Sorrah-An-Namal
Aayaat 93
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Tuaa Seen. Ye Quraan
Aur Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain.
2
Mominoun Ke Liye
Hidayat Aur Basharat Hai.
3
Wo Joh Namaaz Parhte
Aur Zakaat Dete Aur Aakhrat Ka Yaqeen Rakhte Hain.
4
Joh Loug Aakhrat Par
Eemaan Nahi Rakhte, Ham Ne Un Ke Aamaal
Un Ke Liye Aaraasta Kar Diye Hain Toh Wo Sar Gardaan Ho Rahe Hain.
5
Ye Hi Loug Hain Jin Ke
Liye Bara Azqaab Hai Aur Wo Aakhrat Main Bhi Bohot Nuqsaan Uthaane Wale Hain.
6
Aur Tum Ko Quraan
Khuda-E-Hakeem-O-Aleem Ki Taraf Se Ata Kia Jata Hai.
7
Jab Moosa A.S. Ne Apne
Ghar Waloun Se Kaha Ke Main Ne Aag Diakhi Hai, Main Wahan Se Raaste Ka Pata
Laata Hoon, Ya Sulagta Hua Angaara Tumhare Paas Laata Hoon Taa-Ake Tum Taapo.
8
Jab Moosa Un Ke Paas
Aaye Toh Nida(Awaaz) Aayee Ke Wo Joh Aag Main Tajjalli Dikhata Hai, Ba Barkat
Hai. Aur Wo Joh Aag Ke Irrd Gird Hain Aur Khuda Joh Tumaam Aalam Ka
Parwardigaar Hai Paak Hai.
9
Ae Moosa Main Hi
Khudaa-E-GKaalib-O-Dana Hoon.
10
Aur Apni Laathi Daal
Do, Jab Usse Daikha Toh Is Tarha Hill Rahi Thi Goya Saamp Hai, Toh Peeth Phair
Kar Bhaage Aur Peeche Murr Kar Na Daikha Hukum Hua Ke Moosa Daro Mat. Hamare
Paas Paigambar Dara Nahi Karte.
11
Haan Jis Ne Zulm Kia,
Phir Burai Ke Baad Usse Naiki Se Badal Dia, Toh Main Bakhashne Wala Meherbaan
Hoon.
12
Aur Apna Haath Apne
Girebaan Main Daalo Be Aib Safaid Nikle
Ga. Un Do Moujzoun Ke Sath Joh Nou(9) Mojzoun Main Dakhil Hain, Firown Aur Us
Ki Qoum Ke Paas Jaao Ke Wo Badkirdaar Loug Hain.
13
Jab Un Ke Paas Hamari Roshan Nishaaniyan Pohonchi ,Kehne
Lage Ke Ye Sareeh Jaadu Hai.
14
Aur Be Insaafi Aur Gharoor
Se Un Se Inkar Kia, Lekin Un Ke Dil Un Ko Maan Chuke The. So Daikh Lo Ke Fisaad
Karne Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.
15
Aur Ham Ne Daawood
A.S. Aur Sulaimaan A.S. Ko Ilm Bakhsha Aur Unhoun Ne Kaha Keh Khuda Ka Shukar
Hai, Jis Ne Hamain Apne Bohot Se Momin Bandoun Par Fazeelat Di.
16
Aur Sulaimaan Daaowood
Ke Qaaim Maqaaam Hue. Aur Kehne Lage Ke Lougo! Hamain Khuda Ki Taraf Se Janwaroun
Ki Boli Sikhayee Gai Hai, Aur Har Cheez
Inayat Farmaayee Gai Hai. Be Shak Ye Us Ka Sareeh Fazal Hai.
17
Aur Sulaimaan A.S. Ke
Liye Jinoun Aur Insaanoun Aur Parindoun Ke Lashkar Jama Kiye Gaye Aur Wo Qisam
Waar Kiye Gaye The.
18
Yahan Tak Ke Jab Choontiyoun
Ke Maidaan Main Pohonche, Toh Aik Choonti Ne Kaha Ke Choontiyoun Apne Apne
Billoun Main Daakhil Ho Jaao, Aisa Na Ho Ke Sulaimaan A.S. Aur Us Ke Lashkar
Tum Ko Kuchal Daalain, Aur Un Ko Khabar Bhi Na Ho.
19
Toh Wo Us Ki Baat Se
Hans Pare Aur Kehne Lage Ke Ae Parwardigaar ! Mujhe Toufeeq Inayat Kar Ke Joh
Ehsaan Tu Ne Mujh Par Aur Mere Maa Baap Par Kiye Hain Un Ka Shukar Karoon Aur
Aise Naik Kaam Karoon Ke Tu Un Se Khush Ho Jaye Aur Mujhe Apni Rehmat Se Apne
Naik Bandoun Main Daakhil Farma.
20
Aur Jab Unhoun Ne
Janwaroun Ka Jaaiza Liya Toh Kehne Lage Kia Sabab Hai Ke Hudd Hudd Nazar Nahi
Aata .Kia Kahin Gayab Ho Gaya Hai?
21
Main Usse Sakht Saza
Doonga Ya Zibaah Kar Daaloon
Ga Ya Mere Saamne Apni Be Qasoori
Ki Daleel Sareeh Paish Kare.
22
Abhi Thori Hi Dair Hui
Thi Ke Hudd Hudd Aa Majood Hua Aur Kehne Laga Ke Mujhe Aik Aisi Cheez Maloom
Hui Hai Jis Ki Aap Ko Khabar Nahi Aur Main Aap Ke Paas Sheher-E-Saba Se Aik
Yaqeeni Khabar Le Kar Aaya Hoon.
23
Main Ne Aik Aurat
Daikhi Ke Un Lougon Par Baadshaahat Karti Hai Aur Har Cheez Usse Moyassar (Available)
Hai Aur Us Ka Aik Bara Takht Hai.
24
Main Ne Daikha Ke Wo
Aur Us Ki Qoum Khuda Ko Chor Kar Aaftaab(Sooraj) Ko Saajda Karte Hain Aur
Shaitaan Ne Un Ke Aamaal Unhain Aaraasta Kar Dikhaye Hain Aur Un Ko Raste Se
Rouk Rakha Hai Pas Wo Raaste Par Nahi Aate.
25
Aur Nahi Samajhte Ke
Khuda Ko Joh Aasmaanoun Aur Zameen Main Chupi Cheezoun Ko Zaahir Kar Deta Aur
Tumhare Posheeda Aur Zaahir Aamaal Ko Jaanta, Hai Kion Sajda Na Karain.
26
Khuda Ke Siwa Koi
Ibadat Ke Laaiq Nahi Wo Hi Arsh-E-Azeem Ka Maalik Hai.
27
Sulaiman A.S. Ne Kaha
Acha Ham Daikhen Ge, Tu Ne Saach Kaha Hai Ya Tu Jhoota Hai.
28
Ye Mera Khat Le Ja Aur
Isse Un Ki Taraf Daal De Phir Un Ke Paas Se Phir Aa Aur Daikh Ke Wo Kia Jawab
Dete Hain.
29
Malka Ne Kaha Ke
Darbaar Walo ! Meri Taraf Aik Naam-E-Giraami Daala Gaya Hai.
30
Wo Sulaimaan A.S. Ki
Taraf Se Hai Aur Mazmoon Ye Hai Ke Shroo Khuda Ka Naam Le Kar Joh Bara
Meherbaan Nihayat Rehem Wala Hai.
31
Baad Is Ke Ye Ke Mujh
Se Sarkashi Na Karo Aur Mutee-O-Manqaad Ho Kar Mere Paas Chale Aao.
32
Khat Sunn Kar Kehne
Lagi Ke Ae Ehl-E-Darbaar Mere Is Moaamle
Main Mujhe Mashwara Do, Jab Tak Tum Hazir Na Ho Aur Salah Na Do Main Kisi Kaam
Ko Faisal Karne Wali Nahi.
33
Wo Bole Ke Ham
Bare Zor Aawar Aur Sakht Jangjoo Hain
Aur Hukum Aap Ke Ikhtiyaar Main Hai, Toh Joh Hukum Dijiye Ga Us Ke Maal Par
Nazar Kar Lijiye Ga.
34
Us Ne Kaha Ke Baadshah
Jab Kisi Sheher Main Daakhil Hote Hain Toh Us Ko Tabaah Kar Dete Hain Aur Wahan
Ke Izzat Waloun Ko Zaleel Kar Diya Karte Hain Aur Issi Tarha Ye Bhi Karain Ge.
35
Aur Main In Ki Taraf
Kuch Tohfa Bhaijti Hoon Aur Daikhti Hoon Ke Qaasid Kia Jawaab Laate Hain.
36
Jab Qaasid Sulaimaan
A.S. Ke Paas Pohoncha Toh Sulaimaan A.S. Ne Kaha Kia Tum Mujhe Maal Se Madad
Dena Chahte Ho, Joh Kuch Khuda Ne Mujhe Ata Farmaya Hai Wo Uss Se Behtar Hai
Joh Tumhain Dia Hai Haqeeqat Ye Hai Ke Apne Tohfe Se Tum Hi Khush Hote Hoge.
37
Un Ke Paas Wapas Jaao
Ham Un Par Aise Lashkar Le Kar Hamla Karainge Jis Ke Muqaable Ki Un Ko Taaqat
Na Hogi Aur Un Ko Wahan Se Be Izzat Kar Ke Nikaal Dainge Aur Wo Zaleel Houge.
38
Sulaimaan Ne Kaha Ke
Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug
Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye.
39
Jinnat Main Se Aik
Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke Qabal Is Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is
Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon.
40
Aik Shakhs Jis Ko
Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle
Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon. Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko
Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai,
Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naimat Karta Hoon
Aur Joh Shukar Karta Hai, Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh
Nashukri Karta Hai Toh Mera Parwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai.
41
Sulaimaan Ne Kaha Ke
Malka Ke Imtihaan-E-Aqal Ke Liye Us Ke Takhat Ki Soorat Badal Do. Daikhain Ke
Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte.
42
Jab Wo Aa Pohonchi Toh
Poocha Gaya Keh Kia Aap Ka Takhat Bhi Issi Taraha Ka Hai? Us Ne Kaha Ke Ye Toh
Goya Hu Bahu Wo Hi Hai Aur Ham Ko Is Se Pehle Hi Sulaimaan Ki Azmat-E-Shan Ka Ilm
Ho Gaya Tha Aur Ham Farmanbardaar Hain.
43
Aur Wo Joh Khuda Ke
Siwa Aur Ki Parastish Karti Thi, Sulaimaan Ne Us Ko Us Se Mana Kia Is Se Pehle Toh Wo Kaafiroun Main Se Thi.
44
Phir Us Se Kaha Gaya
Ke Mehel Main Chaliye, Jab Us Ne Us Ke Farsh Ko Daikha Toh Usse Paani Ka Houz
Samjha Aur Kapra Utha Kar Apni Pindliyaan Khol Deen. Sulaimaan Ne Kaha, Ye Aisa
Mehel Hai Jis Ke Neeche Bhi Sheeshe Jare Hue Hain. Wo Boul Uthi Ke Parwardigar
Main Apne Aap Par Zulm Karti Rahi Thi Aur Ab Main Sulaimaan Ke Hath Par Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen
Par Eemaan Laati Hoon.
45
Aur Ham Ne Samood Ki
Taraf Un Ke Bhai Saaleh A.S. Ko Bhaija Ke Khuda Ki Ibadat Karo Toh Wo Do Fareeq
Ho Kar Aapas Main Jhagarne Lage.
46
Saaleh A.S. Ne Kaha Ke
Ae Qoum Tum Bhalayee Se Pehle Buraaye Ke Liye Kion Jaldi Karte Ho Aur Khuda Se
Bakhshish Kion Nahi Maangte Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaaye.
47
Wo Kehne Lage Ke Tum
Aur Tumhare Sathi Hamare Liye Shagoon-E-Badd Hain. Saaleh A.S. Ne Kaha Ke
Tumhari Badshagooni Khuda Ki Taraf Se
Hai Balke Tum Aise Loug Ho Jin Ki Aazmaaish Ki Jati Hai.
48
Aur Sheher Main Nou
(9)Shakhs The Joh Mulk Main Fisaad Kia Karte The Aur Islaah Se Kaam Nahi Lete
The.
49
Kehne Lage Ke Khuda Ki
Qasam Khao Ke Ham Raat Ko Us Par Aur Us Ke Ghar Waloun Par Shab-E-Khoon Maarain
Ge Phir Us Ke Waaris Usse Keh Dainge Ke Ham Toh Us Ke Ghar Waaloun Ke
Moqa-E-Halakat Par Gaye Hi Nahi Aur Ham Sach Kehte Hain.
50
Aur Wo Aik Chaal Chale
Aur Ham Bhi Aik Chaal Chale Aur Un Ko Kuch Khabar Na Hui.
51
Toh Daikh Lo Ke Un Ki
Chaal Ka Anjaam Kaisa Hua. Ham Ne Us Ko Aur Un Ki Qoum Sab Ko Halaak Kar Daala.
52
Ab Ye Un Ke Ghar Un Ke
Zulm Ke Sabab Khaali Pare Hain. Joh Loug Daanish Rakhte Hain , Un Ke Liye Is
Main Nishaani Hai.
53
Aur Joh Loug Eemaan
Laaye Aur Darte The Un Ko Ham Ne Nijaat Di.
54
Aur Loot A.S. Ko Yaad
Karo Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Be Hayayee Ke Kaam Kion Karte Ho
Aur Tum Daikhte Ho.
55
Kia Tum Arutoun Ko
Chor Kar Lazzat Hasil Karne Ke Liye Mardoun Ki Taraf Maail Hote Ho. Haqeeqat Ye
Hai Ke Tum Ehmaq(Duffer) Loug Ho.
56
Toh Un Ke Qoum Ke Loug
Bole, Toh Ye Bole, Aur Iske Siwa Un Ka Kuch Jawab Na Tha, Ke Loot A.S. Ke Ghar
Waaloun Ko Apne Sheher Se Nikaal Do.Ye Loug Paak Bann-Na Chahte Hain.
57
Toh Ham Ne Unko Aur Un
Ke Ghar Waloun Ko Nijaat Di. Magar Un Ki Biwi Ke Us Ki Nisbat Ham Ne Muqarrar
Kar Rakha Tha Ke Wo Peeche Rehne Waloun Main Hogi.
58
Aur Ham Ne Us Pe Meenh
Barsaaya So Joh Meenh Un Lougon Par Barsa Jin Ko Muttnabeh Kar Dia Gaya Tha,
Bura Tha.
59
Keh Do Ke Sab Taareef
Khuda Hi Ko Sazawaar Hai Aur Us Ke Bandoun Par Salam Hai Jin Ko Us Ne Muntakhib
Farmaya. Bhala Khuda Behtar Hai Ya Wo Jin Ko Ye Us Ka Shareek Banate Hain.
60
Bhala Kis Ne
Aasmaanoun Aur Zamen Ko Paida Kia Aur Kis Ne Tumhare Liye Aasmaan Se Paani
Barsaaya. Ham Ne, Phir Ham Ne Us Se Sar Sabz Baagh Ugaaye. Tumhara Kaam Toh Na
Tha Ke Tum Un Ke Darakhtoun Ko Ugaate .Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Bhi
Maabood Hai? Har Gizz Nahi Balke Ye Loug Raste Se Alag Ho Rahe Hain.
61
Bhala Kis Ne Zameen Ko
Qaraar Gaah Banaya Aur Is Ke Beech Nehrain Banayee Aur Is Ke Liye Pahaar Banaye
Aur Kis Ne Do Daryaaoun Ke Beech Aut
Banayee Ye Sab Kuch Khuda Ne Banaya Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur
Maabood Bhi Hai? Har Gizz Nahi Balke Un Main Aksar Daanish Nahi Rakhte.
62
Bhala Koun Beqaraar Ki
Iltija Qabool Karta Hai. Jab Wo Us Se Dua Karta Hai Aur Koun Us Ki Takleef Ko
Door Karta Hai Aur Koun Tum Ko Zameen Main Agloun Ka Ja Nasheen Banata Hai, Ye
Sab Kuch Khuda Karta Hai, Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Bhi Hai Har
Gizz Nahi Magar Tum Bohot Kam Gour Karte Ho.
63
Bhala Koun Tum Ko
Jungle Aur Darya Ke Andhairoun Main Raasta Batata Hai Aur Koun Hawaaoun Ko Apni
Rehamt Ke Aage Khush Khabri Bana Kar Bhaijta, Hai Ye Sab Kuch Khuda Karta Hai
Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Bhi Hai? Har Gizz Nahi .Ye Loug Joh Shirk
Karte Hain Khuda Ki Shaan Us Se Bulaand Hai.
64
Bhala Koun Khalqat Ko
Pehli Baar Paida Karta. Phir Us Ko Baar Baar Paida Karta Rehta Hai Aur Koun Tum
Ko Aasmaan Aur Zameen Se Rizq Deta Hai Ye Sab Kuch Khuda Karta Hai, Toh Kia
Khuda Ke Sath Koi Aur Mabood Bhi Hai Har Gizz Nahi, Keh Do Ke Mushriko Agar Tum
Sache Ho Toh Daleel Paish Karo.
65
Keh Do Ke Joh Loug
Aasmaanoun Aur Zameen Main Hain Khuda Ke Siwa Ghaib Ki Baatain Nahi Jaante. Aur
Na Ye Jante Hain Ke Kab Zinda Kar Ke Uthaye Jayen Ge.
66
Balke Aakhrat Ke Baare
Main Un Ka Ilm Muntahi Ho Chukka Hai, Balke Wo Is Se Shak Main Hain. Balke Is
Se Andhe Ho Rahe Hain.
67
Aur Joh Loug Kaafir
Hain Kehte Hain Ke Jab Ham Aur Hamare Baap Dada Matti Ho Jaayen Ge Toh Kia Ham
Phir Qabroun Se Nikaale Jayen Ge.
68
Ye Waada Ham Se Aur
Hamare Baap Dada Se Pehle Se Hota Chala Aaya Hai, Kahan Ka Uthna Aur Kaisi
Qiamat Ye Toh Sirf Pehle Lougon Ki Kahaniyan Hain.
69
Keh Do Ke Mulk Main
Chalo Phiro, Phir Daikho Keh Gunnehgaaroun Ka Anjaam Kia Hua?
70
Aur Un Ke Haal Par
Gham Na Karna Aur Na Un Chaaloun Se Joh Ye Kar Rahe Hain Tang Dil Hona.
71
Aur Kehte Hain, Ke
Agar Tum Sache Ho Toh Ye Waada Kab Poora Hoga.
72
Keh Do Ke Jis Azaab Ke
Liye Tum Jaldi Kar Rahe Ho Shayad Us Main Se Kuch Tumhare Nazdeek Aa Pohoncha
Ho.
73
Aur Tumhara Parawrdigar
Toh Lougon Par Fazal Karne Wala Hai, Lekin Un Main Se Aksar Shukar Nahi Karte.
74
Aur Joh Baatain Un Ke
Seenoun Main Posheeda Hoti Hain, Aur Joh Kaam Wo Zahir Karte Hain Tumhara
Parwardigaar Un Sab Ko Jaanta Hai.
75
Aur Aasmaanoun Aur
Zameen Main Koi Posheeda Cheez Nahi Hai, Magar Wo Kitaab-E-Roshan Main Likhi
Hui Hai.
76
Be Shak Ye Quraan,
Bani Israail Ke Saamne, Aksar Baatain Jin Main Wo Iktilaaf Karte Hain,Bayan Kar
Deta Hai.
77
Aur Be Shak Ye
Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.
78
Tumhara Parwardigaar
Qiamat Ke Roz Un Main Apne Hukum Se Faisla Kar De Ga Aur Wo Gaalib Aur Ilm Wala
Hai.
79
Toh Khuda Par Bharosa
Rakho, Tum Toh Haq-E-Sareeh Par Ho.
80
Kuch Shak Nahi Ke Tum
Murdoun(Dead) Ko Baat Nahi Suna Sakte Aur Na Behroun Ko, Jab Ke Wo Peeth Phair
Kar Phir Jaayen Awaaz Suna Sakte Ho.
81
Aur Na Andhoun Ko
Gumrahi Se Nikaal Kar Rasta Dikha Sakte
Ho. Tum Toh Un Hi Ko Suna Sakte Ho Joh Hamari Aayatoun Par Eemaan Laate Hain
Aur Wo Farmanbardar Ho Jate Hain.
82
Aur Jab Un Ke Baare
Main Azaab Ka Waada Poora Hoga, Toh Ham Un Ke Liye Zameen Main Se Aik Janwar
Nikaalinge Joh Un Se Bayan Kar De Ga. Is Liye Ke Loug Hamari Aayatoun Par
Eemaan Nahi Laate The.
83
Aur Jis Roz Ham Har
Ummat Main Se Us Guroh Ko Jama Karain Ge, Joh Hamari Aayatoun Ki Takzeeb Karte
The, Toh Un Ki Jamaat Bandi Ki Jaye Gi.
84
Yahan Tak Ke Jab Sab
Aa Jayen Ge Toh Khuda Farmaaye Ga, Ke Kia Tum Ne Meri Aayatoaun Ko Jhutla Dia
Tha Aur Tum Ne Apne Ilm Se Un Par Ahaata Toh Kia Hi Na Tha. Bhala Tum Kia
Karte The.
85
Aur Un Ke Zulm Ke
Sabab, Un Ke Haq Main Waada-E-Azab Poora Ho Kar Rahe Ga, Toh Wo Boul Bhi Nahi
Sakainge.
86
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Ham Ne Raat Ko Isliye Banaya Hai Ke Us Main Araam Karain Aur Din Ko
Roshan Banaya Hai Ke Us Mai Kaam Karain Be Shak Is Main Momin Lougon Ke Liye
Nishaaniyan Hain.
87
Aur Jis Roz Soor
Phoonka Jaye Ga, Toh Joh Loug Aasmaanoun Aur Joh Loug Zameen Main Hain Sab
Ghabra Uthain Ge, Magar Wo Jisse Khuda Chaahe Aur Sab Us Ke Paas Aajiz Ho Kar
Chale Aayen Ge.
88
Aur Tum Paharoun Ko
Daikhte Ho Toh Khayal Karte Ho Ke Apni Jaga Par Khare Hain, Magar Wo Us Roz Is
Tarha Urre Phirainge, Jaise Baadal. Ye Khuda Ki Kaarigari Hai, Jis Ne Har Cheez
Ko Mazboot Banaya. Be Shak Wo Tumhare Sab Afaal Se Ba Khabar Hai.
89
Joh Shakhs Naiki Le
Kar Aaye Ga Toh Us Ke Liye Us Se Behtar Badla Taiyaar Hai, Aur Aise Loug Us Roz
Ghabrahat Se Be Khof Hounge.
90
Aur Joh Burayee Le Kar
Aaye Ga, Toh Aise Loug Oundhe Moonh Dozakh Main Daal Diye Jaaye Ge. Tum Ko Toh
Us Hi Aamaal Ka Badla Mile Ga Joh Tum Karte Rahe Ho.
91
Keh Do Mujh Ko Ye Hi
Irshaad Hua Hai Ke Is Sheher-E-Makkah Ke Maalik
Ki Ibadat Karoon, Jis Ne Is Ko Mohtaram Aur Maqaam-E-Adab Banaya Hai Aur
Sab Cheez Ussi Ki Hai Aur Ye Bhi Hukum Hua Hai Ke Us Ka Hukum Bardaar Hoon.
92
Aur Ye Bhi Ke Quraan
Parha Karoon. Toh Joh Shakhs Raah-E-Raast Ikhtiyaar Karta Hai, Toh Apne Hi
Faaide Ke Liye Ikhtiyaar Karta Hai. Aur Joh Gumraah Rehta Hai Toh Keh Do Ke
Main Toh Sirf Naseehat Karne Wala Hoon.
93
Aur Kaho Ke Khuda Ka
Shukar Hai .Wo Tum Ko Anqareef Apni Nishaniyan Dikhaye Ga, Toh Tum Un Ko
Pehchaan Lo Ge. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Tumahra Parwaradigar Un Se Be Khabar
Nahi Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!