Thursday, 31 March 2016

85-SOORAH-AL-BUROOJ-AAYAAT-22




85

Soorah-Al-Burooj

Aayaat-22

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Aasmaan Ki Qasam Jis Main Burj Hain.

2
Aur Us Din Ki Jis Ka Waada Hai.

3
Aur Hazir Hone Wale Ki Aur Joh Us Ke Paas Hazir Kia Jaye Us Ki.

4
Ke Khandaqoun Ke Khoodne Wale Halak Kar Diye Gaye.

5
Yaani Aag Ki Khandaqain Jis Mian Eendhan Jhonk  Rakha Tha.

6
Jab Ke Wo Un Ke Kinaaroun Par Baihte Hue The.

7
Aur Joh Sakhtiyaan Ehl-E-Eemaan Par Kar Rahe The Wo Saamne Daikh Rahe The.
8
Un Ko Mominoun Ki Ye Hi Baat Buri Lagti Thi Ke Wo Khuda Par Eemaan Laaye Hue Th,e Joh Galib Aur Qaabil-E-Sattaaish Hai.

9
jis Ki Aasmanoun Aur Zameen Main Baadshaahta Hai. Aur Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

10
Jin Lougon Ne Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Takleefain Deen Aur Touba Na Ki Un Ko Dozakh Ka Aur Azaab Bhi Hoga Aur Jalne Ka Azaab Bhi Hoga.

11
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe, Un Ke Liey Baghaat Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain .Ye Hi Bari Kaambyabi Hai.

12
Be Shak Tumhare Parwardigar Ki Pakar Bohto Sakht Hai.

13
Wo Hi Pehli Dafa Paida Karta Hai Aur Wo Hi Dobara Zinda Kare Ga.

14
Aur Wo Bakhshne Waala Aur Mohabat Karne Wala Hai.

15
Arsh Ka Malik Bari Shaan Wala.

16
Joh Chahta Hai Kar Deta Hai.

17
Bhala Tum Ko Lashkaroun Ka Haal Maaloom Hua Hai.

18
Yaani Firown Aur Samood Ka.

19
Lekin Kafir Jaan Boojh Kar Takzeeb Main Giriftaar Hain.

20
Aur Khuda Bhi Un Ko Girda Gird Se Ghaire Hue Hai.

21
Ye Kitaab Hizl-O-Batlaan Nahi Balke Ye Quraan-E-Azeem-Us-Shaan Hai.

22
Loh-E-Mehfooz Mian Likha Hua.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!