Thursday, 31 March 2016

79-Soorah-Al-Naziaat-Aayaat-46

79

Soorah-Al-Naziaat

Aayaat-46

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Un Farishtoun Ki Qasam Joh Doob Kar Kheench Lete Hain.

2
Aur Un Ki Joh Aasaani Se Khol Dete Hain.

3
Aur Un Ki Joh Tairte Phirte Hain.

4
Phir Lapak Kar Aage Barhte Hain.

5
Phir Dunia Ke Kaamoun Ka Intizaam Karte Hain.

6
Ke Wo Din Aakar Rahe Ga Jis Din Zameen Ko Bhonchaal Aaye Ga.

7
Phir Us Ke Peeche Aur Bhonchaal Aaye Ga.

8
Us Din Lougon Ke Dil Khaaif Ho Rahe Hounge.

9
Aur Aankhain Jhuki Hui.


10
Kafir Kehte Hain, Kia Ham Ulte Paaon Phir Loutain Ge.

11
Bhala Jab Ham Khokhli Haddiyaan Ho Jayen Ge Toh Phir Zinda Kiye Jayen Ge.

12
Kehte Hain Ke Ye Loutna Toh(Moaajab)-E-Ziyaan Hai.

13
Wo Toh Sirf Aik Daant Hogi.

14
Us Waqt Wo Sab Maidaan-E-Hashar Main Aa Jama Honge.

15
Bhala Tum Ko Moosa Ki Hikayat Pohonchi Hai.

16
Jab Un Ke Parwardigar Ne Un Ko Paak Maidaan Yaani Tuwaa Main Pukara.

17
Aur Hukum Dia Ke Firown Ke Paas Jao Wo Sarkash Ho Raha Hai.

18
Aur Uss Se Kaho Ke Kia Tu Chahta Hai Ke Paak Ho Jaye?

19
Aur Main Tujhe Tere Parwardigar Ka Rasta Bataoon Taa-Ake Tujhe Ko Khof Paida Ho.

20
Gharz Unhoun Ne Us Ko Bari Nishaani Dikhayee.


21
Magar Us Ne Jhutlaaya Aur Na Maana.

22
Phir Lout Gaya Aur Tadbeerain Karne Laga.

23
Aur Lougon Ko Ikkhata Kia Aur Pukara.

24
Kehne Laga Ke Tumhara Sab Se Bara Malik Main Hoon.

25
Toh Khuda Ne Us Ko Dunia Aur Aakhrat Dono Ke Azaab Main Pakar Liya.

26
Joh Shakhs Khuda Se Dar Rakhta Hai Us Ke Liye Is Qisse Main Ibarat Hai.

27
Bhala Tumhara Banana Mushkil Hai, Ya Aasmaan Ka? Ussi Ne Us Ko Banaya.

28
Us Ki Chatt Ko Ooncha Kia, Phir Usse Barabar Kar Dia.

29
Aur Ussi Ne Raat Tareek Banai Aur Din Ko Dhoop Nikali.

30
Aur Us Ke Baad Zamen Ko Phaila Dia.

31
Ussi Ne Is Main Se Is Ka Paani Nikala Aur Chaara Ugaaya.


32
Aur Is Par Pahaaroun Ka Bojh Rakh Dia.

33
Ye Sab Kuch Tumhare Aur Tumhare Chaar Paaiyoun Ke Faaide Ke Liye Kia.

34
Toh Jab Bari Aafat Aye Gi.

35
Us Din Insaan Apne Kaamoun Ko Yaad Kare Ga.

36
Aur Dozakh Daikhne Wale Ke Samne Nikaal Kar Rakh Di Jaye Gi.

37
Toh Jis Ne Sarkashi Ki.

38
Aur Dunia Ki Zindagi Ko Muqaddam Samjha.

39
Us Ka Thikana Dozakh Hai.

40
Aur Joh Apne Parwardigar Ke Saamne Khare Hone Se Darta Aur Jee Ko Khuahishoun Se Rokta Raha.

41
Us Ka Thikana Behshat Hai.

42
Ae Paigamabar S.A.W. Loug Tum Se Qiamat Ke Baare Main Poochte Hain Ke Us Ka Waqoo Kab Hoga?


43
So Tum Us Ke Zikar Se Kis Fikar Main Ho.

44
Us Ka Muntaha Yaani Waaqe Hone Ka Waqt Tumahre Parwardigar Hi Ko Maloom Hai.

45
Joh Shakhs Is Se Darr Rakhta Hai, Tum Toh Ussi Ko Dar Sunane Wale Ho.

46
Jab Wo Us Ko Daikhain Ge, Toh Aisa Khayal Karainge Ke Goya Dunia Main Sirf Aik Shaam Ya Subha Rahe The.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!