Soorah-Al-Qasas
Aayaat-88
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Tuaa Seen Meem.
2
Ye Kitaab-E-Roshan Ki
Aayatain Hain
2
Ae Muhammad S.A.W. Ham
Tumhain Moosa A.S. Aur Firown Ke Kuch Halaat Momin Lougon Ko Sunaane Ke Liye
Sahee Sahee Sunaate Hain.
4
Keh Firown Ne Mulk
Main Sar Utha Rakha Tha, Aur Wahan Ke Baashindoun Ko Giroh Giroh Bana Rakha Tha,
Un Main Se Aik Guroh Ko Yahan Tak Kamzor Kar Dia Tha Ke Un Ke Baitoun Ko Zibaah
Kar Daalta Aur Un Ki Larkiyoun Ko Zinda Rehne Deta. Beshak Wo Muffsidoun(Fisaad
Paida Karne Walw) Main Tha.
5
Aur Ham Chahte The Ke
Joh Loug Mulk Main Kamzor Kar Diye Gaye Hain Un Par Ehsaan Karain Aur Un Ko
Paishwa Banayen Aur Unhain Mulk Ka Waaris Karain.
6
Aur Mulk Main Unko
Qudrat Dain Aur Firown Aur Hamaan Aur Un Ke Lashkar Ko Wo Cheezain Dikha Dain
Jis Se Wo Darte The.
7
Aur Ham Ne Moosa A.S.
Ki Maan Ki Taraf Wahi Bhaiji, Ke Us Ko Doodh Pilaao, Jab Tum Ko Us Ke Bare Main
Khud Khof Paida Ho, Toh Usse Darya Main Daal Dena Aur Na Toh Khof Karna Aur Na
Ranj Karna. Ham Us Ko Tumhare Paas Wapas Pohoncha Dainge Aur Phir Usse
Paigambar Bana Dainge.
8
Toh Firwon Ke Lougon
Ne Us Ko Utha Liya, Is Liye Ke Natija Ye Hona Tha Ke Wo Un Ka Dushman Aur Un Ke
Liye Moajjab-E-Gham Ho. Beshak Firwon Aur Hamaan Aur Un Ke Lashkar Chook Gaye.
9
Aur Firown Ki Biwi Ne
Kaha Ke Ye Meri Aur Tumhri Dono Ki Aankhon Ki Thandak Hai Is Ko Qatal Na Karna.
Shayad Ye Hamain Faaida Pohonchaye Ya Ham Isse Beta Bana Lain Aur Wo Anjaam Se
Be Khabar The.
10
Aur Moosa A.S. Ki Maan
Ka Dil Be Qaraar Ho Gaya, Agar Ham Un Ke Dil Mazboot Na Kar Dete Toh Qareeb Tha
Ke Wo Is Qisse Ko Zahir Kar Dain.Gharz Ye Thi Ke Wo Mominoun Main Rahain.
11
Aur Us Ki Behen Se
Kaha Ke Us Ke Peeche Peeche Chali Ja, Toh Wo Usse Door Se Daikhti Rahi Aur Un
Lougon Ko Kuch Khabar Na Thi.
12
Aur Ham Ne Pehle Hi Se
Us Par Daaiyoun Ke Doodh Haraam Kar Diye The. Toh Moosa A.S. Ki Behen Ne Kaha
Ke Main Tumhain Aise Ghar Wale Bataoon, Ke Tumhare Liye Is Bache Ko Paalain Aur
Is Ki Khair Kuahi Se Parwarish Karain.
13
Toh Ham Ne Is Tareeq
Se Un Ko Un Ki Maan Ke Paas Wapas Pohoncha Dia Taa-Ake Un Ki Aankhain Thandi
Houn Aur Wo Gham Na Khayen Aur Maaloom Karain Ke Khuda Ka Waada Sachha Hai,
Lekin Ye Aksar Nahi Jaante.
14
Aur Jab Moosa A.S.
Jawani Ko Pohonche Aur Bhar Poor Jawaan Ho Gaye Toh Ham Ne Un Ko Hikmat Aur Ilm
Inayat Kia. Aur Ham Naiko Kaaroun Ko Aisa Hi Badla Dia
Karte Hain.
15
Aur Wo Aise Waqt
Sheher Main Dakhil Hue Ke Wahan Ke Baashinde Be Khabar Ho Rahe The, Toh Daikha
Ke Wahan Do Shakhs Lar Rahe Hain, Aik Toh Moosa A.S. Ki Qoum Ka Hai Aur Doosra
Un Ke Dushmanoun Main Se, Toh Joh Shakh Un Ki Qoum Main Se Tha Us Ne Doosre
Shakahs Ke Muqaable Main Joh Mooosa A.S. Ke Dushmanou Main Se Tha Madad Talab
Ki Toh Un Houn Ne Us Ko Mukkka Maara Aur Us Ka Kaam Tamaam Kar Dia Kehne Lage
Ke Ye Kaam Toh Aghwaaye Shaitaan Se Hua, Beshak Wo Insaan Ka Dushaman Aur
Sareeh Behkaane Wala Hai.
16
Bole Ke Ae Parwardigar
Main Ne Apne Aap Par Zulm Kia Tu Mujhe Bakhsh De Toh Khuda Ne Unko Bakhsh Di . Beshak
Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.
17
Kehne Lage, Ke Ae
Parwardigar Tu Ne Joh Mujh Par Meherbani Farmaayee Hai, Main Aainda Kabhi
Gunnehgaaroun Ka Madadgaar Na Banoonga.
18
Algarz Subh Ke Waqt
Sheher Main Darte Darte Dakhil Hue, Ke Daikhain Kia Hota Hai, Toh Nagahaan Wo Hi
Shakhs Jis Ne Kal Un Se Madad Maangi Thi Phir Un Ko Pukaar Raha Hai. Moosa A.S.
Ne Us Se Kaha Ke Tu Toh Sareeh Gumrahi Main Hai.
19
Jab Moosa A.S. Ne
Iraada Kia Ke Us Shaks Ko Joh Un Dono Ka Dushaman Tha Pakar Lain, Toh Wo Yaani
Moosa A.S. Ki Qoum Ka Aadmi Boul Utha, Ke Jis Tarha Tum Ne Kal Aik Shaks Ko
Maar Dala Tha, Ussi Tarha Chahate Ho Ke Mujhe Bhi Maar Daalo. Tum Toh Ye Hi
Chahte Ho , Ke Mulk Main Zulm-O-Sitam Karte Phiro Aur Ye Nahi Chahte Ke Naiko
Kaaroun Main Ho.
20
Aur Aik Shakhs Sheher
Ki Parli Taraf Se Dourta Hua Aaya Aur Bola Ke Moosa A.S. Sheher Ke Rayees
Tumhare Bare Main Salaahain Karte Hain, Ke Tum Ko Maar Daalain, So Tum Yahan Se Nikal Jao. Main Tumhara Khair
Khuah Hoon.
21
Moosa A.S. Wahan Se
Darte Darte Nikal Khare Hue Ke Daikhain Kia Hota Hai Aur Dua Karne Lage Ke Ae
Parwardigar Mujhe Zaalim Lougon Se Nijaat De.
22
Aur Jab Madyan Ki
Taraf Rukh Kia Toh Kehne Lage Umeed Hai Ke Mera Parwardigar Mujhe Seedha Rasta
Bataye.
23
Aur Jab Madyan Ke
Paani Ke Maqaam Par Pohonche Toh Daikha Ke Wahan Loug Jama Ho Rahe, Aur Apne
Chaar Paaiyoun Ko Paani Pila Rahe Hain, Aur Un Ke Aik Taraf Do Aurtain Apni Bakriyoun
Ko Roke Khari Hain. Moosa A.S. Ne Un Se Kaha Tumahra Kia Kaam Hai. Wo Boleen Ke
Jab Tak Charwahe Apne Chaarpaaiyoun Ko Le Na Jaayen Ham Paani Nahi Pila Sakte
Aur Hamare Waalid Bari Umar Ke Boorhe Hain.
24
Toh Moosa A.S. Ne Un
Ke Liye Bakriyoun Ko Paani Pila Dia, Phir Saaye Ki Taraf Chale Gaye. Aur Kehne
Lage Ke Parwardigaar Main Is Ka Mohtaaj Hoon Ke Tu Mujh Par Apni Naimat Nazil
Farmaye.
25
Thori Dair Ke Baad Un
Main Se Aik Aurat Joh Sharmati Aur Lijaati Chali Aati Thi Moosa A.S. Ke Paas
Aayee Aur Kehne Lagi, Ke Tum Ko Mere
Waalid Bulate Hain, Ke Tumne Joh Hamare Liye Paani Pilyaya Tha Us Ki Tum Ko
Ujjrat Dain. Jab Wo Un Ke Paas Aaye Aur
Un Se Apna Maajra Bayan Kia Toh Unhoun Ne Kaha Ke Kuch Khof Na Karo. Tum Zalim
Lougon Se Bach Aaye Ho.
26
Aik Larki Boli Ke Abba
In Ko Nokar Rakh Lijiye, Kion Ke Behtar Nokar Joh Ap Rakhain Wo Hai, Joh Tawana
Aur Amanat Daar Ho.
27
Unhoun Ne Moosa A.S.
Se Kaha Ke Main Chahta Hoon Apni In Do Baitiyoun Main Se Aik Ko Tum Se Biyah
Doon, Is Ehed Par Ke Tum Aath Bararas(8years) Meri Khidmat Karo, Aur Agar Daas
Saal Poore Kar Do Toh Tumhari Taraf Se Ehsaan Aur Main Tum Par Takleef Daalni
Nahi Chahta. Tum Mujhe Inshallah Naik Lougon Main Paao Ge.
28
Moosa A.S. Ne Kaha Ke
Mujh Main Aur Aap Main Aik Ehed Pukhta Hua, Main Jonsi Muddat Chahoon Poori Kar
Doon, Phir Mujh Par Koi Ziaadti Na Ho.Aur Ham Joh Moaahida Karte Hain Khuda Us
Ka Gawah Hai.
29
Jab Moosa A.S. Ne
Muddat Poori Kar Di Aur Apne Ghar Ke Lougon Ko Le Kar Chale Toh Toor Ki Taraf
Se Aag Dikhaye Di, Toh Apne Ghar Waloun Se Kehne Lage Ke Tum Yahan Thehro. Mujhe
Aag Nazar Aaye Hai Shayad Wahan Se Raaste Ka Kuch Pata Laaon, Ya Aag Ka Angaara
Le Aaaon Taa-Ake Tum Toh Taapo.
30
Jab Us Ke Paas
Pohonche Toh Maidaan Ke Daayen Kinare Se Aik Mubarak Jaga Main Aik Darakht Main
Se Awaaz Aaye Ke Moosa A.S. Main Toh Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Hoon.
31
Aur Ye Ke Apni Lathi
Dal Do. Jab Daikha Ke Wo Harkat Kar Rahi Hai Goya Saamp Hai, Toh Peeth Phair
Kar Chal Diye Aur Peeche Murr Kar Bhi Na Daikha. Ham Ne Kaha Ke Moosa A.S. Aage
Aao Aur Daro Mat Tum Aman Paane Waloun Main Ho.
32
Apna Hath Girebaan
Main Dalo Toh Bagair Kisi Aib Ke Safaid Nikal Aaye Ga Aur Khof Door Hone Ki
Waja Se Apne Baazu Ko Apni Taraf Sukair Lo . Ye Do Daleelain Tumhare
Parwardigaar Ki Taraf Se Hain, Un Ke Sath Firown Aur Us Ke Darbaariyoun Ke Paas
Jaao Ke Wo Nafarmaan Loug Hain.
33
Moosa A.S. Ne Kaha Ae
Parwardigar Un Main Aik Shakhs Mere Hath Se Qatal Ho Chukka Hai, So Mujhe Khof
Hai Ke Wo Kahin Mujh Ko Maar Na Daalain.
34
Aur Haaroon A.S. Joh
Mera Bhai Hai Us Ki Zabaan Mujh Se Ziada Faseeh Hai Tu Us Ko Mere Sath
Madadgaar Bana Kar Bhaij Ke Meri Tasdeeq Kare Mujhe Khof Hai Ke Wo Loug Meri
Takzeeb Karain Ge.
35
Khuda Ne Farmaya Ham
Tumhare Bhai Se Tumhare Baazu Ko Mazboot
Karainge, Aur Tum Dono Ko Ghalba Dainge, Toh Hamrai Nishaniyoun Ke Sabab Wo Tum
Tak Pohonch Na Sakain Ge Aur Tum Aur Jinhoun Ne Tumhari Pairwi Ki Ghalib Raho
Ge.
36
Aur Jab Moosa A.S. Un
Ke Paas Hamari Khuli Nishaniya Le Kar Aaye Toh Wo Kehne Lage Ke Ye Jaadu Hai,
Joh Us Ne Bana Khara Kia Hai Aur Ye Baatain Ham Ne Apne Agle Bap Dada Main Toh
Kabhi Suni Nahi.
37
Aur Mosa A.S. Ne Kaha
Ke Mera Parawardigar Us Shaksh Ko Khoob Jaanta Hai, Joh Us Ki Taraf Se Haq Le
Kar Aaya Hai, Aur Jis Ke Liye Aaqbat Ka Ghar Yaani Behshat Hai. Beshak Zalim
Nijaat Nahi Paayen Ge.
38
Aur Firown Ne Kaha Ke
Ae Ehl-E-Darbaar Main Tumhara Apne Siwa Kisi Ko Khuda Nahi Jaanta Toh Hamaan
Mere Liye Gaare Ko Aag Lagwa Kar Eentain Paka Do Phir Aik Ooncha Mehel Banwa Do
Taa-Ake Main Moosa A.S. Ke Khuda Ki Taraf Charh Jaaon Aur Main Toh Usse Jhooota
Samajhta Hoon.
39
Aur Wo Aur Us Ke
Lashkar Mulk Main Nahaq Maghroor Ho Rahe The Aur Khayal Karte The Ke Wo Hamari
Taraf Lout Kar Nahi Aayenge.
40
Toh Ham Ne Un Ko Aur
Un Ke Lashkaroun Ko Pakar Liya Aur Darya Main Daal Dia.So Daikh Lo Ke Zaalimoun
Ka Kaisa Anjaam Hua.
41
Aur Ham Ne Un Ko
Paishwa Banaya Tha, Wo Lougon Ko Dozakh Ki Taraf Bulate The Aur Qiamat Ke Din Un
Ko Madad Nahi Ki Jaye Gi.
42
Aur Is Dunia Main Ham
Ne Un Ke Peeche Laanat Laga Di, Aur Wo Qiamat Ke Roz Bhi Bad Haaloun Main
Hounge.
43
Aur Ham Ne Pehli
Ummatoun Ke Halak Karne Ke Baad Moosa A.S. Ko Kitaab Di, Joh Lougon Ke Liye Baseerat Aur Hidayat Aur
Rehmat Hai Taa-Ake Wo Naseehat Pakrain.
44
Aur Jab Ham Ne Moosa
A.S. Ki Taraf Hukum Bhaija Toh Tum Toor Ki Gharab Ki Taraf Nahi The Aur Na Us
Waaqeiye Ke Daikhne Waloun Main The.
45
Lekin Ham Ne Moosa
A.S. Ke Baad Kai Ummatoun Ko Paida Kia Phir Un Par Muddat-E-Taweel Guzar Gai
Aur Na Tum Madyan Waloun Main Rehne Wale The Ke In Ko Hamari Aayatain Parh Parh
Kar Sunate The .Haan Ham Hi Toh Paigambar Bhaijne Wale The.
46
Aur Na Tum Us Waqt,
Jab Ke Ham Ne Moosa A.S. Ko Awaaz Di Toor Ke Kinaare The, Balke Tumahra Bhaija
Jaana Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Hai, Taa-Ake Tum Un Lougon Ko Jin Ke Paas
Tum Se Pehle Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya Hidayat Karo Taa-Ake Wo Naseehat
Pakrain.
47
Aur Ae Paigambar
S.A.W. Ham Ne Tum Ko Is Liye Bhaija Hai Ke Aisa Na Ho Ke Agar In Aamaal Ke
Sabaab Joh Un Ke Hath Aage Bhaij Chuke Hain Un Par Koi Museebat Waaqe Ho, Toh
Ye Kehne Lagain Ke Ae Parwardigar Tu Ne Hamari Taraf Koi Paigambar Kion Na Bhaija Ke Ham Teri
Aayatoun Ki Pairwi Karte Aur Eemaan Laane Waloun Main Hote.
48
Phir Jab Un Ke Pas
Hamari Taraf Se Haq Aa Pohoncha Toh Kehne Lage Ke Jaisi Nishaniyan Moosa A.S.
Ko Mili Theen, Waisi Is Ko Kion Nahi Milee. Kia Joh Nishaniyan Pehle Moosa A.S.
Ko Di Gai Theen Unhoun Ne Un Se Kufur Nahi Kia, Kehne Lage Ke Dono Jaadu Gar Hain Aik Dooser
Ke Mawafiq .Aur Bole Ke Ham Sab Se Munkir Hain.
49
Keh Do Ke Agar Sache
Ho Toh Tu Khuda Ke Paas Se Koi Aur Kitaab Le Aao Joh In Dono Kitaaboun Se Barh
Kar Hidayat Karne Wali Ho. Taa-Ake Main Bhi Ussi Ki Pairwi Karoon.
50
Phir Agar Ye Tumhari
Baat Qabool Na Karain, Toh Jaan Lo Ke Ye
Sirf Apni Khuahishoun Ki Pairwi Karte Hain. Aur Us Se Ziada Koun Gumraah Hoga
Joh Khuda Ki Hidayat Ko Chor Kar Apni Khuahish Ke Peeche Chale. Beshak Khuda
Zaalim Lougn Ko Hidayat Nahi Deta.
51
Aur Ham Pae Dar Pae Un
Lougon Ke Paas Hidayat Ki Batain Bhaijte Rahe Hain Taa-Ake Naseehat Pakrain.
52
Jin Lougon Ko Ham Ne
Is Se Pehle Kitaab Di Thi, Wo Us Par Eemaan Le Aate Hain.
53
Aur Jab Quraan Un Ko
Parh Kar Sunaya Jata Hai Toh Kehte Hain Ke Ham Is Par Eemaan Le Aaye Be Shak Wo
Hamare Parwardigar Ki Taraf Se Bar Haq Hai Aur Ham Toh Is Se Pehle Ke Hukum
Bardar Hain.
54
Un Lougon Ko Dugna
Badla Dia Jaye Ga, Kion Ke Sabar Karte
Rahe Hain Aur BhalayEe Ke Sath Burai Ko Door Karte Hain Aur Joh Maal Ham Ne Un
Ko Dia Hai Is Main Se Kharch Karte Hain.
55
Aur Jab Yahood Baat
Sunte Hain Toh Is Main Moonh Phair Lete Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Ko Hamare
Aamaal Aur Tum Ko Tumhare Aamal. Tumko Salam .Ham Jaahiloun Ke Khuaastgaar Nahi
Hain.
56
Ae Muhammad S.A.W. Tum
Jis Ko Dost Rakhte Ho Usse Hiddayat Nahi Kar Sakte, Balke Khuda Hi Jis Ko Chahta Hai Hidayat Karta
Hai Aur Wo Hidayat Paane Waloun Ko Khoob Jaanta Hai.
57
Aur Kehte Hain Ke Agar
Ham Tumhare Sath Hidayat Ki Pairwi Karain, Toh Apne Mulk Se Uchak Liye Jaayen. Kia Ham Ne
Un Ko Haram Main Joh Aman Ka Maqaam Hai Jaga Nahi Di. Jahan Har Qisam Ke Mewe
Pohonchaye Jate Hain Aur Ye Rizq Hamari Taraf Se Hai Lekin Un Main Se Aksar
Nahi Jaante.
58
Aur Ham Ne Bohot Si
Bastiyoun Ko Halak Kar Daala Joh Apni Faraakh Maeeshat Main Ittra Rahe The. So
Ye Un Ke Makanaat Hain Joh Un Ke Baad Aabaad Hi Nahi Hue, Magar Bohot Kam. Aur Un Ke Peeche Ham Hi Un Ke
Waris Hue.
59
Aur Tumhara
Parwardigar Bastiyoun Ko Halak Nahi Kia Karta. Jab Tak Un Ke Bare Sheher Main
Paigamabar Na Bhaij De, Joh Un Ko Hamari Aayatain Parh Parh Kar Sunaye Aur Ham
Bastiyoun Ko Halak Nahi Kia Karte, Magar Is Halat Main Ke Wahan Ke Baashinde
Zalim Houn.
60
Aur Joh Cheez Tum Ko
Di Gai Hai Wo Dunia Ki Zindagi Ka Faaida Aur Us Ki Zeenat Hai. Aur Joh Khuda Ke
Paas Hai Wo Behtar Aur Baqi Rehne Wali Hai. Kia Tum Samajhte Nahi?
61
Bhala Jis Shakhs Se
Ham Ne Naik Waada Kia Aur Us Ne Usse Hasil Kar Liya Toh Kia Wo us Shakhs Ka Sa
Hai, Jis Ko Ham Ne Dunia Ki Zindagi Ke Faaide Se Behra Mand Kia, Phir Wo Qiamat
Ke Roz Un Lougon Main Ho Joh Hamare Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.
62
Aur Jis Roz Khuda Un
Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Kahan Hain Jin Ka Tumhain Daawa
Tha.
63
Toh Jin Lougon Par
Azaab Ka Hukum Saabit Ho Chukka Hoga, Wo Kahain Ge Ke Hamare Parwardigar Ye Wo
Loug Hain, Jin Ko Ham Ne Gummrah Kia Tha. Aur Jis Tarha Ham Khud Gumrah Hue The,
Ussi Tarha Un Ko Gumraah Kia Tha Ab Ham Teri Taraf Muttwajoh Ho Kar, Un Se
Baizaar Hote Hain Ye Hamain Poojte The.
64
Aur Kaha Jaye Ga Ke
Apne Shareekoun Ko Bulaao. Toh Wo Un Ko Pukaarain Ge Aur Wo Un Ko Jawab Na De
Sakain Ge Aur Jab Azaab Ko Daikh Lainge Toh Tammana Karain Ge Ke Kaash Wo
Hidayat Yaab Hote.
65
Aur Jis Roz Khuda Un
Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Tum Ne Paigambaroun Ko Kia Jawab Dia.
66
Toh Wo Us Roz Khabroun
Se Andhe Ho Jaye Ge, Aur Apas Main Kuch Bhi Pooch Na Sakainge.
67
Lekin Jis Ne Touba Ki
Aur Eemaan Laaya Aur Amal-E-Naik Kiye Toh Umeed Hai Ke Wo Nijaat Paane Waloun
Main Ho.
68
Aur Tumhara
Parwardigar Joh Chahata Hai Paida Karta Hai Aur Jisse Chahta Hai Barguzeeda Kar
Leta Hai. Un Ko Is Ka Ikhtiyaar Nahi Hai. Ye Joh Shirk Karte Hain Khuda Us Se
Paak-O-Balatar Hai.
69
Aur Un Ke Seene Joh
Kuch Makhfi Karte Aur Joh Ye Zahir Karte Hain Tumhara Parwardigar Us Ko Jaanta
Hai.
70
Aur Wo Hi Khuda Hai Us
Ke Siwa Koi Maabood Nahi Dunia Aur Aakhrat Main Ussi Ki Taareef Hai Aur Ussi Ka
Hukum Aur Ussi Ki Taraf Tum Loutaye Jaao Ge.
71
Kaho Bhala Daikho Toh
Aagar Khuda Tum Par Hamesha Qiamat Ke Din Tak Raat Ki Taareeki Kiye Rahe, Toh
Khuda Ke Siwa Koun Maabood Hai Joh Tum Ko Roshni Laa De, Toh Kia Tum Sunte
Nahi.
72
Kaho Toh Bhala Daikho
Toh Agar Khuda Tum Par Hamesha Qiamat Tak Din Kiye Rahe Toh Khuda Ke Siwa Koun
Maabood Hai Ke Tum Ko Raat La De, Jis Main Tum Araam Karo. Toh Kia Tum Daikhte
Nahi?
73
Aur Us Ne Apni Rehmat
Se Tumhare Liye Raat Ko Aur Din Ko Banaya Taa-Ake Tum Us Main Araam Karo Aur Us
Main Us Ka Fazal Talash Karo Aur Taa-Ake Shukar Karo.
74
Aur Jis Din Wo Un Ko
Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Jin Ka Tumhain Daawa Tha Kahan Hain?
75
Aur Ham Har Aik Ummat
Main Se Gawaah Nikaal Lainge, Phir Kahainge Ke Apni Daleel Paish Karo, Toh Wo
Jaan Lainge Ke Sach Baat Khuda Ki Hai Aur Joh Wo Iftiraa Kia Karte The Un Se
Jaata Rahe Ga.
76
Qaaroon Moosa A.S. Ki
Qoum Main Se Tha Aur Un Par Taa-ddi Karta Tha. Aur Ham Ne Us Ko Itne Khazane
Diye The Ke Un Ki Kunjiyaan Aik Taaqatwar Jamaat Ko Uthaani Mushkil Hoteen, Jab
Us Se Us Ki Qoum Ne Kaha Ke Ittraaiye Mat .Keh Khuda Ittraane Waloun Ko Pasand
Nahi Karta.
77
Aur Joh Maal Tum Ko
Khuda Ne Ata Farmaya Hai Us Se Aakhrat Ki Bhalayee Talab Kijiye Aur Dunia Se
Apna Hissa Na Bhulaaiye Aur Jaisi Khuda Ne Tum Se Bhalai Ki Hai Waisi Tum Bhi
Lougon Se Bhalayee Karo. Aur Mulk Main Taalib-E-Fisaad Na Ho. Kion Ke Khuda
Fisaad Karne Walun Ko Dost Nahi Rakhta.
78
Bola Ke Ye Maal Mujhe
Meri Daanish Ke Zor Se Mila Hai, Kia Us
Ko Maaloom Nahi Ke Khuda Ne Is Se Pehle Bohot Si Ummatain Joh Us Se Quwwat Main
Barh Kar Aur Jameeyat Main Baishtar Theen Haalk Kar Daali Hain Aur
Gunnehgaaroun Se Un Ke Gunnahoun Ke Bare Main Poocha Nahi Jayega.
79
Toh Aik Roz Qaaroon
Bari Aaraaish Aur Thaath Se Apni Qoum Ke Saamne Nikl . Joh Loug Dunia Ki
Zindagi Ke Taalib The Kehne Lage Ke Jaisa Maal-O-Mataa Qaroon Ko Mila Hai Kaash
Aisa Hi Hamain Bhi Mile. Wo Toh Bara Hi Sahib-E-Naseeb Hai.
80
Aur Jin Lougon Ko Ilm
Dia Gaya Tha Wo Kehne Lage Ke Tum Par Afsos .Mominoun Aur Naiko Kaaroun Ke Liye
Toh Sawab Khuda Ke Haan Taiyaar Hai, Wo Kahin Behtar Hai Aur Wo Sirf Sabar
Karne Waloun Hi Ko Mile Ga.
81
Pas Ham Ne Qaaroon Ko
Aur Us Ke Ghar Ko Zameen Main Dhanasa Dia Toh Khuda Ke Siwa Koi Jamaat Us Ki
Madadgaar Na Ho Saki. Aur Na Wo Badla Le Saka.
82
Aur Wo Loug Joh Kal Us
Ke Rutbe Ki Tammanna Karte The, Subho Ko
Kehne Lage Haaye Shamat! Khuda Hi Toh
Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Faraaakh Kar Deta Hai Aur Jis
Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai. Agar Khuda Ham Par Ehsaan Na Karta, Toh
Hamain Bhi Dhansa Deta. Haaye Kharabi! Kaafir
Nijaat Nahi Paa Sakte.
83
Wo Joh Aakhrat Ka Ghar
Hai Ham Ne Usse Un Louogn Ke Liye Taiyaar Kar Rakha Hai Joh Mulk Main Zulm Aur
Fisaad Ka Iraada Nahi Rakhte Aur Anjaam Naik Toh Parhaizgaaroun Hi Ka Hai.
84
Joh Shakhs Naiki Le
Kar Aaye Ga Us Ke Liye Is Se Behtar Sila Mojood Hai Aur Joh Buraaiye Laaye Ga, Toh Jin Lougon Ne Bure Kaam Kiye Un Ko Badla Bhi
Ussi Tarha Ka Mile Ga Jis Tarha Ke Wo Kaam Karte The.
85
Ae Paigambar S.A.W.
Jis Khuda Ne Tum Par Quraan Ke Ehkaam Ko Farz Kia Hai Wo Tumhain Baazgasht Ki
Jaga Louta De Ga. Keh Do Ke Mera Parwardigar Us Shaksh Ko Bhi Khoob Jaanta Hai,
Joh Hidayat Le Kar Aaya Aur Us Ko Bhi Joh Sareeh Gumraahi Main Hai.
86
Aur Tumhain Umeed Na
Thi Ke Tum Par Ye Kitaab Nazil Ki Jaye Gi.Magar Tumhare Parwardigar Ki
Meherbaani Se Naazil Hui Toh Tum Har Gizz Kaafiroun Ke Madadgar Na Hona.
87
Aur Wo Tumhain Khuda
Ki Aayatoun Ki Tableegh Se, Baad Is Ke Keh Wo Tum Par Nazil Ho Chuki Hai, Rok Na Dain Aur Apne Parwardigar Ko Pukarte
Raho Aur Mushrikoun Main Har Gizz Na Ho Jaaiyo.
88
Aur Khuda Ke Sath Kisi
Aur Ko Maabood Samajh Kar Na Pukarna Us
Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Us Ki Zaa-E- Paak Ke Siwa Har Cheez Fana Hone Wali
Hai. Ussi Ka Hukum Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jaaoge.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!