Hain Aur Yeh Apne Hi Haq Main Zulm
Karne Wale Hote Hain Toh Mutee-O-Munqaad Ho Jate Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Koi
Bura Kaam Nahi Karte The.Haan Joh Kuch Tum Kia Karte The Khuda Usse Khoob Janta
Hai.
29
So Dozakh Ke Darwazoun
Main Dakhil Ho Jao. Hamesha Us Main Raho Ge. Ab Takabbur Karne Waloun Ka Bura
Thikana Hai.
30
Aur Jab Parhaizgaaroun
Se Poocha Jata Hai Ke Tumhare
Parwardigaar Ne Kia Nazil Kia Hai. Toh Kehte Hain Ke Behtreen Kalaam. Joh Loug
Naiko Kaar Hain Un Ke Liye Is Dunia Main Bhalai Hai. Aur Aakhrat Ka Ghar Toh
Bohot Hi Acha Hai.Aur Parhaizgaaroun Ka Ghar Bohot Khoob Hai.
31
Wo Behshat Jaawedaani
Hain Jin Main Wo Daakhil Hounge Un Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Wahan Joh
Chahian Ge Un Ke Liye Moyassar(Available) Hoga. Khuda Parhaizgaaroun Ko Aisa Hi
Badla Deta Hai.
32
Un Ki Kaifiyat Ye Hai
Ke Jab Farishte Un Ki Jaanain Nikaalne Lagte Hain Aur Ye Kufur-O-Shirk Se Paak
Hote Hain Toh Salam Alaik Kehte Hain Aur Kehte Hain Ke Joh Amal Tum Kia Karte
The Un Ke Badle Main Behshat Main Daakhil Ho Jao.
33
Kia Yeh Kaafir Is Baat
Ke Muntazir Hain Ke Farishte Un Ke Paas Jaan Nikalne Aayan, Ya Tumhare Parwardigar
Ka Hukum-E-Azaab Aa Pohnche. Issi Tarha Un Lougon Ne Kia Tha Joh Un Se Pehle
The, Aur Khuda Ne Un Par Zulm Nahi Kia Balke Wo Khud Apne Aap Par Zulm Karte
The.
34
Toh Un Ko Un Ke Aamaal
Ke Bure Badle Mile Aur Jiss Cheez Ke Sath Wo Thathe(Hansi Mazaak) Kia Karte The
Us Ne Un Ko Har Taraf Se Ghair Liya.
35
Aur Mushrik Kehte Hain
Ke Agar Khuda Chahta Toh Na Ham Hi Us Ke Siwa Kisi Cheez Ko Poojte, Aur Na
Hamare Bare Hi Poojte, Aur Na Us Ke Farmaan Ke Bagair Ham Kisi Cheez Ko Haram
Tehraate. Ae Paigambar S.A.W. Issi Tarha Un Se Agle Lougon Ne Kia Tha.Toh
Paigambaroun Ke Zimme Khuda Ke Ehkaam Ko Khol Kar Suna Dene Ke Siwa Aur Kuch
Nahi.
36
Aur Ham Ne Har
Jamaat(Group) Main Paigambar Bhaija, Ke Khuda Hi Ki Ibadat Karo Aur Buttoun Ki
Parastish Se Ijtinaab Karo. Toh Un Main Baaz Aise Hain Jin Ko Khuda Ne Hidayat
Di Aur Baaz Aise Hain Jin Par Gumrahi Sabit Hui. So Zameen Par Chal Phir Kar
Daikh Lo, Ke Jhutlane Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.
37
Agar Tum Un Kuffar Ki
Hidayat Ke Liye Lalchaao Toh Jis Ko Khuda Gumrah Kar Deta Hai Us Ko Wo Hidayat
Nahi Dia Karta, Aur Aise Lougon Ka Koi Madadgaar Bhi Nahi Hota.
38
Aur Yeh Khuda Ki Sakht
Sakht Qasmain Khaate Hain Ke Joh Mar Jata Hai Khuda Usse Qiamat Ki Din Qabar Se
Nahi Utahye Ga. Har Gizz Nahi. Yeh Khuda Ka Waada Sacha Hai Aur Us Ka Poora
Karna Usse Zaroor Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.
39
Taa-Ake Jin Batoun
Main Yeh Ikhtilaaf Karte Hain Wo Un Par Zahir Kar De Aur Is Liye Ke Kafir Jaan
Lain Ke Wo Jhoote The.
40
Jab Ham Kisi Cheez Ka Iraada Karte Hain Toh Hamari Baat Yeh Hi
Hai Ke Us Ko Keh Dete Hain Ke Ho Ja Toh Wo Ho Jati Hai.
41
Aur Jin Lougon Ne Zulm
Sehne Ke Baad Khuda Ke Liye Watan Chora Ham Unko Dunia Main Acha Thikana
Dainge. Aur Aakhrat Ka Ajar Toh Bohot Bara Hai . Kaash Wo Usse Jaante.
42
Yaani Wo Loug Joh
Sabar Karte Hain Aur Apne Parwardigaar Par Bharosa Rakhte Hain.
43
Aur Ham Ne Tum Se
Pehle Mardoun Hi Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Tha, Jin Ki Taraf Ham Wahi Bhaija
Karte The Agar Tum Loug Nahi Jaante Toh Ehl-E-Kitaab Se Pooch Lo.
44
Aur Un Paigambarun Ko
Daleelain Aur Kitaabain De Kar Bhaija Tha, Aur Ham Ne Tum Par Bhi Yeh Kitaab
Nazil Ki Hai, Taa-Ake Joh Irshadaat Lougon Par Nazil Hue Hain Wo Un Par Zahir
Kar Do, Aur Taa-Ake Wo Gour Karain.
45
Kia Joh Loug Buri Buri
Chaalain Chalte Hain Is Baat Se Be Khof Hain Ke Khuda Un Ko Zameen Main Dhansa
De, Ya Aisi Taraf Se Un Par Azaab Aa Jaye Jahan Se Un Ko Khabar Hi Na Ho.
46
Ya Un Ko Chalte Phirte
Pakar Le Wo Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sakte.
47
Ya Jab Un Ko Azaab Ka
Darr Paida Ho Gaya Ho Toh Un Ko Pakar Le. Be Shak Tumhara Parwardigar Bohot
Shafqat Karne Wala Aur Meherbaan Hai.
48
Kia Un Lougon Ne Khuda
Ki Makhlooqaat Main Se Aisi Chezain Nahi Daikhi Jin Ke Saaye Daayen(Right) Se
Baayen(Left) Ko Aur Baayen Se Daayen Ko Lout-Te Rehte Hain, Yaani Khuda Ke Aage
Aajiz Ho Kar Sajde Main Pare Rehte Hain.
49
Aur Tamaam Jaandar Joh
Asmanoun Main Hain Aur Joh Zameen Main Hain Sab Khuda Ke Aage Sajda Karte Hain
Aur Farishte Bhi Aur Wo Zara Garoor Nahi Karte.
50
Aur Apne Parwardigaar
Se, Joh Un Ke Oopar Hai Darte Hain Aur Joh Un Ko Irshaad Hota Hai Us Par Amal
Karte Hain.
51
Aur Khuda Ne Farmya
Hai Ke Do Do Maabood Na Banao. Maabood Wo Hi Aik Hai. Toh Mujh Hi Se Darte
Raho.
52
Aur Joh Kuch Aasmanoun
Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai Aur Ussi Ki Ibadat Lazim
Hai.Toh Tum Khuda Ke Siwa Auroun Se Kion Darte Ho.
53
Aur Joh Naimatain Tum
Ko Moyassar Hain Sab Khuda Ki Taraf Se Hain. Phir Jab Tum Ko Koi Takleef
Pohonchti Hai Toh Ussi Ke Aage Chillate Ho.
54
Phir Jab Wo Tum Se
Takleef Ko Door Kar Deta Hai Toh Kuch Loug Tum Main Se Khuda Ke Sath Shareek
Karne Lagte Hain.
55
Taa-Ake Joh Naimatain
Ham Ne Un Ko Ata Famai Hain Un Ki Na Shukri Karain, Toh Mushriko Dunia Main
Faaide Utha Lo. Anqareeb Tum Ko Is Ka Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.
52
Aur Hamare Diye Hue
Maal Main Se Aisi Cheezoun Ka Hissa Muqarrrar Karte Hain Jin Ko Jaante Hi Nahi.
Kaafiro! Khuda Ki Qasam, Keh Joh Tum Iftiraa Karte Ho Us Ki Tum Se Zaoroor
Purrsish Ho Gi.
57
Aur Yeh Loug Khuda Ke
Liye Toh Baitiyaan Tajweez Karte Hain Aur Wo Un Se Paak Hai, Aur Apne Liye Bete
Joh Margoob-O-Dilpasand Hain.
58
Halanke Jab Un Main Se
Kisi Ko Baiti Ke Paida Hone Ki Khabar Milti Hai, Toh Us Ka Moonh(Face) Gham Ke
Sabab Kaala Par Jata Hai, Aur Us Ke Dil Ko Daikho Toh Wo Andhohnaak Ho Jata
Hai.
59
Aur Is
Khabar-E-Bad(Bad News) Se Joh Wo Sunta Hai Lougon Se Chupta Phirta Hai, Aur Sochta
Hai Ke Aaya Zilaat Bardaast Kar Ke Larki Ko Zinda Rehne De, Ya Zameen Main
Gaarh De. Daikho Yeh Joh Tajweez Karte Hain Bohot Buri Hai.
60
Joh Loug Aakhrat Pe
Eemaan Nahi Rakhte Un Hi Ke Liye Buri Baatain Shayaan Hain. Aur Khuda Ko
Sift-E-Aala Zaib Deti Hai Aur Wo Gaalib Hikmat Wala Hai.
61
Aur Agar Khuda Lougon
Ko Un Ke Zulm Ke Sabab Pakarne Lage Toh Aik Jaandaar Ko Zameen Par Na Chore,
Lekin Un Ko Aik Waqt Muqarraar Tak Mohlat Diye Jata Hai. Jab Wo Waqt Aa Jata
Hai Toh Aik Ghari Na Peeche Reh Sakte Hain Na Aage Barh Sakte Hain.
62
Aur Yeh Khuda Ke Liye
Aisi Cheezain Tajweez Karte Hain Jin Ko Khud Na Pasand Karte Hain Aur Zabaan Se
Jhoot Bakte Jate Hain Ke Un Ko Qiamat Ke Din Bhalai Yaani Nijaat Hogi. Kuch
Shak Nahi Ke Un Ke Liye Dozakh Ki Aag Taiyaar Hai Aur Yeh Dozakh Main Sab Se
Aage Bhaije Jayen Ge.
63
Khuda Ki Qasam Ham Ne
Tum Se Pehli Ummatoun Ki Taraf Bhi Paigambar Bhaije Toh Shaitaan Ne Un Ke
Kirdaar-E-Na Shaista Un Ko Aaraastaa Kar Dikhaye Toh Aaj Bhi Wo Hi Un Ka Dost
Hai Aur Un Ke Liye Azaab-E-Aleem Hai.
64
Aur Ham Ne Joh Tum Par
Kitaab Nazil Ki Hai, Toh Us Ke Liye Ke Jis Amar Main Un Lougon Ko Ikhtilaaf Hai,
Tum Us Ka Faisla Kar Do. Aur Yeh Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.
65
Aur Khuda Hi Ne
Aasmaan Se Paani Barsaya, Phir Us Se Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Kia.
Be Shak Is Main Sunn-Ne Waloun Ke Liye Nishani Hai.
66
Aur Tumhare Liye Chaar
Paaiyoun Main Bhi Maqaam-E-Ibrat-O-Gour Hai Ke Un Ke Paitoun Main Joh Gobar Aur
Lahoo Hai Us Se Ham Tumko Khalis(Pure) Doodh(Milk) Pilate Hain Joh Peene Waloun
Ke Liye Khushgawaar Hai.
67
Aur Khajoor(Dates) Aur
Angoor(Grapes) Ke Maiwoun(Dry Fruits) Se Bhi Tum Peene Ki Cheezain Taiyaar
Karte Ho Ke Un Se Sharaab Banate Ho Aur Umda Rizq Khate Ho, Joh Loug Samajh
Rakhte Hain Un Ke Liye In Cheezoun Main Qudrat-E-Khuda Ki Nishani Hai.
68
Aur Tumhare
Parwardigar Ne Shehed Ki Makhiyon(Honey Bee) Ko Irshaad Farmaya Ke
Pahaaroun(Mountains) Main Aur Darakhtoun(Trees) Main Aur Oonchi Oonchi
Chathriyoun Main Joh Loug Banate Hain Ghar Bana.
69
Aur Har Qism Ke Maiwe
Kha. Aur Apne Parwardigaar Ke Saaf Rastoun Par Chali Ja. Us Ke Pait Se Peene Ki
Cheez Nikalti Hai Jis Ke Mukhtalif Rang Hote Hain, Us Main Lougon Ke Liye
Amraaz Ki Shifa Hai. Be Shak Sochne Waloun Ke Liye Is Main Bhi Nishani Hai.
70
Aur Khuda Hi Ne Tum Ko
Paida Kia. Phir Wo Hi Tumko Mout Deta Hai Aur Tum Main Baaz Aise Hote Hain Ke
Nihayat Kharaab Umar Ko Pohonch Jate Hain, Aur Bohot Kuch Jaan-Ne Ke Baad Har
Cheez Se Be Ilm Ho Jate Hain. Be Shak Khuda Sab Kuch Jaan-Ne Wala Aur Qudrat
Wala Hai.
71
Aur Khuda Ne
Rizq-O-Dolat Main Baaz Ko Baaz Par Fazeelat Di Hai Toh Jin Lougon Ko Fazeelat
Di Hai, Wo Apna Rizqq Apne Mumlikoun Ko
Toh De Dalne Wale Hain Nahi, Ke Sab Us Main Barabar Ho Jayen.Toh Kai Yeh Loug
Naimat-E-Ilaahi Ke Munkir Hain.
72
Aur Khuda Hi Ne Tum
Main Se Tumhare Liye Aurtain Paida Kee Aur Aurtoun Se Tumhare Bete(Son) Aur
Pote(Grand Son) Paida Kiye Aur Khane Ko Tumhain Paakeeza Cheezain Dee.Toh Kia
Be Asal Cheezoun Par Aitqaad Rakhte Aur Khuda Ki Naimatoun Se Inkaar Karte
Hain.
73
Aur Khuda Ke Siwa
Aisoun Ko Poojte Hain Joh Un Ko Aasmaanoun Aur Zameen Main Rozi Dene Ka Zara
Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte Aur Na Kisi Aur Tarha Ka Maqdoor Rakhte Hain.
74
Toh Lougo Khuda Ke
Bare Main Galat Misaalian(Examples) Na Banao.Saheeh Misaloun Ka Tareeqa Khuda
Hi Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jante.
75
Khuda Aik Aur Misaal
Bayan Fermata Hai, Ke Aik Ghulaam Hai Joh Bilkul Doosre Ke Ikhtiyaar Main Hai,
Aur Kisi Cheez Par Qudrat Nahi Rakhta Aur Aik Aisa Shakhs Hai Jis Ko Ham Ne
Aapne Haan Se Bohot Sa Maal-E-Taiyab Ata Farmaya Hai, Aur Wo Is Main Se Raat
Din Posheeda Aur Zahir Kharach Karta Rehta Hai, Toh Kia Yeh Dono Shakhs Barabar
Hain? Har Gizz Nahi, Alhamd-Ul-Illah Lekin In Main Se Aksar Loug Nahi Samajh
Rakhte.
76
Aur Khuda Aik Aur Missal
Bayan Fermata Hai Ke Do Aadmi Hain, Aik Un Main Se Goonga Aur Doosre Ki Milk
Hai Be Ikhtiyaar-O-Natawaan Ke Kisi Cheez Par Qudrat Nahi Rakhta.Aur Apne Malik
Ko Do Bhar Ho Raha Hai Wo Jahan Usse Bhaijta Hai Khair Se Kabhi Bhalai Nahi
Laata. Kia Aisa Shakhs Goonga Behra Aur Wo Shakhs Joh Sunta Bolta Aur Lougon Ko
Insaaf Karne Ka Hukum Deta Hai, Aur Khud Seedhe Raste Par Chal Raha Hai Dono
Barabar Hain?
77
Aur Aasmaanoun Aur
Zameen Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Khuda Ke Nazdeek Qiamat Ka Aana Youn Hai Jaise
Aankh Ka Jhapakna Balke Is Se Bhi Jald Tar. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Har Cheez
Par Qadir Hai.
7 8
Aur Khuda Hi Ne Tumko
Tumhari Maaon(Mothers) Ke Shikam Se Paida Kia Keh Tum Kuch Nahi Jante The.Aur
Us Ne Tumko Kaan Aur Aankhain Aur Dil Aur Un Ke Ilawa Aazaa Bakhshe Taa-Ake Tum
Shukar Karo.
79
Kia Un Lougon Ne
Parindoun Ko Nahi Daikha Ke Aasmaan Ki Hawa Main Ghirre Hue Urte Rehte Hain. Un
Ko Khuda Hi Thaame Rakhta Hai. Eemaan Waloun Ke Liye Is Main Bohot Si
Nishaaniyan Hain.
80
Aur Khuda Hi Ne
Tumhare Liye Gharoun Ko Rehne Ki Jaga Banaya Aur Ussi Ne Chopaayoun Ki Khaloun
Se Tumhare Liye Dere Banaye. Jin Ko Tum Subuk Daikh Kar Safar Aur Hazar Main
Kaam Main Laate Ho, Aur Un Ki Oon Aur Raisham Aur Baaloun Se Tum Asbaab Aur
Baratne(For Use Purpose) Ki Cheezain Banate Ho Joh Muddat Tak Kaam Deti Hain.
81
Aur Khuda Hi Ne
Tumhare Aaraam Ke Liye Apni Paida Ki Hui Cheezoun Ke Saye Banaye Aur
Paharoun(Mountains) Main Gaarain(Caves) Banayee Aur Kurrte Banaye Joh Tum Ko
Garmi Se Bachayen Aur Aise Kurrte Bhi Joh Tum Ko Aslaha-E-Jung Ke Zarrar Se
Mehfooz Rakhain.Ussi Tarha Khuda Apna Ehsaan Tum Par Poora Karta Hai Taa-Ake
Tum Farmabardaar Bano.
82
Aur Agar Yeh Loug
Airaaz Karain, Toh Ae Paigambar S.A.W. Tumhara Kaam Faqat Khol Kar Suna Dena
Hai.
83
Yeh Khuda Ki Naimatoun
Se Waqif Hain. Magar Waqif Ho Kar Un Se Inkaaer Karte Hain Aur Yeh Aksar Na
Shukre Hain.
84
Aur Jis Din Ham Har
Ummat Main Se Gawah Yaani Paigambar Khara Karen Ge Toh Na Toh Kuffar Ko Bolne
Ki Ijazat Mile Gi Aur Na Un Ke Uzar Qabool Kiye Jayen Ge.
85
Aur Jab Zalim Loug
Azaab Daikh Lainge Toh Phir Na Toh Un Ke Azaab Hi Main Takhfeef Ki Jaye Gi, Aur
Na Unko Mohlat Hi Di Jaye Gi.
86
Aur Jab Mushrik Apne
Banaye Hue Shareekoun Ko Daikhain Ge Toh Kahain Ge Ke Parwardigaar Ye Wo Hi
Hamare Shareek Hain Jin Ko Ham Tere Siwa Pukara Karte The. Toh Wo Un Ke Kalaam
Ko Mustarad Kar Dain Ge Aur Un Se Kahain Ge Ke Tum Toh Jhoote Ho.
87
Aur Us Din Khuda Ke
Saamne Sar Nigoon(Heads Off) Ho Jayen Ge Aur Joh Toofaan Wo Baandha Karte The
Sab Un Se Jata Rahe Ga.
88
Jin Lougon Ne Kufur
Kia Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Roka Ham Un Ko Azaab Par Azaab Dain Ge Is
Liye Ke Shararat Kia Karte The.
89
Aur Us Din Ko Yaad
Karo Jis Din Ham Har Ummat Main Se Khud Un Par Gawah Khare Karain Ge. Aur Ae
Paigambar S.A.W. Tum Ko Un Lougon Par Gawah Laayen Ge. Aur Ham Ne Tum Par Aisi
Kitaab Nazil Ki Hai, Ke Us Main Har Cheez Ka Bayan-E-Muffasil (Tafseel Se
Zikar) Hai, Aur Musalmanoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Aur Bisharat Hai.
90
Khuda Tum Ko Insaaf
Aur Ehsaan Karne Aur Rishta Daroun Ko Kharch Se Madad Dene Ka Hukum Deta
Hai.Aur Be Hayayee Aur Na Maqool Kamoun Se Aur Sar Kashi Se Mana Karta Hai Aur
Tumhain Naseehat Karta Hai Taa-Ake Tum Yaad Rakho.
91
Aur Jab Khuda Se Ehed
Wasiq Karo Toh Us Ko Poora Karo Aur Jab Pakki Qasmain Khao Toh Un Ko Mat Toro
Ke Tum Khuda Ko Apna Zaamin Muqarar Kar Chuke Ho. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho
Khuda Us Ko Janta Hai.
92
Aur Us Aurat Ki Tarha
Na Hona Jis Ne Mehnat Se Toh Soot Kaata. Phir Us Ko Tour Kar Tukre Tukre Kar
Daala. Ke Tum Apni Qasmaoun Ko Apas Main Is Baat Ka Zarya Banane Lago Ke Aik
Groh(Group) Doosre Groh Se Ziada Galib Rahe. Baat Ye Hai Ke Khuda Tumhain Is Se
Aazmata Hai. Aur Jin Batoun Main Tum Ikhtilaaf Karte Ho Qiamat Ko Us Ki
Haqeeqat Tum Par Zahir Kar De Ga.
93
Aur Agar Khuda Chahta
Toh Tum Sab Ko Aik Hi Jamaat(Group) Bana Deta. Lekin Wo Jisse Chahata Hai
Gumraah Karta Hai Aur Jisse Chahata Hai Hidayat Deta Hai. Aur Joh Amal Tum
Karte Ho Uss Din Un Ke Bare Main Tum Se Zaroor Poocha Jaye Ga.
94
Aur Apni Qasmoun Ko
Apas Main Is Baat Ka Zariya Na Banao Keh Lougon Ke Qadam Jam Chukne Ke Baad
Larkhara Jayen, Aur Is Waja Se Keh Tum Ne Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Roka Tum
Ko Aqoobat Ka Mazah Chakhna Pare. Aur Bara Sakht Azaab Mile.
95
Aur Khuda Se Joh Tum
Ne Ehed(Promise) Kia Hai Us Ko Mat Baicho, Aur Us Ke Badle Thori Se Qeemat Na
Lo. Kion Ke Eefaa-E-Ehed Ka Joh Sila Khuda Ke Haan Muqarrar Hai Wo Agar Samjho
Toh Tumhare Liye Behtar Hai.
96
Joh Kuch Tumhare Paas
Hai Wo Khatam Ho Jata Hai Aur Joh Khuda Ke Paas Hai Wo Baqi Hai, Ke Kabhi Khatam
Nahi Hoga Aur Jin Lougon Ne Sabar Kia Ham Un Ko Un Ke Aamaal Ka Bohot Acha
Badla Dain Ge.
97
Joh Shakhs Naik Amal
Kare Ga Mard(Male) Ho Ya Aurat(Female) Aur Wo Momin Bhi Hoga Toh Ham Us Ko
Dunia Main Paak Aur Araam Ki Zindagi Se Zinda Rakhain Ge Aur Aakhrat Main Un Ke
Aamaal Ka Nihayat Acha Sila Dainge.
98
Aur Jab Tum Quraan
Parhne Lago, Toh Shaitaan Mardood Se Khuda Ki Panaah Mang Liya Karo.
99
Keh Joh Momin Hain Aur
Apne Parwardigar Par Bharosa Rakhte Hain Un Par Us Ka Kuch Zor Nahi Chalta.
100
Us Ka Zor Un Hi Lougon
Par Chlata Hai Joh Us Ko Rafeeq Banate Hain Aur Us Ke Waswase Ke Sabab Khuda Ke
Sath Shareek Muqarrar Karte Hain.
101
Aur Jab Ham, Koi Ayat
Kisi Ayat Ki Jaga Badal Dete Hain. Aur Khuda Joh Kuch Nazil Farmata Hai Usse
Khooob Janta Hai Toh Kafir Kehte Hain Keh Tum Toh Younhi Apni Taraf Se Bana
Late Ho. Haqeeqat Ye Hai Ke Un Main Aksar Nadaan Hain.
102
Keh Do Ke Is Ko
Rooh-Ul-Quddus Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Sachaai Ke Sath Le Kar Nazil Hue
Hain Taa-Ake Yeh Quraan Mominoun Ko Sabit Qadam Rakhe Aur Hukum Maan-Ne Waloun
Ke Liye Toh Yeh Hidayat Aur Bisharat Hai.
103
Aur Hamain Maloom Hai
Ke Yeh Kehte Hain Ke Is Paigambar Ko Aik Shakhs Sikha Jata Hai.Magar Jis Ki
Taraf Talleem Ki Nisbat Karte Hain, Us Ki Zabaan Toh Ajmi Hai Aur Yeh Saaf
Arabi Zaban Hai.
104
Yeh Loug Khuda Ki
Aayatoun Par Eemaan Nahi Laate, Inko Khuda Hidayat Nahi Deta Aur In Ke Liye
Azaab-E-Aleem Hai.
105
Jhoot Iftiraa Toh Wo
Hi Loug Kia Karte Hain Joh Khuda Ki Aayatoun Par Eeman Nahi Laate. Aur Wo Hi
Jhoote Hain.
106
Joh Shakhs Eemaan
Laane Ke Baad Khuda Ke Sath Kufur Kare ,Wo Nahi Joh Kufur Par Zabardasti
Majboor Kia Jaye Aur Us Ka Dil Eemaan Ke Sath Mutmaain Ho. Balke Wo Joh Dil Se
Aur Dil Khol Kar Kufur Kare. Toh Aisoun Par Allah Ka Gazab Hai. Aur Un Ko Bara
Sakht Azaab Hoga.
107
Yeh Isliye Ke Unhoun
Ne Dunia Ki Zinadgi Ko Aakhrat Ke Muqaable Main Azeez Rakha. Aur Is Liye Ke
Khuda Kafir Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
108
Yeh Hi Loug Hain Jin
Ke Diloun Par Aur Kaanoun Par Aur Aankhon Par Khuda Ne Mohor (Stamp) Laga Rakhi
Hai. Aur Ye Hi Gaflat Main Pare Hue Hain.
109
Kuch Shak Nahi Ke Yeh
Aakhrat Main Khasara(Loss) Uthane Wale Hounge.
110
Phir Jin Lougon Ne
Aizaayen(Takleef) Uthane Ke Baad
Tark-E-Watan Kia. Phir Jahaad Kiye Aur Sabit Qadam Rahe Tumhara Parwardigar Un
Ko Be Shak In Aazmaaishoun Ke Baad Bakhashne Wala Aur Un Par Rehmat Karne Wala
Hai.
111
Jis Din Har Muttanafis
Apni Taraf Se Jhagra Karne Aaye Ga. Aur Har Shakhs Ko Us Ke Aamaal Ka Poora
Poora Badla Dia Jaye Ga. Aur Kisi Ka Nuqsaan Nahi Kia Jaye Ga.
112
Aur Khuda Aik Aisi
Basti Ki Misaal Bayan Farmata Hai, Ke Har Tarha Aman Chain Se Basti Thi, Har
Taraf Se Rizq Ba Faragat Chala Aata Tha. Magar Un Lougon Ne Khuda Ki Naimatoun
Ki Nashukri Ki, Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal Ke Sabab Un Ko Bhook Aur Khof Ka
Libaas Pehna Kar Na Shukri Ka Mazaah Chakha Dia.
113
Aur Un Ke Paas Un Hi
Main Aik Paigambar Aaya Toh Unhoun Ne Us Ko Jhutlaya So Un Ko Azaab Ne Aa Pakra
Aur Wo Zalim The.
114
Pas Khuda Ne Joh Tum
Ko Halaal-E-Taiyab Rizq Dia Hai Usse Khao. Aur Allah Ki Naimatoun Ka Shukar
Karo. Agar Ussi Ki Ibadat Karte Ho.
115
Us Ne Tum Par
Murdaar(Dead) Aur Lahoo(Blood) Aur
Soowar Ka Gosht(Meat) Haram Kar Dia Hai, Aur Jis Cheez Par Khuda Ke Siwa Kisi
Aur Ka Naam Pukara Jaye Usko Bhi Haan Agar Koi Nachaar Ho Jaye, Toh Bashart Yeh
Keh Gunnah Karne Wala Na Ho Aur Na Had Se Nikalne Wala Toh Khuda Bakhashne Wala
Meherbaan Hai.
116
Aur Youn Hi Jhoot Joh
Tumhari Zabbaan Par Aa Jaye, Mat Keh Dia Karo, Ke Ye Halaal Hai Aur Yeh Haraam
Hai, Ke Khuda Par Jhooot Bohtaan Baandhne Lago. Joh Loug Khuda Par Johoot
Bohtaan Baandhte Hain, Unka Bhala Nahi Hoga.
117
Jhoot Ka Faaida Toh
Thora Sa Hai Magar Us Ke Badle Unko Azaab-E-Aleem Bohot Hoga.
118
Aur Joh Cheezain Ham
Tum Se Pehle Bayan Kar Chuke Hain Wo Ham Ne Yahoodiyoun Par Haraaam Kar Di
Theen. Aur Ham Ne Un Par Kuch Zulm Nahi Kia Balke Wo Hi Apne Aap Par Zulm Karte
The.
119
Phir Jin Lougon Ne,
Nadaani Se Bura Kaam Kia. Phir Us Ke Baad Touba Ki Aur Naiko Kaar Ho Gaye, Toh
Tumhara Parwardigar Unko Touba Karne Aur Naiko Kaar Ho Jane Ke Baad Bakhashne
Wala Aur Un Par Rehmat Karne Wala Hai.
120
Be Shak Ibrahim Lougon
Ke Imaam Aur Khuda Ke Farmabardaar The. Joh Aik Taraf Ke Ho Rahe The Aur
Mushrikoun Main Se Na The.
121
Us Ki Naimatoun Ke
Shukar Guzaar The. Khuda Ne Unko Burrguzeeda Kia Tha Aur Apni Seedhi Raah Par
Chalaya Tha.
122
Aur Ham Ne Un Ko Dunia
Main Bhi Khoobi Di Thi. Aur Aakhrat Main Bhi Naik Lougon Main Hounge.
123
Phir Ham Ne Tumhari
Taraf Wahi Bahijai Ke Deen-E-Ibarahim Ki Pairwi Ikhtiyar Karo Joh Aik Taraf Ke
Ho Rahe The Aur Mushrikoun Main Se Na The.
124
Hafte Ka Din Toh Un Hi
Lougon Ke Liye Muqarrar Kia Gaya Tha. Jinhoun Ne Is Main Ikhtilaaf Kia. Aur
Tumhara Parwardigaar Qiamat Ke Din Un Mian In Batoun Ka Faisla Kar De Ga Jin
Main Wo Ikhtilaaf Karte The.
125
Ae Paigambar S.A.W.
Lougon Ko Daanish Aur Naik Naseehat Se Apne Parwardigaar Ke Raste Ki Taraf
Bulao. Aur Bohot Hi Ache Tareeqe Se Un Se Manazraa Karo. Joh Us Ke Raste Se
Bhatak Gaya, Tumhara Parwardigaar Usse Bhi Khoob Janta Hai Aur Joh Raste Par
Cahlne Wale Hain Un Se Bhi Khoob Waqif Hai.
126
Aur Agar Tum Un Ko
Takleef Deni Chaho Toh Utni Hi Do Jitna Takleef Tum Ko Un Se Pohonchti. Aur
Agar Sabar Karo Toh Wo Sabar Karne Waloun Ke Liye Bohot Acha Hai.
127
Aur Sabar Hi Karo Aur
Tumhara Sabar Bhi Khuda Hi Ki Madad Se Hai Aur Un Ke Bare Main Gham Na Karo Aur
Joh Ye Bad Andaishi Karte Hain Us Se Tangdil Na Ho.
128
Kuch Shak Nahi Ke Joh
Parhaizgar Hain Aur Jo Naiko Kaar Hain Khuda Un Ka Madadgaar Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!