73
Soorah-Al-Muzzammil
Aayaat-20
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Muhammad S.A.W. Joh
Kapre Main Lipat Rahe Ho.
2
Raat Ko Qiaam Kia Karo,
Magar Thori Si Raat.
3
Yaani Nisf Raat Ya Us
Se Kuch Kam.
3
Ya Kuch Ziada Aur Quran
Ko Theher Theher Kar Parha Karo.
5
Ham Anqareeb Tum Par
Aik Bhaari Farmaan Nazil Karainge.
6
Kuch Shak Nahi Ke Raat
Ka Uthna Nafs-E-Baheemi Ko Sakht Pamaal Karta Hai Aur Us Waqt Zikar Bhi Khoob
Durust Hota Hai.
7
Din Ke Waqt Toh Tumhain
Aur Bohot Se Shugal Hote Hain.
8
Toh Apne Parwardigar
Ke Naam Ka Zikar Karo Aur Har Taraf Se Be Talluq Ho Kar Ussi Ki Tarf Mutawajoh
Ho Jao.
9
Wo Hi Mashriq Aur Maghrib
Ka Malik Hai Aur Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Toh Ussi Ko Apna Kaar Saz Banao.
10
Aur Joh Joh Dil Azaar
Batain Ye Loug Kehte Hain, Un Ko Sehte Raho Aur Ache Tareeq Se Un Se Kinara
Kash Raho.
11
Aur Mujhe Un Jhutlane
Waloun Se Joh Dolatmand Hain, Samajh Lene Do Aur Un Ko Thori Si Mohlat De Do.
12
Kuch Shak Nahi Ke
Hamare Paas Bairdiyaan Hain Aur Bharakti Aag Hai.
13
Aur Gulu Geer Khana
Hai Aur Dard Dene Wala Azaab Hai.
14
Jis Din Zameen Aur
Pahar Kaampne Lagain Aur Pahar Aise Bhurr Bhurre, Goya Rait Ke Teele Ho Jayen.
15
Ae Ehl-E-Makkah Jis
Tarha Ham Ne Firown Ke Paas Moosa Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Tha, Ussi Tarha
Tumhare Paas Bhi Muhammd S.A.W. Rasool Bhaije Hain, Jo Tumhare Muqaable Main
Gawah Hounge.
16
So Firown Ne Hamre
Paigambar Ka Kaha Na Maana, Toh Ham Ne Us Ko Bare Wabaal Main Pakar Liya.
17
Agar Tum Bhi In Paigambar
Ko Na Mano Ge , Toh Us Din Se Kion Kar Bacho Ge Joh Bachoun Ko Booraha Kar De
Ga.
18
Aur Jis Se Aasmaan
Phat Jaye Ga. Ye Us Ka Waada Poora Ho Kar Rahe Ga.
19
Ye Quraan Toh Naseehat
Hai. So Joh Chahe Apne Parwardigar Tak Pohonchne Ka Raasta Ikhtiyaar Kar Le.
20
Tumhara Parwardigar
Khoob Janta Hai, Ke Tum Aur Tumhare Sath Ke Loug, Kahbi Do Tihayee Raat Ke
Qareeb Aur Kabhi Aadhi Raat Aur Kabhi Tihayee Raat Qiaam Kia Karte Ho. Aur
Khuda Toh Raat
Aur Din Ka Andaza
Rakhta Hai. Us Ne Maloom Kia Ke Tum Us Ko Nibbah Na Sako Ge, Toh Us Ne Tum Par
Meherbaani Ki. Pas Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Quraan Parh Liya Karo . Us Ne
Jana Ke Tum Main Baaz Bimaar Bhi Hote Hain Aur Baaz Khuda Ke Fazal Yaani Moaash
Ki Talaash Main Mulk Main Safar Karte Hain Aur Baaz Khuda Ki Raah Main Larte
Hain. Toh Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Parh Liya Karo. Aur Namaaz Parhte Raho
Aur Zakaat Ada Karte Raho Aur Khuda Ko Naik Aur Khaloos-E-Niyat Se Qarz Dete
Raho. Aur Joh Amaal Naik Tum Apne Liye Aage Bhaijo Ge, Us Ko Khuda Ke Haan
Behtar Aur Sile Main Buzurg Tar Paao Ge. Aur Khuda Se Bakhsish Maangte Raho. Be
Shak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!