Soorah-Ar-Room
Aayaat-60
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Alif Laam Meem.
2
Ehl-E-Roum Magloob Ho
Gaye.
3
Nazdeek Ke Mulk Main,
Aur Wo Magloob Hone Ke Baad Anqareeb Ghaalib Aa Jayen Ge.
4
Chand (Few) Hi Saal
(Years) Main Pehle Bhi Aur Peeche Bhi Khuda Hi Ka Hukum Hai Aur Us Roz Momin
Khush Ho Jayen Ge.
5
Yaani Khuda Ki Madad Se.Wo Jisse Chahta Hai Madad
Deta Hai Aur Wo Gaalib Aur Meherbaan Hai.
6
Ye Khuda Ka Waada Hai
Khuda Apne Waade Ke Khilaaf Nahi Karta
Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
7
Ye Toh Dunia Ki
Zaahiri Zindagi Hi Ko Jaante Hain.Aur Aakhrat Ki Tararf Se Gaafil Hain.
8
Kia Unhoun Ne Apne Dil
Main Ghour Nahi Kia. Ke Khuda Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Kuch In Dono
Ke Darmayan Hai Un Ko Hikmat Se Aur Aik
Waqt-E-Muqarrar Tak Ke Liye Paida Kia Hai. Aur Bohot Se Loug Apne Parwardigar
Se Milne Ke Qaail Hi Nahi.
9
Kia Un Lougon Ne Mulk
Main Sair Nahi Ki, Sair Karte Toh Daikh
Lete Ke Joh Lougon Un Se Pehle The Un Ka Anjaam Kaisa Hua. Wo Un Se
Zor-O-Quwwat Main Kahin Ziada The Aur Unhoun Ne Zameen Ko Jota Aur Us Ko Is Se
Ziada Abaad Kia Tha Joh Unhoun Ne Abaad Kia. Aur Un Ke Paas Un Ke
Paigamabar Nishaaniyan Le Kar Aate Rahe,
Toh Khuda Aisa Na Tha Ke Un Par Zulm Karta. Balke Wo Hi Apne Aap Par Zulm Karte
The.
10
Phir Jin Lougon Ne
Buraai Ki Un Ka Anjaam Bhi Bura Hua Isliye Ke Khuda Ki Aayatoun Ko Jhutlaate
Aur Un Ki Hansi Uraate Rahe The.
11
Khuda Hi Khalqat Ko
Pehli Baar Paida Karta Hai , Wo Hi Us Ko Phir Paida Kare Ga Phir Tum Ussi Ki
Taraf Lout Jaao Ge.
12
Aur Jis Din Qiamat
Barpa Ho Gi Gunnehgar Na Umeed Ho Jaye Ge.
13
Aur Un Ke Banaye Hue
Shareekoun Main Se Koi Un Ka Sifaairshi Na Hoga Aur Wo Apne Shareekoun Se Na
Motaqidd Ho Jaye Ge.
14
Aur Jis Din Qiamat
Barpa Ho Gi Us Roz Wo Alag Alag Firqe Ho Jaye Ge.
15
Toh Joh Loug Eemaan
Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Wo Behshat Ke Baagh(Garden) Main Khush Haal
Hounge.
16
Aur Jin Houn Ne Kufur
Kia Aur Hamari Aayatoun Aur Aakhrat Ke Aane Ko Jhutlaya.Wo Azaab Main Dale
Jaaye Ge.
17
Toh Jis Waqt Tum Ko
Sham Ho Aur Jis Waqt Subh Ho Khuda Ki Tasbeeh Karo Yaaani Namaaz Parho.
18
Aur Aasmaanoun Aur
Zameen Main Ussi Ki Tareef Hai. Aur Teesre Peher Bhi Aur Jab Dopeher Ho Us Waqt
Bhi Namaaz Parha Karo.
19
Wo Hi Zinde Ko Murde
Se Nikaalta Aur Wo Hi Murde Ko Zinda Se Nikaalta Hai Aur Wo Hi Zameen Ko Us Ke
Marne Ke Baad Zinda Karta Hai.Aur Issi Tarha Tum Dobara Zameen Main Se Nikaale
Jaao Ge.
20
Aur Ussi Ke Nishanaat
Aur Tassruffaat Main Se Hai, Ke Us Ne Tumhain Matti Se Paida Kia.Phir Ab Tum
Insaan Ho Kar Ja Baja Phail Rahe Ho.
21
Aur Ussi Ke Nishanaat
Aur Tassrufaat Main Se Hai Ke Us Ne Tumhare Liye Tumhari Hi Jins Ki Aurtain
Paida Kee Taa-Ake Un Ki Taraf Maail Ho Kar Araam Hasil Karo Aur Tum Main
Mohabbat Aur Meherbaani Paida Kar Di, Joh Loug Ghour Karte Hain Un Ke Liye In
Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.
22
Aur Ussi Ke Nishaanaat
Aur Tassruffaat Main Se Hai Asmaanoun Aur Zameen Ka Paida Karna Aur Tumhari Zabaanoun Aur Rangoun Ka
Juda Juda Hona.Ehl-E-Daanish Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.
23
Aur Ussi Ke Nishaanat
Aur Tassarrufaat Main Se Hai Tumhara Raat Aur Din Main Sona Aur Us Ke Fazal Ka
Talash Karna. Joh Loug Sunte Hain Un Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si
Nishaaniyan Hain.
24
Aur Ussi Ke Nishanaat
Aur Tassarrufat Main Se Hai, Ke Tum Ko Khof Aur Umeed Dilane Ke Liye Bijli
Dikhata Hai Aur Aasmaan Se Meenh Barsata Hai.Phir Zameen Ko Us Ke Mar Jaane Ke
Baad Zinda-O-Shaadaab Kar Deta Hai. Aqal Waaloun Ke Liye In Baatoun Main Bohot
Si Nishaaniyan Hain.
25
Aur Ussi Ke Nishanaat
Aur Tassruufaat Main Se Hai Ke Aasmaan Aur Zameen Us Ke Hukum Se Qaaim Hain. Phir
Jab Wo Tum Ko Zameen Main Se Nikalne Ke Liye Awaaz De Ga Toh Tum Jhat Nikal
Paro Ge.
26
Aur Aasmaanoun Aur
Zameen Main Jintne Farishte Aur Insaan Wagaira Hain Ussi Ke Mamlook Hain Aur
Tumaam Us Ke Farmabardaar Hain.
27
Aur Wo Hi Toh Hai Joh
Khalqat Ko Pehli Dafa Padia Karta Hia, Phir Usse Dobara Paida Kare Ga. Aur Ye
Usse Bohot Asaan Hai. Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Us Ki Shaan Nihayat Buland
Hai. Aur Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.
28
Wo Tumhare Liye
Tumhare Hi Haal Ki Aik Misaal Bayan Fermata Hai Ke Bhala Jin Loundi Gulaamoun
Ke Tum Malik Ho, Wo Us Maal Main, Joh
Ham Ne Tum Ko Ata Farmaya Hai Tumahre Shareek Hain? Aur Kia Tum Is Main Un Ko
Apne Barabar Maalik Samajhte Ho Aur Kia Tum Un Se Is Tarha Darte Ho Jis Tarha
Apnoun Se Darte Ho? Is Tarha Ham Aqal Waaloun Ke Liye Apni Aayatain Khol Khol
Kar Bayan Karte Hain.
29
Magar Joh Zaalim Hain,
Be Samjhe Apni Khuahishoun Ke Peeche Chalte Hain Toh Jis Ko Khuda Gumraah KareM
Usse Koun Hidayat De Sakta Hai? Aur Un Ka Koi Madadgaar Nahi.
30
Toh Tum Aik Taraf Ke
Ho Kar Deen-E-Khuda Ke Raste Par Seedha Moonh Kiye Chale Jaao, Aur Khuda Ki
Fitrat Ko Jis Par Us Ne Lougon Ko Paida Kia Hai Ikhtiyaar Kiye Raho, Khuda Ki
Banaye Hui Fitrat Main Taggaiyurr-O-Tabbaddul Nahi Ho Sakta. Ye Hi Seedha Deen
Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
31
Momino Ussi Khuda Ki
Taraf Rujoo Kiye Raho Aur Us Se Darte Raho Aur Namaaz Parhte Raho Aur
Mushrikoun Main Na Hona.
32
Aur Na Un Lougon Main
Hona Jinhoun Ne Apne Deen Ko Tukre Tukre Kar Dia Aur Khud Firqe Firqe Ho
Gaye.Sab Firqe Ussi Se Khush Hain Joh Un Ke Paas Hai.
33
Aur Jab Lougon Ko
Takleef Pohonchti Hai Toh Apne Parwardigar Ko Pukarte Aur Ussi Ki Taraf Rujoo
Hote Hain . Phir Jab Wo Unko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhata Hai, Toh Aik Firqa
Un Main Se Apne Parwardigaar Se Shirk Karne Lagta Hai.
34
Taa-Ake Joh Ham Ne Un
Ko Bakhsha Hai Us Ki Na Shukri Karain, So Khair Faaide Utha Lo Anqareeb Tum Ko
Is Ka Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.
35
Kia Ham Ne Un Par Koi
Aisi Daleel Nazil Ki Hai Ke Un Ko Khuda Ke Sath Shirk Karna Batati Hai.
36
Aur Jab Ham Lougon Ko
Apni Rehmat Ka Mazah Chakhte Hain Toh Us Se Khush Ho Jate Hain Aur Agar Un Ke
Amaaloun Ke Sabab Joh Un Ke Haq Main Aage Bhaije Hain, Koi Gazand Pohonche Toh
Na Umeed Ho Kar Reh Jate Hain.
37
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Khuda Hi Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Faraakh Karta Hai Aur Jis Ke
Liye Chahta Hai Tang Karta Hai. Be Shak Is Main Eemaan Laane Waloun Ke Liye
Nishaaniyan Hain.
38
Toh Ehl-E-Qarabat Aur
Mohtaajoun Aur Musaafiroun Ko In Ka Haq Dete Raho. Joh Loug Razaa-E-Khuda Ke
Taalib Hain, Ye Un Ke Haq Main Behtar Hai. Aur Ye Hi Loug Nijaat Hasil Kanre
Wale Hain.
39
Aur Joh Tum
Sood(Intrest) Dete Ho, Ke Lougon Ke Maal Main Afzaaish(Expand) Ho , Toh Khuda
Ke Nazdeek Us Main Afzaaish Nahi Hoti Aur Joh Tum Zakaat Dete Ho Aur Us Se
Khuda Ki Raza Mandi Talab Karte Ho Toh Wo Moajjab-E-Barkat Hai Aur Aise Hi Loug
Apne Maal Ko Do Chand Seh Chand Karne Wale Hain.
40
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Tum Ko Paida Kia, Phir Tum Ko Rizq Dia, Phir Tumhain Maare Ga. Phir Zinda
Kare Ga. Bhala Tumhare Banaye Hue Shareekoun Main Bhi Koi Aisa Hai, Joh In
Kaamoun Main Se Kuch Kar Sake .Wo Paak Hai Aur Us Ki Shaan Un Ke Shareekoun Se
Buland Hai.
41
Khushki Aur Tari Main
Lougon Ke Aamaal Ke Sabab Fisaad Phail Gaya Hai Taa-Ake Khuda Un Ko Un Ke Baaz
Aamaal Ka Mazah Chakhaye, Ajab Nahi Ke Wo Baaz Aa Jayen.
42
Keh Do Ke Mulk Main
Chalo Phiro Aur Daikho Ke Joh Loug Tum Se Pehle Hue Hain Un Ka Kaisa Anjaam Hua
Hai. Un Main Ziada Tar Mushrik Hi The.
43
Toh Us Roz (Day) Se
Pehle Joh Khuda Ki Taraf Se Aakar Rahe Ga, Aur Rukk Nahi Sake Ga, Deen Ke Raste
Pare Seedha Moonh Kiye Chale Chalo Us Roz Sab Log Muntashir Ho Jaye Ge.
44
Jis Shakhs Ne Kufur
Kia ,Toh Us Ke Kufur Ka Zarrar Ussi Ko Hai Aur Jis Ne Naik Amal Kiye Toh Aise
Loug Apne Hi Liye Araam Gaah Durust Karte Hain.
45
Joh Loug Eemaan Laaye
Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ko Khuda Apne Fazal Se Badla De Ga. Beshak Wo
Kaafiruon Ko Dost Nahi Rakhta .
46
Aur Ussi Ki
Nishaaniyoun Main Se Hai Ke Hawaaoun Ko Bhaijta Hai, Ke Khushkhabri Deti Hain,
Taa-Ake Tumko Apni Rehmat Ke Maze Chakhaye Aur Taa-Ake Us Ke Hukum Se
Kashtiyaan Chalain Aur Taa-Ake Tum Us Ke
Fazal Se Rozi Talab Karo Ajab Nahi Ke Tum Shukar Karo.
47
Aur Ham Ne Tum Se
Pehle Bhi Paigambar Bhaije Toh Wo Un Ke Paas Nishaaniyan Le Kar Aaye, So Joh Loug Na Farmaani Karte The Ham Ne Un Se
Badla Le Kar Chora Aur Mominoun Ki Madad Ham Par Laazim Thi.
48
Khuda Hi Toh Hai Joh
Hawaaoun Ko Chalata Hai, Toh Wo Badal Ko Ubhaarti Hain. Phir Khuda Us Ko Jis
Tarha Chahta Hai Aasmaan Main Phaila Deta Aur Taih Ba Taih Kar Deta Hai, Phir
Tum Daikhte Ho Ke Us Ke Beech Main Se Meenh Nikalne Lagta Hai , Phir Jab Wo
Apne Bandoun Main Se Jin Par Chahta Hai Usse Barsa Deta Hai Toh Wo Khush Ho
Jate Hain.
49
Aur Paishtar Toh Wo
Meenh Ke Utarne Se Pehele Na Umeed Ho Rahe The.
50
Toh Ae Daikhne Wale,
Khuda Ki Rehmat Ki Nishaaniyoun Ki Taraf Daikh, Ke Wok Kis Tarha Zameen Ko Us
Ke Marne Ke Baad Zinda Karta Hai. Beshak Wo Murdoun(Dead) Ko Zinda Karne Wala
Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.
51
Aur Agar Ham Aisi Hawa
Bhaijain Ke Wo Is Ke Sabab Khaiti Ko Daikhe Ke Zard Ho Gai Hai , Toh Is Ke Baad
Wo Na Shukri Karne Lag Jayen.
52
Toh Tum Murdoun Ko Bat
Nahi Suna Sakte Aur Na Behroun Ko, Jab Wo Peeth Phair Kar Phir Jaye Awaaz Suna
Sakte Ho.
53
Aur Na Andhoun Ko Un
Ki Gumrahi Se Nikaal Kar Raah-E-Raast Par La Sakte Ho. Tum Toh Un Hi Lougon Ko
Suna Sakte Ho Joh Hamari Aayatoun Par Eemaan Laate Hain, So Wo Hi Farmabardaar
Hain.
54
Khuda Hi Toh Hai Jis
Ne Tumko Ibtida Main Kamzor Halat Main Paida Kia Phir Kamzori Ke Baad Taaqat
Inayat Ki, Phir Taaqat Ke Baad Kamzori Aur Burhapa Dia. Wo Joh Chahata Hai
Paida Karta Hai Aur Wo Sahib-E-Daanish Aur Sahib-E-Qudrat Hai.
55
Aur Jis Roz Qiamat
Barpa Hogi, Gunnehgaar Qasmain Uthaayen Ge Ke Wo Dunia Main Aik Ghari Se Ziada
Nahi Rahe The.Issi Tarha Wo Raste Se Ulte Jaate The.
56
Aur Jin Lougon Ko Ilm
Aur Eemaan Dia Gaya Tha, Wo Kahain Ge Ke Khuda Ki Kitaab Ke Mutabiq Tum Qiamat
Tak Rahe Ho . Aur Ye Qiamat Hi Ka Din Hai Lekin Tum Ko Is Ka Yaqeen Hi Na Tha.
57
Toh Is Roz Zaalim
Lougon Ko Un Ka Uzar Kuch Faida Na De Ga Aur Na Un Se Touba Qabool Ki Jaye Gi.
58
Aur Ham Ne Lougon Ke
Samjhane Ke Liye Is Quran Main Har Tarha Ki Misaal Bayan Kar Di Hai, Aur Agar
Tum Un Ke Samne Koi Nishaani Paish Karo Toh Ye Kafir Keh Dainge Ke Tum Toh
Jhoote Ho.
59
Issi Tarha Khuda Un
Lougon Ke Diloun Par , Joh Samajh Nahi Rakhte Mohor Laga Deta Hai.
60
Pas Tum Sabar Karo Be
Shak Khuda Ka Waada Sachha Hai Aur Daikho Joh Loug Yaqeen Nahi Rakhte Wo
Tumhain Oucha Na Bana Dain.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^