Thursday, 31 March 2016

76-Soorah-Al-Insaan-Aayaat-31

76

Soorah-Al-Insaan

Aayaat-31

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Be Shak Insaan Par Zamaane Main Aik Aisa Waqt Bhi Aa Chukka Hai, Ke Wo Koi Cheez Qaabiil-E-Zikar Na Tha.

2
Ham Ne Insaan Ko Nutfa-E-Makhloot Se Paida Kia, Taa-Ake Usse Aazmaayen, Toh Ham Ne Us Ko Sunta Daikhta Banaya.

3
Aur Usse Raasta Bhi Dikha Dia. Aab Wo Khuah Shukar Guzaar Ho Khuah Na Shukra.\
4
Ham Ne Kaafiroun Ke Liye Zanjeerain Aur Touq Aur Dehekti Aag Taiyaar Kar Rakhi Hai.

5
Joh Naiko Kaar Hain Aur Wo Aisi Sharaab Nosh-E-Jaan Karainge Jis Main Kaafoor Ki Aamaizash Hogi.

6
Ye Aik Chashma Hai Jis Main Se Khuda Ke Bande Piyain Ge Aur Us Main Se Choti Choti Nehrain Nikaalaingi.

7
Ye Loug Nazrain Poori Karte Hain Aur Us Din Se Jis Ki Sakhti Phail Rahi Hogi Khof Rakhte Hain.


8
Aur Ba Wajood Ye Ke Un Ko Khud Toaam Ki Khuahish Aur Haajat Hai Faqeeroun Aur Yateemoun Aur Qaidiyoun Ko Khilate Hain.

9
Aur Kehte Hain Ke Ham Tum Ko Khalis Khuda Ke Liye Khilate Hain. Na Tum Se Iwaz Ke Khuaastgaar Hain Na Shukar Guzaari Ke Talabgaar Hain.

10
Ham Ko Apne Parwardigar Se Us Din Ka Dar Lagta Hai, Joh Chehroun Ko Kareeh-Ul-Manzar Aur Dilooun Ko Sakht Muzztair Kar Dene Wala Hai.

11
Toh Khuda Un Ko Us Din Ki Sakhti Se Bacha Le Ga Aur Taazgi Aur Khush Dili Inayat Farmaye Ga.

12
Un Ke Sabar Ke Badle Un Ko Behshat Ke Baaghaat Aur Raisham Ke Malboosaat Ata Kare Ga.

13
Un Main Wo Takhtoun Par Takiye Laggaye Baithe Hounge. Wahan Na Dhoop Ki Hiddat Daikhain Ge Na Sardi Ki Shiddat.

14
Un Se Samar Daar Shakhain Aur Un Ke Saaye Qareeb Honge Aur Maiwoun Ke Guche Jhuke Hue Latak Rahe Honge.

15
Khuddam Chandi Ke Basan Liye Hue Un Ke Irdd Girddd Phirain Ge Aur Sheeshe Ke Nihayat Shaffaaf Gilaas.

16
Aur Sheeshe Bhi Chaandi Ke, Joh Theek Andaze Ke Mutafiq Banaye Gaye Hain.
17
Aur Wahan Un Ko Aisi Sharaab Bhi Pilaye Jaye Gi, Jis Main Sounth Ki Aamaizash Hogi.

18
Ye Behshaht Main Aik Chashma Hai Jis Ka Naam Sullsabeel Hai.

19
Aur Un Ke Paas Larke Aate Jaate Honge, Joh Hamesha Aik Hi Halat Par Ayen Ge. Jab Tum Un Par Nigaah Daalo Toh Khayal Karo Ke Bikhre Hue Moti Hain.

20
Aur Behshat Main Jaahan Aankh Uthao Ge Kasrat Se Naimat Aur Azeem-Ush-Shaan Saltanat Daikho Ge.

21
Un Ke Badnoun Par Deeba Sabz Aur Atlas Ke Kapre Honge.Aur Unhain Chandi Ke Kangaan Pehnaaye Jayen Ge Aur Un Ka Parwardigar Un Ko Nihayat Paakeeza Sharaab Pilaye Ga.

22
Ye Tumhara Sila Hai Aur Tumhari Koshish Khuda Ke Haan Maqbool Hui.

23
Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne Tum Par Quran Aahista Aahista Nazil Kia Hai.

24
Toh Apne Parwardigar Ke Hukum Ke Mutabik Sabar Kiye Raho Aur Un Lougon Main Se Kisi Bad Amal Aur Na Shukre Ka Kaha Na Mano.

25
Aur Subh-O-Shaam Apne Parwardigar Ka Naam Lete Raho.

26
Aur Raat Ko Bari Raat Tak Us Ke Aage Sajde Karo Aur Us Ki Paaki Bayan Karte Raho.

27
Ye Loug Dunia Ko Dost Rakhte Hain Aur Qiamat Ke Bhaari Din Ko Pas-E-Pusht Chore Dete Hain.

28
Ham Ne Unko Paida Kia Aur Un Ke Mufaasil Ko Mazboot Banaya. Aur Agar Ham Chahain Toh Un Ke Badle Un Hi Ki Tarha Aur Loug Le Aayen.

29
Ye Toh Naseehat Hai. Joh Chahe Apne Parwardigar Ki Taraf Pohonchne Ka Raasta Ikhtiyaa Kare.

30
Aur Tum Kuch Bhi Nahi Chah Sakte, Magar Joh Khuda Ko Manzoor Ho. Be Shak Khuda Jaan-Ne Wala Hikmat Wala Hai.

31
Jis Ko Chahta Hai Apni Rehmat Main Dakhil Kar Leta Hai Aur Zaalimoun Ke Liye Us Ne Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!