(5)
Soorah-E-Al
Maaida
Aayaat(120)
Shroo Allah
Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Eemaan
Walo !Apne Iqraaron(Promises) Ko Poora Karo. Tumhare Liye Chaar Paaye Janwar,
Joh Charne Wale Hain, Halaal Kar Diye Gaye Hain.Bajuz (Instead Of) Un Ke Joh
Tumhain Parh Kar Sunaye Jate Hain, Magar Ehram-E-Haj Main Shikaar Ko Halaal Na
Jan-Na. Khuda Jaisa Chahata Hai Hukum Deta Hai.
2
Momino!
Khuda Ke Naam Ki Cheezon Ki Be Hurmati Na Karna Aur Na Adab Ke Maheene Ki, Aur
Na Qurbani Ke Janwaron (Animals) Ki Aur Na Un Janwaron Ki Joh Khuda Ki Nazar
Kar Diye Gaye Houn, Aur Jin Ke Galoun (Neck) Main Patte Bandhe Houn, Aur Na Un
Lougon Ki Joh Izat Ke Ghar Yaani Bait-Ullah Ko Ja Rahe Houn, Aur Apne
Parwardigaar Ke Fazal Aur Us Ki Khushnodi Ke Talabgaar Houn, Aur Jab Ehraam
Utaar Do Toh Phir Ikhtiyaar Hai Ke Shikaar Karo Aur Lougon Ki Dushmaini Is
Wajah Se Ke Un Hon Ne Tum Ko Izzat Wali
Masjid Se Roka Tha, Tumahin Is Baat Par
Aamaada Na Kare Ke Tum Un Par Ziadti Karne Lago Aur Daikho Naiki Aur Parhaizgari Ke
Kamon Main Aik Doosre Ki Madad (Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun
Main Madad Na Kia Karo Aur Khuda Se Darte Raho. Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka
Azaab Sakht Hai.
3
Tum Par
Mara (Dead) Hua Janwar Aur Behta (Flooded Blood) Hua Lahoo Aur Sooar (Pigg) Ka
Gosht (Meat) Aur Jis Cheez Par Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ka Naam Pukara Jaye, Aur
Joh Janwar Gala Ghutt Kar Mar Jaye Aur Joh Chout Lag (Injured) Kar Mar Jaye,
Aur Joh Gir Kar Mar Jaye, Aur Joh Seengh Lag Kar Mar Jaye Yeh Sab Haraam Hain,
Aur Wo Janwar Bhi Jis Ko Darinde (Wild Animals) Phaar Khayen. Magar Jis Koo Tum
Marne Se Pehle Zibaah Kar Lo Aur Wo Janwar Bhi Joh Thaan Par Zibaah Kia Jaye, Aur Yeh Bhi Ke
Paason Se Qismat Maloom Karo, Yeh Sab Gunnaah Ke Kaam Hain, Aaj Kafir Tumahare
Deen Se Na Umeed Ho Gaye Hain Toh Un Se Mat Daro, Aur Mujhi Se Darte Raho Aur
Aaj Ham Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Kamil Kar Dia Aur Apni Naimatain Tum Par
Poori Kar Deen Aur Tumhare Liye Islam Ko, Deen Pasand Kia, Haan Joh Shakhs Bhook Main Nachaar Ho Jaye
Basharat Ye Ke Gunaah Ki Taraf Mail Na Ho Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan
Hai.
4
Tum Se
Poochte Hain Ke Koun Koun Si Cheezain Un Ke Liye Halaal Hain, Un Se Keh Do Ke
Sab Paakeeza Cheezain Tum Ko Halaal Hain Aur Wo Shikaar Bhi Halaal Hai Joh Tumhare
Liye Un Shikari Janwaron Ne Pakra Ho, Jin Ko Tum Ne Sidha(Trained) Rakha Ho Aur
Jis Tareeq (Method) Se Khuda Ne Tumhain Shikaar Karna Sikhaya Hai, Us Tareeq Se
Tum Ne Un Ko Sikhaya Ho, Toh Joh Shikaar Wo Tumhare Liye Pakar Rakahin Us Ko
Kha Liya Karo, Aur Shikari Janwaron Ko Chorte Waqt Khuda Ka Naam Le Liya Karo,
Aur Khuda Se Darte Raho.Beshak Khuda Jald Hisab Lene Wala Hai.
5
Aaj Tumhare
Liye Sab Paakeeza Cheezain Halaal Kar Di Gaiyee, Aur Ehl-E-Kitaab Ka Khana Bhi
Tum Ko Halaal Hai Aur Tumahra Khana Un Ko Halaal Hai, Aur Paak Daaman Momin
Aurtain Aur Paak Daman Ehl-E-Kitaab Aurtain Bhi Halaal Hain, Jabke Un Ka Meher
De Do. Aur Un Se Iffat Qaaim Rakhni Maqsood Ho, Na Khuli Badkari Karni, Aur Na
Chupi Dosti Karni, Aur Joh Shakhs Eemaan Ka Munkir Hua Us Ke Amal Zaaya Ho
Gaye, Aur Wo Aakhrat Main Nuqsan Paane Walon Main Hoga.
6
Momino! Jab
Tum Namaz Parhne Ka Qasad(Irada) Kia Karo Toh Moonh (Face) Aur Kohniyon Tak
Hath Dho Liya Karo Aur Sar Ka Massah Kar Liya Karo Aur Takhnoun Tak Paaon Dho
Liya Karo, Aur Agar Nahaane Ki Hajat Ho Toh Naha Kar Paak Ho Jaya Karo, Aur
Agar Bimar Ho Ya Safar Main Ho, Ya Koi Tum Main Se Bait-Ul-Khala Se Ho Kar Aaya
Ho, Ya Tum Aurtaon Se Ham Bistar Hue Ho, Aur Tumahin Paani Na Mill Sake, Toh
Paak Matti Lo Aur Us Se Moonh Aur Hathon Ka Masaah Yaani Taiyamuum Kar Lo.
Khuda Tum Par Kisi Tarha Ki Tangi Nahi Karna
Chahta Balke Yeh Chahta Hai Ke Tumhain Paak Kare Aur Apni Naimatain Tum Par
Poori Kare, Taa-Ake Tum Shukar Karo.
7
Aur Khuda
Ne Joh Tum Par Ehsaan Kiye Hain Un Ko Yaad Karo Aur Us Ehed Ko Bhi Jis Ka Tumse
Qoul Liya Tha, Yaani Jab Tum Ne Kaha Tha Ke Ham Ne Khuda Ka Hukum Sunn Liya Aur
Qabool Kia. Aur Allah Se Daro. Kuch Shak
Nahi, Ke Khuda Diloun Ki Baton Tak Se Waqif Hai.
8
Ae Eemaan
Walo! Khuda Ke Liye Insaaf Ki Gawahi Dene Ke Liye Khare Ho Jaya Karo. Aur
Logoun Ki Dushmani Tum Ko Is Baat Par Aamada Na Kare, Ke Insaaf Chor Do. Insaaf
Kia Karo, Ke Yeh Hi Parhaizgari Ki Baat Hai Aur Khuda Se Darte Raho. Kuch Shak Nahi Ke Khudaa
Tumahare Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.
9
Joh Loug
Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe, Un Se Khuda Ne Waada Farmaya He, Ke Un Ke
Liye Bakhshsih Aur Ajar-E-Azeem Hai.
10
Aur Jinhoun
Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Wo Jahanumi Hain.
11
Ae Eemaan
Walo! Khuda Ne Joh Tum Par Ehsaan Kia Hai Us Ko Yad Karo. Jab Aik Jamaat Ne
Irada Kia Ke Tum Par Dast Darazi Karen Toh Us Ne Un Ke Hath Rouk Diye Aur Khuda
Se Darte Raho Aur Momino Ko Khuda Hi Par Bharosa Rakhna Chahiye.
12
Aur Khuda
Ne Bani Israeel Se Iqraar Liya Aur Un Main Ham Ne Bara Sardaar Muqarrar Kiye,
Phir Khuda Ne Farmaya Ke Main Tumahre Sath Hoon Agar Tum Namaz Parhte Aur Zakat
Dete Raho Ge Aur Mere Paigambaron Pe Eemaan Lao Ge, Aur Un Ki Madad Karo Ge Aur
Khuda Ko Qarz-E-Hasna Do Ge, Toh Main Tum Se Tumahre Gunnah Door Kar Doonga Aur
Tum Ko Behishaton(Heaven) Main Dakhil Karoonga, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi
Hain Phir Jis Ne Us Ke Baad Tum Main Se Kufur Kia Wo Seedhe Raste Se Bhatak
Gaya.
13
Toh Un
Lougon Ke Ehed Tor Dene Ke Sabab Ham Ne Un Par Laanat Ki, Aur Un Ke Diloun Ko
Sakht Kar Dia, Yeh Loug Kalmaat-E-Kitaab Ko Apne Maqamaat Se Badal Dete Hain
Aur Jin Baton Ki Un Ko Naseehat Ki Gai Thi, Un Ka Bhi Aik Hissa Faramosh Kar
Baithe, Aur Thore Aadmiyon Ke Siwa Hamesha Tum Un Ki Aik Na Aik Khayanat Ki
Khabar Paate Rehte Ho, Toh Un Ki Khataye Moaaf Kar Do Aur Un Se Darguzar Karo
Ke Khuda Ehsan Karne Walon Ko Dost Rakhta Hai.
14
Aur Joh
Loug Apne Taiyee (Themselves) Kehte Hain Ke Ham Nasaari Hain, Ham Ne Un Se Bhi
Ehed Liya Tha, Magar Unhon Ne Bhi Is Naseehat Ka Joh Un Ko Ki Gai Thi Aik Hissa
Farmaosh Kar Dia Toh Ham Ne Un Ke Baham Qiamat Tak Ke Liye Dushmani Aur Keena
Dal Dia Aur Joh Kuch Wo Karte Rahe, Khuda Anqareeb Un Ko Us Se Agaah Kare Ga.
15
Ae Ehl-E-Ktiaab!
Tumhare Paas Hamare Paighabmar Aakhir-Uz-Zamaan Aa Gaye Hain, Ke Joh Kuch Tum
Kitaab-E-Ilaahi Main Se Chupate The Wo
Is Main Se Bohot Kuch Tumhain Khol Khol Kar Bata Dete Hain Aur Tumhare
Bohot Se Qasoor Moaaf Kar Dete Hain Be Shak Tumahre Pas Khuda Ki Taraf Se Noor
Aur Roshan Kitaab Aa Chuki Hai.
16
Jin Se Khuda
Apni Raza Par Chalne Walon Ko Nijaat Ke Raste Dikhata Hai, Aur Apne Hukum Se
Andhaire Main Se Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jata, Aur Un Ko Seedhe Raste Par
Chalata Hai.
17
Joh Loug Is
Baat Ke Qaail Hain, Ke Eesa Ibn-E-Maryam Khuda Hain Wo Be Shak Kaafir Hain, Un
Se Keh Do Ke Agar Khuda, Eesa
Ibn-E-Maryam
Ko Aur Un Ki Waalda Ko, Aur Jitney Loug Zameen Main Hain Sab Ko, Halaak Karna Chahe, Toh Us Ke Aage Kisi
Ki Paish Chal Sakti Hai? Aur Aasmaan Aur Zameen Aur Joh Kuch Un Dono Main Hai
Sab Par Khuda Hi Ki Baadsahi Hai Wo Joh Chahta Hai Paida Karta Hai Aur Khuda
Har Cheez Par Qadir Hai.
18
Aur Yahood
Aur Nasara Kehte Hain Ke Ham Khuda Ke Bete Aur Us Ke Piyare Hain, Kaho Ke Phir
Wo Tumhare Bad Aamaliyon (Bad Characters) Ke Sabab Tumahin Azaab Kion Deta Hai?
Nahi Balke Tum Us Ki Makhlooqaat Main Doosron Ki Tarha Ke Insaan Ho, Wo Jise
Chahe Bakhshe Aur Jise Chahe Azaab De Aur Aasmaan Aur Zameen Aur Joh Kuch In
Dono Main Hai, Sab Par Khuda Hi Ki Hukumat Hai Aur Sab Ko Usi Ki Taraf Lout Kar
Jana Hai.
19
Ae Ehl-E-Kitaab
Paigambaron Ke Aane Ka Silsila Joh Aik Arse Tak Munqata Raha Toh Ab Tumhare
Paas Hamare Paighambar Aa Gaye Hain Joh Tum Se Hamare Ehkaam Bayan Karte Hain,
Taa-Ake Tum Ye Na Kaho Ke Hamare Paas
Koi Khushkhabari Ya Dar Sunaane Wala Nahi Aaya, So Ab Tumahre Pas Khushkhabri
Aur Dar Sunane Wale Aa Gaye Hain Aur Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
20
Aur Jab
Moosa Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Bhaiyo Tum Par Khuda Ne Joh Ehsaan Kiye Hain Un
Ko Yaad Karo, Ke Us Ne Tum Main Paigambar Paida Kiye, Aur Tumhain Badshah
Banaya Aur Tum Ko Itna Kuch Inayat Kia Ke Ehel-E-Aalam Main Se Kisii Ko Nahi
Dia.
21
Toh Bhaiyo!
Tum Arz-E-Muqaddas Yaani Mulk-E-Shaam Main
Jisse Khuda Ne Tumahre Liye Likh Rakha Hai Chal Dakhil Ho Aur Diakhna
Muqable Ke Waqt Peeth Na Phair Dena Warna Nuqsaan Main Par Jao Ge.
22
Wo Kehne
Lage Ke Moosa Wahan Toh Bare Zabardast Loug Rehte Hain Aur Jab Tak Wo Us Sar
Zameen Se Nikal Na Jayen Ham Wahan Ja Nahi Sakte, Haan Agar Wo Wahan Se Nikal
Jaayen Toh Ham Ja Dakhil Hon Ge.
23
Joh Loug
Khuda Se Darte The Un Main Se Do Shakhs, Jin Par Khuda Ki Inayat Thi, Kehne
Lage Ke Un Lougon Par Darwaze Ke Raste Se Hamla Kar Do, Jab Tum Darwaze Main
Dakhil Ho Gaye Toh Fatah Tumahri Hai, Aur Khuda Hi Par Bharosa Rakho Bashart Ye
Ke Sahib-E-Eeman Ho.
24
Wo Bole Ke
Moosa! Jab Tak Wo Loug Wahan Hain Ham Kabhi Wahan Nahi Ja Sakte Agar Larna Hi
Zaroor Hai Toh Tum Aur Tumhara Khuda Jao Aur Laro Ham Yaheen Baithe Rahain Ge.
25
Moosa Ne
Khuda Se Iltija Ki Ke Parwardigaar Main Apne Aur Apne Bhai Ke Siwa Aur Kisi Par
Ikhtyar Nahi Rakhta, Tu Ham Main Aur Un Nafarmaan Lougon Main Judai Kar De.
26
Khuda Ne
Farmaya Ke Wo Mulk Un Par Chalees Baras Tak Ke Liye Haram Kar Dia Gaya, Ke
Wahan Jane Na Paayen Ge Aur Jangal Ki Zameen Main Sargardaan Phirte Rahain Ge,
Toh Un Nafarman Lougon Ke Haal Par Afsos Na Karo.
27
Aur Ae Muhammad
S.A.W. Un Ko Adam Ke Do Baiton, Haabeel Aur Qabeel Ke Halaat, Joh Bilkul Sache
Hain, Parh Kar Suna Do, Ke Jab Un Dono Ne Khuda Ki Janaab Main Kuch Niyazain
Charhayeen Toh Aik Ki Niyaaz Toh Qabool Ho Gai
Aur Doosre Ki Qabool Na Hui, Tab Qabeel Habeel Se Kehne Laga Ke Main
Tujhe Qatal Kar Donga Us Ne Kaha Ke Khuda Parhaizgaron Hi Ki Niyaz Qabool
Fermaya Karta Hai.
28
Aur Agar Tu
Mujhe Qatal Karne Ke Liye Mujh Par Hath Chalaye Ga Toh Main Tujh Ko Qatal Karne
Ke Liye Tujh Par Hath Nahi Chalaon Ga, Mujhe Toh Khuda-E-Rab-Ul-Aalmeen Se Dar
Lagta Hai.
29
Main Chahta
Hoon, Ke Tu Mere Gunaah Main Bhi Makhooz
Ho Aur Apne Gunaah Main Bhi, Phir
Zumrra-E-Ehl-E-Dozak Main Ho, Aur Zalimon Ki Yeh Saza Hai.
30
Magar Us Ke
Nafs Ne Us Ko Bhai Ke Qatal Hi Ki
Targeeb Di, Toh Us Ne Use Qatal Kar Dia Aur Khasara Uthane Walon Main Ho Gaya.
31
Ab Khuda Ne
Aik Kauwa (Crow) Bhaja Joh Zameen Kuraidne Laga Taa-Ake Use Dikhaye Ke Apne
Bhai Ki Lash Ko Kiyon Kar Chupaye , Kehne Laga, Ae Hai Mujh Se Itna Bhi Na
Hosaka, Ke Is Kawae Ke Barabar Hota Ke
Apne Bhai Ki Lash Chupa Deta Phir Wo Pasheimaan Hua.
32
Us Qatal Ki
Waja Se Ham Ne Bani Israil Par Yeh Hukum Nazil Kia Ke Joh Shakhks Kisi Ko Nahaq
Qatal Kare Ga, Yaani Bagair Is Ke, Ke Jaan Ka Badla Liya Jaye Ya Mulk Main
Kharabi Karne Ki Saza Di Jaye, Us Ne Goya Tamaam Lougon Ko Qatal Kia, Aur Joh
Us Ki Zindagaani Ka Moujab Hua, Toh Goya Tamaam Logon Ki Zindagani Ka Moujab
Hua, Aur Un Lougon Ke Paas Hamare Paighabar Roshan Daleelain La Chuke Hain,
Phir Us Ke Baad Bhi Un Main Bohot Se Loug Mulk Main Had-E-Aitadaal Se Nikal
Jate Hain.
33
Joh Loug
Khuda Aur Us Ke Rasool Se Larayee Karain, Aur Mulk Main Fisaad Karne Ko Dorte
Phirain Un Ki Yeh Hi Saza Hai Ke Qatal Kar Diye Jayen, Ya Sooli Charha Diye
Jayen, Ya Un Ke Aik Aik Taraf Ke Hath Aur Aik Aik Taraf Ke Paaon Kat Diye Jaye,
Ya Mulk Se Nikaal Diye Jayen, Ye Toh Dunia Main Un Ki Ruswaye Hai Aur Aakhrat
Main Un Ke Liye Bara Bhari Azab Taiyar Hai.
34
Haan Jin
Lougon Ne Is Se Paishtar, Ke Tumhare Qaabo Aa Jaayen Touba Kar Li, Toh Jaan
Rakho Ke Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
35
Ae Eemaan
Walo! Khuda Se Darte Raho Aur Us Ka Qurb Hasil Karne Ka Zariya Talash Karte
Raho Aur Us Ke Raste Main Jahaad Karo Taa-Ake Rustgaari Paao.
36
Joh Loug
Kafir Hain Agar Un Ke Paas Roo-E-Zameen Ke Tamaam Khazane Aur Is Ka Sab
Maal-O-Mataa Ho, Aur Us Ke Sath Isi Qadar Aur Bhi Hota, Ke Qiamat Ke Roz Azaaab
Se Rustgaari Hasil Karne Ka Badla Dain
Toh Un Se Qabool Nai Kia Jaye Ga, Aur Un Ko Dard Dene Wala Azaab Hoga.
37
Har Chand
Chahain Ge Ke Aag Se Nikal Jaaye, Magar Us Se Nahi Nikal Sakain Ge Aur Un Ke
Liye Hamesha Ka Azaab Hai.
38
Aur Joh
Chori Kare, Mard Ho Ya Aurat, Un Ke Hath Kaat Daalo Ye Un Ke Failon Ki Saza Aur
Khuda Ki Taraf Se Ibrat Hai, Aur Khuda Zabardast Aur Sahib-E-Hikmat Hai.
39
Aur Joh
Shakhs Gunnah Ke Baad Touba Kar Le Aur Naiko Kar Ho Jaye, Toh Khuda Us Ko Moaaf
Kar De Ga, Kuch Shak Nahi Ke Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
40
Kia Tum Ko
Maloom Nahi Ke, Aasmaano Aur Zemeen Main Khuda Hi Ki Saltanat Hai? Jis Ko Chahe
Azaab Kare Aur Jisse Chahe Bakhsh De Aur Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
41
Ae Paigambar
Joh Loug Kufur Main Jaldi Karte Hain Kuch Toh Un Main Se Hain, Joh Moonh Se
Kehte Hain Ke Ham Momin Hain, Lekin Un Ke Dil Momin Nahi Hain Aur Kuch Un Main
Se Joh Yahoodi Hain, Un Ki Waja Se Gamnaak Na Hona, Yeh Galat Batain Banane Ke
Liye Jasoosi Karte Phirte Hain, Aur Aise Lougon Ke Behkane Ke Liye Jasoos Bane Hain, Joh Abhi Tumhare Paas Nahi
Aye, Saheeh Batoun Ko Un Ke Maqamaat Main Sabit Hone Ke Baad Badal Dete Hain,
Aur Lougon Se Kehte Hain Ke Agar Tum Ko Yeh Hi Hukum Mile Toh Usse Qabool Kar
Lena, Aur Agar Na Mile Toh Us Se Aitaraaz Karna, Aur Agar Kisi Ko Khuda Gumraah
Karna Chahe Toh Us Ke Liye Tum Kuch Bhi Khuda Se Hidayat Ka Ikhtiyaar Nahi
Rakhte, Yeh Wo Loug Hain Jin Ke Diloun Ko Khuda Ne Paak Karna Nahi Chaha, Un Ke
Liye Dunia Main Bhi Zillat Hai Aur Aakhrat Main Bi Bara Azaab Hai.
42
Yeh Jhooti
Batain Baanne Ke Liye Jasoosi Karne Wale Aur Rishwat Ka Haraam Maal Khane Wale
Hain, Agar Yeh Tumhare Paas Koi Muqadma Faisal Karaane Ko Ayen Toh Tum Un Ko
Faisla Kar Dena Ya Airaaz Karma, Aur Agar Un Se Airaaz Karo Ge Toh Wo Tumhara
Kuch Bhi Nahi Bigaar Sakain Ge, Aur Agar Faisla Karna Chaho Toh Insaaf Ka
Faisla Karma, Ke Khuda Insaaf Karne Waloun Ko Dost Rakhta Hai.
43
Aur Yeh Tum
Se Apne Muqaddamaat Kion Kar Faisal Karayen Ge Jabke Khud In Ke Paas Touraat
Mojood Hai, Jis Main Khuda Ka Hukum Likha Hua Hai, Ye Usse Jaante Hain Phir Us
Ke Baad Us Se Phir Jaate Hain, Aur Yeh Loug Eemaan Hi Nahi Rakhte.
44
Beshak Ham
Ne Touraat Nazil Farmayee, Jis Main Hidayat Aur Roshni Hai Usi Ke Mutabiq Ambia
Joh Khuda Ke Farmabardar The Yahoodiyon Ko Hukum Dete Rahe Hain, Aur Mashaa-Ikh
Aur Ulma Bhi, Kiyon Ke Wo Kitaab-E-Khuda Ke Nigehbaan Muqararr Kiye Gaye The.
Aur Us Par Gawah The Yaani Hokum-E-Ilaahi Ka Yaqeen Rakhte The, Toh Tum Lougon
Se Mat Darna, Aur Mujhi Se Darte Rehna Aur Meri Aayaton Ke Badle Thori Se Qeemat Na Laina, Aur Joh Khuda
Ke Nazil Farmaye Hue Ehkaam Ke Mutabiq Hukum Na De, Toh Aise Hi Loug Kafir
Hain.
45
Aur Ham Ne
Un Lougon Ke Liye Touraat Main Yeh Hukum Likh Dia Tha, Ke Jaan Ke Badle Jaan
Aur Ankh Ke Badle Aankh Aur Naak Ke Badle Naak Aur Kaan Ke Badle Kaan Aur Daant
Ke Badle Daant Aur Sab Zakhmon Ka Usi Tarha Badla Hai, Lekin Joh Shakhs Badla
Moaaf Kar De Wo Us Ke Liye Kuffara Hoga Aur Joh Khuda Ke Nazil Farmaye Hue
Ehkaam Ke Mutabik Hukum Na De, Toh Aise Hi Loug Be Insaaf Hain.
46
Aur Un
Paigambaron Ke Baad Unhi Ke Qadmon Par Ham Ne Eesaa Ibn-E-Maryam Ko Bhaija Joh
Apne Se Pehle Ki Kitaab Touraaat Ki Tasdeeq Karte The, Aur Un Ko Injeel Inayat
Ki Jis Main Hidayat Aur Noor Hai Aur
Touraat Ki, Joh Us Se Pehli Kitaab Hai, Tasdeeq Karti Hai Aur Parhaizgaron Ko
Raah Batati Aur Naseehat Karti Hai.
47
Aur Ehl-E-Injeel
Ko Chahiye Ke Joh Ehkaam Khuda Ne Us Main Nazil Farmaye Hain Us Ke Mutabik
Hukum Dia Karen Aur Joh Khuda Ke Nazil Kiye Hue Ehkaam Ke Mutabik Hukum Na De
Ga Toh Aise Loug Nafarmaan Hain.
48
Aur Ae
Paigambar! Hum Ne Tum Par Sachi Kitaab Nazil Ki Hai Joh Apne Se Pehli Kitabon
Ki Tasdeeq Karti Hai, Aur Un Sab Par Shamil Hai, Toh Joh Hukum Khuda Ne Nazil
Farmaya Hai Us Ke Mutabiq Un Ka Faisla
Karna Aur Haq Joh Tumahre Paas Aa Chuka Hai Us Ko Chor Kar Un Ki Khaahishon Ki
Pairwi Na Karma, Ham Ne Tum Main Se Har
Aik Firqe Ke Liye Aik Dastoor Aur Tareeqa Muqarrar Kia Hai Aur Agar Khuda
Chahta Toh Tum Sab Aik Hi Sharieeat Par
Kar Deta, Magar Joh Hukum Us Ne Tum Ko Diye Hain, Un Main Wo Tumhari Aazmaaish
Karna Chahta Hai So Naik Kamon Main Jaldi Karo, Tum Sab Ko Khuda Ki Taraf Lout
Kar Jana Hai, Phir Jin Baton Main Tum Ko Ikhtilaaf Tha Wo Tumko Bata De Ga.
49
Aur Ham
Phir Takeed Karte Hain Ke Joh Hukum Khuda Ne Nazil Farmaya Hai Usi Ke Mutabiq
Un Main Faisla Karma, Aur Un Ki Khwahishon Ki Pairwi Na Karna Aur Un Se Bachte
Rehna, Ke Kisi Hukum Se Joh Khuda Ne Tum
Par Nazil Farmaya Hai, Yeh Kaheen Tum Ko Behka Na Dain, Agar Ye Na Maanain Toh
Jaan Lo Ke Khuda Chahata Hai, Ke Un Ke Baz Gunahon Ke Sabab Un Par Museebat Nazil
Kare, Aur Aksar Loug Toh Nafarmaan Hain.
50
Kia Yeh
Zamana-E-Jaahliyat Ke Hukum Ke Khuahish Mand Hain ? Aur Joh Yaqeen Rakhte Hai
Un Ke Liye Khuda Se Acha Hukum Kis Ka Hai?
51
Ae Eemaan
Walo! Yahood Aur Nasara Ko Dost Na Banao. Yeh Aik Doosre Ke Dost Hain Aur Joh
Shakhs Tum Main Se Unko Dost Banaye
Ga Wo Bhi Unhi Main Se Hoga.
Beshak Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat
Nahi Deta.
52
Toh Jin
Lougon Ke Dilon Main Nifaaq Ka Marz Hai, Tum Un Ko Daikho Ge Ke Un Main Dour
Dour(Bhaag Bhaag Kar) Ke Mile Jate Hain, Kehte
Hain Ke Hamain Khof Hai Ke Kaheen Ham Par Zamane Ki Gardish Na Aa Jaye,
So Qareeb Hai Ke Khuda Fatah Bhaije, Ya Apne Haan Se Koi Aur Amar Nazil
Farmaye, Phir Ye Apne Dil Ki Baton Par Joh Chupaya Karte The, Pashaimaan Ho Kar
Reh Jaye Ge.
53
Aur Us Waqt
Musalmaan Taajuub Se Kahian Ge, Ke Kia Yeh Wo Hi Hain Joh Khuda Ki Sakht Sakht
Qasmain Khaya Karte The, Ke Ham Tumhare Sath Hain Un Ke Amal Akarat(Bekaar)
Gaye Aur Wo Khasare Main Par Gaye.
54
Ae Eemaan
Walo Agar Koi Tum Main Se Apne Deen Se Phir Jaye Ga Toh Khuda Aise Loug Paida
Kar De Ga Jin Ko Wo Dost Rakhe, Aur Jise Wo Dost Rakhen Aur Joh Mominon Ke Haq
Main Narmi Karain Aur Kafiron Se Sakhti Se Paish Ayein, Khuda Ki Raah Main
Jahaad Karein Aur Kisi Malamat Karne Wale Ki Malamat Se Na Darein, Yeh Khuda Ka Fazal Hai Wo Jisse Chahata Hai
Deta Hai, Aur Khuda Bari Kushaaish Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
55
Tumhare Dost
Toh Khuda Aur Us Ke Paigambar Aur Momin
Loug Hi Hain Joh Namaaz Parhte Aur Zakaat Dete Aur Khuda Ke Aage Jhukte Hain.
56
Aur Joh
Shakhs Khuda Aur Us Ke Paigambar Aur Momino Se Dosti Kare Ga, Toh Wo Khuda Ki
Jamaat Main Dakhil Hoga, Aur Khuda Ki Jamaat Hi Ghalba Pane Wali Hai.
57
Ae Eemaan
Walo! Jin Lougon Ko Tum Se Pehle Kitabain Di Gai Theen Un Ko Aur Kafiron Ko
Jinhon Ne Tumhare Deen Ko Hansi Aur Khail Bana Rakha Hai, Dost Na Banao Aur
Momin Ho Toh Khuda Se Darte Raho.
58
Aur Jab Tum
Loug Namaz Ke Liye Azaan Dete Ho, Toh Yeh, Usse Bhi Hansi Aur Khail Banaate
Hain, Yeh Isliye Ke Samajh Nahi Rakhte.
59
Kaho Ke Ae
Ehl-E-Kitaab ! Tum Ham Main Buraye Hi Kia Daikhte Ho Siwa Us Ke Ke Ham Khuda
Par, Aur Joh Kitaab Ham Par Nazil Hui Us Par, Aur Joh Kitaabain Pehle Nazil
Hueen Un Par Eemaan Laye Hain, Aur Tum
Main Aksar Bad Kirdaar Hain.
60
Kaho, Ke
Main Tumhain Bataoon, Ke Khuda Ke Haan Us Se Bhi Bad Tar Jaza Pane Wale Koun Hain?
Wo Loug Hain Jin Par Khuda Ne Laanat Ki,
Aur Jin Par Wo Gazabnaak Hua, Aur Jin Ko Un Main Se Bandar Aur Sooar Bana Dia
Aur Jin Hon Ne Shiataan Ki Paristish Ki Aise Lougon Ka Bura Thikana Hai Aur Wo
Seedhe Raste Se Bohot Door Hain.
61
Aur Jab Ye
Loug Tumhare Paas Aate Hain Toh Kehte Hain Ke Ham Eemaan Le Aye, Halaanke Kufur
Le Kar Aate Hain Aur Usi Ko Lekar Jate Hain, Aur Jin Baton Ko Yeh Makhfi
(Hidden) Rakhte Hain Khuda Un Ko Khoob Janta Hai.
62
Aur Tum
Daikho Ge Ke Un Main Aksar Gunnah Aur Ziaadti Aur Haraam Khane Main Jaldi Kar Rahe Hain, Be Shak Yeh Joh Kuch Karte Hain
Bura Karte Hain.
63
Bhala Un Ke
Mashaaikh Aur Ulmaa Unhain Gunnah Ki Baton Aur Haraam Khane Se Mana Kion Nahi
Karte, Bila Shuba Wo Bhi Bura Karte Hain.
64
Aur Yahood
Kehte Hain Ek Khuda Ka Hath Garden Se Bandha Hua Hai Yaani Allah Bakheel Hai
(Naaooz-O-Billah) Un Hi Ke Hath Bandhe Jaye, Aur Aisa Kehne Ke Sabab Un Par
Laanat Ho, Balke Us Ke Dono Hath Khule Hain Wo Jis Tarha Aur Jitna Chahata Hai
Kharch Karta Hai, Aur Ae Muhammad S.A.W. Yeh Kitaab Joh Tumhare Parwardigaar Ki
Taraf Se Tum Par Naazil Hui, Is Se Un Main Se Aksar Ki Shararat Aur Inkaar Aur
Barhe Ga, Aur Ham Ne Un Ke Baham, Adawat Aur Buguz Qiamat Tak Ke Liye Daal Dia
Hai Yeh Jab Laraye Ke Liye Aag Jalate Hain Khuda Us Ko Bujha Deta Hai Aur Yeh
Mulk Main Fisaad Ke Liye Dorte Phirte Hain Aur Khuda Fisaad Karne Walon Ko Dost
Nahi Rakhta.
65
Aur Agar
Ehl-E-Kitaab Eeman Late Aur Parhaiz Gaari Karte Toh Ham Un Se Un Ke Gunnah
Mehev Kar Dete Aur Un Ko Naimat Ke Baaghon Main Dakhil Karte.
66
Aur Agar Wo
Touraat Aur Injeel Ko, Aur Joh Aur Kitaabain Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Un
Par Naazil Hui Un Ko Qaaim Rakhte, Toh Un Par Rizq Meena(Like Rain) Ki Tarha
Barista, Ke Apne Oopar Se Paaon Ke Neeche Se Khate, Un Main Kuch Loug Miyana Ro
(Balanced) Hain Aur Bohot Se Aise Hain Jin Ke Aamaal Bure Hain.
67
Ae Paigambar
Joh Irshaadaat Khuda Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hue Hain Sab Lougon Ko Pohoncha
Do, Aur Agar Aisa Na Kia, Toh Tum Khuda Ke Paigaam Pohonchane Main Qaasir Rahe,
Yaani Paigambari Ka Farz Ada Na Kia, Aur Khuda Tum Ko Lougon Se Bachaye Rakhe
Ga, Beshak Khuda Munkiron Ko Hidayat Nahi Karta.
68
Kaho Ke Ae
Ehl-E-Kitaab! Jab Tak Tum Touraat Aur
Injeel Ko Aur Joh Aur Kitaabain Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum Lougon Par Naazil
Hueen, Un Ko Qaaim Na Rakho Ge, Kuch Bhi Raah Par Nahi Ho Sakte. Aur Yeh Quraan
Joh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tum Par Naazil Hua Hai Us Se Un Main Se
Aksar Ki Sarkashi Aur Kufur Aur Barhe Ga, Toh Tum Qoum-E-Kufaar Par Afsos Na
Karo.
69
Joh Loug
Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Layen Ge, Aur Amal Naik Karen Ge, Khuah
(Beshak) Wo Musalmaan Houn Ya Yahoodi Ya Sitara Parast Ya Eesaayee, Un Ko
Qiamat Ke Din Na Kuch Khof Ho Ga Aur Na Gamnaak Hounge.
70
Ham Ne Bani
Israail Se Ehed Bhi Liya, Aur Un Ki Taraf Paigambar Bhi Bhaije, Lekin Jab Koi
Paigambar Un Ke Paas Aisi Batain Le Kar Aata Jin Ko Un Ke Dil Nahi Chahte The,
Toh Wo Ambia Ki Aik Jamaat Ko Toh Jhutla Dete, Aur Aik Jamaat Ko Qatal Kar Dete
The.
71
Aur Yeh
Khayal Karte The Ke Is Se Un Par Koi Aafat Nahi Aane Ki, Toh Wo Andhe Aur Behre Ho Gaye Phir Khuda Ne
Un Par Meherbaani Farmayee Lekin Phir Un Main Se Bohot Se Andhe Aur Behre Ho
Gaye Aur Khuda Un Ke Sab Kamon Ko Daikh Raha Hai.
72
Wo Loug Be
Shak Kaafir Hain Joh Kehte Hain, Ke Maryam Ke Bete Eesaa Maseeh Khuda Hain,
Halaanke Maseeh Yahood Se Ye Kaha Karte The Ke Ae Bani Israail Khuda Hi Ki
Ibadat Karo Joh Mera Bhi Parwardigar Hai Aur Tumhara Bhi, Aur Jaan Rakho Ke Joh
Shakhs Khuda Ke Sath Shirk Kare Ga Khuda Us Par Behshat Ko Haraam Kar De Ga,
Aur Us Ka Thikana Dozakh Hai Aur Zalimon Ka Koi Madadgaar Nahi.
73
Wo Loug Bhi
Kafir Hain Joh Is Baat Ke Qaail Hain, Ke Khuda Teen Main Ka Teesra Hai Halanke
Us Maabood Yakta (Only One) Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi, Agar Ye Loug Aise
Aqwaal-O-Aqaaid Se Baaz Nahi Ayen Ge Toh
Un Main Se Joh Kaafir Hue Hain Wo Takleef Dene Wala Azaab Payen Ge.
74
Toh Yeh
Kion Khuda Ke Aage Touba Nahi Karte, Aur Us Se Gunaahon Ki Moaafi Nahi Mangte,
Aur Khuda Toh, Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
75
Maseeh Ibn-E-Maryam
Toh Sirf Khuda Ke Paigambar The, Un Se Pehle Bhi Bohot Se Rasool Guzar Chuke
The Aur Un Ki Waalda Maryam Khuda Ki Wali Aur Sachi Farmabardaar Theen, Dono
Insan The Aur Khana Khate The, Daikho Ham Un Lougon Ke Liye Apni Aayatain Kis
Tarha Khol Khol Kar Biyaan Karte Hain, Phir Ye Daikho Ke Ye Kidhar Ulte Ja Rahe
Hian.
76
Kaho Ke Tum
Khuda Ke Siwa Aisi Cheez Ki Kion Parastish Karte Ho Jis Ko Tumhare Nafa Aur
Nuqsan Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi? Aur Khuda Hi Sab Kuch Sunta Jaanta Hai.
77
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab!
Apne Deen Ki Baat Main Nahaq Mubalgha (Shak)
Na Karo Aur Aise Lougon Ki Khuahishon Ke Peeche Na Chalo Joh Khud Bhi
Pehle Gumrah Hue Aur, Aur Bhi Aksar Logoun Ko Gumrah Kar Gaye Aur Seedhe Raste
Se Bhatak Gaye.
78
Joh Loug
Bani Israail Main Kafir Hue Un Par Daawood Aur Eesa Bin Maryam Ki Zabaan Se
Laanat Ki Gai, Yeh Is Liye Ke Na Farmani Karte The Aur Had Se Tajawuz Kiye Jate
The.
79
Aur Bure
Kamon Se Joh Wo Karte The Aik Doosre Ko Rokte Nahi The Bila Shuba Wo Bura Karte
The.
80
Tum Un Main
Se Bohoton Ko Daikho Ge, Ke Kafiron Se Dosti Rakhte Hain, Unhon Ne Joh Kuch
Apne Aage Bhaija Hai Bura Hai, Wo Yeh Ke Khuda Un Se Na Khush Hua Aur Wo
Hamesha Aazaab Main Mubtila Rahain Ge.
81
Agar Wo
Khuda Par Aur Paigambar Par Aur Joh Kitaab Un Par Naazil Hui Thi Us Par Yaqeen
Rakhte, Toh Un Lougon Ko Dost Na Banate, Lekin Un Main Aksar Badkirdaar Hain.
82
Ae Paigambar!
Tum Daikho Ge Ke Momino Ke Sath Sab Se Ziada Dushmani Karne Wale Yahoodi Aur
Mushrik Hain, Aur Dosti Ke Lehaaz Se Mominon Se Qareeb Tar Un Lougon Ko Paao Ge, Joh Kehte Hain Ke Ham Nasara Hain,
Yeh Is Liye Ke Un Main Aalim Bhi Hain Aur Mashaaikh Bhi, Aur Wo Takabbur Nahi
Karte.
83
Aur Jab Is
Kitaab Ko Sunte Hain, Joh Sab Se Pichle Paigambar Muhammad S.A.W. Par Nazil
Hue, Toh Tum Daikhte Ho Ke Un Ki Aankhoun Se Aansoo Jaari Ho Jate Hain, Is Liye
Ke Unhon Ne Haq Baat Pehchaan Li, Aur Wo Khuda Ki Janaab Main Arz Karte Hain
Ke Ae Parwardigar Ham Eemaan Le Aye Tu
Ham Ko Maan-Ne Waloun Main Likh Le.
84
Aur Hamain
Kia Hua Hai Ke Khuda Par Aur Haq Baat Par Joh Hamare Paas Ayei Hai Eemaan Na
Laayen, Aur Ham Umeed Rakhte Hain Ke Parwardigaar Hum Ko Naik Bandoun Ke Sath
Behshat Main Dakhil Kare Ga.
85
Toh Khuda
Ne Un Ko Is Kehne Ke Iwz Behshat Ke Bagh Ata Farmaye, Jin Ke Neeche Nehrain Beh
Rahi Hain Wo Hamesha Un Main Rahian Ge, Aur Naiko Kaaron Ko Yeh Hi Sila Hai.
86
Aur Jin
Lougon Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Wo Jahanumi Hain.
87
Momino! Joh
Pakeeza Cheezain Khuda Ne Tumhare Liye Halaal Ki Hain Un Ko Haraam Na Karo, Aur
Had Se Na Barho Ke Khuda Had Se Barhne Waloun Ko Dost Nahi Rakhta.
88
Aur Joh
Halaal Taiyab Rozi Khuda Ne Tum Ko Di Hai, Usse Khao Aur Khuda Se Jis Par
Eemaan Rakhte Ho Darte Raho.
89
Khuda Tumhare
Be Irada Qasmaon Par Tum Se Mawakhada Nahi Kare Ga, Lekin Pukhta Qasmaon Par,
Jin Ke Khilaaf Karo Ge Mawakhada Kare
Ga, Toh Us Ka Kuffara Das Mohtajoun Ka Osat Darje Ka Khana Khilana Hai, Joh Tum
Apne Ehl-O-Ayaal Ko Khilate Ho, Ya Un Ko Kapre Dena Ya Aik Gulaam Azaad Karna,
Aur Jis Ko Moyassar Na Ho, Wo Teen Roze Rakhe,
Yeh Tumhari Qasmaon Ka Kuffara,
Hai Jab Tum Qasam Kha Lo Aur Use Tor Do Aur Tum Ko Chahiye Ke Apni Qasmaon Ki
Hifazat Karo, Is Tarha Khuda Tumhare Samjhane Ke Liye Apni Aayatain Khol Khol
Kar Baiayaan Fermata Hai Taa-Ake Tum Shukar Karo.
90
Ae Eemaan
Walo! Sharaab Aur Jua Aur Butt Aur Paanse Yeh Sab Napaak Kaam,
Aamaal-E-Shaitaan Se Hain So In Se Bachte Rehna Taa-Ake Nijaat Pao.
91
Shaitaan Toh
Yeh Chahta Hai Ke Sharab Aur Jooye Ke Sabab Tumahre Aapas Main Dushmani Aur
Ranjish Dalwa De, Aur Tumhain Khuda Ki Yaad Se Aur Namaaz Se Rok De Toh Tum Ko
In Kamoun Se Baaz Rehna Chahiye.
92
Aur Khuda
Ki Farmabardari Aur Rasool-E-Khuda Ki Itaa-At Karte Raho Aur Darte Raho, Agar
Moonh Phairo Ge
Toh Jaan
Rakho Ke Hamare Paigambar Ke Zimme Toh Sirf Paigaam Ka Khol Kar Pohoncha Dena
Hai.
93
Joh Loug
Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Par Un Cheezoun Ka Kuch Gunnah Nahi,
Joh Wo Kha Chuke, Jab Ke Unhon Ne Parhaiz Kia Aur Eemaan Laye Aur Naik Kaam
Kiye, Phir Parhaiz Kia Aur Eemaan Laye, Phir Parhaiz Kia Aur Naiko Kaari Ki,
Aur Khuda Naiko Kaaron Ko Dost Rakhta Hai.
94
Momino!
Kisi Qadar Shikaar Se Jin Ko Tum Hathon Aur Naizon Se Pakar Sako Khuda Tumahri
Aazmaaish Kare Ga, Yaani Halat-E-Ehraam Main Shikar Ki Mumaniyat(Rok Kar) Se,
Taa-Ake Maloom Kare Ke Us Se Gaibaana Koun Darta Hai, Toh Joh Us Ke Baad
Ziaadti Kare Us Ke Liye Dukh Dene Wala Azab Taiyaar Hai.
95
Momino! Jab
Tum Ehraam Ki Halat Main Ho Toh Shikaar Na Marna Aur Joh Tum Main Se Jaan Boojh Kar Usse Mare. Toh ,
Ya Toh Us Ka Badla De Aur Wo Yeh Hai Ke Usi Tarha Ka Chaar Paaya Jisse Tum Main
Do Mooatabar (Respectable) Shakhs Muqarrar Kar Dain Qurbani Kare Aur Yeh
Qurbani Kaabe Pohonchayee Jaye Ya
Kuffara De Aur Wo Miskeenon Ko Khana Khilana Hai Ya Us Ke Barabar Roze
Rakhe Taa-Ake Apne Kaam Ki Saza Ka Mazah Chakhe Aur Joh Pehle Ho Chukka Wo
Khuda Ne Moaaf Kar Dia Aur Joh Phir Aik Sa Kaam Kare Ga Toh Khuda Uss Se
Intiqaam Lene Wala Hai.
96
Tumhare Liye
Darya Ki Cheezon Ka Shikaar Aur Un Ka Khana Halaal Kar Dia Gaya Hai Yaani
Tumhare Musafiron Ke Faaide Ke Liye Aur Jungle Ki Cheezon Ka Shikar Jab Tak Tum
Ehraam Ki Halat Main Raho Tum Par Haraam Hai Aur Khuda Se Jis Ke Paas Tum Sab
Jama Kiye Jao Ge Darte Raho.
97
Khuda Ne
Izzat Ke Ghar Yaani Kaabe Ko Lougon Ke Liye Mooujab-E-Aman Muqarrar Farmaya Hai
Aur Izzat Ke Maheenon(Months) Ko Aur Qurbani Ko Aur Un Janwaroun(Animals) Ko
Jin Ke Gale(Neck) Main Patte Bandhe Houn, Yeh Isliye Ke Tum Jaan Lo Ke Joh Kuch
Aasmaano Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Khuda Sab Ko Jaanta Hai Aur Ye Ke
Khuda Ko Har Cheez Ka Ilm Hai.
98
Jaan Rakho! Ke Khuda Sakht Azaab Dene Wala Hai Aur Yeh Ke
Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Bhi Hai.
99
Paigambar Ke
Zimme Toh Sirf Paigaam-E-Khuda Ka Pohoncha Dena Hai, Aur Joh Kuch Tum Zaahir
Karte Ho Aur Joh Kuch Makhfi Karte Ho Khuda Ko Sab Malooom Hai.
100
Keh Do Ke
Napaak Cheezain Aur Paak Cheezain Barabar Nahi Hoteen, Go Napaak Cheezon Ki
Kasrat Tumhain Khush Hi Lage Toh Aqal Walo Khuda Se Darte Raho Taa-Ake
Rastgaari Hasil Karo.
101
Momino!
Aisi Cheeezon Ke Bare Main Mat Sawal Karo Ke Agar Un Ki Haqeeqatain Tum Par
Zahir Kar Di Jaye Toh Tumhain Buri Lagaain Aur Agar Quraan Ke Nazil Hone Ke
Aaiyaam(Days) Main Aisi Batain Poocho Ge, Toh Tum Par Zaahir Bhi Kar Di Jaye
Gi, Ab Toh Khuda Ne Aisi Baton Ke Poochne Se Darguzar Farmaya Hai Aur Khuda
Bakhashne Wala Burdbaar Hai.
102
Is Tarha Ki
Batain Tum Se Pehle Lougon Ne Bhi Poochi Theen Magar Jab Batayee Gayee Toh Phir
Un Se Munkir Ho Gaye.
103
Khuda Ne Na
Toh Baheera, Kuch Chez Banaya Hai, Aur Na Saaiba Aur Na Waseela Aur Na Haam,
Balke Kafir Khuda Par Jhoot Iftara Karte Hain Aur Yeh Aksar Aqal Nahi Rakhte.
104
Aur Jab Un
Lougon Se Kaha Jata Hai Ke Joh Kitaab Khuda Ne Nazil Farmayee Hai Us Ki Aur
Rasool Allah Ki Taraf Rujoo Karo Toh Kehte Hain Ke Jis Tareeq Par Ham Ne Apne
Baap Dada Ko Paya Hai Wohi Hamain Kaafi Hai, Bhala Agar Un Ke Baap Dada Ne Toh
Kuch Jaante Houn Aur Na Sedhe Raste Par Houn Tab Bhi?
105
Ae Eemaan
Walo!Apni Janon Ki Hifazat Karo, Jab Tum Hidayat Par Ho, Toh Koi Gumraah
Tumhara Kuch Bhi Bigaar Nahi Sakta, Tum Sab Ko Khuda Ki Taraf Lout Kar Jana
Hai, Us Waqt Wo Tum Ko Tumhare Sab Kamon Se, Joh Dunia Main Kiye The Aagaah
Kare Ga Aur Un Ka Badla De Ga.
106
Momino! Jab
Tum Main Se Kisi Ki Mout Aa Mojood Ho Toh Shahadat Ka Nisaab Yeh Hai Ke,
Wasiyat Ke Waqat Tum Musalmanon Main Se Do Mard Aadil Yaani Sahib-E-Aitbaar
Gawah Houn, Ya Agar Musalmaan Na Milan Aur Tum Safar Kar Rahe Ho Aur Us Waqt
Tum Par Mout Ki Museebat Waqe Ho, Toh Kisii Doosre Mazhab Ke Do Shakhson Ko
Gawah Kar Lo, Agar Tum Ko Un Gawahon Ki Nisbat Kuch Shak Ho Toh Un Ko Asar Ki
Namaz Ke Baad Khara Karo Aur Dono Khuda Ki Qasmain Khayen, Ke Ham Shahadat Ka
Kuch Iwz Nahi Lainge ,Go Hamara Rishta Daar Hi,
Aur Na Ham Allah Ki Shahadat Ko
Chupayen Ge Agar Aisa Karain Ge Toh Gunnehgaar Hounge.
107
Phir Agar
Maloom Ho Jaye Ke Un Dono Ne Jhoot Bol Kar Gunnah Hasil Kia Hai, Toh Jin Lougon
Ka Unhon Ne Haq Marna Chaha Tha Un Main Se Un Ki Jaga Aur Do Gawah Khare Houn,
Joh Maiyat (Dead Body) Se Qarabat-E-Qareeba Rakhte Houn, Phir Wo Khuda Ki
Qasmain Khayen Ke Hamare Shahadat Un Ki Shahadat Se Bohot Sachi Hai Aur Ham Ne
Koi Ziaadti Nahi Ki, Aisa Kia Ho Toh Ham Be Insaaf Hain.
108
Is Tareeqe
Se Bohot Qareeb Hai Key Yeh Loug Saheeh Saheeh Shahadat Dain, Ya Is Baat Se
Khof Karen, Ke Hamari Qasmain Un Ki Qasmoan Ke Baad Rad Kar Di Jayen Gi, Aur
Khuda Se Daro Aur Us Ke Hukmoun Ko Gosh-E-Hosh Se Suno Aur Khuda Na Farmaan
Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
109
Wo Din Yaad
Rakhne Ke Laaiq Hai Jis Din Khuda Paigambaron Ko Jama Kare Ga, Phir Un Se
Pooche Ga Ke Tumhain Kia Jawab Mila Tha, Wo Arz Karen Ge Ke Hamain Kuch Maloom
Nahi Tu Hi Gaib Ki Batoun Se Waqif Hai.
110
Jab Khuda
Eesa Se Farmaye Ga, Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam! Mere Un Ehsanon Ko Yaad Karo Joh
Main Ne Tum Par Aur Tumahri Walda Par Kiye, Jab Main Ne Rooh-Ul-Qudoos Yaani
Jibrail Se Tumharei Madad Ki, Tum Jhoole Main, Aur Jawan Ho Kar Aik Hi Nasq Par
Lougon Se Guftugu Karte The, Aur Jab Main Ne Tum Ko Kitaab Aur Daanayee Aur
Touraat Aur Injeel Sikhayee Aur Jab Tum Mere Hukum Se Matti Ka Janwar Bana Kar
Us Main Phoonk Maar Dete The Toh Wo Mere Hukum Se Urne Lagta Tha, Aur Maadar
Zaad Andhe Aur Safaid Daag Wale Ko Mere Hukum Se Chunga Kar Dete The Aur Murde
Ko Mere Hukum Se Zinda Kar Ke Qabar Se Nikaal Karte The Aur Jab Main Ne Bani
Israil Ke Hathon Ko Tum Se Rok Dia Jab Tum Un Ke Paas Khuli Hue Nishaan Le Kar
Aye Toh Joh Un Main Se Kaafir The Kehne Lage Ke Yeh Sareeh Jaadu Hai.
111
Aur Jab
Main Ne Hawwariyon Ki Taraaf Hukum Bhaija Ke Mujh Par Aur Mere Paigambar Par
Eemaan Lao, Wo Kehne Lage Ke Parwardigar Ham Eemaan Laye Tu Shaahid Rehiyo Ke
Ham Farmabardaar Hain.
112
Wo Qissa
Bhi Yaad Karo Jab Hawwariyon Ne Kaha Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam ! Kia Tumahra
Parwardigar Aisa Kar Sakta Hai Ke Ham Par Aasmaan Se Toaam(Khana) Ka Khuaan
Nazil Kare?
Unhon Ne
Kaha Ke Agar Eemaan Rakhte, Ho Toh Khuda Se Daro.
113
Wo Bole Ke
Hamari Yeh Khuahish Hai Ke Ham Us Main Se Khayen Aur Hamre Dil Tassali Payen
Aur Ham Jaan Lain Ke Tum Ne Ham Se Sach Kaha Hai, Aur Ham Us Khuaan Ke Nazool
Par Gawah Rahain.
114
Tab Eesa
Ibn-E-Maryam Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigaar! Ham Par Asmaan Se Khuaan Nazil Farma
Ke Hamare Liye Wo Din Eid Qaraar Paye Yaani Hamare Agloun Aur Pichloun Sab Ke
Liye Aur Wo Teri Taraf Se Nishani Ho Aur Hamain Rizq De, Tu Behtar Rizq Dene
Wala Hai.
115
Khuda Ne
Farmaya Main Tum Par Zaroor Khuaan Nazil Farmaaon Ga Lekin Joh Is Ke Baad Tum
Main Se Kufur Kare Ga Usse Aisa Azaab Doon Ga Ke Ehl-E-Aalam Main Kisii Ko Aisa
Azaab Na Doonga.
116
Aur Us Waqt
Ko Bhi Yaad Rakho Jab Khuda Farmaye Ga Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam! Kia Tum Ne Lougon
Se Kaha Tha Ke Khuda Ke Siwa Mujhe Aur Meri Waadla Ko Mabood Muqarrar
Karo? Wo Kahain Ge Ke Tu Paak Hai, Mujhe
Kab Shaayan Tha, Ke Main Aisi Baat Kehta Jis Ka Mujhe Kuch Haq Nahi, Agar Main
Ne Aisa Kaha Hoga Toh Tujh Ko Maloom Hoga, Kion Ke Jo Baat Mere Dil Main Hai Tu
Usse Janta Hai Aur Joh Tere Zameer Main Hai Use Main Nahi Janta Be Shak Tu
Allam-Ul-Gayoob Hai.
117
Main Ne Un
Se Kuch Nahi Kaha Bajuz Is Ke Jis Ka Tu Ne Mujhe Hukum Dia Hai Wo Yeh Ke Tum
Khuda Ki Ibadat Karo Joh Mera Aur Tumhara Sab Ka Parwardigar Hai Aur Jab Tak
Main Un Main Raha Un Ke Halat Ki Khabar Rakhta Raha Jab Tu Ne Mujhe Dunia Se
Utha Liya Toh Tu Un Ka Nigaraan Tha Aur Tu Har Cheez Se Khabardar Hai.
118
Agar Tu Un
Ko Azaab De Toh Yeh Tere Bande Hain Agar Bakhsh De Toh Teeri Meherbani Hai, Be
Shak Tu Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.
119
Khuda Farmaye
Ga Ke Aaj Wo Din Hai Ke Raast Bazoun Ko Un Ki Sachayee Hi Faaida De Gi, Un Ke
Liye Baagh Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Abad-Ul-Abaad Un Main Baste
Rahainge Khuda Un Se Khush Hai Aur Wo Khuda Se Khush Hain, Ye Bari Kaamyabi
Hai.
120
Aasmaan aur
zameen aur joh kuch in dono main hai sab par khuda hi ki baadshahi hai aur wo
har cheez par qaadir hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!