Thursday, 31 March 2016

75-Soorah-a-Qiamah-Aayaat-40

75

Soorah-Al-Qiamah

Aayaat-40

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ham Ko Roz-E-Qiamat Ki Qasam.

2
Aur Nafs-E-Lawaama Ki, Ke Sab Loug Utha Kar Khare Kiye Jayen Ge.

3
Kia Insaan Ye Khayal Karta Hai, Ke Ham Us Ki Bikhri Hui Haddiyaan Ikhati Nahi Karainge?

4
Zaroor Kariange Aur Ham Is Baat Par Qaadir Hain Ke Us Ki Pour Pour Durust Kar Dain.

5
Magar Insaan Chahta Hai, Ke Aage Ko Khud Sari Karta Jaye.

6
Poochta Hai Ke Qiamat Ka Din Kab Hoga?

7
Jab Ankhain Chundhiyaa Jayen.

8
Aur Chaand Gehna Jaye.


9
Aur Sooraj Aur Chaand Jama Kar Diye Jaye.

10
Us Din Insaan Kahe Ga, Ke Ab Kahan Bhaag Jaaon?

11
Be Skah Kahin Panah Nahi.

12
Us Roz Parwardigar Hi Ke Paas Thikana Hai.

13
Us Din Insaan Ko, Joh Amal Us Ne Aage Bhaije Aur Peeche Chore Hounge Sab Bata Diye Jaye Ge.

14
Balke Insaan Ap Apna Gawah Hai.

15
Agarche Uzar-O-Maazrat Karta Rahe.

16
Aur Ae Muhammad S.A.W. Wahi Ke Parhne Ke Liye Apni Zabaan Na Chalaya Karo, Ke Is Ko Jald Yaad Kar Lo.

17
Is Ka Jama Karna Aur Parhaana Hamare Zimme Hai.

18
Jab Ham Wahi Parha Karain, Toh Tum Us Ko Suna Karo Aur Phir Ussi Tarha Parha Karo.

19
Phir Us Ke Moaani Ka Bayaan Bhi Hamare Zimme Hai.


20
Magar Lougo Tum Dunia Ko Dost Rakhte Ho.

21
Aur Aakhrat Ko Tark Kiye Dete Ho.

22
Us Roz Bohot Se Mooonh Ronaq Daar Hounge.

23
Aur Apne Parwardigar Ke Mehev-E-Deedar Honge.

24
Aur Bohot Se Moon Us Din Udaas Hounge.

25
Khayal Kariange Ke Un Par Museebat Waaqe Hone Ko Hai.

26
Daikho Jab Jaan Gale Tak Pohonch Jaye.

27
Aur Loug Kehne Lagain Is Waqt Koun Jhaar Phoonk Karne Wala Hai.

28
Aur Is( Jaan-E-Balb) Ne Samajha Ke Ab Sab Se Judaaye Hai.

29
Aur Pindli Se Pindli Lipat Jaaye.

30
Us Din Tujh Ko Apne Parwardigar Ki Taraf Chalna Hai.

31
Toh Us Naa Aaqbat Andaiash Ne Na Toh Kalam-E-Khuda Ki Tasdeek Ki, Na Namaaz Parhi.
32
Balke Jhutlaya Aur Moonh Phair Liya.

33
Phir Apne Ghar Waaloun Ke Paas Akarta Hua Chal Diya.

34
Afsos Hai Tujh Par Phir Afsos Hai.

35
Phir Afsos Hai Tujh Par Phir Afsos Hai.

36
Kia Insaan Khayal Karta Hai, Ke Youn Hi Chor Dia Jayega?

37
Kia Wo Mani Ka, Joh Rehem Main Dali Jati Hai Aik Qatra Na Tha?

38
Phir Louthra Hua, Phir Khuda Ne Us Ko Banaya Phir Us Ke Aazaa Ko Durust Kia.

39
Phir Us Ki Do Qismain Banayee Aik Mard Aur Aik Aurat.

40
Kia Us Ko Is Baat Par Qudrat Nahi Ke Murdoun Ko Jila Uthaaye?

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!