85
Soorah-Al-Burooj
Aayaat-22
Shroo Allah Ke Naam Se Joh
Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Aasmaan
Ki Qasam Jis Main Burj Hain.
2
Aur Us
Din Ki Jis Ka Waada Hai.
3
Aur
Hazir Hone Wale Ki Aur Joh Us Ke Paas Hazir Kia Jaye Us Ki.
4
Ke
Khandaqoun Ke Khoodne Wale Halak Kar Diye Gaye.
5
Yaani
Aag Ki Khandaqain Jis Mian Eendhan Jhonk
Rakha Tha.
6
Jab Ke
Wo Un Ke Kinaaroun Par Baihte Hue The.
7
Aur Joh
Sakhtiyaan Ehl-E-Eemaan Par Kar Rahe The Wo Saamne Daikh Rahe The.
8
Un Ko
Mominoun Ki Ye Hi Baat Buri Lagti Thi Ke Wo Khuda Par Eemaan Laaye Hue Th,e Joh
Galib Aur Qaabil-E-Sattaaish Hai.
9
jis Ki
Aasmanoun Aur Zameen Main Baadshaahta Hai. Aur Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.
10
Jin
Lougon Ne Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Takleefain Deen Aur Touba Na Ki Un
Ko Dozakh Ka Aur Azaab Bhi Hoga Aur Jalne Ka Azaab Bhi Hoga.
11
Aur Joh
Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe, Un Ke Liey Baghaat Hain Jin Ke
Neeche Nehrain Beh Rahi Hain .Ye Hi Bari Kaambyabi Hai.
12
Be Shak
Tumhare Parwardigar Ki Pakar Bohto Sakht Hai.
13
Wo Hi
Pehli Dafa Paida Karta Hai Aur Wo Hi Dobara Zinda Kare Ga.
14
Aur Wo
Bakhshne Waala Aur Mohabat Karne Wala Hai.
15
Arsh Ka
Malik Bari Shaan Wala.
16
Joh
Chahta Hai Kar Deta Hai.
17
Bhala
Tum Ko Lashkaroun Ka Haal Maaloom Hua Hai.
18
Yaani
Firown Aur Samood Ka.
19
Lekin
Kafir Jaan Boojh Kar Takzeeb Main Giriftaar Hain.
20
Aur
Khuda Bhi Un Ko Girda Gird Se Ghaire Hue Hai.
21
Ye
Kitaab Hizl-O-Batlaan Nahi Balke Ye Quraan-E-Azeem-Us-Shaan Hai.
22
Loh-E-Mehfooz
Mian Likha Hua.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!