Thursday, 31 March 2016

70-Soorah-Al-Maarij-Aayaat-44

70

Soorah-Al-Maarij

Aayaat-44

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Aik Talab Karne Wale Ne, Azaab Talab Kia Joh Nazil Ho Kar Rahe Ga.

2
Yaani Kaafiroun Par Aur Koi Us Ko Taal Na Sake Ga.

3
Aur Wo Khuda-E-Saahib-E-Darjaat Ki Taraf Se Nazil Hoga.

4
Jis Ki Taraf Rooh-Ul-Ameen Aur Farishte Charhte Hain Aur Us Roz Nazil Hoga, Jis Ka Andaaza Pachaas Hazaar Baras Ka Hoga.

5
Toh Tum Kaafiroun Ki Baatoun Ko Hosle Ke Sath Bardaasht Karte Raho.

6
Wo Un Lougon Ke Nigaah Main Door Hai.

7
Aur Hamari Nazar Main Qareeb.

8
Jis Din Aasmaan Aisa Ho Jaye Ga, Jaise Pighla Hua Taamba.


9
Aur Pahar Aise Jaise Dhunki Hui Rangeen Oon.

10
Aur Koi Dost Kisi Dost Ka Pursaan Na Hoga.

11
Halanke Aik Doosre Ko Saamne Daikh Rahe Hounge, Us Roz Gunnehgaar Khuahish Kare Ga, Ke Kisi Tarha Us Din Ke Azaab Ke Badle Main Sab Kuch De De, Yaani Apne Bete.

12
Aur Apni Biwi Aur Apne Bhaai.

13
Aur Apna Khaandaan Jis Main Wo Rehta Tha.

14
Aur Jitne Aadmi Zameen Par Hain, Gharz Sab Kuch De De Aur Apne Taiyee Azaab Se Chura Le.

15
Lekin Aisa Har Gizz Nahi Hoga, Wo Bharakti Hui Aag Hai.

16
Khaal Udhair Daalne Waali.

17
Un Lougon Ko Apni Taraf Bulaaye Gi, Jinhoun Ne Deen-E-Haq Se Airaaz Kia Aur Moonh Phair Liya.

18
Aur Maal Jama Kia Aur Band Kar Rakha.

19
Kuch Shak Nahi Ke Insaan Kam Hosla Paida Hua Hai.

20
Jab Usse Takleef Pohonchchti Hai Toh Ghabra Uthta Hai.

21
Aur Jab Aasaaish Hasil Hoti Hai, Toh Bakheel Ban Jata Hai.

22
Magar Namaaz Guzaar.

23
Joh Namaaz Ka Intizaam Rakhte Aur Bila Naagha Parhte Hain.

24
Aur Jin Ke Maal Main Hisaa Muqarrar Hai.

25
Yaani Maangne Wale Ka. Aur Na Maangne Wale Ka.

26
Aur Joh Roz-E-Jaza Ko Sach Samajhte Hain.

27
Aur Joh Apne Parwardigar Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain.

28
Be Shak Un Ke Parwardigaar Ka Azaab Hai Hi Aisa, Ke Us Se Be Khof Na Hua Jaaye.

29
Aur Joh Apni Sharmgaaahoun Ki Hifazat Karte Hain.

30
Magar Apni Biwiyoun Ya Loundiiyoun Se, Ke Un Ke Paas Jaane Par Unhain Kuch Malamat Nahi.



31
Aur Joh Loug Un Ke Siwa Aur Ke Khuaastgaar Houn, Wo Had Se Nikal Jaane Wale Hain.

32
Aur Joh Apne Amanatoun Aur Iqraaroun Ka Paas Karte Hain.

33
Aur Joh Apni Shahadatoun Par Qaaim Rehte Hain.

34
Aur Joh Apni Namaaz Ki Khabar Rakhte Hain.

35
Ye Hi Loug,  Baagh Haaye Behshat Main Izzqat-O-Ikraam Se Honge.

36
Toh Un Kaafiourn Ko Kia Hua Hai, Ke Tumhari Taraf Dore Chale Aate Hain.

37
Aur Daayen Baayen Se Guroh Guroh Ho Kar Jama Hote Jate Hain.

38
Kia Un Main Se Har Shakhs Ye Tawwaqo Rakhta Hai Ke Naimat Ke Baagh Main Dakhil Kia Jaye Ga.

39
Har Gizz Nahi. Ham Ne Un Ko Us Cheez Se Paida Kia Hai Jisse Wo Jaante Hain.

40
Hamain Mashriqoun Aur Magriboun Ke Malik Ki Qasam Ke Ham Taqat Rakhte Hain.



41
Yaani Is Baat Par Qaadir Hain Ke, Un Se Behtar Loug Badal Laaye Aur Ham Aajiz Nahi Hain.

42
Toh Ae Paigambar S.A.W. Un Ko Baatil Main Pare Rehne Aur Khail Lene Do, Yahan Tak Ke Jis Din Ka Un Se Waada Kia Jata Hai Wo Un Ke Saamne Aa Mojood Ho.

43
Us Din Ye Qabroun Se Nikal Kar Is Tarha Dourainge, Jaise Shikaari Shikar Ke Jaal Ki Taraf Dourte Hain.

44
Un Ki Aankhain Jhuk Rahi Houngi Aur Zillat Un Par Cha Rahi Hogi. Yehi Wo Din Hai Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Tha.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!